Android Smartphone Me Hota Hai 6 Best Features, Kabhi Use Kiye Hai Aapne? - Internet Happy World

Hot

March 23, 2019

Android Smartphone Me Hota Hai 6 Best Features, Kabhi Use Kiye Hai Aapne?

Smartphone Me Kai Aise Features Hote Hai Jinke Baare Me User's Ko Pata Nahi Hota. Our Inke Baare Me Janne Ki Koshish Bhi Nahi Karte. But Ye Itane Kaam Ke Features Hote Hai Jiska Andaja Ham Nahi Laga Sakte.

Aaj Ke Article Me Smartphone Ke 6 Best Features Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai Aur Aapke Liye Kafi Helpful Sabit Hoga. And Har Android Smartphone Users Ko Ye 6 Features Ke Baare Me Pata Hona Jaruri Hai. World Me Sabse Jyada Use Hone Wala Koi Mobile Operating System Ho To Vo Hai Android. Android Operating System Ko Apne Hisab Se Ham Customize Kar Sakte Hai. But Ak Baat Our Bhi Hai Ki Kuchh Features Android Me Hai Vo iOS (iPhone Operating System) Me Bhi Nahi Milte.
android smartphone 6 best features

1. Silent Mode Par Rakha Phone Kho Jaane Par Pata Kaise Lagaye

Agar Aapne Mobile Ko Silent Mode Par Rakh-Kar Kahi Bhul Gaye, Ya Kahi Kho Gaya Ho, Ya Chori Ho Gaya Ho, To Aap "Android Device Manager" Ka Use Karke Apne Phone Ka Pata Laga Sakte Ho. Unka Use Aap Apne Phone Chori Ho Jaane Par Use Locate Karne, Apne Phone Ka Data Delete Karne Ya Phone Ko Lock Karne Ke Liye Bhi Kar Sakte Hai.

Iske Liye Aap Google.Com Par Jakar "Find My Phone" Through Android Device Manager Type Karke Search Kare. Uske Baad Search Result Me Ak Map Open Hoga, Yaha Par Aapko Gmail Account Me Loin Karna Hoga. (Jo Account Aap Khoye Huye Phone Me Use Karte The Vo.) Jaise Hi Aap Sign-in Karoge Google Turant Aapke Device Ko Search Karne Lagega, Jaise Hi Google Aapke Headset Ki Location Ka Pata Laga Lega, Vo Map Par Aapke Location ko Show Karega. Jis Location Me Aapka Phone Bataya Gaya Ho Vaha Ke 24 Meter Ke Ander Aapka Device Hoga. Ab Aap Location Par Jakar Apne Khoye Huye Phone Me Ring Baja Sakte Ho. Silent Mode Par Hoga To Bhi Ring Bajegi. Iske Liye Aap Map Me Ring Ki Button Par Click Karna Hoga. Ab Aapke Phone Me Ring Bajegi.

Aapke Smartphone Ko Trace Karne Ke Liye Ye Feature ON Hona Chahiye.
  • Mobile Location Active Hona Chahiye
  • Mobile OS Latest Version Jaruri.
  • Google App Installe Honi Chahiye.
  • Data Connection ON Hona Chahiye.

2. Delete Ho Gayi Notification Ko Vapas Pana:

Kai Baar Aisa Hota Hai Ki Bahut Sari Notification Screen Par Aa Jaane Se Ham Sabhi Notification Ko Remove Ya Delete Kar Dete Hai. Feer Pata Chalata Hai Ki Koi Important Notification Bhi Hamne Remove Kar Di Tab Hame Pareshani Ki Samna Karna Pad Sakta Hai. Agar Aapke Sath Aisa Hota Hai To Ye Trick Kaam Ki Hai Aapke Liye. 

Is Trick Ko Use Karne Ke Liye Apne Mobile Ki Home Screen Par Kisi Khali Jagah Par Long Click (लम्बा टैप) Kare. Aur Widgets Par Jaaye. Settings Shortcut Widgets Par Jane Ke Liye Left Me Swipe Kare. Yaha Se Aap "Notification Log" Select Kare. Is Par Click Kare Aur Ak Notification Log Shortcut Home Screen Par Aa Jayega. iske Baad Apni Notification History Par Click Kar Yuse Check Kar Sakte Hai.
Note:Agar Aapke Android Version Me Notification Widgets Nahi Hai To Ise Google Play Stor Se Download Kar Sakte Hai.

3. Automated Phone Unlock in Trusted Places:

विश्वसनीय जगहों Par Phone Automatically Unlock Kaise Set Kare.

Lock Pattern Set Karna Ya Password Rakhna Ak Jaruri Hai, But 4 Digit Ka Password Ya Unlock Pattern Har Jagah Notification Check Karne Ke Liye Enter Karna Pareshan Kar Deta Hai. Is सर दर्द Se छुटकारा Pane Ke Liye Aap "Smart-Lock" Name Ke Feature Ka Use Kar Sakte Ho. Jo Android 5.0 (Lollipop) Ya Yus Se Upar Ke Version Me Available Hai.

Kya Karna Hoga?
Is Lock Se Phone Aapke द्वारा Select Ki Gayi Jagaho Par Apne Aap Unlock Ho Jayega. Iske Liye Ye Step Follow Kare. 
  • Settings> security Me Jaaye.
  • Vaha Smart Lock Feature Par Click Kare.
  • Apne Facility Ke Anusar Password Aur Jagah set Kare. iske Liye GPS Ka Use Karna Hoga.
Iske Alava Voice Lock Aur Trusted Device Jaise Lock Bhi Laga Sakte Ho. Android 4.4.4 Kitket Wale Smartphone Me Play Store Me "Smart Lock Screen" application Ko Download Kiya Jaa Sakta Hai.

4. Smartphone Ki Screen Ko Zoom Karna:

Phone Ki Settings Me 'Magnification Gesture' Ki Help Se Aap Apni Screen Par Mojud Kisi Bhi Chij Ko Temporary Ke Liye Zoom Kar Sakte Ho. iske Liye Koi Third party app install karne Ki Ya Feer Screenshot Lekar Zoom Karne Ki Koi Jarurat Nahi Hai. Iske Liye Aap Ye Step Follow Kare. Phone Ki Settings Me 'Accessibility' Me Jakar 'Magnification' Ko ON Kare. Ab Kisi Bhi Screen Par Triple Tape Kar Content Ko Bada Kar Sakte Ho.

5. Delete Screen Notifications and Save Privacy:

Agar Aap Nahi Chahte Ki Aapke Phone Ki Screen Par Aane Wale Aapke Text, Whatsapp, Facebook Notification Ko Koi Dekhe. To Aapke Liye Smartphone Me Best Feature Bhi Mojud Hai. iske Liye Aap Is Step Ko Follow Kare. Sabse Pahle Phone Ki Settings Me Jakar 'Sound and Notification' Me Jakar Notification Par Tape Kare, Uske Baad 'When Devise is Unlocked' Ya Dont Show Notification Ka Option Ko Select Karna Hoga. Ye Options Sabhi Device Me Alag Hoga. Notification Me Jakar Aap Ise Select Kar Sakte Ho. 
Note: Agar 'When Devise is Unlocked' Option Nahi Dikh Raha Hai To Aap Old Android Version Ka Use Kar Rahe Ho. Aise Me Aap 'Notification on Lock Screen' Option Ka Use Kar Sakte Ho.

6. Call and Text Par Control Rakhna:

Agar Aapka Smartphone Android 5.5 Lollipop Ya Us Se Uper Ke Version Par Chalata Hai, To Aap Apne Hisab Se Call Ya Massage Karne Vale Contacts Select Kar Sakte Ho. Iske Liye Niche Diye Gaye Step Ko Follow Kare.

Phone Ki Setting Me 'Sound and Notification' Par Jaye Aur "Interruptions" Par Scroll Kare. Yaha Aapko Calls, Text, From Dikhai Dega. Us Par Tape Kar Vo Contact Select Kare Jinse Aap Call Aur Massage Receive Karna Chahte Ho. Is Se Aap Unwanted Contact Ko Stop Bhi Kar Sakte Ho.

Agar Interruptions Option Nahi Dikhta Hai To "Do Not Disturb" Option Par Jaye, Kus Phone Me Aapko Do Not Disturb Ka Option Direct Hi Mil Jata Hai. Yaha Par Jakar 'Allow Exceptions' Par Click Kare. Isme Apne Hisab Se Calls, Massage Ya Alarm Set Kiye Ja Sakte Hai. Aap Apne Favorite Contacts Bhi Set Kar Sakte Hai. yaha Bhi Time Set Kar Sakte Ho Jis Time Aapko Koi Disturb Na Kare.

YOU MAY ALSO LIKE:
Hi Friends Aapko Is Article Se Koi Help Mili Ho Ya Pasand aaya Ho To Like Comment Jarur Kare, And Apne Dosto Ke Sath Post Ko share Karna Chahe To Niche Diye Gaye Share Button  Par Click Kare. Internet Happy World  Ki Visit Ke Liye Thanks.

2 comments: