Railway Recruitment Board 2018 Exam; Online Mock Tests Ke 5 Fayde.
Railway Recruitment Board (RRB) रेल इतिहास Ki Sabse Badi Exam Lene Jaa Raha Hai. Iske Tahat Railway Me Group C Aur Group D Ke Karib 90,000 Posts Par भर्ती Ki Jayegi. Yah Exam May Ke Last Week Me Hone Ki Umid Hai. Chuki Railway Ki Yah Exam Kafi अरसे Ke Baad Ho Rahi Hai. Iske Baad Kab Hogi, Iska Koi Bharosa Nahi Hai. Isliye Is Exam Ke Liye Apply Karne Wale Serious Candidates मौके Ko Khona Nahi Chahte Hai Aur Har Haal Me Ise Crack Karna Chahte Hai. Is Exam Ko Crack Karne Me Online Mock Test Se Bhi Kafi Help Mil Sakti Hai. Aur Railway Ki Yah Exam Bhi Online Hi Hogi.
RRB 2018 Exam; Online Mock Tests Ke Hote Hai Ye 5 Fayde, Exam Crack Karne Me Milegi Help
Mock Test Ke, Kya Hai Fayde?
1. Real Exam Ka Experience:
Agar Mock Test Kisi Achhe Expert Ne Taiyaar Kiye Hai To Vo Is Baat Ka Jarur Dhyan Rakhta Hai Ki Vo ठीक-ठीक Usi Tarah Se Taiyaar Kiye Jaaye, Jaise Ki Real Exam Me Papers Aate Hai. Is Se Candidates Ko Real Exam Ke Pahle Ak Tarah Se Rehearsal Karne Ka Mauka Mil Jaata Hai.
2. Pattern Ko Samajne Me Aasani:
Competitive Exam Me Agar Aapne Pattern Ko Samaj Liya To Use Crack Karna Aasan Ho Jaata Hai. Mock Test Chuki Usi तर्ज Par Banaye Jaate Hai, Jaisa Ki Paper Aane Wala Hai. Is Se Candidates Ko Pattern Ko Samaj Ne Me Aasai Hoti Hai.
3. Time Management Better Hota Hai.
Mock Test Se Candidates Ko Yah Samaj Me Aa Jata Hai Ki Unhe Real Exam Me Bhi Sawalo Ko Solve Karne Me Kitna Time Milega. Iske Jariye Unhe Is Baat Ka Idea Lag Jayega Ki Unhe Kin Sawalo Me Jyada Time Lagana Hai, Kin Me Cum Aur Kin Sawalo Me Bilkul Bhi Nahi. Aakhir Har Competitive Exam Me Speed Mayne Rakhti Hai.
4. Strategy Banane Me Help Milti Hai.
Mock Test Se Aapko Pattern Ka Pata Chal Jaata Hai Aur Sath Hi Is Baat Ka Bhi Idea Lag Jaata Hai Ki Aapko Kin Sawalo Ko Solve Karne Me Kitna Time Lagega, To Is Se Aap Real Exam Ke Liye Abhi Se Behatar Strategy Bana Sakege.
5. Progress Ko Track Kar Sakte Hai.
Mock Test Se Aapko Turant Apna Evolution Karne Me Aasani Hoti Hai. Is Se Candidates Apni Exam Ki Taiyar Ki Progress Ko Track Kar Sakte Hai. Is Se Candidates Ko Yah Pata Chalta Rahta Hai Ki Uski तैयरियो Me Kaha Gap Hai Aur Uske Hisab Se Vah Usme Sudhar Kar Sakta Hai.
RRB 2018 Exam Group D: 62,000 Posts Jaane Iski 7 Baate.
Railway Apne इतिहास Me Sabse Badi Exam Lene Jaa Raha Hai. Isme 90,000 Se Bhi Jyada Posts Par Recruitment Ki Jayegi. Sabse Jyada Karib 62,000 Post Group D Level Ke Liye Hai. In 90,000 Post Ke Liye Pure India Me Se Karib 275 Crore Candidates Ne Apply Kiya Hai. Yah Exam Pure Desh Me Hindi Aur English Sahit Ak Sath 15 Languages Me Hogi. Railway Ki Yah Exam May Ke Last Week Me Hone Ki Umid Hai Jiske Liye Candidates Ne Taiyari Sharu Kar Di Hai. Lekin Exam Se Pahle Jante Hai Ye 7 Khas Baate.
👉1. Group D Me Total 28 Tarah Ki Post Hai. Inme Cabinmen, Getman, Pointsman, Trackman विभिन्न विभागो Me Helper आदि Post Hoti Hai. Inme 5 Tarah Ki Post Ke Liye Keval 10th Pass Ka Criteria Manga Gaya Hai. Jab Ki 23 Tarah Ki Post Aisi Hai Jinke Liye 10th Ke Sath Sath Related Trend Me ITI Bhi अनिवार्य Hai.
👉2. Isme Pay Scale 18,000 Plus भत्ते Hai. Is Tarah Kul Milakar वेतन Ke Roop Me Lag bhag 22,000 Milenge.
👉3. Candidates Ka Selection Do Test Ke Aadhar Par Kiya Jayega. Ak Computer Based Test (CBT) Aur Dusra, Physical Efficiency Test (PET)
👉4. Computer Based Test (CBT) Pahla चरण Hoga. Sabhi Candidates Ko Isme Shamil Hona Padega. Isme 90 Minute Me 100 Question Puse Jayenge. In Questions Me Maths, General Knowledge-Current Affairs, Reasoning Aur General Science Related Hoge.
👉5. Jo Candidate CBT Me Success Declared Kiye Jayege, Unhe Physical Test Ke Liye Bulaya Jayega. RRB द्वारा Declare Kiye Gaye Posts Ka Karib 2 Guna Candidates Ko Physical Test Ke Liye Bulaya Jayega. Vaise Yah Railway भरती Bord Ka अधिकार Hai Ki Ve Kitno Ko Bulata Hai.
👉6. Physical Test Me पुरुषों Ko 35 Kg Ka भार 2 Minute Ke Bhitar 100 Miter Tak Lekar Jaana Hoga. Iske Alava 1000 Miter Ki दौड़ 4 Minute 15 Second Me Puri Karni Hogi.
👉7. Physical Test Me महिलाओं Ko 20 Kg भार 2 Minute Ke Bhitar 100 Miter Tak Lekar Jaana Hoga. Iske Alava 1000 Miter Ki दौड़ 5 Minute 40 Second Me Puri Karni Hogi. Har Candidate Ko Physical Test Ke Liye Keval Ak Hi Mauka Milega. ➥Railway Exam Ka Online Mock Test: Registration Karne Ke Liye Yaha Click Kare.
ALSO READ:
ALSO READ:
check this
ReplyDeleteRailway Recruitment