Social Media Ka Kare Positive Use, Hogi Lakho Me Side Income - Internet Happy World

Hot

March 28, 2019

Social Media Ka Kare Positive Use, Hogi Lakho Me Side Income

Top 5 Highest Paying Social Media Marketing Careers


Generally, Jyadatar Log Social Media Ka Use Time-Pass Ke Liye Ya Feer News Updated Ke Liye, Ya To Friends Se Baat Karne, Chatting Karne, Ke Liye Karte Hai, Aur Social Media Ko अफवाहें फैलाना के रूप में भी Dekha Jaata Hai. Lekin Dusri Taraf Aise Bhi Kai Log Hai Jinhone Social Media Ko Apni Kamai Ka Sabse Bada Jariya Bana Diya Hai. India Me Bhi Bahut Sare Logo Ne Social Media Marketing Ko Ak Career Ke Option Ke Roop Me Apana Liya Hai. Aaj Ham Aapko Social Media Day 2018 Par Gujarat Ke Ahmedabad Ke Top Social Media Influencers Aur Unki Marketing Strategies Ke Baare Me, Sath-Sath Ye Bhi Batayege Ki Is Field Me Career Banake Aage Kaise Badhe. And Social Media Ke Jariye Kise Kare Mahine Me Lakho Me Side Income, Aur Ye Bhi Ghar Baithe, Social Media Ka Sahi Istemaal Karke Kise Kar Sakte Hai Lakho Ki Kamai.


Gujarat Ke Top Social Media Influencers Aur Unki Marketing Strategies
Top Social Media Influencers Aur Unki Marketing Strategies

Amit Panchal, Digital Marketing Consultant (Twitter Se Monthly 60,000 Ki Income)
SEO Consultant, SMO Expert, Internet Marketing Consultant
Gujarat Ke Ahmedabad District Se Amit Panchal, Digital Marketing Consultant Se Baat Karte Hai, Uska Kehna Hai Ki Vo 2008 Se Social Media Pe Active Hai. 2 Saal Ke Baad Usko Is Platform Pe Career Opportunity Dikhai. Aur Ve Regular Social Media Pe Active Rahte Gaye Aur Followers Badhtae Gaye. Jab Twitter Pe 2500-3000 Followers The Tab Har Ak Post Ke 1500-2000 Charge Lete The. Jaise-Jaise Followers Ki संख्या Badhti Gai Vaise-Vaise Charge Bhi Badhate Gaye. Amit Ka Kahna Hai Ki Muje Ak Tweet Karne Ke 5000 Rupye Se Lekar 35000 Rupye Tak Mile Hai. Aaj Ve Social Media Ke Jariye 50,000 Se 60,000 Rupaye Tak Ki Monthly Income Kar Lete Hai. Amit Ke Baare Me Aur Jyada Jankari Ke Liye.....

Aditi Raval, Social Media Expert (Monthly Income 1,00,000 Plus)
Social Media Infotainer cum Former RJ And Film.

Aditi Raval Ne Social Media Marketing Ke Liye RJ Ki Job Bhi Chhod Diya Tha. Orkut Ke Samay Se Hi Social Media Pe Active Hai Aditi. RJ Ki Job छोड़ने Ke Baad Social Media Pe 400% Followers Badhe. Aur Unke Fans Ki Demand Se Movie, Food Reviews Sharu Kiya. Aditi Ka Kahna Hai Ki Aaj Usko Social Media Ke Jariye 1 Lakh Se Bhi Jyada Kamai Karne Ki Offer Mil Rahi Hai. Aditi Raval Ke Baare Me Jyada Jankari Ke Liye.....

Blog Se  Monthly Income 40,000: Hetal Shah; Digital Marketer - Blogger

Hetal Shah Ne Digital Marketing Me 2.5 Years Tak Job Karne Ke Baad MyFashionVilla.com Name Ke Ak Blog Sharu Kiya. Uska Kahna Hai Ki Blog Start Karne Ke 1 Saal Baad Unki Income Start Ho Gayi Thi. Unke Blog Pe 40,000 Se Bhi Jyada Followers Hone Ki Vajah Se Aaj Vo 40,000 Rupye Monthly Income Kar Leti Hai. Ak Article Ke 3 Se 10,000 Tak Charge Lete Hai. Hetal Shah Ke Baare Me Jyada Jankari Ke Liye.....

Chintan Mehta, Social Media Influencer (25 FB Page Manage: 50,000 Earnings Per Month)
8 Year Pahle Facebook Pe Gujarati Jokes Name Se Ak Page Sharu Kiya Tha. Chintan Mehta Aaj Vo Ak Sath 25 FaceBook Page Chala Rahe Hai. Sabse Jyada Popular Page Ke 2.5 Lakhs Likes Mile Hai. Sabhi Page Pe Kul Milake 1 Crore (10M) Followers Hai. FB Pages Ko Manage Karne Ke Liye 4 Logo Ki Ak Team Banai Hai, Aur Vo Kahte Hai Ki Maine MBA Kiya Hai Lekin Career Me To Social Media Influencer Hi Rahuga.

वह सब जो आप जानना चाहते हैं? Question-Answer:

Kya Is Business Ke Liye Celebrity Hona Jaruri Hai?
Social Media Marketing Karne Ke Liye Aap Celebrity Ho Aisa बिल्कुल Jaruri Nahi. Condition Sirf Yahi Hai Ki Aapka Followers Jyada Hona Chahiye, Feer Chahe Aap Celebrity Ho Ya Na Ho, Ak Baar Aapke Followers Ki Sankhya Jyada Ho Jaane Ke Baad Aapko Social Media Celebrity Ke Influencer Ka Titles Apne Aap Mil Jayega.

Followers Gain Aap Kaise Karege.
Trading Topics Pe Sabse Jyada Interesting Ya Public Useful Post Karke Jyda Likes Aur Followers Aap Hasil Kar Sakte Hai. And Sabse Jaruri Baat Ki Ye Like Aur Followers Fake Na Hona Chahiye, Fake Yani Ki Ye Followers, Like Jyada Kar Dene Wali Company Se Kharida Na Hona Chahiye. Publicly Useful Post Me बरसात Ke मौसम Ke दौरान शहर के Kis Area Me Kaisa Traffic Hai Iski Jankari Ya Feer Kisi Blood Donation Ki अपील Jaisi Tweet Ho Sakti Hai.

Minimum Kitne Followers Hona Chahiye.
Jab Aapka Social Media Ke Kisi Bhi Platform Pe Minimum 10,000 Genuine Followers Hoge Tabhi Aapko Influencer Mana Jayega.

Followers Ho Jaane Ke Baad Kya?
Followers Ho Jaane Ke Baad Aapko Regular Trending Topics Pe Posts Karni Hogi, Yani Ki Aapko Continue Update Rahna Hoga. Aur Comment Ke Turant Reply Karna, Ye Sabhi Chije Aapke Followers Ke Sath Aapka Engagement Dikhati Hai. Ye Sabhi Jaankari Digital Marketing Ka Handling Karti Companies Observe Karti Hai.

Yadi Aap Ye Sabhi Criteria Me Fit Hai To Aapko Samne Se Approach Karte Hai.

Agar Followers Ho Jaane Ke Baad Bhi Koi Approach Na Kare To?
Aap Influencer Ke Liye Platform Pe Register Kara Sakte Ho. Aise Bahut Sare Platform Hai Jo Jyada Followers Wale Influencers Aur Digital Marketing Karna Chahti Company Se Contact Karati Hai.

Register Karane Se Kya Hoga?
Register Karane Se Sabse Bada Fayda Yeh Hoga Ki Aap Us Agency Ke Dhyan Me Aa Jayege Jis Agency Ko Aapke Baare Me Pata Na Ho. Aur Yadi Aapka Followers Genuine Hai, To Aapko Definitely Kaam Milna Sharu Ho Jayega.

Agency Kis Tarah Ki Offer Deti Hai?
Agency Offer Deti Hai Isme 3 Model Hai. (1 Barter) (2 Paid) (3 Barter With Paid)
  • Pahla Modal Barter- Jisme Post Ke Tweet Ke Badal Me Aapko Product Ko Use Karne Ko Milta Hai.
  • Dusra Modal Paid- Jisme Aapki Sirf Paise Hi Milte Hai.
  • Tisra Modal Barter With Paid- Jisme Aapko Product Aur Paise Dono Hi Milte Hai.

Kitni Like Ya Retweet Ke Kitne Paise Milte Hai?
Jyadatar Matters Me Post Ke Like, Share Ya Retweet Ki Uske Payment Ke Sath Koi Lena-Dena Nahi Hota. Aapko Sirf Diya Gaya Content Ko Share Karna Hoga, Ya To Product Ki प्रशंसा Karni Hogi.

Yadi Twitter Par 3,000 Se Jyada Followers Hai Aur Ak Achhi Company Hai To Har Ak Tweet Ka 1500 Se 2000 Rupaye Tak Ka Payment Milta Hai Aur Dusri Taraf Agar Bahut Cum Followers Hai Ya, Na Ke Barabar Follower Hai To Aisi Bhi Companies Hai Jo Har Ak Tweet Ka 20 Se 100 Rupye Ka Payment Deti Hai, हालांकि, आप अपनी लागत भी निर्धारित कर सकते हैं, जिसके द्वारा एजेंसियां ​​सौदा करती हैं।

1 Lakh Se Jyada Followers Hone Par Kitni Kamai Ho Sakti Hai.

YouTube:
Followers
Earnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh
12,500

5 lakh -1 million
25,000

1 million-3 million
25,000

3 million -7 million
More than 7 million
1,87,500
3,00,000


Instagram:
Followers
Earnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh
5,000

5 lakh -1 million
10,000

1 million-3 million
50,000

3 million -7 million
More than 7 million
75,000
1,50,000


Facebook:
Followers
Earnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh
6,250

5 lakh -1 million
12,500

1 million-3 million
62,500

3 million -7 million
More than 7 million
93,750
1,87,500

Twitter:FollowersEarnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh2,000

5 lakh -1 million4,000

1 million-3 million20,000

3 million -7 million
More than 7 million
35,000
60,000

YOU MAY ALSO LIKE:

1 comment:

  1. Nice article sir thank you for your information ,
    https://www.smartnewsbazar.com/social-media-marketing-क्या-है/

    ReplyDelete