Aadhaar Card Se Hone Wale 8 Fayde Kya Hai. - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Aadhaar Card Se Hone Wale 8 Fayde Kya Hai.

Haal Ke Samay Me Aadhaar Card India Ke Citizen Ke Bade पैमाने Par Use Hone Wale Identity Proof Ke Roop Me उभरा Hai. Government Ne Bank Account Se Lekar Mobile Sim Lene Tak Lagbhag Har Sarkari Aur Dusre Kaamo Ke Liye Aadhaar Number Ko Jaruri Kar Diya Hai. Haal Ke Samay Ki Jo Baat Kare To Aadhaar Card Me Mojud Details Ki Privacy Par Sawal To Khade Ho Rahe Hai But Dusri Aur Aadhaar Ke Jariye Public Ko Kai Sare Benefits Mil Rahe Hai. Feer Vo Chahe LPG Subsidy Transfer Ho Ya Monthly 12 Train Tickets Ki Booking. Aaj Ham Aapko Aadhaar Ke Jariye India Ke आम नागरिक Ko Milne Wale Aise Hi 8 Fayde Ke Baare Me Baat Karne Jaa Rahe Hai.

Benefits of Aadhar Card
Benefits of Aadhar Card

➧1. LPG Subsidy Direct Bank Account Me.
Agar Aapke Paas Aadhaar Hai Aur Yah Aapke Bank Account Se Link Hai To Aapki LPG Subsidy Jaisi Dusri Subsidies Bhi Direct Aapke Bank Account Me Aati Hai. Ye Direct Benefit Transfer (DBT) Scheme Ke Under Hoti Hai. 

➧2. Mobile SIM Will Stop Misusing.
Aadhaar Ki Mobile Number Se Linking Se Aapki Sim Ka Misusing Rukega. Government Ka Kahna Hai Ki Aadhaar Linking Se Sim Owner Ka Verification Ho Sakega Aur Terrorist Aur Criminal Aapke Naam Par Sim Nahi Le Sakega.

➧3. Income Tax Return Filing Hogi Aasan.
Governement Baar-Baar Yah Baat Kah Chuki Hai Ki Aadhaar Number Ki PAN Card Se Linking Se Black Money Ka Pata Lagaya Jaa Sakega. Sath Hi Logo Ko Income Tax Return Bharne Me Bhi Aasani Hogi. Iske Alava Aadhaar Ki Help Se Aap File Kiye Gaye Income Tax Return Ko Online Verify Kar Sakte Hai.

➧4. Fake Bank Accounts, Fake Insurance Policy Ki Hogi पहचान.
Government Ne Bank Account, Insurance Policy, PAN Card etc. Se Aadhaar Linking Ke Liye 31 March Tak Ka Time Diya Huya Hai. Aadhaar Linking Se Fake Bank Accounts, Fake Insurance Policy, Fake PAN Card Ya Ak Se Jyada PAN Card Ka Pata Lagaya Jaa Sakega. Sath Hi PAN Card Concession Ke Chances Cum Honge. Aadhaar Ki Help Se Ak Se Jyada LPG Connection Rakhne Walo Aur Dusri Sarkari Yojanao Ka Galat Tarike Se Fayda Uthane Wale Fake Beneficiaries Ka Pata Lagaya Jaa Sakega.

➧5.Online Passport Applications और Pensioners Ko Aasani Hogi.
Aadhaar Ki Help Se Passport Ke Liye Online Apply Kiya Jaa Sakta Hai. Iske Under Passport Sirf 10 Days Me Ban Jaata Hai. Iske Alava Aadhaar Ke Jariye Pensioners Ko Bhi Aasani Hogi. Aadhaar Card Registration Number Ki Help Se पेंशनर Aasani Se Digital Life Certificate Hasil Kar Sakte Hai Aur Apni Pension Continent Kar Sakte Hai.

6. PF Ka Online Transfer.
Agar PF Account Ke Liye Diye Jaane Wale UAN Yani Ki Universal Account Number Aadhaar Se Link Hai To Aap Apne PF Ko Aasani Se Ak Account Se Dusre Account Me Transfer Kar Sakte Hai Ya Feer Ise Nikal Sakte Hai. Actually, Employees' Provident Fund Organisation (EPFO) Ne Ak Naya Form Jari Kiya Hai. Is Form Me Aapko Employer Ke Signature Ki Jarurat Nahi Padti. Withdrawal Par Paisa Direct Aapne Diye Huye Bank Account Me Bhej Diya Jaata Hai. Aadhaar Link Nahi Hone Par Aapko EPFO Ke Office Me Jakar Sari Process Manually Karni Hoti Hai.

➧7. Monthly 12 Train Ticket Booking.
Aadhaar Ki Help Se Monthly 12 Train Ticket Book Karva Sakte Hai. Iske Liye Aapko Apne IRCTC Account Ko Aadhaar Se Link Karvana Hoga. Bina Aadhaar Linking Aal 6 Ticket Month Me Hi Book Karva Sakte Hai. Iske Alava Indian railway Ne Aadhaar Linked IRCTC Accounts Ke Liye Lucky Draw Scheme Shuru Ki Hai. Agar Aap Lucky Sabit Huye To Aap Har Mahine Free Me Safar Ke Sath 10 Hajar Rupye Ka Cash Prize Bhi Jeet Sakte Hai.

➧8. Ghar Baithe Mutual Fund Account Khulana.
Aap Aadhaar Ki Help Se Ghar Baithe Mutual Fund Account Khulva Sakte Hai. Iske Liye Aapka Mobile Number Aadhaar Se Link Hona Chahiye.

3 comments:

  1. Hello Bhai kya mjhe ye bta sakta ho mere blog me abhi kya kya kamiya hain plzz help me ..maine phli bar blog bnaya hai आधार कार्ड देखे

    ReplyDelete