Sanju Dangar
April 27, 2019
0
Smartphone Ab Luxury Se Jyada Jarurat Ban Chuka Hai Lekin Processing Power, Smart Applications, Internet Connectivity, Memory Space Me बढ़ोतरी Aur Bahetar Hota Battery Ka Power Kuchh Aise Technical Changes Hai, Jo Aapko Ak Naya Smartphone Kharidne Ke Liye Majboor Kar Dete Hai. Aise Me Jab Aap Ak Naya Smartphone Lene Bajaar Me Jaate Hai To Vaha Availability Ke Kai Sare Options Me Se Ak Behatarin Phone Choice Karna Ak Challenging Ka Kaam Ho Sakta Hai. Lekin Agar Aap Kuchh Features Par Dhyan Denge To Aapke Liye Yah Kaam Kafi Aasan Ho Jayega. Is Article Ke Jariye Ham Ye Janege Ki, Sabse Accha Mobile Phone Choice Kaise Kare, Aur Kon Sa Phone Sabse Accha Hai, Sabse Best Mobile Phone Kaise Chune, 2018 Me Konsa Phone Kharidna Chahiye, Aur Kya Hai Ye Features Jo Aapko Ak Sahi Android Phone Kharidne Me Help Kar Sakte Hai.
Smartphone Kharidte Vakht In 10 Baato Ka Rakhe Khas Dhyan
- 1. Best Network Operator Chune.
- 2. Latest Version Software
- 3. Manufacturer Ka Interface
- 4. Best Performance Ke Liye Processor Aur Ram.
- 5. Long Time Tak Aapki Jarurat Puri Kare.
- 6. 4G Service Support.
- 7. Size.
- 8. Camera.
- 9. Resolution
1. Sabse Pahle Network Operator Chune.
Vaise To Ye Option Itana Jaruri Nahi Hai Kyu Ki India Me Jio Ki Entry Ke Baad Lagbhag Pure India Me 4G Network Available Ho Chuka Hai, Feer Bhi Kuchh Area Me Network Ki Problem Aaj Bhi Hai, Jaise Ki Kisi Dur Ke गावो Me. India Ke Lagbhag Sabhi Network Operator Android Phone Offer Karte Hai. Aap Jab Naya Smartphone Kharidne Jaa Rahe Ho To Aapke Liye Phone Select Karne Se Jyada Jaruri Ak Sahi Network Operator Ka चुनाव Karna Hoga. Aisa Isliye Kyo Ki Agar Aapke Area Me Network Operator Ki Service Sahi Nahi Hogi To Aapka महंगे Se महंगा Aur Behatarin Android Phone Bhi Aapko Satisfied Nahi Kar Payega.
In fact, Kai Baar Bade Operators Ke Coverage Area Me Aise Dead Spots Hote Hai Jaha Network Nahi Hota. Aise Me Android Phone Ki Choice Karne Se Pahle Yah Jarur Dekh Le Ki Kon See Service Aapke Liye Better Kaam Karegi. Apne Area Me Network Ki Position Jaan Ne Ke Liye Aap Apne Neighbors, Friends Se Bhi Baat Kar Sakte Hai Aur Unke Experience Jaan Sakte Hai, Ya Feer Kuchh Application Ki Help Bhi Le Sakte Ho Jaha Se Aap Ye Pata Laga Sakte Hai Ki Apne Area Me Konse Network Operator Ki Service Better Hai, Iske Liye Aap Jio App Ki Help Le Sakte Hai Ya Feer Open Signal App Se Bhi Ye Pata Lagaya Jaa Sakte Hai. And TRAI MySpeed Se Bhi Jaan Sakte Hai.
2. Software Latest Ho.
Agar Aap iPhone Kharidte Hai To Aapko Usme iOS Ka Latest Version Milta Hai Lekin Android Phone Ke Sath Aisa Nahi Hota. In fact, Sabhi Android Phone Android OS Ke Ak Hi Version Par Run Nahi Karte Aur Na Hi Ve Sabhi OS Ke Latest Version Ke Available Hone Par Update Hote Hai. Aisa Isliye Kyo Ki Manufacturer Aksar Android Ke Upar Apna Interface Apply Kar Dete Hai Jis Se Vah Latest Update Me Time Lagaata Hai Ya Feer Kar Hi Nahi Paata Hai.
Sirf Google Ke Stock Android Phone Jaise Ki Pixel 2 Me In Updates Ke Turant Hone Ki Guarantee Hoti Hai. Aise Me Jab Bhi Aap Android Phone Kharidne Jaaye To Puchhe Ki Vah Kon Se OS Par Operate Karega Aur Kab Update Hoga. Ya Feer Jis Phone Ko Kharidna Chahte Hai Us Phone Ke Baare Me Google Search Kare Ye Sabse Aasan Aur Effective Tarika Hai, Aaj Kal Vahi Sab Karte Hai, Aur Iska Bada Fayda Yah Hai Ki Aapko Price Ka Bhi Pata Chal Jayega.
3. Har Manufacturer Ka Alag Interface
Android Platform Me OS Ke Look Aur Experience Me Changes Kiya Jaa Sakta Hai Aur Yahi Vajah Hai Ki HTC Ka Phone Samsung Ke Phone Se Thoda Alag Tarike Se Operate Hota Hai. Actually, Kuchh Manufacturer Android OS Ke Upar Overlay Laga Dete Hai Jis Se Uske Interface Me Thoda Changes Ho Jaata Hai.
Example Ke Liye Samsung Ke TouchWiz interface Me Widgets Aapko Phone Ke Features Aur Online Resources Ko Aasani Se Access Karne Ki Suvidha Deta Hai. Ye Interface Alag-Alag Manufacturer Aur Phone Ke Liye Alag Hote Hai. Aise Me Phone Kharidne Se Pahle Inka Experience Lekar Rakhe, Ya Feer Is Phone Ka Internet Pe Interface Review Check Kare.
4. Best Performance Ke Liye Processor Aur Ram.
Agar Aap Ak Acchi Performance Wala Phone Kharidna Chahte Hai To Yah Jaan Le Ki Yah Phone Ki Ram Kitni Hai Aur Processor Kya Hai, Smartphone Ki Performance Processor Aur Ram Par Hi Depended Hoti Hai, Processor Sabse Important Hota Hai Aur Nayi Processors Speed Aur Power Efficiency Ke Cases Me Pahle Se Behatar Hai. Is Competition Me Apple Ke A Series Chipset Sabse Aage Hai.
Android Phone Ke Liye FilHaal Qualcomm Ka Snapdragon 845 Processor Best Hai. Jaha Tak Ram Ki Baat Hai To Yah Jarurat Par Depend Karta Hai Lekin Yah Cum Se Cum 4GB Ki Honi Hi Chahiye.
5. Long Time Tak Aapki Jarurat Puri Kare.
Jab Baat Android Phone Kharidne Ki Ho To Timing Bhi Bahut Jaruri Hoti Hai. Har Deen Naye Android Phone Ki Launching Hoti Hai Aur Aise Me Aaj Kharida Gaya Aapka Phone Kal Tak Purana Ho Sakta Hai.
Lekin Iske Maayne Ye Nahi Hai Ki Aap Ise Kharidne Ka Plan Hi Cancel Kar De. Jaruri Yah Hai Ki Aap Samay Nikaal-Kar Research Kare Aur Yah सुनिश्चित Kare Ki Jo Android Phone Aap Aaj Kharid Rahe Hai Uski Jarurat Aapko Ak Mahine Ya Ak Saal Baad Bhi Hogi.
6. 4G Service Ke Liye Support.
Vaise To Jyadatar Operator 4G Service Ko Support Karte Hai Lekin Kai Android Phone Ise Support Nahi Karte Hai. Aise Me Agar Super Fast Net Speed Aapki Jarurat Hai To 4G Network Aapke Liye Jaruri Hai Isliye Phone Kharidte Vakht Iska Dhyan Rakhe. Aur Dusri Jaruri Khas Baat Yah Ki Agar Aap Jio Sim Ka Use Karte Ho To Hamesha Kisi Bhi Smartphone Me VoLTE Network Wale Hi Chune Kyu Ki Jio Ki Calling VoLTE Ke Jariye Hi Hoti Hai.
7. Size.
Ab Jyadatar Phone 5 Inch Ya Us Se Bhi Badi Screen Offer Kar Rahe Hai. Big Screen Ke Phone Ko जेब Me Rakhna Mushkil Ho Sakta Hai Aur लंबी Phone Call Ke Samay Inhe पकड़ना Bhi Mushkil Hota Hai.
8. Camera.
Megapixel Ke Alava Camera Aperture, iSO Level Aur Auto-focus Jaise Feature Bhi Best Photography Ke Liye Jaruri Hote Hai. Inki Jankari Hasil Karne Ke Baad Hi Phone Kharide.
9. Resolution
Resolution Jitna Jyada Hoga Phone Ka Display Utna Hi Clear Hoga. Vaise To Smartphone Ki Screen Quality PPI Me Mapi Jaati Hai, PPI Mins Ki Pixel Per Inch, Screen Me Jitne Jyada Pixel Hoge Utni Picture Quality Best Hogi. 1920 x 1080p Resolution Sahi Hoga. Jyada Kharch Kar Sakte Hai To 2560 x 1440 Quad HD Resolution Wala Phone Kharide.
Friends, Smartphone Kharidte Vakht Dhyan Me Rakhne Ki 9 Khas Baate Hamne Article Me Batai, Aapko Kaisi Lagi Hame Comment Me Bataye, Aur Hamara Ye Article Pasand Aaya Ho To Like And Share Jarur Kare, Aur Aisi Hi Updare Free Me Pana Chahte Ho To Hamare Blog Ko Subscribe Kare, Thanks And Keep Visiting..
YOU MAY ALSO LIKE:
YOU MAY ALSO LIKE: