2019 Ki Income Tax Bachane Ki Best 5 Tips - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

2019 Ki Income Tax Bachane Ki Best 5 Tips

Tax Pay Karna Har Citizen Ka फर्ज Hota Hai. Phir Bhi Har Saal Hamara Bada Amount To Tax Pay Karne Me Hi Chala Jata Hai. Lekin Shayad Aapko Pata Na Ho To Bata Du Ki Ham Kai Tariko Se Is Tax Ko Bacha Sakte Hai. Aaj Ke Article Me Hamne Is Baat Ko Cover Kiya Ki 2019 Me Ham Kitne Tariko Se Income Tax Ko Bacha Sakte Hai, Yani Ki 2019 Ke Liye Aise Best 10 Option Ke Baare Me Batane Ja Rahe Hai. Jinke Jariye Aap Aasani Se Tax Ko Bacha Sakte Hai.

Income Tax Kaise Bachaye, Income Tax Saving Ke Best 10 Options:

income tax saving options

Ways To Save Income Tax:
  • Life insurance
  • Medical insurance
  • Pension Plans
  • Saving schemes
  • Education loan
1. Life insurance
Income Tax Bachane Ka First Best Option Ki Baat Kare To Vo Hai Life Insurance. Life Insurance Policy Sirf Aapka Feature Hi Secure Nahi Karti Balki Aapka Tax Bhi Bachati Hai. Insurance Regulatory and Development Authority of India (IRDAI) Se Approved Kisi Bhi Insurer Se Aap Insurance Policy Le Sakte Hai. Section 80C Ke Tahat Tax Benefit Isme Aapko Milta Hai. Aap Maximum 1.5 Lakhs Rupye Tak Ke Amount Ke Liye Claim Kar Sakte Hai.

2. Medical insurance
2019 Ke Liye Income Tax Bachane Wala Second Best Option Medical Insurance Hai. Income Tax Act Ke Section 80D Ke Tahat Bhi Aap Tax Bacha Sakte Hai. 25000 Rupye Tak Ke Deduction Amount Ko Aap Claim Kar Sakte Hai. Senior Citizen Ke Liye 30,000 Rupye Tak Ka Provision Hai. Yadi Aap Apne Parents Ke liye Medical Insurance Premium Bhar Rahe Hai To Iske Tahat Bhi Claim Kar Sakte Hai. But Total Amount 30,000 Rupye Se Jyada Ka Nahi Hona Chahiye.

3. Pension Plans
Pension Plans Lene Par Bhi Aap Tax Dedication Ke Kuchh Amount Ko Bacha Sakte Hai. Insurance Regulatory and Development Authority of India (IRDAI) Se Approved Kai Insurer Pension Plans Offer Kar Rahe Hai. IT Act Ke Sub-Section 80CCC Ke Tahat Aap 1.5 Lakh Rupye Tak Ka Deduction Claim Kar Sakte Hai.

4. Saving schemes
Government द्वारा Chalai Jaa Rahi Alag-Alag Income Tax Saving Schemes Jaise Ki Sukanya Samriddhi Yojana, National Pension Scheme etc., Se Bhi Aap Tax Bacha Sakte Hai. Sukanya Samriddhi Yojana Ko Year 2015 Me Prime Minister Modi Ne launch Kiya Tha. खासतौर Par Yah Scheme Girl Child Ko Save Karne Ke Lai Gayi Hai. Isme Minimum 1000 Per/Year Ki Investment Karna Hota Hai. Section 80C Ke Tahat Aap 1.5 Lakh Rupye Tak Claim Kar Sakte Hai.

5. Education Loan
Higher Education Ke Liye Adi Aapne Education Loan Liya Hai To Tab Bhi Aap Section 80E Ke Tahat Tax Bacha Sakte Hai. Yadi Aapke Khud, Wife Ya Dependent Child Ke Naam Par Loan Hai Tabhi Aap Tax Bacha Sakenge. Foreign Country Me Study Ke Liye Yadi Loan Liya Hai To Aapko Iska Fayda Nahi Milega. Loan Lene Wala Vykti Yadi Indian Government Ka Gazetted Officer Hai, Tab Bhi Iska Fayda Nahi Mil Sakega.

Mutual Funds Ki Tax Savings Top 5 Schemes {34% Return}

income tax saving schemes

Income Tax Bachane ke Bahut Sare Option Hai. Inme Se Ak Hai Income Tax Bachane Wale Mutual Funds. Yaha Par Investment Karne Walo Ko One Year Me 34% Tak Ka Return Mila Hai. In Fund Me Investment Karke Income Tax Bachane Ka Ak Aur Fayda Yeh Hai Ki Yaha Par Lock-in Period Three Years Ka Hi Hota Hai. Expert Ki Raay Hai Ki Yah Tax Saving Ke Sabse Best Option Hai, Jisme Aage Bhi Best Return Mil Sakta Hai.

Three Years of Lock-in Period
Income Tax Bachane Wale Mutual Fund Equity Link Mutual Fund (ELSS) Kahalate Hai. Inme Investment Three Year Ke Lock-in Rahta Hai. Yah Income Tax Bachane Wale Kisi Bhi Option Me Sabse Cum Hai. Yahi Vajah Hai Ki Yah Logo Ki Teji Se Pasand Bante Jaa Rahe Hai.

Investment Karte Time Milte Hai 2 Option.
In Fund Me Investment Karte Vakht Investor Ko 2 Option Milte Hai. Pahla Hota Hai Growth Aur Dusra Dividend Pay Out. Growth Option Me Investment Karne Ke Baad Log Three Year Ke Baad Ise Nikal Sakte Hai. Aur Dividend Pay Out Option Me Paisa To Investor 3 Year Ke Baad Hi Nikal Sakte Hai, Lekin Agar Scheme Dividend Declare Karti Hai To Vo Investor Ko Milta Hai. Yah 3 Year Ke Andar Kai Baar Bhi Mil Sakta Hai.

Kaise Milta Hai Jyada Return.
अंश Financial And Investment Ke Director Dilip Kumar Gupta Ka Kahna Hai Ki ELSS Me Aaye Paiso Ka Investment Stock Market Me Kiya Jaata Hai. Is Market Ka Rule Hai Ki Jitna Jyada Deeno Tak Invested Raha Jayega Fayda Utana Hi Jyada Hoga. Yahi Vajah Hai Ki In Fund Me Investment Karne Walo Ko Accha Return Milta Hai.

Long Time Ki Kar Sakte Hai Tax Planning.
Choice Broking Ke President Ajay Kejriwal Ka Manna Hai Ki In Fund Ke माध्‍यम Se Lambe Samay Ki Tax Planning Ki Jaa Sakti Hai. Saal Me Jitni Jarurat Ho Usko Mahine Ke Hisab Se बांट Kar Har Maah Investment Kiya Jaa Sakta Hai. Har Maah Investment Ke Option Ko Systematic Investment Plan (Sip) Kaha Jaata Hai. Yah Investment Jitne Jyada Deeno Tak Rahega Investor Ka Return Utna Hi Jyada Ho Sakta Hai.

Income Tax Savings Top 5 Mutual Funds.
  • ELSS Mutual Funds: ➱ Motilal MOSt Long Term Fund -DP (G)
  • One-Year Return: ➱ 34.3 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ Mirae Asset Tax Saver Fund -DP (G)
  • One-Year Return: ➱ 29.0 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ IDFC Tax Adv. (ELSS) -Direct (G)
  • One-Year Return: ➱ 25.7 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ L&T Tax Advantage -Direct (G)
  • One-Year Return: ➱ 24.8 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ BOI AXA Tax Advantage -Direct (G)
  • One-Year Return: ➱ 24.0 %
  • Data:- September 8, 2017
फ्रेंड्स इस आर्टिकल के जरिये हमने जाना की इनकम टैक्स कैसे बचाये जाते है. Ways to Save Income Tax, How to Save Income Tax, Income Tax Saving Tips, Income Tax Saving Plan, How To Save Tax, Tax Saving Schemes, ऐसे ही अपडेट पाना चाहते हो तो हमें Subscribe करे और आर्टिकल पसंद आया हो या कुछ हेल्प मिली हो तो सोशल मीडिया पर शेयर जरूर करे, थैंक्स एंड कीप विजिटिंग।।

➧ YOU MAY ALSO LIKE 

2 comments:

  1. naturally like your web site however you have to take a look at the
    spelling on quite a few of your posts. Several of them are
    rife with spelling issues and I in finding it very troublesome to tell the reality on the other hand I'll
    surely come again again.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank You issues search karne Ke liye.

      Delete