Online Marriage Certificate Kaise Banaye, Registration Process Aur Fayde - Internet Happy World

Hot

March 28, 2019

Online Marriage Certificate Kaise Banaye, Registration Process Aur Fayde

Internet Happy World Ki Special Post Me Aaj Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Online Marriage Registration Kaise Kare, Aur Online Marriage Certificate Kaise Banaye, Aur Marriage Registration, Certificate Ki Online Process Kya Hai. Aur Jante Hai Ki Marriage Registration Ke Liye Kon Se Document Chahiye? Marriage Certificate Ke Fayde Kya Hai, Ham Marriage Certificate Kyu Banaye? Marriage Certificate Ki Fees Kya Hai? Appointment Ke Samay Kya Hona Jaruri Hai? Certificate Banane Ki Process Ke Baare Me Ham Full Details Me Janege.

Abhi Haal Me Hi Law Commission of India Ne Shadi Ke Registration Ko अनिवार्य Banane Ke Liye Central Government Ko Law Banane Ki Recommendation Di Hai. Agar Government Is Recommendation Ko Manti Hai To Sabhi Religions (धर्मों) Ke Logo Ko Shadi Karne Ke 30 Day Ke Andar Marriage Ka Registration Karana Jaruri Hoga. Ab Jab India Ke Kai States Me Marriage Registration Certificate Online Ban Raha Hai. Married Couples Ko Marriage Certificate Ki Jarurat Passport Me Marital Status Ko Update Karane, Joint Home Loan Lene, Joint Bank Account Khulwane Aur Couple Visa Lene Ke Liye Jarurat Padti Hai. Aaiye Jante Hai Online Marriage Certificate Banane Ka Kya Hai Tarika....
online marriage certificate and registration process guide in hindi
Kaha Banta Hai Marriage Online Certificate:
Marriage Certificate Court Aur State Government Ki Website Par Jakar Banava Sakte Hai. Delhi, Uttarakhand, Madhya Pradesh, Uttar Pradesh, Rajasthan Jaise States Me Rajya Sarkar Ki Website Par Marriage Certificate Ka Form Bhar Sakte Hai. Sabhi States Me Marriage Certificate Banvane Ka Process Lagbhag Ek Jaisa Hi Hai.

Online Marriage Certificate Banane Ka Kya Hai Process:

Delhi Government Ka Revenue Department, e-District Nam Se Website Chalata Hai. Iske Jariye Government Logo Ko Online Service Deti Hai. Iske Liye Fist Aap Yaha Par Click Kare. e-district.delhigovt

E-district Portal Par New User Ko Pahle Register Karna Hota Hai. Uske Baad Screen Par Diye Instruction Ko Follow Kare. Aap Apne Husband Ki Details Feel Kare Aur Registration Of Marriage Certificate Par Click Kare. Form Download Ho Jayega. Aap Is Form Me Sari Details Add Kar De Aur Appointment Ki Date Select Kare. Submit Button Par Click Karke Application Form Submit Kar De. Uske Baad Aapko Ak Temporary Number Mil Jayega. Ye Temporary Number Acknowledgement Slip Par Bhi Hoga. Aap Apne Application Form Aur Acknowledgement Slip Ka Print-Out Nikalna Na Bhule. Application Form Ka Kaam Pura Ho Gaya. Ab Aage Ki Process Ke Baare Me..

Appointment Me Sab Final Hone Ke Baad Jab Aapki Application Approve Ho Jayegi, To E-District Ke Portal Par Application Number Dalkar Marriage Certificate Ko Download Kar Sakte Hai.

Kitna Samay Lagta Hai Appointment Milne Me: 

Hindu Marriage Act Ke Tahat Aapko Appointment Ka Samay 15 Day Me Mil Jayega. Special Marriage Act Ke Tahat 60 Day Ka Samay Lagta Hai.

Appointment Ke Time Kya Hona Jaruri Hai

Aapko Ek Aisa Witness Lekar Aana Hoga, Jo Aapki Shadi Me Shamil Huya Hai. Witness Ke Pass Pan Card Aur Address Proof Hona Jaruri Hai. Sath Hi Sabhi Document Attested Hona Chahiye.

Online Form Upload Karte Samay In Baato Ka Rakhe Dhayan

Website Par Upload Hone Wali Files Ka Size 100 KB Se Jyada Nahi Hona Chahiye. Yadi Aape Document Attach Nahi Kiye To Aapki Application Reject Ho Sakti Hai.

Online Marriage Registration Certificate Ke Liye Kon Sa Document Chahiye: 

Marriage Application Form:

  • Address Proof - Husband Aur Wife Dono Ka
  • Date Of Birth - Driving License (Husband Aur Wife Dono Ka)
  • Husband Aur Wife Ki 2 Passport Size Photograph
  • Ak Shadi Ki Photograph
  • Aadhaar Card
  • Sabhi Document Ki Photo Copy Self Attested Honi Chahiye.
  • Online Registration Ke Liye Shadi Ka Card Bhi Chahiye

How to get Matrimonial Certificate in 24 hours

👉24 Hours Me Kaise Milega Immediate Marriage Certificate

Delhi Me Immediately Marriage Certificate Banta Hai. April 2014 Ke Baad Se Ye Service Delhi Me Shuru Hui Hai. Immediate Marriage Certificate  Me Registration Process 1 Day Me Ho Jaata Hai. Aapko Iske Jariye Marriage Certificate 24 Ghante Me Mil Jata Hai. Halaki, Immediately Marriage Certificate Banvane Ke Liye Aapko 10,000 Rupaye Fees Par Kharch Karne Hoge.

Marriage Certificate Ke Fayde Kya Hai

Shadi Ke Baad Passport Ke Liye Apply Karne Par Marriage Certificate Banvana Hoga.
Shadi Ke Baad Joint Bank Account Kholne Ke Liye Marriage Certificate Ki Jarurat Padegi.
Marriage Certificate Se Husband Aur Wife Ko Visa Aasani Se Mil Jaata Hai. Foreign Embassy Purane Ya Arya Samaj Mandir Ke Marriage Certificate Ko Nahi Mante.
Foreign Travel Kar Rahe Couples Ka Marriage Certificate Jaruri Hai. Bina Iske Spouse Visa Ka Fayda Nahi Udha Payege.

Online Marriage Registration Ki Fees Kitni Hai

Hindu Marriage Act Ke Tahat Marriage Registration Ke Liye 100 Rupye Fees Hai.
Spacial Marriage Act Ke Tahat Marriage Registration Ke Liye 150 Rupye Fees Hai.
Immediately Marriage Certificate Banvane Ke Liye 10,000 Rupye Fees Deni Hogi.

Kya Hai Marriage Certificate

Marriage Certificate Official Statement Hai, Jiske Tahat Do Log Shadi-Shudha Maane Jaate Hai. India Me Shadi Ko Hindu Marriage Act 1955 Aur Special Marriage Act 1954 Ke Tahat Register Kiya Jaata Hai. Ye Kanuni Taur Par Proof Karta Hai Ki Aap Shadi-Sudha Hai.

Supreme Court Ne Marriage Certificate Ko Kiya Jaruri

Year 2006 Me Supreme Court Ne Shadi Ko Register Karna Jaruri Bana Diya Hai. Supreme Court Ne Mahila-O Ki Surksha Ke Liye Hindu Marriage Act Me Marriage Registration Jaruri Kar Diya Hai.

Court Me Kaise Banta Hai Marriage Certificate

Husband-Wife Dono Working Day Par Sub Divisional Magistrate Ke Paas Jakar Marriage Certificate Banva Sakte Ho. Sign Ke Sath Application Form Bharkar, Appointment Ke Samay Apne Sabhi Document Ke Sath Apne Local Marriage Registration Ke Office Par Chale Jaiye. Sath Me Jisne Shadi Attend Ki Ho Aisa Us Witness Lekar Jaana Hoga. Gadget Officer Ke Sath ADM Ke Workplace Jaiye. Aapko Marriage Certificate Turant Mil Jayega.

CONCLUSION:
Hello Dosto, Aaj Ke Is Article Ke Jariye Humne Jaana Ki Wedding Certificate Kaise Banate Hai, Aur Marriage Registration Kaise Karte Hai, Aur Marriage Documents Me Kya Chahiye Iske Baare Me Details Me Bataya. Feer Bhi Aapko Koi Question Ho To Hame Comment Me Bataiye. Aapko Is Article Pasand Aaya Ho To Apne Friends Ke Sath Share Jarur Kare. Is Post Ka Short Reviews.....

100 Rupye Me Banta Hai Marriage Certificate:

  • Delhi
  • Madhya Pradesh
  • Uttar Pradesh
  • Rajasthan
Marriage Registration And Certificate Online Banane Ki Full Process:

  • State Ki Website Par Jakar Link Par Click Kare.
  • New User Ko Pahle Register Karna Hoga.
  • Marriage Certificate Form Download Kare.
  • Form Submit Kare Aur Appointment Ki Date Le.
Appointment  Ke Samay Kya Hona Hai Jaruri:

  • Aapko Ak Aisa Witness (गवाह) Lekar Aana Hoga, Jo Aapki Shadi Me Shamil Huya Ho.
  • Witness Ke Paas Uska Pan Card, Address Proof Hona Jaruri Hai.
  • Sath Hi Sabhi Documents Attested Hona Chahiye.
Online Marriage Registration ke Liye Documents:
Application Form

  • Address Proof, Date Of Birth
  • 2 Passport Size Photograph
  • Ak Shadi Ki Photograph
  • Aadhaar Card, Shadi Ka Card 
  • Sabhi Document Ki Photo Copy Self Attested Honi Chahiye.
Marriage Certificate Ke Fayde:

  • Passport Ke Liye Apply Karne Ke Liye.
  • Joint Bank Account Kholne Ke Liye.
  • Spouse Visa Ke Liye.
Marriage Registration Fees:

  • Hindu Marriage Act Ke Tahat 100 Rupye Fees Hai.
  • Spacial Marriage Act Ke Tahat 150 Rupye Fees Hai.
  • Immediately Marriage Certificate Banvane Ki 10,000 Rupye Fees Hai.

2 comments:

  1. hi!,I lікe your writing verу mucһ! share we keep in touch extra about your post on AOL?
    I require an expеrt on this spacе to
    unravel my problem. May be that is you! Taking a look forward to ⅼook
    you.
    hop over to here : How To Lock Files When Nߋbody Else
    Will

    ReplyDelete
  2. І've Ƅeen exploring for a bit for any high quality аrticles or weblߋց posts in this kind of house .
    Expⅼⲟring in Yahoo I eventᥙallʏ stumbled սpon this site.
    Ѕtudying this info So i am glad to sһow that I have a very
    good uncanny feeling I discovered exactly what I needed.
    I sᥙch a lot dеfinitely wiⅼl make certain to don?t put out of your mind this wеbsite and proᴠides it a glance regularly.

    ᴡhy not find օut more : How To Lock Files And Influence People

    ReplyDelete