Internet Happy World: Money World

Hot

Showing posts with label Money World. Show all posts
Showing posts with label Money World. Show all posts

April 27, 2019

YouTube Se Paise Kamana Hua Aasan- Adsense Monetization Policy 2018

April 27, 2019 0
Hello Friends, Ham Aaj Ke Article Me Jo Baat Karne Jaa Rahe Hai, Vo Hai YouTube Monetization New Policy Update 2018 Ki, YouTube Ne Apni Policy Me Abhi Tak Ka Sabse Bada Badlaav Kiya Hai, Aaj Ke Topic Me Main Point Kuchh Is Tarah Se Mention Kiya Hai. YouTube New Monetization Rules 2018, YouTube New Monetization Policy 2018.

1 Lakh Followers Par Paid YouTube Channel Kaise Banaye.


YouTube Ke Chief Product Officer Neal Mohan Ne Friday Ko Company's Ki Annual Conferences 'VIDCON 2018' Me Monetization Policy Ko Aur Bhi Aasan Karne घोषणा Ki. Iske Jariye YouTuber Apne Channel Ke Jariye Jyada Paise Kama Sakte Hai. Neal Mohan Ne Bataya Ki Agar Kisi Channel Ke Paas 1 Lakh Se Jyada Followers Hai, To Vo Apne Channel Ko Paid Bana Sakta Hai, Yani Ki Users Uske Channel Ka 4.99$ (About Rs 340) Me Monthly Subscription Le Sakte Hai. Iske Baad Users Channel Ki Taraf Se Diye Jaane Wale Kai Bahetarin Features Ke Fayda Le Sakte Hai.

1 Lakh Se Jyada Followers Wale Channel Par Ab Sharu Hoga Paid Monthly Subscription
youtube-monetization-new-policy-update-2018

YouTube New Monetisation Policy Update - 3 New Features Added;
Neal Mohan Ne Bataya Ki New Monetisation Policy Ke Tahat YouTube Me 3 Tarah Ke New Features Add Kiye Hai, Taki Channel Apne Content Ke Jariye Pahle Se Jyada Aur Acchi Kamai Kar Sake. New Monetisation Policy Ke Tahat YouTube Ka Pahla Feature Hai Tweet Subscription. Aur Dusra Best Feature Hai Merchandise. Aur Tisra Feature Hai Premiere. Ab Ham 3no Features Ke Baare Me Thoda Deep Me Jakar Baat Karege Ki Is New Monetisation Policy Se YouTuber Ko Kya Fayda Hoga Aur Users Ke Liye Kitna Useful Hoga, Aur Income Me Kya Fayda Hoga.

1. New Feature - Tweet Subscription:
New Monetisation Policy Ke Tahat YouTube Ka Pahle Feature Ki Baat Kare To Vo Hai Tweet Subscription. Jiske Jariye Users Channel Ko Subscribe Kar Sakte Hai. Aur Neal Mohan Ne Ye Bhi Bataya Ki Abhi Ye Feature Sirf America Me Hi Sharu Kiya Gaya Hai Aur Jald Hi Ese 1 Lakh Se Jyada Followers Wale Channel Ke Liye Bhi Sharu Kar Diya Jayega.

2. New Feature - Merchandise:
YouTube Ka Dusra Best Feature Hai Merchandise Iske Jariye Har YouTube Video Ke Niche Ads Link Jodi Ja Sakti Hai. Abhi Tak Video Creator Ko Personal Store Front Ko Video Description Se Link Karna Padta Tha, Lekin Ab Channel Me Hi Ak Section Milega Jisme Har Product Ki Kimat Aur Photo Dikha Sakenge.

3. New Feature - Premiere:
New Monetization Policy Ke Tahat Tisra Feature Premiere Joda Gaya Hai. Jiske Jariye Creator Apne Pahle Se Recorded Video Ko Page Par Live Streaming Me Dikha Sakta Hai. Sath Hi Baki User Se Chat Bhi Kar Sakta Hai.

YouTube New Policy Update 2018 Kya Hai.

Is Policy Me Badlaav Karne Ke Baad Ab Unhi Channel Ko Ads Mil Payege Jis Channel Par 1 Year Me Cum Se Cum 10,000 Subscriber Ho Sath Hi Total 4000 Hours Ka Watch Time Ho. 4000 Hours Yani 4000×60=240,000 Minute Ka Watch Time Hona Jaruri Hai. New Policy Me Channel Ke 10,000 Subscriber Hone Ke Sath Cum Se Cum 1 Lakh Followers Hona Bhi Compulsory Hai. Is Criteria Me Aane Wale Channels Ko Hi Google Adsense Se Ads Lene Ki Facility Milegi. Is Criteria Me Na Aane Par Monetization Automatic Disable Ho Jayega.

YouTube Monetization Ki Old Policy Kya Thi.

Pahle YouTube Channel Par Koi Bhi Apni Email ID Se Login Kar YouTube Channel Banakar Turant Video Upload Kar Sakte The. Iske Baad Adsense Ke Liye Apply Kar Monetization Enable Kar Paise Kamane Sharu Kar Dete The. Last Year 2017 Me Bhi Google Ne 10,000 Life Time Views Policy Banai Thi Jisme Kisi Bhi Channel Par 10,000 Views Hone Par Hi Videos Par Ads Milta Tha.

Kyu Karna Pada Monetisation Policy Me Itana Bada Update?

Ham Jante Hai Ki Last Kuchh Month's Se YouTube Kai Controversies Me घिरा Hua Tha. Baat Chahe घोटालों Ki Ho Ya Feer Site Par Mozuda विवादित Content Ki. Last Year Me Kai YouTube Users Ne Site Ke Content Lekar Complaints Ki Hai. Users Ka Kahna Hai Ki YouTube Ke Contents Ka बच्चो Par Bad Effect Pad Raha Hai. Aise Me Apni Image Ko Improve Karne Ke Liye Aur Logo Ki Complaints Ko दूर Karne Ke Liye YouTube Ne Kuchh Bade Kadam Uthaye Hai.

Haal Hi Me Ak शख्स Ne Channel Par Behad Disturbing Video Upload Kiya Tha Jisme Suicide Karne Wale Ak शख्स Ke Dead Body Ko फिल्माया Gaya Tha. YouTube Ne Is Content Ko Lekar Immediate Action Liya Aur Video Ko Channel Se Remove Kar Diya Gaya. Sath Hi YouTube Ne Poll Ko Apne Ads Program Se Bhi Nikal Diya Aur Uske Sath Apne Projects Ko Bhi Hold Par Rakh Diya.

New YouTuber Ko Ab Video Se Paise Kamana Ho Jayega Mushkil.

Is Tarah Ki घटनाओं Se Nipatane Ke Liye YouTube Ne Apni Monetizing Policy Yani Users Ko Ads Ke Jariye Paisa Dene Ki निती Me Badlav Kiya. Ab YouTube Par Naye YouTuber Ko Paisa Kamana Pahle Ki Tulna Me Mushkil Ho Jaayega. Ab YouTube Par Vahi Paise Kama Payega, Jiske Cum Se Cum 1000 Subscribers Ho Aur 4000 Hours Se Jyada Watch Time Ho.

Kise Kahte Hai YouTube Monetization

YouTube Monetization Ka Matalab Hai Apne YouTube Videos Par Ads Sharu Karne Ki Permission Dena. Iske Liye YouTube Channel Ke Monetization Enable Karna Hota Hai. Ese Enable Karte Hi User Ka YouTube Se Ak Agreement Hota Hai Jisme Kuchh Term And Condition Hoti Hai.

Is Term And Condition Ke Tahat YouTube Har Channel Jis Par Monetization Enable Hai Us Channel Ki Monthly Income Ka 45% Kat Kar Channel Ki Total Income Ko Google Adsense Ko Bhejta Hai Jise User Apne Account Me Transfer Bhi Kar Sakta Hai. Lekin YouTube Par Monetization Enable Karne Ki Kuchh Criteria Hote Hai.

Kya Hai YouTube Monetization Ka Criteria
  • 1- Sabse Pahla Rule Yah Hai Ki Aapka Video Advertisement Hona Chahiye. Isme Kisi Bhi Tarah Ka Violent Scene (हिंसात्मक सीन) Na Ho Aur Nahi अश्लीलता.
  • 2- Video Me Dusre Ki Chijo Ko Bina Uski Permission Ke Use Nahi Kar Sakte. Example Ke Liye Aap Kisi Aur Ka Background Music Apne Video Me Use Nahi Kar Sakte. Agar Aisa Kiya To Aap Ka Channel 3 Se 6 Month Tak Ke Liye Block Ho Sakta Hai.
  • 3- Aap Kisi Aur Ka Video Use Nahi Kar Sakte. Aisa Karne Par Aapka YouTube Channel Block Ho Sakta Hai.
YouTuber Monetization New Policy Update 2018, YouTube Monetization Policy Me Badlaav, Ab 1 Lacs Follower Par Hi Milega Ads, YouTube New Policy Update 2018- Ab Chennal Se Paisa Kamana Huya Mushkil
Read More

2019 Ki Income Tax Bachane Ki Best 5 Tips

April 27, 2019 2
Tax Pay Karna Har Citizen Ka फर्ज Hota Hai. Phir Bhi Har Saal Hamara Bada Amount To Tax Pay Karne Me Hi Chala Jata Hai. Lekin Shayad Aapko Pata Na Ho To Bata Du Ki Ham Kai Tariko Se Is Tax Ko Bacha Sakte Hai. Aaj Ke Article Me Hamne Is Baat Ko Cover Kiya Ki 2019 Me Ham Kitne Tariko Se Income Tax Ko Bacha Sakte Hai, Yani Ki 2019 Ke Liye Aise Best 10 Option Ke Baare Me Batane Ja Rahe Hai. Jinke Jariye Aap Aasani Se Tax Ko Bacha Sakte Hai.

Income Tax Kaise Bachaye, Income Tax Saving Ke Best 10 Options:

income tax saving options

Ways To Save Income Tax:
  • Life insurance
  • Medical insurance
  • Pension Plans
  • Saving schemes
  • Education loan
1. Life insurance
Income Tax Bachane Ka First Best Option Ki Baat Kare To Vo Hai Life Insurance. Life Insurance Policy Sirf Aapka Feature Hi Secure Nahi Karti Balki Aapka Tax Bhi Bachati Hai. Insurance Regulatory and Development Authority of India (IRDAI) Se Approved Kisi Bhi Insurer Se Aap Insurance Policy Le Sakte Hai. Section 80C Ke Tahat Tax Benefit Isme Aapko Milta Hai. Aap Maximum 1.5 Lakhs Rupye Tak Ke Amount Ke Liye Claim Kar Sakte Hai.

2. Medical insurance
2019 Ke Liye Income Tax Bachane Wala Second Best Option Medical Insurance Hai. Income Tax Act Ke Section 80D Ke Tahat Bhi Aap Tax Bacha Sakte Hai. 25000 Rupye Tak Ke Deduction Amount Ko Aap Claim Kar Sakte Hai. Senior Citizen Ke Liye 30,000 Rupye Tak Ka Provision Hai. Yadi Aap Apne Parents Ke liye Medical Insurance Premium Bhar Rahe Hai To Iske Tahat Bhi Claim Kar Sakte Hai. But Total Amount 30,000 Rupye Se Jyada Ka Nahi Hona Chahiye.

3. Pension Plans
Pension Plans Lene Par Bhi Aap Tax Dedication Ke Kuchh Amount Ko Bacha Sakte Hai. Insurance Regulatory and Development Authority of India (IRDAI) Se Approved Kai Insurer Pension Plans Offer Kar Rahe Hai. IT Act Ke Sub-Section 80CCC Ke Tahat Aap 1.5 Lakh Rupye Tak Ka Deduction Claim Kar Sakte Hai.

4. Saving schemes
Government द्वारा Chalai Jaa Rahi Alag-Alag Income Tax Saving Schemes Jaise Ki Sukanya Samriddhi Yojana, National Pension Scheme etc., Se Bhi Aap Tax Bacha Sakte Hai. Sukanya Samriddhi Yojana Ko Year 2015 Me Prime Minister Modi Ne launch Kiya Tha. खासतौर Par Yah Scheme Girl Child Ko Save Karne Ke Lai Gayi Hai. Isme Minimum 1000 Per/Year Ki Investment Karna Hota Hai. Section 80C Ke Tahat Aap 1.5 Lakh Rupye Tak Claim Kar Sakte Hai.

5. Education Loan
Higher Education Ke Liye Adi Aapne Education Loan Liya Hai To Tab Bhi Aap Section 80E Ke Tahat Tax Bacha Sakte Hai. Yadi Aapke Khud, Wife Ya Dependent Child Ke Naam Par Loan Hai Tabhi Aap Tax Bacha Sakenge. Foreign Country Me Study Ke Liye Yadi Loan Liya Hai To Aapko Iska Fayda Nahi Milega. Loan Lene Wala Vykti Yadi Indian Government Ka Gazetted Officer Hai, Tab Bhi Iska Fayda Nahi Mil Sakega.

Mutual Funds Ki Tax Savings Top 5 Schemes {34% Return}

income tax saving schemes

Income Tax Bachane ke Bahut Sare Option Hai. Inme Se Ak Hai Income Tax Bachane Wale Mutual Funds. Yaha Par Investment Karne Walo Ko One Year Me 34% Tak Ka Return Mila Hai. In Fund Me Investment Karke Income Tax Bachane Ka Ak Aur Fayda Yeh Hai Ki Yaha Par Lock-in Period Three Years Ka Hi Hota Hai. Expert Ki Raay Hai Ki Yah Tax Saving Ke Sabse Best Option Hai, Jisme Aage Bhi Best Return Mil Sakta Hai.

Three Years of Lock-in Period
Income Tax Bachane Wale Mutual Fund Equity Link Mutual Fund (ELSS) Kahalate Hai. Inme Investment Three Year Ke Lock-in Rahta Hai. Yah Income Tax Bachane Wale Kisi Bhi Option Me Sabse Cum Hai. Yahi Vajah Hai Ki Yah Logo Ki Teji Se Pasand Bante Jaa Rahe Hai.

Investment Karte Time Milte Hai 2 Option.
In Fund Me Investment Karte Vakht Investor Ko 2 Option Milte Hai. Pahla Hota Hai Growth Aur Dusra Dividend Pay Out. Growth Option Me Investment Karne Ke Baad Log Three Year Ke Baad Ise Nikal Sakte Hai. Aur Dividend Pay Out Option Me Paisa To Investor 3 Year Ke Baad Hi Nikal Sakte Hai, Lekin Agar Scheme Dividend Declare Karti Hai To Vo Investor Ko Milta Hai. Yah 3 Year Ke Andar Kai Baar Bhi Mil Sakta Hai.

Kaise Milta Hai Jyada Return.
अंश Financial And Investment Ke Director Dilip Kumar Gupta Ka Kahna Hai Ki ELSS Me Aaye Paiso Ka Investment Stock Market Me Kiya Jaata Hai. Is Market Ka Rule Hai Ki Jitna Jyada Deeno Tak Invested Raha Jayega Fayda Utana Hi Jyada Hoga. Yahi Vajah Hai Ki In Fund Me Investment Karne Walo Ko Accha Return Milta Hai.

Long Time Ki Kar Sakte Hai Tax Planning.
Choice Broking Ke President Ajay Kejriwal Ka Manna Hai Ki In Fund Ke माध्‍यम Se Lambe Samay Ki Tax Planning Ki Jaa Sakti Hai. Saal Me Jitni Jarurat Ho Usko Mahine Ke Hisab Se बांट Kar Har Maah Investment Kiya Jaa Sakta Hai. Har Maah Investment Ke Option Ko Systematic Investment Plan (Sip) Kaha Jaata Hai. Yah Investment Jitne Jyada Deeno Tak Rahega Investor Ka Return Utna Hi Jyada Ho Sakta Hai.

Income Tax Savings Top 5 Mutual Funds.
  • ELSS Mutual Funds: ➱ Motilal MOSt Long Term Fund -DP (G)
  • One-Year Return: ➱ 34.3 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ Mirae Asset Tax Saver Fund -DP (G)
  • One-Year Return: ➱ 29.0 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ IDFC Tax Adv. (ELSS) -Direct (G)
  • One-Year Return: ➱ 25.7 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ L&T Tax Advantage -Direct (G)
  • One-Year Return: ➱ 24.8 %
  • ELSS Mutual Funds: ➱ BOI AXA Tax Advantage -Direct (G)
  • One-Year Return: ➱ 24.0 %
  • Data:- September 8, 2017
फ्रेंड्स इस आर्टिकल के जरिये हमने जाना की इनकम टैक्स कैसे बचाये जाते है. Ways to Save Income Tax, How to Save Income Tax, Income Tax Saving Tips, Income Tax Saving Plan, How To Save Tax, Tax Saving Schemes, ऐसे ही अपडेट पाना चाहते हो तो हमें Subscribe करे और आर्टिकल पसंद आया हो या कुछ हेल्प मिली हो तो सोशल मीडिया पर शेयर जरूर करे, थैंक्स एंड कीप विजिटिंग।।

➧ YOU MAY ALSO LIKE 
Read More

2019 Me Best Income Ke 5 Best Option {Better Option For Investment}

April 27, 2019 15

Safe Invest Aur Best Return Ke Liye Paise Ka, Kaha Kare Investment:

Safe Invest And Best Return For Investment

Naye Saal Par Har Vyakti Nayi Planning Karta Hai. Isme Investment Ki Planning Bhi Shamil Hai, Jo Secure Future Ke Liye Bahut Jaruri Hai. Bahut Se Logo Ke Paas Paise To Hote Hai, But Uska Investment Karne Ke Option Ka Pata Nahi Hota Hai. Aise Me Ho Sakta Hai Ki Vo Jyada Income Ki Chaah Me Apne Paise Aisi Jagah Invest Kar Dete Hai Jaha Risk Jyada Hota Hai. Aise Me Aapke Liye Yah Jaruri Hai Ki Apni Mahenat Ki Kamai Aisi Jagah Invest Kare, Jaha Dusre Option Ki Tulna Me Aapko Jyada Income Ho Aur Aapke Paise Bhi Safe Rahe. Sath Hi Investment Ka Koi Bhi Option Pasand Karne Se Pahle Us Par Lagne Wale Tax Ka Bhi Dhyan Rakhna Itna Hi Jaruri Hai. 

Investment Ki Planning Kaise Kare.

Aaj Ke Article Me Ham Aapko 2019 Ke Liye 5 Best Option Batayege, Jaha Aapke Paise Dusri Kuchh Scheme Se Safe To Rahege Hi Sath Hi Us Par Better Return Bhi Mile. Sath Hi Aapke Invest Me Risk Bhi Na Ho. Ab Baat Karte Hai Saal 2018 Me Paise Lagane Ke Aise Option Jaha Aapko Safety Ke Sath-Sath Best Return Bhi Mil Sakta Hai. 

Kis 5 Jagaho Par Lagaye Paise.
  • 1-Liquid Fund
  • 2-Sukanya Samriddhi Yojana
  • 3-PPF
  • 4-Post Office
  • 5-सरकारी बॉन्ड्स
➧1 Liquid Fund
2018 Me Investment Ka Best Option Ho To Vo Hai Liquid Fund. Ye Fund Aapko Saving Account Par Milne Wali ब्याज दर (Rate of Interest) Ke Mukable Jyda Return Dete Hai. Sath Hi, Is Se Paisa Aasani Se Nikala Jaa Sakta Hai. Last 1 Years Se Jyadatar Liquid Fund Schemes Ne 9% Se Jyada Return Diya Hai, Jo FD Par Mil Rahe Mojuda Return Se Bhi Jyada Hai. 

Kya Hai Liquid Fund
Liquid Fund Ak Tarah Ke Mutual Fund Hai, Jinme Risk Bahut Cum Hota Hai. Liquid Fund Ka Dusra Naam Hai Cash Fund Aur Iska Maksad Hai Jyada Liquidity, Cum Risk Aur स्थिर Return.

Jab Chahe Tab Nikal Sakte Hai Paise.
Liquid Fund Me Koi Lock-in Period Nahi Hai. Yani Ki Aap Invest Karne Ke Dusre Deen Bhi Paisa Nikal Sakte Hai. Paise Aapko Usi Deen Mil Jaayega. Aap One Week Ke Liye Bhi Apne Paise Ka Invest Yaha Kar Sakte Hai. Aur Jab Chahe Tab Apne Paise Ka Investment Yaha Par Kar Sakte Ho. Jab Chahe Extra Paise Jaama Kara Sakte Ho Aur Nikal Bhi Sakte Ho. Yah Scheme Bank Ya Post Office Ki RD (Recurring Deposit) Ki Tarah Kaam Karegi. Rate 

Mutual Fund Me Kaise Kare Investment
Agar Aap Mutual Fund Me Pahli Baar Invest Kar Rahe Hai To Fund Manager Aapka KYC Taiyar Karega. Iske Baad Pahle Mahine Ki Installment Ke Liye Ak Cheque, ECS Ke Liye Auto Debit Form Aur Ak Common Form Bharvaya Jayega. Iske Sath Hi Aapki Liquid Fund Me SIP Start Ho Jayegi.

2 Sukanya Samriddhi Yojana
Income Tax Se छूट.
Sukanya Samriddhi Yojana Central Government Ki Scheme Hai. Is Vajah Se Isme Investment Karne Walo Ke Paise Safe Hai. Yojana Ke Tahat Apni 10 Year Se Cum उम्र Ki बेटी Ke Naam Par Bank Ya Post Office Me Account Khulvaya Jaa Sakta Hai. Is Yojana Me 14 Saal Tak Invest Karna Hota Hai. Aur Jab बेटी 21 Saal Ki Hone Par Account Mature Ho Jaata Hai. Account Me Invest Kiye Gaye Paiso Par Income Tax Ke Section 80C Ke Tahat छूट Bhi Lee Jaa Sakti Hai.

8.1% Interest in Sukanya Samriddhi Yojana
Sukanya Samriddhi Yojana Me 8.1% Interest Mil Raha Hai. Is Yojana Me ब्‍याज Ki गणना Half Yearly Compounding Aadhaar Par Ki Jaati Hai. Jis Se Real Return Thoda Jyada Ho Jaata Hai. Is Yojana Me Har Saal Minimum 1000 Rupye Aur Maximum 1.5 Lakh Rupye Invest Kiye Jaa Sakte Hai. 

3 Public Provident Fund {PPF}
Return:- 7.6%
Saal 2018 Me Bank Saving Account Ki Tulna Me PPF Account Me Paise Dalna Best Option Hai. Haal Ke Samay Me PPF Par Yearly 7.6% Return Mil Raha Hai. Government Every Three Months Par PPF Par ब्‍याज दर Ki Analysis Karti Hai.

Ak Vykti Ak Hi PPF Account
Ak Vykti Ke Naam Par Sirf Ak Hi PPF Account Khul Sakta Hai. Account Ko Banaye Rakhne Ke Liye Aapko Minimum 500 Rupaye Yearly Aur Maximum 1,50,000 Rupaye Yearly Deposit Kara Sakte Hai. 

Total Tax Free.
PPF Ka Sabse Bada Fayda Yah Hai Ki Isme Jama Ki Gayi Rakam Par Milane Wala ब्याज Tax Free Hota Hai. Itana Hi Nahi Us Par Milane Wala Interest Aur Maturity Par Milne Wali Rakam Teeno Hi Tax Free Hoti Hai.

4 Post Office
Interest:- 7.9%
Bank तो Deposit Rate Ghatane Me Lagi Hui Hai, Lekin Feel-Haal Post Office Ki Savings Schemes Ki ब्याज दरों Me Kami Nahi Ki Gayi Hai. Investors Ko Bank Deposit Par Abhi Maximum 6 Se 7% Ke Bich Interest Mil Raha Hai. Jab Ki Post Office Ki Savings Schemes Par 7.9% Interest Mil Raha Hai. Is Lihaj Se Aapki Rakam Is Scheme Me 9 Saal Me Double Ho Jayegi.

➧5 Government Bonds (सरकारी बॉन्ड्स)
Government Bonds Me Paise Lagana Aapke Liye Bank Se Better Option Ho Sakta Hai. Jaha Banks Me Maximum 7% Tak ब्याज Mil Raha Hai, Vahi, सरकारी बॉन्ड्स Par Abhi 7.8% Interest Rate Hai. Is Lihaaj Se Aapki Rakam Bhi Bank Ki Tulna Me Jaldi Double Ho Jayegi.

➧ YOU MAY ALSO LIKE 
Read More

Top 5 Expert Tips Jo Karege Aapki Life Ke Sapne Sakar

April 27, 2019 1
Aksar Har Koi Apni Life Me Sapne Dekhte Hai, But Unhe Sakar Karna (Make Your Dreams Come True) Har Kisi Ke Nasib Nahi Hota. Me Aise Sapno Ke Baare Me Baat Karne Jaa Raha Hu Jo Log Cum Income Hone Par Car, Bangle Ke Baare Me Sochte Hai, Sochna Galat Nahi, But Unke Liye Planing Karna Jaruri Ho Jaata Hai Jab Kam Salary Se Hame LIfe Ke Sapne Pure Karne Hote Hai. Apne Sapne Ko Sakar (Make Dreams Come True) Karne Ke Liye Hamne Kus Expert Tips Aapke Liye Bataye Hai. Ise Last Tak Read Jarur Kare.

Aapki Cum Income Ya Low Salary Bhi Aapko Wo Sab Dila Sakti Hai Jiski Aap Wish(तमन्‍ना) Rakhte Hai. Bas Iske Liye Aapko Thoda Samajdari Aur धैर्य Ke Sath Planning Karni Hogi. Koi Bhi Vykti Raato Raat Crorepati Nahi Ban Jaata Ya Koi Badi Rakam Nahi Bana Sakta Hai. Khaskar Vo Log Jo Noukari Karte Hai Ya Jinke Paas Kisi Bhi Source Se Ak Fix income Aati Ho. Khali Sapne Dekhne Ya मन मसोस Ne Se Kaam Nahi Chalega, Baithe Aur Calculation Kare. Aisa Nahi Ki Bahut Cum Income Me Mahal Khada Kar Lenge. But Itana Jarur Hai Ki Aap Jarurat Ki Har Chij Juta Sakte Hai. BankBazaar.com Ke CEO Adhil Shetty Ke Anusar 5 Tips Ke Jariye Aap Apne Sapno Ko Sakar Kar Sakte Ho. (How to make your dreams come true - Kamyabi Tip In Hindi.)

Apne Sapne Ko Sakar Kaise Kare, Awesome 5 Tarike

making our dreams come true- 5 expert tips in hindi
👉Jokhim Lene Ke Liye Taiyar Rahna Hoga.
  • 1. Paise Se Paisa Kaise Banaye - Tips In Hindi.
World Ke Sabse Amir Logo Ki संपती Unki Equity Me हिस्‍सेदारी (Shareholding) Se Aati Hai. Paise Banane Ke Liye Aapko Risk Lene Ke Liye Taiyar Rahna Hoga. Aur Aapko Shares, Equity Mutual Funds, ELSS Funds etc Me Investment Karna Chahiye. In Instrument Me Investment Karne Se Sambhav Hai Ki Aapka Paisa Kam Samay Me Kai Guna Badh Jaaye. Equity Me Investment Karne Me Jokhim Hota Hai. Aise Me Aapko Bajar Ke झटकों Ko बर्दाश्‍त Karne Ke Liye Taiyar Rahna Chahiye.

  • 2. Aapko Achha Loan Lena Chahiye.
Aapko Ak Achhi Loan Leni Chahiye. iska Matlab Hai Ki Aap Asset Banane Ke Liye Loan Le Jiski Kimat Samay Ke Sath Badhegi. Example Ke Liye Home Loan Aapki Property Kharidne Me Help Kar Sakta Hai Ki Jiski Kimat Samay Ke Sath Badhegi. Iske Alava Aap Ise Rent Par Dekar Income Bhi Hasil Kar Sakte Ho. Lekin Agar TV Kharidne Ke liye Credit Card Loan Lete Hai To Yah Aapki Financial health Ke Liye Kharab Hai. Kyu Ki Aap Aisi Chij Ke Liye High Interest Chuka Rahe Ho Jiski Kimat Samay Ke Sath Kam Hogi. 👉Loan Ki Musibat Se Bachne Ke 8 Asan Tarike

👉Cover Nahi Liya Hai To Aapko Ho Sakti Hai Dikkat:
  • 3. Buy Life and Health Insurance 
Aap Paiso Ke Lihaj Se Bhale Hi Bahetar स्थिति Me Ho Lekin Agar Aapne Life Insurance Aur Health Insurance Cover Nahi Liya Hai To Aapko Trouble Ho Sakti Hai. Aisa Kisi Bimari Ya Family Ke Liye Kamane Wale Vykti Ki Untimely Death Hone Ki Vajah Se Ho Sakta Hai. Aise Me Life Insurance Aur Health Insurance Cover Bahut Jaruri Ho Jaata Hai. Isme Invest Kiya Gaya Paisa Bhale Hi Aapko Koi Return Nahi Dega Lekin Is Se Kisi अनिश्चितता Ki Sthiti Me Aapko Aur Aapki Family Ko Financially Musibat Ka Samna Nahi Karna Padega.

👉Musibat Ke Liye Hamesha Taiyar Rahe:
  • 4. Banaye Emergency Fund
Confucius Ka Kahna Hai Ki Safalta Aapki Pahle Ki तैयरियो Par Dependent Hai. Aur Aisi Taiyari Ke Bina Asafalta निश्चित Hai. Paiso Ke Mamle Me Bhi Yah Kafi Had Tak Sahi Hai. Aise Me Musibat Ke Liye Pahle Se Taiyari Kare. Kyu Ki Musibat Bina Bataye Achanak Aati Hai. Life Insurance Aur Health Insurance Se Aap आर्थिक दिक्कतो Ka Mukabla Kar Sakte Hai. Aisi स्थितियो Me Jab Insurance Aapki Help Nahi Kar Sakta Jaise Naukari Chali Jaane Par. Iske Liye Aapko Emergency Fund Banana Chahiye. Emergency Fund Hone Par Aap Aisi स्थिति Me Apni Saving Ko Bachaye Rakh Sakte Hai. Jis Se Aapki Financial Planning West Nahi Hogi. Aapko 6 Month Se 12 Month Ke Monthly Kharch Ko Pura Karne Ke Layak Emergency Fund Banana Chahiye.

👉Mojuda Loan Ko Chukane Ke Liye Aur Loan Lene Se Bache:
  • 5. Time Par Chukaye Apna Loan
Agar Aapne Loan Liya Hai To Yah Aapki Samay Par Loan Chukane Ki, Aapki Financial, Ethical and Legal Responsibility Hai. Isme Aapke Credit Card Ka Bill Bhi Shamil Hai. Loan Ka Samay Par Payment Karke Na Sirf Aap Penalty Se Bachte Hai Balki Aapka Credit Card Score Bhi सुधरता Hai. Is Se Future Me Aapke Liye Loan Lena Aasan Hota Hai. Isliye Mojuda Loan Ko Chukane Ke Liye Aur Loan Lene Se Bachna Chahiye.

CONCLUSION:

  • Financial Dikkto Ka Samna Karne Ke Liye Jaruri 5 Baate...
  • Financial Position Strong Karne Ke 5 Tips..
  • Apne Sapno Ko Sach Me Badalne Ke Liye 5 Tarike....
  • Make Your Dreams Come True 5 Kamyabi Tips In Hindi....
  • Jokhim Lene Ke Liye Taiyar Rahna Hoga:
  • Cover Nahi Liya Hai To Aapko Ho Sakti Hai Dikkat:
  • Musibat Ke Liye Hamesha Taiyar Rahe:
  • Mojuda Loan Ko Chukane Ke Liye Aur Loan Lene Se Bache:
  • 1. Paise Se Paisa Kaise Banaye.
  • 2. Aapko Achha Loan Lena Chahiye.
  • 3. Buy Life and Health Insurance.
  • 4. Banaye Emergency Fund.
  • 5. Time Par Chukaye Apna Loan.
Hello Reader, Kya Aapko Is Article Se Koi Help Mili? Ya Pasand Aaya Ho To Hame Comment Me Bataiye Taki Ham Agle Post Me Bhi Aapke पसंददिदा Topic Ko Add Kare. Umid Karta Hu Ki Aapko Is Topic Se Kus Help Mili Ho Aur Kafi Useful Bhi Huya Hoga. Feer Bhi Hamse Koi Question Ho To Hame Bata Sakte Ho. Thanks And Keep Visiting ....
Read More

India Post Office Franchise Opportunities (Post Office Se Kamai Kaise Kare)

April 27, 2019 2
Hamari Country Me 1 Lakh 55 Hajar Post Office Hai, Feer Bhi Post Office Ki Demand Bani Hui Hai, Kyu Ki Post Office Se Logo Ko Bahut Sare Kaam Hote Hai. Agar Aap Chahe To Post Office Ke Sath Judkar Best Income Kar Sakte Ho. India Post Ye Opportunities De Rahi Hai, Jisme Aap India Post Ki Franchise Lekar Apna Business Sharu Kar Sakte Ho. Aaiye Baat Karte Hai Kya Hai India Post Office Franchise Opportunities Aur Aap Kaise Inse Best Income Kar Sakte Hai.

Kya Hai India Post Ka Franchise Model:

India Post Ne Kuchh Time Pahle Franchise Model Taiyar Kiya Hai, Jiske Jariye Common Man Ko Franchisee Outlet Kholane Ke Liye Invite Kiya Jaata Hai. Isme individual Se Lekar Institution, Organization etc Ye Franchise Le Sakte Hai. Agar Aap Pahle Se Koi Business Kar Rahe Hai To Bhi Aap India Post Ka Outlet Khol Sakte Hai.
india post franchise scheme in hindi

India Post Outlet Me Kya Bech Sakte Hai Aap:

Agar Aapko India Posr Ke Outlet Ki Franchise Mil Jaati Hai To Aap Niche Diye Gaye Products Bech Sakte Ho.
  • 👉Stamp and Stationery Ki Sale,
  • 👉Registered Articles,
  • 👉Speed Post Articles,
  • 👉Postal Life Insurance Ke Agent Ban Sakte Hai.
  • 👉Money Order Ki Booking Kar Sakte Hai.
  • 👉After Sale Services Jaise Premium etc इकट्ठा Kar Sakte Hai.
  • 👉E-Governance and Citizen Centric Services Bhi De Sakte Hai.
  • 👉Department Ki Retail Service Jaise Bill, Tax, File Collection, Payment Services Bhi Provide Kara Sakte Hai.
  • 👉iske Alava Department Dvara  Feature Me Di Jaane Wale Services Bhi Aap Provide Kar Sakege.

India Post Franchise Ki, Kya Hogi Income:

India Post Ne Franchise Ke Liye Commission Ki Rates Fix Ki Hai, Jaane Kya Hai Commission.
  • ServicesRegistered Article
  • Commission: 3 Rupye
  • ServicesSpeed Post Articles Ki Booking
  • Commission: 5 Rupees
  • ServicesBooking of Money Order
  • Commission: 100 Se 200 Rupye Tak - 3.50 Rupye
  • 200 Rupye Se Adhik - 5 Rupye
  • Services1000 Articles Se Adhik Registry Karne Par
  • Commission: 20 Percent Additional Commission 
  • ServicesPostage Stamp and Postal Stationery
  • Commission: Total Sale Ka 50%
  • Services:Retail Services Jaise Revenue  Stamps, Central Recruitment Fees
  • Commission: 40% Commission

India Post Ki Franchise Ke Liye Kaise Kare Apply:

Agar Aap India Post Ki Franchise Lena Chahte Hai To Aap City Ke Main Post Office Se Iski Jankari Le Sakte Hai. Yaha Par Aapko Ak Form Bharkar Aap Franchise Ke Liye Apply Kar Sakte Hai. Iske Baad Aap Apna Account Online Operate Kar Sakte Hai. Iske Liye Aapko India Post Ka Home Page Me Register Par Click Karna Hoga. Jiske Baad Alag Option Aayega. Aap Usme Franchise Option Select Kar Apne Se Related Account Ko Maintain Kar Sakte Hai.

India Post Franchise Ke Liye Kitana Dena Hoga Charge:

Vaise To Iske Liye 5000 Rupye Ka Security Ke Taur Par Deposit Karne Hoge. Iske Alava Aapko 1 Se 2 Lakh Rupye Ka Investment Karna Hoga. Jisme India Post Ke Products Ka Purchase Bhi Shamil Hai. India Post Ki Shart Hai Ki Aapko Lagbhag 50,000 Rupye Ki Sales Har Mahine Karni Hogi.

YOU MAY ALSO LIKE:
Read More

March 28, 2019

Sarkari Naukri Kyo Nahi Mil Pati Hai, 3 Galatiya Ko Kare Avoid

March 28, 2019 0

Sarkari Naukri Nahi Mil Pane Ki 3 Vajah

sarkari naukari

Jankari Ka Source Ho विश्‍वसनीय
Sarkari Naukari Ke Liye Koi Vacancy Nikali Hai, To Hamesha ye Koshish Kare Ki Uski Jankari विश्‍वसनीय Source Se Li Gayi Ho. Hamesha Vacancy Se Related Sabhi Jankari Official Government Agency, Official Notification Ya Official Website Se Hi Le. Jis Sarkari Agency Ya Department Ke Post Ke Liye Nikali Vacancy Par Apply Kar Rahe Hai Usko Official Website par jakar Related Sabhi Jankari jarur Check kar Le. Sath Hi Regular Update Check karte Rahe. Sirf Job Portal Par Vacancy Dekh kar Hi Apply Nahi Karna Chahiye.

Jald Se Jald Kar De Apply:
Candidates Kai Baar Last Time Pe Apply Karte Hai. Is Time जल्‍दबाजी Ke Chalte kai Baar Chhoti-Badi Galatiya ho Jaati Hai, Jiske Chalte Application Reject Ho Jaata Hai. Isliye Kisi Bhi Post Ke Liye Apply Karne Ke Liye Last Date Ka Wait Na Kare. Online Application Ya Offline Application Ki Process Open Hote Hi Apply Kar Dena Chahiye. Aksar Yeh Dekha Jaata Hai Ki Online Application Me Last Moments Me Heavy Traffic Ki Vajah Se Website Down Ho Jaati Hai.
Samay rahte yah sahi nahi hoti hai jis se aap apply karne se chuk jaate hai.

बहकावे Me Na Aaye:
Sarkari Naukari Ko Lekar Kai Aise Log Hote Hai Jo Aapko Naukari Dilane Ka Dava Karte Hai. Yadi Aap Vastav Me Apni Mahenat Ke Bal Par Naukari Pana Chahte Hai To Kabhi Bhi Aise Logo Ke Bahakave Me Na Aaye, Sarkari Naukari Ki Sabhi Process tay our निश्चित hoti hai. Use Deadline Ke Aadhar Par Pura Hi Karna Hota Hai. Isliye Kisi Ke Bhi Bahkave Me Na Aaye. Vacancy Se Related Koi Bhi Jankari Hamesha Official Website Ya Sarkar Ke Notification Se Hi Le.

Friends aapko ye post pasand aayi ho to apne facebook,whatsapp, google pluse ke friend ke sath jarur share kare, our koi problem ho to muje comment ke jariye bata sakte ho, internet happy world ki visit ke liye thanks.

YOU MAY ALSO LIKE:
Read More

Sikhna Chahte Hai Paise Kamane Ka Talent To Dekhe Ye 5 Best Movies

March 28, 2019 0
World Me Bahut Sari Films Release Hoti Hai. Aur Har Movie Ke Pise Kus Vajah Jarur Hoti Hai, Jaise Ki Koi Film Release Hoti Hai To Hame Kus Na Kus Massage Jarur De Jaati Hai. Aur Ham Massage Ko Apni Life Me Apnate Bhi Hai. Toilet: Ek Prem Katha Movie, India Me Toilet Ki Problem Ko Sabke Samne Lane Ki Koshish Ki Vaise Hi Aaj Ke Article Me Aapko Aise 5 Movies Ke Baare Me Batane Jaa Raha Hu. Jo Successful Businessman Banne Ke Talent Sikhati Hai. Sath Hi बुरे वक्‍त से नि‍पटने की तरिके भी सिखाती Hai Ye Films.

Business Sharu Karna Aur Us Se Bada Paise Banana Koi Aasan Kaam Nahi Hai. Iske Liye Aapko Alag Tarah Ki बुद्धि‍ Aur युक्‍ति Dono Ki Jarurat Hoti Hai. Hamare Aas-Paas Aise Kai Log Aapko Mil Jayege, Jinho Ne Few Rupees Ya Zero Se SharuAar Kar Billions Ka Umpires Khada Kar Diya. Ham Purane Jamane Ke Logo Ki Nahi But Us Generation Ki Baat Kar Hai Jo Aaj Bhi Hamare Samne Hai.

➧ Paise Kamane Ka Talent Sikhati Hai Ye 5 Best Movies.

paise kamane ke tips in hindi

Ham Aapko Aisi 5 Films Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai, Jinhe Dekh-kar Aapke Andar Ka Businessman Bahar Aa Jayega. Aapko Bure Vakht Se Nipatne Ki Tricks Milegi Aur Logo Ko शीशे Me Utarne Ka Hunnar Bhi Hasil Hoga.Yah Films Real Story Par Bani Hai Isliye Inki Kahani Par Aap Bharosa Bhi Kar Sakte Hai.
बुरे वक्‍त से नि‍पटने की ट्रि‍क्‍स सिखाती हैं ये 5 मूवीस
1. Startup.Com
Ye Story 2 Aise युवकों Ki Hai, Jinho Ne Apna .Com Sharu Karne Ki ठानी. Dono Harvard Me Sath Padhte Hai Aur Feer Kuchh Apna Kaam Karne Ka Man Bana Lete Hai. Dono युवा Aise Vakht Is Kaam Ko Sharu Karne Ka Plan Karte Hai, Jab Internet Ka Gubar सि‍र चढ़ने Ki SharuAat Kar Raha Tha. Dono Ne Kya-Kya झेला Aur Kis उतार-चढ़ाव Se Gujre Iski Kahani Is Documentary Me Aapko Mil Jayegi. Fail Hone Ki Takat Deti Hai Agali Documentary.

2. The Startup Kid
Is Film Me Kai Startup Ki Kahani Hai, Jo Aapko Promote Karne Ke Sath-Sath Failure Ke Liye Taiyar Bhi Karti Hai. Dropbox, FoodSpotig, Soundcloud and Keep Ko Sharu Karne Walo Ke Baare Me Bahut Kuchh Bataya Gaya Hai, Jiske Boote Ye Log Tamam Mushkilo Ko झेलते Huye Bhi Apne Kaam Ko Anjaam Tak Pahuch Paate Hai.

Idea Hai Magar Rupya Nahi.

3. Something Wrench
Kya Hoga Agar Aapke Paas Idea To जबरदस्‍त Hai Magar Yuse Istemal Karne Ke Liye Rupya Nahi Hai. Aise Me Aapko Investors Ki Jarurat Hogi, Lekin Tab Kya Hoga Jab Aap Unhe Ideas Bech Hi Nahi Paye,  Is Documentary Me Aapko Big Tech Companies Like Apple, Intel and Atari Ke Baare Me Bataya Gaya Hai. Ye Companies Aaj Jaha Khadi Hai Vaha Tak Vo Kaise Pahuchi Aur Agar In Companies Se Jude Log Investors Ka Bharosa Nahi Jeet Pate To Inka Kya Haal Hota. Aage Padhe Bure Samay Se Nikalne Ki Story. 

4. Steve Jobs - One Last Thing
Steve Jobs Ki Kahani Vaise To Kisi Se Nahi Chhupi Hai. Magar Yuse Screen Par Dekhne Ka Apna Hi Maja Hai. Kaise Ak युवक Apple Ka SEO Ban Gaya Aur Kaise Vo Salo Tak Leader Bana Raha. Aise Kai Mouke Aaye Jo Yuse Tod Sakte The. Magar Uske Bhitar Kya Tha Jisne Yuse Hamesha Khud Me बांधे Rakha Aur Vah Puri Majbuti Ke Sath Apne Kaam Me Laga Raha.

Apne Aap Ko Kaise Kare Motivate 

 5. Freakonomics
Agar Aapne Yus Factor Ko Pakad Liya Jo Logo Ko Kisi Bhi Kaam Ya Kisi Bhi Direction Me Laga Sakta Hai To Samaj Lijiye Ki Aap Unhe Is Had Tak Motivate Kar Sakte Hai Ki Vo Aapke Customer Ban Jaaye. Ye Film Dekhkar Aapko Is Baat Ka अहसास Ho Jayega. Yah Kahani Psychology and Market Strategy Ke Bich Ke Gahre Rishte Par Roshni Dalti Hai. Dosto ye Article Pasand Aaya Ho To Apne Friends Ke Sath Share Jarur Kare. Thanks And Keep Visiting....

Also Read:
Read More