Aadhaar Data Leak Karne Wala Ethical Hacker Elliot Alderson Kon Hai. - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Aadhaar Data Leak Karne Wala Ethical Hacker Elliot Alderson Kon Hai.

Telecom Regulatory Authority of India (TRAI) Chairman RS Sharma Ne Pichle Deeno Twitter Par Ak Challenge Diya Tha Aur Vo Bhi Apna Aadhar Number Tweet Karke Kaha Tha Ki Unka Aadhaar Number Se Data Leak Karke Dikhaya Jaaye. Feer Kya Hona Tha! Kya Duniya Me Hackers Ki Kami Hai? Uske Baad French Ke Ak White Hat Hacker Aur Cyber Security Expert Elliot Alderson Ne Hamare Sharma Ji Ki Umid Puri Kar Di. Us Hacker Ne RS Sharma Ke Phone Number, Bank Account Number, Address, PAN Number Samet Kai Personal Photos Bhi Twitter Par Share Kar De. Iske Sath Elliot Alderson Ne Twitter Par Prime Minister Narendra Modi Ko Bhi Apna Aadhaar Number Share Karne Ka Challenge Diya Tha.

Aadhaar Data Ki Cyber Security Expert Tips

Aadhaar Data Ki Cyber Security Expert Tips
French Cyber Security Expert Elliot Alderson Ke Baare Me:-
Lekin Jo Bhi Jankari Hacker Ne Share Ki Vo Internet Pe Pahle Se Mojud Thi. Isliye Ye Nahi Keh Sakte Ki Aadhaar Data Hack Kiya Jaa Sakta Hai, Aur Ye Bhi Guarantee Ke Sath Keh Nahi Sakte Ki Aadhaar Data Hack Na Kiya Jaa Sake, Kyu Ki Duniya Me Aisa Kuchh Bhi Nahi Jise Hack Na Kiya Jaa Sake. Isliye Hamare Aadhaar Number Kabhi Social Media Pe Ya Kisi Aur Jagah Share Na Kare, Aur Apne Smartphone Me Bhi Kabhi Apni Personal Information Save Na Rakhe, Aur Na Hi Koi ScreenShots Save Rakhe, Kyu Ki Smartphone Hamesha Trash Hota Rahta Hai, Jaha Se Aapka Data Chura Ke Kisi Third Party App Ko Becha Jaata Hai, Jaise Ki Facebook Ne Kiya Tha. Agar Aap Jaan Na Chahte Hai To Ye Video Dekhe➥ Smartphone Me Se Third Party App Data Kaise Churate Hai Aur Aap Chahe To Ye Bhi Padh Sakte Ho.. Smartphone Hack Kaise Ho Jaate Hai, And Smartphone Ko Hacking Se Kaise Bachaye, Smartphone Ki Security Kaise Rakhe.


TRAI Chairman RS Sharma Ke Aadhaar Number Ke Jariye Unke Bank Account Ki Details Lee Aur Usme Rupye Bhi Deposit Kiya. Media Report Ki Maane To Kai Ethical Hackers Ne Sharma Ji Ke Bank Account Me 1 Rs. Jama Karaye Aur Iske ScreenShots Bhi Share Kiye. Vahi Is Baare Me UIDAI Ka Kahna Hai Ki Hackers Ne Unki Jankari Google Se Lee Hai. Feer Bhi Usne Sabhi Aadhaar User Ko Aadhar Card Number Ko Share Na Karne Ki Advice De Hai. Halaki, Elliot Alderson Hamesha Se Aadhaar System Ki Security Ko Lekar Sawal Khade Karte Rahte Hai.

Aaj Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Elliot Alderson Ke Baare Me. Aur Ye Janege Ki Aakhir Ye Hai Kon Jo Hamare Aadhaar System Pe Sawal Uthate Rahte Hai Aur हाथ धोके पीछे क्यो पड़े है. Unko Hamare Aadhaar Card Se Itani दिलचस्पी Kyo Hai?

Ethical Hacker Elliot Alderson Kon Hai:

Elliot Alderson Ka Real Name Robert Baptiste Bataya Jaata Hai, Jo France Ke Ak Security Researcher Aur Ethical Hacker Hai, Twitter Par Robert Elliot Alderson Ke Name Se Hi Hai Aur Uski Profile Ke Mutabik Vo Ak Security Expert Hai Jo बतौर Profession Network and Telecommunication Engineer Hai. Elliot Ne Aadhaar Ki Mobile App Ko Hack Kar Daava Kiya Tha Ki Uske Paas 22000 Se Jyada Aadhaar Card Ki Details Hai. Itana Hi Nahi Elliot Prime Minister Narendra Modi NaMo App Aur Congress Ki INC App Ki Security Par Bhi Sawal Khade Kar Chuke Hai.

American Drama Thriller Se Inspired He Inka Naam:

Actually, 2015 Me Ak American Drama Thriller Serial (TV Series 2015) Aaya Tha, Jiska Naam Mr. Robot Tha. Is TV Series Me Rami Malek Name Ke Actor Ne Mr. Robot Ka Role Play Kiya Tha, Jiska Name Tha Elliot Alderson. Is Serial Me Elliot Cyber Security Engineer Aur Hacker Hota Hai. Is Serial Me Ak Dialogue Hota Hai Jisme Elliot Kahta Hai Me Raat Me Ak Hacker Hu Aur Din Me Ak Cyber Security Engineer.

Elliot Ko Aadhaar Me Itana Interest Kyo Hai?

Ak Interview Ke Samay Elliot Se Jab Puchha Gaya Ki Unhe India Ke Aadhaar System Me Itani दिलचस्पी Kyo Hai? To Unhe Jawab Dete Hue Kaha Ki Aadhaar Ak Bahut Bada Project Hai, Jis Me आम लोगो Se Judi Bahut Sari Important Information Mojud Hai, Isliye Iski Security Ko Aur Strong Karne Ki Jarurat Hai.

Ak Dusre Interview Me Elliot Alderson Ne Bataya Tha Ki Usne Aadhaar Ki Android Application Me Kai Sari Weaknesses Pai Hai, Yani Ki Bahut Sari खामिया Mili Hai Aur Users Ka Biometric Data Ak Local Database Me Save Kiya Jaa Raha Hai Jisko Badi Aasani Se Hack Kiya Jaa Sakta Hai. Usne Ye Bhi Maana Tha Ki Internet Par Hi Aadhaar Card Ki Details Lee Jaa Sakti Hai Kyo Ki Aadhar Ka Data UIDAI Ke Server Par Nahi Hai Aur Ise Hack Karne Ki Jarurat Bhi Nahi Hai.
दोस्तों, आर्टिकल पढ़ने के लिए तहे-दिल से सुक्रिया, अगर आपको हमारा ये आर्टिकल➧ Aadhaar Data Ki Cyber Security Expert Tips..Aur Cyber Security Expert (Hacker) Elliot Alderson Ke Baare Me Jankari Kaisi Lagi, वो हमें कमेंट में जरूर बताइये। और आर्टिकल पसंद आया हो तो अपने दोस्तों के साथ सोशल मीडिया पर जरूर शेयर करे। और ऐसे ही अपडेट अपने ईमेल id पर फ्री में पाना चाहते हो तो हमें Subscribe करे। थैंक्स एंड कीप विजिटिंग।.
Ye Bhi Padhe➥

2 comments:

  1. Sir mujhe aapka ye post hi accha lga aapke se ekk question puchna tha ki aapka ye teemplate kaa naam kya hainn or aap template ki speed banndhane ke liye kya karte ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. ye templateyard ka sigma templates hai, aur paid version hai, aur apne hisab se customize kiya hai. aap chaho to free me bhi download kar sakte ho.

      Delete