Internet Happy World: Social Media Marketing

Hot

Showing posts with label Social Media Marketing. Show all posts
Showing posts with label Social Media Marketing. Show all posts

March 28, 2019

Social Media Marketing Se Kare Income, Government De Rahi Hai Training

March 28, 2019 6

Google, Twitter, Instagram, Jaise Social Media Se Permanent Income Aise Kare.

/google-twitter-instagram-social-media-marketing-income
Aap Me Se Lagbhag Sabhi Log Facebook Google Ka Use Jarur Karte Hoge. But Inka Use Sirf Aap Apane Baare Me Post Karke Ya Friends Ke Post Like, Comment Karke Ya Koi New Jankari Lene Ke Liye Ya Feer Apna Time-pass Karne Ke Liye Hi Karte Hoge. But Jab Aapko Pata Chale Ki Aap Is Platform Facebook, Google Se Bhi Income Kar Sakte Hai To Aapko Kaisa Lagega. Interesting Baat To Yeh Hai Ki Aap Facebook, Google, Twitter, Instagram, Jaise Social Media Se Part-time Hi Nahi Permanent Income Bhi Kar Sakte Ho. Balki Monthly Handsome Salary Bhi Le Sakte Ho. Bas Iske Liye Aapko 2 Days Ki Training Leni Hogi. Ye Training Koi Private Institute Nahi, But Ye Training Central Government De Rahi Hai. To Chale Baat Karte Hai Aap Ye Training Kaise Le Sakte Hai, Aur Aapko Is Training Se Kaise Income Hogi.
  
Kon De Raha Hai Training:

Central Government ka Estimation Hai Ki Next Year 2018 Me Is Sector Me 2 Lakh logo Ko Jobs Milegi. Yahi Vajah Hai Ki Government Apne Skills Development Program Ke Jariye युवाओं Ko Social Media Marketing Ki Training Par Fox Kar Rahi Hai. Training Ki Responsibility Central Government ki Trusted Organization NIESBUD (National Institute for Entrepreneurship and Small Business Development) Ke Pas Hai. Ministry of Skilled Development and Entrepreneurship Ke अधीन kaam kar rahe NIESBUD kai year's se युवाओं Ko Training De Raha Hai. NIESBUD Ne Entrepreneurship Development Program On Social Media Marketing Ka Organized 17th - 18th June Ko Kiya Hai.

Kaise Hogi Income:

Jaise Hi Aap Apne Facebook Ya Twitter Check karte hai to kai advertise aapko dekhno ko milti hai. Aise hi advertise aapko search engine Google. Yahoo, YouTube, par kuchh search karte hai to bhi aapko advertise dekhne ko milegi. Last kuchh years se Companies ab Newspaper, Radio, TV ki bajaye Social Media Par Advertise Dene Lagi Hai. Yahi Vajah Hai Ki Companies Ab Social Media Marketing Professionals Ki Demand Karne Lagi Hai. Our Aise Professionals Ki Demand Badhti Jaa Rahi Hai.

Kya Hoga Course Content
  • Is Program Ke Jariye Social Media Marketing Se Paise Kamana,
  • Social Media Ko Use Karke Apna Business Start Karna,
  • YouTube Channel Sharu Karna,
  • YouTube Ke Jariye $ (Dollars) kamana,
  • Google Adsense Ke Jariye Kamai Karna,
  • Facebook Se Earnings,
  • Blog-spot ke Jariye Earn Karna,
  • Whatsapp Marketing,
  • B2B LinkedIn Networking Tips and Trips,
  • Learn Viral Marketing,
  • e-commerce Ko Social Media Se Link Karna.
  • Google Adwords,
  • Instagram and Pinterest, Wikipedia, Dailymotion,
  • Sound Cloud Introduction and Work for Home,
  • Online Cloud Funding ke baare me bataya jayega.
Kon Le Sakta Hai Training:

  • Is Training Program Se Students,
  • Businessman,
  • Entrepreneurs,
  • Startups,
  • Corporate,
  • Working Professionals,
  • Media Professionals,
  • House Wives,
Retired Members of the NGO Iska Fayda Le Sakta Hai. NIESBUD Ne Is Program Ki Fees 7000 Rupaye Rakhi Hai. Jisme Training Ke Alava Study Material Bhi Diya Jayega. Aap Yah Training Lena Chahte Hai To Puri Jankari Ke Liye Yaha Click Kare. -https://www.niesbud.nic.in/docs/edp-on-social-media-marketing-17-june-2017.pdf

ALSO READ:
Read More

India Me WhatsApp Ne Nikali Vacancy Jaane Kon Kar Sakte Hai Apply

March 28, 2019 0

Whatsapp Me Kitni Post Par Nikali Hai Vacancy Aur Apply Kaise Kare.

Popular Massaging Company Whatsapp Me Vacancy Hai. Facebook Ke Ownership Wali Is Company Me Recruitment Karne Ke Liye Facebook Ne Apne Career Page Par Full Time Job Roll Post Kiya Hai. Yadi Aap Bhi Eligibility Puri Kar Rahe Hai To Iske Liye Apply Kar Sakte Hai. Ham Bata Rahe Hai Aapko Kis Post Ke Liye Vacancy Hai Aur Kya Roll Hoga.

vacancy in whatsapp india

Kon Si Hai Post :
Company Ne India Me Country Head Ke Liye Vacancy Nikali Hai. Yah Post Kafi Deeno Se Khali Padi Hai. Isme Select Hone Wale Candidate Ko India Me Whatsapp Business Ko Lead Karna Hoga. Khas-Taur Par P2P Payment Service Ko, Jo Haal Hi Me Sharu Hui Hai Aur Testing Phase Me Hai.

India Kyo Jaruri :
Whatsapp Ke India Me 200 Million Monthly Active Users Hai. Company Users Ki संख्या Badhana Chahti Hai. Payment Service Me Bhi Whatsapp Utar Chuka Hai. In Deeno Facebook Pareshani Me Hai, Aise Me Whatsapp Ko India Me Leader Ki Jarurat Hai. Whatsapp Ne February Me Hi Payment Service Ko India Me Introduce Kiya Hai.

Kon Kar Sakta Hai Apply :
Product Driven Company Me 15 Years Ka Experience Hona Chahiye. Payment Technology Me Cum Se Cum 5 Year Ka Experience Hona Jaruri Hai. Minimum Academic Qualification Me Bachelor of Science Aur Master of Science Ki Degree Honi Chahiye.

Mumbai Office Ke Liye :
Yah Position Facebook Ke Mumbai Office Ke Liye Hai. Esi Office Se Whatsapp Ke Operations Bhi Sanchalit Hote Hai. Country Head Ko Direct Whatsapp Ke Chief Operating Officer Ko Report Karna Hoga. Country Head Ko Key-Partner Ke Sath Acche Relations Build Karna Hoga. WhatsApp Ko Logo Ki Jarurat Banane Ke Liye Planning Karna Hoga. Whatsapp Ke Product Strategy Ko Lagu karna Hoga. Is Ke Sath Hi Aur Bhi Kai Jimmedariya Hogi.

Read More

Social Media Ka Kare Positive Use, Hogi Lakho Me Side Income

March 28, 2019 1

Top 5 Highest Paying Social Media Marketing Careers


Generally, Jyadatar Log Social Media Ka Use Time-Pass Ke Liye Ya Feer News Updated Ke Liye, Ya To Friends Se Baat Karne, Chatting Karne, Ke Liye Karte Hai, Aur Social Media Ko अफवाहें फैलाना के रूप में भी Dekha Jaata Hai. Lekin Dusri Taraf Aise Bhi Kai Log Hai Jinhone Social Media Ko Apni Kamai Ka Sabse Bada Jariya Bana Diya Hai. India Me Bhi Bahut Sare Logo Ne Social Media Marketing Ko Ak Career Ke Option Ke Roop Me Apana Liya Hai. Aaj Ham Aapko Social Media Day 2018 Par Gujarat Ke Ahmedabad Ke Top Social Media Influencers Aur Unki Marketing Strategies Ke Baare Me, Sath-Sath Ye Bhi Batayege Ki Is Field Me Career Banake Aage Kaise Badhe. And Social Media Ke Jariye Kise Kare Mahine Me Lakho Me Side Income, Aur Ye Bhi Ghar Baithe, Social Media Ka Sahi Istemaal Karke Kise Kar Sakte Hai Lakho Ki Kamai.


Gujarat Ke Top Social Media Influencers Aur Unki Marketing Strategies
Top Social Media Influencers Aur Unki Marketing Strategies

Amit Panchal, Digital Marketing Consultant (Twitter Se Monthly 60,000 Ki Income)
SEO Consultant, SMO Expert, Internet Marketing Consultant
Gujarat Ke Ahmedabad District Se Amit Panchal, Digital Marketing Consultant Se Baat Karte Hai, Uska Kehna Hai Ki Vo 2008 Se Social Media Pe Active Hai. 2 Saal Ke Baad Usko Is Platform Pe Career Opportunity Dikhai. Aur Ve Regular Social Media Pe Active Rahte Gaye Aur Followers Badhtae Gaye. Jab Twitter Pe 2500-3000 Followers The Tab Har Ak Post Ke 1500-2000 Charge Lete The. Jaise-Jaise Followers Ki संख्या Badhti Gai Vaise-Vaise Charge Bhi Badhate Gaye. Amit Ka Kahna Hai Ki Muje Ak Tweet Karne Ke 5000 Rupye Se Lekar 35000 Rupye Tak Mile Hai. Aaj Ve Social Media Ke Jariye 50,000 Se 60,000 Rupaye Tak Ki Monthly Income Kar Lete Hai. Amit Ke Baare Me Aur Jyada Jankari Ke Liye.....

Aditi Raval, Social Media Expert (Monthly Income 1,00,000 Plus)
Social Media Infotainer cum Former RJ And Film.

Aditi Raval Ne Social Media Marketing Ke Liye RJ Ki Job Bhi Chhod Diya Tha. Orkut Ke Samay Se Hi Social Media Pe Active Hai Aditi. RJ Ki Job छोड़ने Ke Baad Social Media Pe 400% Followers Badhe. Aur Unke Fans Ki Demand Se Movie, Food Reviews Sharu Kiya. Aditi Ka Kahna Hai Ki Aaj Usko Social Media Ke Jariye 1 Lakh Se Bhi Jyada Kamai Karne Ki Offer Mil Rahi Hai. Aditi Raval Ke Baare Me Jyada Jankari Ke Liye.....

Blog Se  Monthly Income 40,000: Hetal Shah; Digital Marketer - Blogger

Hetal Shah Ne Digital Marketing Me 2.5 Years Tak Job Karne Ke Baad MyFashionVilla.com Name Ke Ak Blog Sharu Kiya. Uska Kahna Hai Ki Blog Start Karne Ke 1 Saal Baad Unki Income Start Ho Gayi Thi. Unke Blog Pe 40,000 Se Bhi Jyada Followers Hone Ki Vajah Se Aaj Vo 40,000 Rupye Monthly Income Kar Leti Hai. Ak Article Ke 3 Se 10,000 Tak Charge Lete Hai. Hetal Shah Ke Baare Me Jyada Jankari Ke Liye.....

Chintan Mehta, Social Media Influencer (25 FB Page Manage: 50,000 Earnings Per Month)
8 Year Pahle Facebook Pe Gujarati Jokes Name Se Ak Page Sharu Kiya Tha. Chintan Mehta Aaj Vo Ak Sath 25 FaceBook Page Chala Rahe Hai. Sabse Jyada Popular Page Ke 2.5 Lakhs Likes Mile Hai. Sabhi Page Pe Kul Milake 1 Crore (10M) Followers Hai. FB Pages Ko Manage Karne Ke Liye 4 Logo Ki Ak Team Banai Hai, Aur Vo Kahte Hai Ki Maine MBA Kiya Hai Lekin Career Me To Social Media Influencer Hi Rahuga.

वह सब जो आप जानना चाहते हैं? Question-Answer:

Kya Is Business Ke Liye Celebrity Hona Jaruri Hai?
Social Media Marketing Karne Ke Liye Aap Celebrity Ho Aisa बिल्कुल Jaruri Nahi. Condition Sirf Yahi Hai Ki Aapka Followers Jyada Hona Chahiye, Feer Chahe Aap Celebrity Ho Ya Na Ho, Ak Baar Aapke Followers Ki Sankhya Jyada Ho Jaane Ke Baad Aapko Social Media Celebrity Ke Influencer Ka Titles Apne Aap Mil Jayega.

Followers Gain Aap Kaise Karege.
Trading Topics Pe Sabse Jyada Interesting Ya Public Useful Post Karke Jyda Likes Aur Followers Aap Hasil Kar Sakte Hai. And Sabse Jaruri Baat Ki Ye Like Aur Followers Fake Na Hona Chahiye, Fake Yani Ki Ye Followers, Like Jyada Kar Dene Wali Company Se Kharida Na Hona Chahiye. Publicly Useful Post Me बरसात Ke मौसम Ke दौरान शहर के Kis Area Me Kaisa Traffic Hai Iski Jankari Ya Feer Kisi Blood Donation Ki अपील Jaisi Tweet Ho Sakti Hai.

Minimum Kitne Followers Hona Chahiye.
Jab Aapka Social Media Ke Kisi Bhi Platform Pe Minimum 10,000 Genuine Followers Hoge Tabhi Aapko Influencer Mana Jayega.

Followers Ho Jaane Ke Baad Kya?
Followers Ho Jaane Ke Baad Aapko Regular Trending Topics Pe Posts Karni Hogi, Yani Ki Aapko Continue Update Rahna Hoga. Aur Comment Ke Turant Reply Karna, Ye Sabhi Chije Aapke Followers Ke Sath Aapka Engagement Dikhati Hai. Ye Sabhi Jaankari Digital Marketing Ka Handling Karti Companies Observe Karti Hai.

Yadi Aap Ye Sabhi Criteria Me Fit Hai To Aapko Samne Se Approach Karte Hai.

Agar Followers Ho Jaane Ke Baad Bhi Koi Approach Na Kare To?
Aap Influencer Ke Liye Platform Pe Register Kara Sakte Ho. Aise Bahut Sare Platform Hai Jo Jyada Followers Wale Influencers Aur Digital Marketing Karna Chahti Company Se Contact Karati Hai.

Register Karane Se Kya Hoga?
Register Karane Se Sabse Bada Fayda Yeh Hoga Ki Aap Us Agency Ke Dhyan Me Aa Jayege Jis Agency Ko Aapke Baare Me Pata Na Ho. Aur Yadi Aapka Followers Genuine Hai, To Aapko Definitely Kaam Milna Sharu Ho Jayega.

Agency Kis Tarah Ki Offer Deti Hai?
Agency Offer Deti Hai Isme 3 Model Hai. (1 Barter) (2 Paid) (3 Barter With Paid)
  • Pahla Modal Barter- Jisme Post Ke Tweet Ke Badal Me Aapko Product Ko Use Karne Ko Milta Hai.
  • Dusra Modal Paid- Jisme Aapki Sirf Paise Hi Milte Hai.
  • Tisra Modal Barter With Paid- Jisme Aapko Product Aur Paise Dono Hi Milte Hai.

Kitni Like Ya Retweet Ke Kitne Paise Milte Hai?
Jyadatar Matters Me Post Ke Like, Share Ya Retweet Ki Uske Payment Ke Sath Koi Lena-Dena Nahi Hota. Aapko Sirf Diya Gaya Content Ko Share Karna Hoga, Ya To Product Ki प्रशंसा Karni Hogi.

Yadi Twitter Par 3,000 Se Jyada Followers Hai Aur Ak Achhi Company Hai To Har Ak Tweet Ka 1500 Se 2000 Rupaye Tak Ka Payment Milta Hai Aur Dusri Taraf Agar Bahut Cum Followers Hai Ya, Na Ke Barabar Follower Hai To Aisi Bhi Companies Hai Jo Har Ak Tweet Ka 20 Se 100 Rupye Ka Payment Deti Hai, हालांकि, आप अपनी लागत भी निर्धारित कर सकते हैं, जिसके द्वारा एजेंसियां ​​सौदा करती हैं।

1 Lakh Se Jyada Followers Hone Par Kitni Kamai Ho Sakti Hai.

YouTube:
Followers
Earnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh
12,500

5 lakh -1 million
25,000

1 million-3 million
25,000

3 million -7 million
More than 7 million
1,87,500
3,00,000


Instagram:
Followers
Earnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh
5,000

5 lakh -1 million
10,000

1 million-3 million
50,000

3 million -7 million
More than 7 million
75,000
1,50,000


Facebook:
Followers
Earnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh
6,250

5 lakh -1 million
12,500

1 million-3 million
62,500

3 million -7 million
More than 7 million
93,750
1,87,500

Twitter:FollowersEarnings (in dollars)

1 lakh -5 lakh2,000

5 lakh -1 million4,000

1 million-3 million20,000

3 million -7 million
More than 7 million
35,000
60,000

YOU MAY ALSO LIKE:
Read More

March 23, 2019

Ethical Hacking (Cyber Security Researcher) Ke Scope Kya Hai India Me.

March 23, 2019 0

Indian Cyber Security Expert (Ethical Hacker) Kanishk Sajnani interviews

Cyber Security Researcher and ethical hacker

India Ka Unique ID Bana Aadhaar, Ak Baar Feer Se Hacking Controversy Ki Vajah Se चर्चा Me Hai. Telecom Regulatory Organization TRAI Ke Chairman RS Sharma Ke Open Hacking Challenge Ke Baad Pure Worlds Ke Hackers Active Ho Gaye Hai. TRAI Chairman Se Judi Personal Details Leak Karne Ke Baad Ab Hackers Direct Government Ko Challenge De Rahe Hai. Ye Sare Cases Me Jin 2 Ethical Hackers Ke Name Bahar Aaye Hai Unme Se Ak Hai India Ke Kanishk Sajnani Aur Dusra Hai France Ke Elliot Alderson, Jiske Baare Hamne 2 Article Share Kiye Hai, Aap Yaha Se Padh Sakte Ho...

Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai Gujarat Ke Ahmadabad District Ke Rahne Wale Kanishk Sajnani Ki, Ye Vo Ethical Hacker Hai Jisne RS Sharma Ki Details Share Karke Sabko चौंका Diya Tha. After All, UIDAI Ko Bhi Kahna Pada Ki Log Apna Aadhaar Data Openly Ya Internet Pe Jahir Na Kare.

Kon Hai Kanishk Sajnani:
22 Years Ke Kanishk Sajnani Gujarat Ke Ahmadabad Ke Rahne Wale Hai. उन्होने 3 Years Pahle College Drop Karke Hacking Ka Online Course Karna Shuru Kiya Tha Aur Online Hi Unhone Hacking Shikhi. Kanishk Ki School Studies, Delhi Public School Se Hui Hai Aut उन्होने Science Stream Se Apni 12th Standard Complete Ki. Unhe March 2018 Me Google Ki Taraf Se Front End Web Development Course Karne Ke Liye Scholarship Mili Thi. फील्हाल, Kanishk Security Research Ka Kaam Kar Rahe Hai.

Ak Newspaper Ke Interview Me Kanishk Ne Bahut Hi Simple Language Me Is Complex Technology Ke Baare Me Bataya, Jo Aap Sabhi Ko Aasani Se Samaj Me Aa Sakegi, To Chaliye Baat Shuru Karte Hai Aadhaar Data Ki Hacking Kaise Hoti Hai Aur Kuchh Sawal Ke Jawab Jo Har Koi Janna Chahte Hai.

Hacking Kaise Hoti Hai? Kya India Me Aisa Karna Legal Hai?
Internet Par Kai Aise Tools Hote Hai Jo Website Ki खामिया Yani Ki Unke Bug Ke Baare Me Pata Lagane Ka Kaam Karta Hai. Ethical Hackers Inhi Tool Ka Istemaal Karke Website Par Jo Bhi खामिया Hoti Hai Uske Baare Me Pata Lagate Hai. India Me Is Tarah Ka Kaam Karne Me Ethical Hackers Ko Thaoda डर महसूस Hota Hai, Unki Vajah Ye Hai Ki India Me Aisa Koi Law Nahi Hai Jo Ethical Hackers Ko सुरक्षा De. Foreign Countries Me Hackers Ke Liye Jo Atmosphere Hai Vo India Me Nahi Hai. Actually India Me Bhi Aise Law Ki Jarurat Hai Jo Ethical Hackers Ko Legally Kaam Karne Me Puri सुरक्षा De. Taki Vo Cyber Security Ko Aur Bhi Strong Bana Paaye.

Kanishk Ko Hacker Banne Ka Khayal Kaha Se Aaya Aur Kaha Se Sikha Hacking.
October 2015 Me Usne Hacking Sikhna Shuru Kiya Aur Sirf 2-3 Mahine Ke अंदर Hi Usne Air India, IRCTC, ClearTrip, SpiceJet, Mobikwik Jaise Websites Me Bugs ढूंढ Nikale. Kanishk Ne Delhi Se San Francisco Tak Ki Flight Ka Air India Ka Ticket Sirf 1 Rupaye Me Book Kar Liya Tha, Lekin Usne Flight Journey Nahi Ki Aur Company Ko Is खामी  Ke Baare Me Bata Diya. Aur June 2017 Me IRCTC Ki App Me खामी ढूंढी Thi, Jise Railway Ne 3 February 2018 Ko ठीक Kiya Tha.

Kanishk Ko Hacker Banne Ka ख्याल विदेशों Me Chalne Wale Bug Bounty Program Se Aaya. Kanishk Ka Kahna Hai Ki India Me Bhi Is Tarah Ke Program Chalane Chahiye, Taki Cyber Security Ko Aur Bhi Majaboot Kiya Jaa Sake.

Hacker Kitne Type Ke Hote Hai? Kya Sabhi Data Ka Misuse Karte Hai?
Hacker 3 Type Ke Hote Hai, Pahle Hote Hai White Hat Hacker, Jo Sirf Logo Ki Aur Organization Ki Help Karte Hai. Dusre Hote Hai Grey Hat Hacker, Jo Logo Ki Help Karne Ke Sath-Sath Thoda Galat Istemaal Bhi Kar Lete Aur Tisre Hote Hai Black Hat Hacker, Jo Sirf Data Ka Misuse Hi Karte Hai. Sabhi Hacker Ki Baat Ki Jaaye To Sabhi Hackers Logo Ke Data Ka Aur Apni Skills Misuse Nahi Karte.

Hackers Ko Generally Galat Samajaa Jaata Hai.
Ye Question Jab Kanishk Ko Puchha Gaya Ki Hackers Ko Hamesha Galat Samaja Jaata Hai, Kya Aapke Sath Kabhi Aisa Hua Hai, Is Sawal Ke Jawab Dete Huye Kanishk Ne Kaha Ki Aisa Bilkul Mere Sath Nahi Huya Hai, Aisa Bahut Cum Hota Hai. Kyu Ki Jo Log Unko Aur Unke Kaam Ko Jante Hai Vo Unse Khush Rahte Hai Ki Me Achha Kaam Kar Raha Hu. Ab Logo Me Bhi Hackers Ko Dekhne Ka नजरिया Thoda Badla Hai. Agar Ethical Hackers Ko Bhi Log Profession Ke Taur Par Dekhenge To Ye Hamare Liye फ़ायदे-मंद Hoga, Aisa Kanishk Ka Kahna Hai, Aage Kanishk Batate Hai Ki Kabhi-Kabhi Dost Majak-Majak Me Kahte Hai Ki Me Unka Sara Data Hack Kar Luga. Lekin आम लोगो Me Abhi Tak Mere Liye Aisi Koi राई Nahi Bani Jis Se Log Galat Samje.

Kya India Me Hacking Ka Koi Scope Hai? India Me Iski Kitni Jarurat Hai?
India Me Bhi Hacking Ka Scope Hai Aur Ethical Hacking Ki Bahut Jarurat Hai. India Me Vaise Hi Digital Program Chalaya Jaa Raha Hai To Isme Aane Wali परेशानियों Se Bachne Ke Liye Ethical Hacking Bahut Jaruri Hai. Aaj Kal Kai Organisation Aur Companies Ethical Hackers Ki Help Leti Hai Aur Hackers Ki Demand Bhi Kafi Badh Gai Hai.

Hacking World Me Koi Aisa Tarika Jis Se Hacking Ki Image Sudhari Jaa Sake?
Isme Media Ka Bahut Bada Role Hai. Internet Se Juda Hua Kuchh Bhi Hota Hai To Kahte Hai Ki Hackers Ne Kiya Hoga. Ethical Hackers Ko Bhi Hackers Kaha Jaata Hai. Har Hacker Ka Kaam Karne Ka Tarika Alag Hota Hai. Kuchh Iska Galat Istemaal Karte Hai, To Kuchh Country Ke Liye Aur Logo Ki Help Ke Liye Kaam Karte Hai, Lekin Media Sabhi Ko Hackers Hi Bolati Hai. Hackers Ki Jagah Unko Ethical Hackers Ya Security Researcher Bulaya Jaana Chahiye, Taki Logo Me Un Ethical Hackers Ki Image Badal Sake.

India Me Ethical Hackers Ko बढावा Dene Ke Liye Kya Karna Chahiye?
विदेशों Me Cyber ​​Security Ko Badhava Dene Ke Liye Bug Bounty Program Chalaye Jaate Hai. Jis Me Pure World Se Ethical Hackers Aur Developers Aakar Website Ki परेशानियां, Bug Ke Baare Me Batate Hai Aur Unhe Thik Karte Hai. Iske Liye Unhe सम्मानित Bhi Kiya Jaata Hai. Aur Unke Kaamo Ko सराहा Jaata Hai. India Me Bhi Agar Is Tarah Ke Program Chalaya Jaaye, To Yaha Par Bhi Cyber Security Ko Majaboot Kiya Jaa Sake.
दोस्तों, आर्टिकल पढ़ने के लिए तहे-दिल से सुक्रिया, अगर आपको हमारा ये आर्टिकल➧ Indian Cyber Security Expert Kanishk Sajnani Ke Baare Me Jankari Kaisi Lagi, वो हमें कमेंट में जरूर बताइये। और आर्टिकल पसंद आया हो तो अपने दोस्तों के साथ सोशल मीडिया पर जरूर शेयर करे। और ऐसे ही अपडेट अपने ईमेल id पर फ्री में पाना चाहते हो तो हमें Subscribe करे। थैंक्स एंड कीप विजिटिंग।.
Ye Bhi Padhe➥
Read More