Badi Loan Ki Musibat Se Bachne Ke 8 Asan Tarike - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Badi Loan Ki Musibat Se Bachne Ke 8 Asan Tarike

Bank Se Loan Lena Aaj Ke Samay Me Bahut Se Logo Ki Jarurat Ban Chuki Hai. Chahe Vo Jarurat Apna Business Khada Karne Ki Ho, Ya Ghar Lene Ki Home Loan Ho, Ya Gadi Lene Ki Car Loan Ho, To Kai Baar Kuchh Emergency Ke Samay Bhi Loan Lena Majburi Ho Jati Hai. Unke Alava Bhi Ham Kai Baar Government Student Loans Bhi Lete Hai. Aur Aaj Ke Samay Me Loan Lena Bhi Aasan Ho Gaya Hai, Isi Vajah Se Bhi Bahut Se Log Ise Priority Dete Hai. But Kai Baar Aisa Hota Hai Ki परिस्थितिया Ban Jaati Hai Ki Loan Lene Wala Ise Lekar Badi Musibat Me Fas Jaate Hai. In Fact India Me Bahut Se Log Investment Ki Bajaye Only उपभोग Ke Liye Loan Lene Ki Common Mistake Kar Baithte Hai. Aur Ak Din Yah Debt Liability (कर्ज देनदारी) Badhte-Badhte Itani Jyada Ho Jaati Hai Ki Ham Musibat Me Aa Jaate Hai.

8 Easy Ways to Avoid Bigger Loan Problems

Ham Apne Is Article Se Aapko E-Silverbux Consultants Pvt Ltd Ke Founder Aur Chief Consultant Officer Amit Mittal Ke Jariye Aapko Yah Batane Jaa Rahe Hai Ki Apne Budget Me Bina Bade Changes Ke Kis Tarah Se Bada Loan Khatm Kar Sakte Hai, Vo Bhi Bina Pareshani Ke. Aaiye Baat Karte Hai Loan Ki Musibat Se Bachne Ke 8 Asan Tarike Ke Baare Me.
1. How to Avoid Trouble with Loan:-
How to Avoid Trouble with Loan
1. Loan Ko Small Aur Affordable Installments Me Baat De:-
Loan Ko Small Installments Me Baat De. Sabse Pahle To Jab Aap Loan Lene Ki Planning Kar Rahe Hai To Yah Bhi Planning Kar Le Ki Yuse Kis Tarah Se Chukana Hai. Jab Aapko Lage Ki Loan Chukane Me Kisi Tarah Ki Pareshani Nahi Aane Wali Hai, Uske Baad Hi Iski Process Ko Aage Badhaye.

Agar Aapne Loan Liya Hai To Badi Installment Chukane Se Aapka Monthly Budget Prabhavit Ho Sakta Hai. Yah Bhi Ho Sakta Hai Ki Kus Mahine Itani Badi Installment Chukana Possible Na Ho Paye. Aise Me Apne Loan Ko Small Aur Affordable Installments Me Baat De. Loan Ki Installment Ko Chukane Ke Liye Calendar Me Ak Khas Date Select Kare Le. Aisa Karke Aap Ak Baar Me Loan Chukane Ki Problem Se Khud Ko Bacha Sakte Hai.
2. Ways to Avoid Debt:-
Loan Ka Use Investment Me Kare.

Bahetar Hoga Ki Aap Consumption Ki Bajaye Investment Ke Liye Loan Ka Istemal Kare. Investment Karne Par Aapko Total Amount Par Profit Ho Sakta Hai, Jiska Istemal Aap Loan Ka Interest (ब्याज) Chukane Me Kar Sakte Hai. Vahi Kai Baar Consumption Ke Liye Loan Lene Par Interest Sahi Time Pe Nahi Chuka Pane Se देनदारी Badhti Jati Hai. Aise Me मूलधन Ke Sath Yah Rashi Bhi Badhti Jati Hai.
3. Tips for Avoiding Debt:-
Daily Ke Kharche Me कटौती Kare.

Generally, Log Ak Common Mistake Yah Bhi Karte Hai Ki Loan Ke Paise Se Apne Daily Ke Kharch Ka Budget Badha Lete Hai. Es Se Finally Aapka Financial Management Bigad Jaata Hai. Agar Aapne Loan Liya Hai To Pahle Yah Baat Tay Kar Le Ki Daily Ka Budget Kam Se Kam Ka Ho. Agar Aap Highest Price Hotels Me Jaate Hai To Uske Badle Aap Low Cost Restaurants Me Jaye. Hone Wali Savings Ke Jariye Ham Loan Chukane Ne Ki Suvidha Prapt Kar Sakte Hai.
4. How to Avoid Debt Problems:-
Bank Ke Sath Loan Ke Liye Arrangements Kare.

Bank Ke Sath Aisi व्यवस्था Kare, Jis Se Loan Ki Installment Direct Aapki Salary Se Deposit Ho Jaye. Is Se Account Se Transfer Karne Ka Boz Bhi Halka Ho Jayega. Es Se Bina Deri Ke Samay Par Loan Ki Installments Bhi Deposit Ho Jayegi.
5. Ways to Avoid Debt:-
Jyada Profit Hone Par Maximum Payment Kare.

Saal Ke Kisi Mahine Agar Aap Jyada Profit Kamate Hai To Apne Kharch Ko Badhane Ki Bajaye Yuse Loan Chukane Me Deposit Kar De. Is Se Na Keval Future Me Aap Par Boz Halka Hoga, Balki कठिन वक्त Me Bhi Aapko Iska Labh Milega. Sath Hi, Is Se मूलधन Par Interest Ki Rate Bhi Ghategi.
6. Ways to Manage Debt:-
Get Help from Financial Advisors

Investment Aur Salary Ke Karan Lagatar Badhti Income Ke Sahi Management Ke Liye Ak Financial Adviser Ki Jarurat Hoti Hai. Financial Advisers Aapko Na Keval Tax छूट Ka Pura Fayda Uthane Me Help Karega, Balki Investment Ke Liye Sahi Option Ka Selection Karne Me Bhi Aapki Full Help Karega. Ak Specialist Se Prapt Jankari Ke Aadhar Par Aap Sahi Option Chun Sakte Hai Aur Ak Bahetar Financial Decision Le Sakte Hai.
7. Loan Ki Musibat Se Bachne Ka Asan Tarika:-
Become Financially Independent

Loan Ka Upyog Jyada Se Jyada Paisa Kamane Ke Liye Kare, Yus Se Loan Chukaye Aur Baki Bachi Rakam Se Apna प्रारंभिक Investment Sharu Kare. Agar Aage Badhne Ke Liye Aapko Loan Ki Jarurat Hai To Yah Bhi सुनिश्चित Kar Le Ki Yuse Samay Par Chuka Dena Hai.
8. How to Avoid Debt Problems Before they Start :-
Cheap Interest Rate Wale Loan Ke Liye Apply Kare.

Agar Aapke Credit Card Ka Score Best Hai To High Interest Rate Wale Loan Ko Chukane Ke Liye Low Interest Rate Wala Loan Lena Bhi Ak Best Option Hai. Is Se Aap Pocket Friendly Firms Se Join Kar High Interest Rates Wale Firms Se छुटकारा Pa Sakte Ho.

Hi Friends Aaj Ki Post Me Hamne Baat Ki  8 Easy Ways to Avoid Febt Problems I Mean Loan Chukane Ke 8 Asan Tarike Ke Baare Me. उमीद Karta Hu Ki Aapko Ye 8 Tarike Follow Karne Par Loan Chukane Ke Liye Kafi Helpful Hoga. Yaha Par Aapko Short Me In 8 Easy Ways Ke Baare Me Information De Raha Hu. Taki Aapko Achhe Se Samajne Me Help Mil Sake.
कर्ज मुक्ति के उपाय इन हिंदी।। कर्ज से मुक्ति पाने के उपाय।। कर्ज उतारने के उपाय
  • 1-Loan Ko Small Aur Affordable Installments Me Baat De.
  • 2-Loan Ka Use Investment Me Kare.
  • 3-Daily Ke Kharche Me कटौती Kare.
  • 4-Bank Ke Sath Loan Ke Liye Arrangements Kare.
  • 5-Jyada Profit Hone Par Maximum Payment Kare.
  • 6-Get Help from Financial Advisors
  • 7-Become Financially Independent
  • 8-Cheap Interest Rate Wale Loan Ke Liye Apply Kare.
To Friends Ye Loan Chukane Ke 8 Aasan Tarike, Aapko Pasand Aaya Ho To Follow  Jarur Kare, Agar Koi Mistake Rah Gayi Ho To Hame Bataye. And Article Se Aapko Kus Help Mili Ho To Social Media Pe Share Jarur Kare. Aur Koi Sawal Ho To Aap Comment Karke Hame Bata Sakte Hai. Aur Hamari Har New Update Apne Smartphone Par Pana Chahte Ho To Hame Subscribe Bhi Kar Sakte Ho. Thanks And Keep Visiting ..

YOU MAY ALSO LIKE POST:

No comments:

Post a Comment