Business Opportunity with Railways, Kaise Kare Online Apply - Internet Happy World

Hot

March 23, 2019

Business Opportunity with Railways, Kaise Kare Online Apply

Agar Aap Railway Ke Sath Business Karna Chahte Hai To Aapke Liye Best Opportunity Hai. Aisa Mauka Aapko Mil Raha Hai Jis Se Aap Bhi Railway Ke Sath Business Sharu Kar Sakte Hai. Railway Ne Small businessmen Ke Liye Vendor Registration System Ko Kafi Aasan Kar Diya Hai. Aap Online Apply Karke Railway Ka Vendor Ban Sakte Hai. Railway Ka Vendor Banne Ke Liye Aapko RDSO (Research, Design and Standard Organization) Ke Paas Apply Karna Padta Hai. RDSO Ne Small Businessman Ke Vendor Registration Ke Liye Kai Naye Kadam Uthaye Hai, Jis Se Registration Karna Aur Bhi Aasan Ho Gaya Hai. RDSO Ne Online Process Sharu Kar Diya Hai. Aap Iska Fayda Utha-kar Railway Ka Registered Vendor Ban Kar Business Start Kar Sakte Hai.

Aaj Ke Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Ki Aap Railway Ke Sath Kya-Kya Business Kar Sakte Hai And Railway Ka Vendor Banne Ke Liye Kya Karna Hoga.

Railways Ke Sath Business Ka Mauka, Aise Kare Online Apply.

Business Opportunity with Railways
Railway Ke Sath Kya-Kya Business Kar Sakte Hai
Aap Railway Ke Liye Manufacturing Ke Sath-Sath Job Work Ya Supplier Ke Taur Par Registration Kara Sakte Ho. Aap Railway Ko Nut-Bolts, Fish Plates, Electrical Items, Fabricated Items Supply Kar Sakte Hai. Aap Civil Jaise Trek Design, Bridge and Structured Items Bhi Supply Kar Sakte Hai. Aap Signal and Telecommunication Items Bhi Supply Kar Sakte Hai. Iske Alava Aap Railway Ko Kai Services Bhi Provide Kara Sakte Ho. Jinke Baare Me Samay-Samay Par Railway Ki Aur Se Tender Bhi Jaari Kiye Jaate Hai. Small Businessman Hone Ki Vajah Se Railway Aapko प्रमुखता Deta Hai, Kyu Ki Central Government Ki Aur Se PSU Ko Apni Total Shopping Ka 20% Hissa Small Businessman Se Karna Compulsory Kiya Gaya Hai.

New Businessmen Railway Registration Kaise Kar Sakte Hai.
Agar Aap Railway Ke Sath Business Karna Chahte Hai To Aapko Sabse Pahle Apna Business Ka Registration District Industry Center Se Karna Hoga. Iske Baad Aap RDSO Me Online Registration Kara Sakte Hai. Halaki, Is Se Pahle Aapko Tai Karna Hoga Ki Aap Kis Tarah Ka Business Karna Chahte Hai. I Min Ki Aap Kon Se Items Supply Karna Chahte Hai Aur Vo Kis Directorate Ke अधीन Hai. Aap Bhi Registration Karna Chahte Hai To Is Link Se Direct Registration Kara Sakte Hai. https://rdso.ggn.rcil.gov.in/qamv/Vendor_Application_Form_next.aspx

Kaise Le Sakte Hai Order.
Vendor Ke Taur Par Registration Ke Baad Aap Railway Ke Kisi Tender Me Hissa Lena Chahte Hai To Yah Bhi Kafi Aasan Hai. Indian Railway Ne Iske Liye Bhi Online System Ki Hai. Niche Diye Gaye Link Se Aap Railway Ke Tender Ke Baare Me Puri Jankari Hasil Kar Sakte Hai. Indian Railways E-Procurement System (IREPS) Iske Alava Aap Is Link Par Bhi Railway Ke Tenders Search Kar Sakte Hai. https://eprocure.gov.in/cppp/tendersearch.

3 comments:

  1. Sanju Bhai Bahut acchi jankari di.

    ReplyDelete
  2. All the contents you mentioned in post is too good and can be very useful. I will keep it in mind, thanks for sharing the information keep updating, looking forward for more posts.Thanks Parenting

    ReplyDelete