Hamari Country Me
1 Lakh
55 Hajar Post Office Hai, Feer Bhi Post Office Ki Demand Bani Hui Hai, Kyu Ki Post Office Se Logo Ko Bahut Sare Kaam Hote Hai. Agar Aap Chahe To Post Office Ke Sath Judkar
Best Income Kar Sakte Ho. India Post Ye Opportunities De Rahi Hai, Jisme Aap India Post Ki Franchise Lekar Apna Business Sharu Kar Sakte Ho. Aaiye Baat Karte Hai Kya Hai
India Post Office Franchise Opportunities Aur Aap Kaise Inse Best Income Kar Sakte Hai.
Kya Hai India Post Ka Franchise Model:
India Post Ne Kuchh Time Pahle Franchise Model Taiyar Kiya Hai, Jiske Jariye Common Man Ko
Franchisee Outlet Kholane Ke Liye Invite Kiya Jaata Hai. Isme
individual Se Lekar
Institution, Organization etc Ye Franchise Le Sakte Hai. Agar Aap Pahle Se Koi Business Kar Rahe Hai To Bhi Aap India Post Ka Outlet Khol Sakte Hai.
India Post Outlet Me Kya Bech Sakte Hai Aap:
|
|
Agar Aapko India Posr Ke Outlet Ki Franchise Mil Jaati Hai To Aap Niche Diye Gaye Products Bech Sakte Ho.
- 👉Stamp and Stationery Ki Sale,
- 👉Registered Articles,
- 👉Speed Post Articles,
- 👉Postal Life Insurance Ke Agent Ban Sakte Hai.
- 👉Money Order Ki Booking Kar Sakte Hai.
- 👉After Sale Services Jaise Premium etc इकट्ठा Kar Sakte Hai.
- 👉E-Governance and Citizen Centric Services Bhi De Sakte Hai.
- 👉Department Ki Retail Service Jaise Bill, Tax, File Collection, Payment Services Bhi Provide Kara Sakte Hai.
- 👉iske Alava Department Dvara Feature Me Di Jaane Wale Services Bhi Aap Provide Kar Sakege.
India Post Franchise Ki, Kya Hogi Income:
|
|
India Post Ne Franchise Ke Liye Commission Ki Rates Fix Ki Hai, Jaane Kya Hai Commission.
- Services: Registered Article
- Commission: 3 Rupye
- Services: Speed Post Articles Ki Booking
- Commission: 5 Rupees
- Services: Booking of Money Order
- Commission: 100 Se 200 Rupye Tak - 3.50 Rupye
- 200 Rupye Se Adhik - 5 Rupye
- Services: 1000 Articles Se Adhik Registry Karne Par
- Commission: 20 Percent Additional Commission
- Services: Postage Stamp and Postal Stationery
- Commission: Total Sale Ka 50%
- Services:Retail Services Jaise Revenue Stamps, Central Recruitment Fees
- Commission: 40% Commission
India Post Ki Franchise Ke Liye Kaise Kare Apply:
|
|
Agar Aap India Post Ki Franchise Lena Chahte Hai To Aap City Ke Main Post Office Se Iski Jankari Le Sakte Hai. Yaha Par Aapko Ak Form Bharkar Aap Franchise Ke Liye Apply Kar Sakte Hai. Iske Baad Aap Apna Account Online Operate Kar Sakte Hai. Iske Liye Aapko India Post Ka Home Page Me Register Par Click Karna Hoga. Jiske Baad Alag Option Aayega. Aap Usme Franchise Option Select Kar Apne Se Related Account Ko Maintain Kar Sakte Hai.
India Post Franchise Ke Liye Kitana Dena Hoga Charge:
|
|
Vaise To Iske Liye 5000 Rupye Ka Security Ke Taur Par Deposit Karne Hoge. Iske Alava Aapko 1 Se 2 Lakh Rupye Ka Investment Karna Hoga. Jisme India Post Ke Products Ka Purchase Bhi Shamil Hai. India Post Ki Shart Hai Ki Aapko Lagbhag 50,000 Rupye Ki Sales Har Mahine Karni Hogi.
➧YOU MAY ALSO LIKE:
Sanju bhai accha hai, is par bhi bahut acchi jankari share karte hai aap
ReplyDeleteThank You Mahatab Brother
Delete