Modi Sarkar Ne Kai Aisi Yojnaye Sharu Ki Hai, Jo Aapko
Business Karne Ka Mouka Bhi De Rahe Hai. Ye Business Aap Ghar Baithe Bhi Kar Sakte Hai, Aur Achi-Khasi Earnings Bhi Kar Sakte Hai. Modi Sarkar Ki Is Scheme Ka Fayda Uthane Ke Liye Kuchh Khas Karne Ki Jarurat Bhi Nahi Hai. Aap Aasani Se Is
Scheme Ka Fayda Le Sakte Ho. Government Ne In Scheme Ke Liye Bahut Hi Aasan Process Ka Sahara Liya Hai, Taki Jyada Se Jyada Log In Scheme Se Jud Sake. Actually, Government Chahti Hai Ki Log Job Seekers Ki Bajay Job Creators Bane, isliye is Tarah Ki
Scheme Launch Ki Gayi Hai, Jis Se Log entrepreneur Banne Ke Liye Aage Aaye. Agar Aapko In Schemes Ke Baare Me Pata Nahi To Aaj Ham Aapko In Schemes Ki Vistar Se Jankari Dege Aur Ye Bhi Batayege Ki
Aap Kaise In Schemes Ka Fayada Le Sakte Hai.
Prime Minister Narendra Modi Ne Stta Sambhalne Ke Baad Sabse Pahle India Me
Solar Power Production Ka Target Approx
5% Badha diya Hai. Sath Hi, Government Ne Logo Ko Apil Bhi Ki Hai Ki Vo Apne Ghar Ki छत Par
Solar Plant Lagaye Aur Is Plant Se Banne Wali Electricity Government Ya Electricity Companies Ko Beche. Iske Liye Aap Apply Karna Chahte Hai To Modi Sarkar Ne Aisa Karna Behad Aasan Kar Diya Hai. Agar Aap Solar Plant Lagva Ne Ke Baare Me Puri Jankari Lena Chahte Hai To Aap Mobile Application
ARUN(Atal Rooftop solar User Navigator) Download Kar Is Scheme Ke Baare Me Puri Jankari Hasil Kar Sakte Ho. Aur Agar Aap Apply Karna Chahte Has To Aap
Ministry of New and Renewable Energy Par Login Karke Aasani Se Aaply Kar Sakte Ho.
Ghar Baithe Online Kare Ye Business:
|
|
Agar Aap
Ghar Baithkar Business Karna Chhate Hai To Modi Sarkar Ne E-Portal Ke Jariye
GeM (Government e-Market) Yani Ki Online Bajar Taiyar Kiya Hai. Aap Apne Ghar Me Rah kar Hi
Gem Se Jud Kar Sarkar Ke Sath Jud Kar Business Sharu Kar Sakte Ho. Iske Liye Aapko Gem Par Registration Karana Hoga. Registration Ke Baad Aap Government Departments Ki Demand Ke Hisab Se Apply Kar Sakte Ho. Aisa Karne Ke Liye Aapko Manufactures Se Contact Karna Hoga Aur Demand Aane Par Vaha Se Maal Aage Supply Kar Sakte Hai. Yah Online Treading Sharu Karne ke Liye Aapko
CREATE YOUR ORGANIZATION BUYER ACCOUNT Par Sign-up Karna Hoga.
Mahilaye Bhi Kar Sakti Hai Business:
|
|
Modi Sarkar Ne Mahilayo Ko Bhi Ghar Par Rah Kar Business Ka Mauka Available Karaya Hai. Is Scheme Ko
Mahila E-HAAT Name Diya Hai. Mahilaye Is Online Platform Par Ghar Par Banaye Gaye Products Bhi Sell Kar Sakti Hai. Ya Manufactures Se Saman (product) banvakar Aage Bech Sakti Hai. Yah Platform
Ministry of Women & Child Development Dvara Taiyar Kiya Gaya Hai. is Platform Par Mahilaye Free Me Apna Registration Karakar Apne Product Display Kara Sakte Hai, Yadi Kisi Sellers Ko Aapka Product Pasand Aata Hai To Vo Direct Aapse Contact Karta Hai. Aapko Dusre Online Treading Portal Ki Tarah Commission Bhi Nahi Dena Hoga. Agar Aap Is Portal Ke Liye Apply Karna Chahte Hai To Click Kare.
Mahila e-HAAT Join Us
Bhim App Se Kaise Kare Kamai
Bhim App Se Kaise Kare Kamai
|
|
Aap Kisi Bhi Age Group Ke Ho, To Bhi Ghar Baithkar Kamai Kar Sakte Hai.
Prime Minister Narendra Modi Ne Khud Kamai Ke Is Tarike Ke Baare Me Logo Ko Bataya Tha. Aap bhi Bhim Aap Ke Sath Logo Ko Jodkar Kamai Kar Sakte Ho. Bhim App Se Ak Vykti Ko Join Karne Aur Us Vykti Dvara 3 Transaction Karne Par
10 Rs. milege. Is Tarah Mahilaye Ya Students Yadi Ghar Baithe Daily 20 Logo Ko Join Karvate Hai To Vo
200 Rupaye Tak Ki Kamai Kar Sakte Hai. Bhim App Se Jodkar Income Karne Ki Yah Scheme
14 October Tak Ke Liye Hai. Vahi, Jo Bhi Dukandaar Apni Dukan Par Bhim App Ko Lagu Karega Uske Account Me
25 Rupaye Aayega. Aap Bhim App Ko Download Karne Ke Liye Link Ko Click Kar Sakte Hai.
BHIM APP DOWNLOAD
➧YOU MAY ALSO LIKE:
HELLO SIR,
ReplyDeleteSolar Power Plant KE LIYE HAME KITANA INVEST KARNA HOTA HAI,
Thank you manish bro. Aap iske liye Mobile Application ARUN(Atal Rooftop solar User Navigator) Download Kar Is Scheme Ke Baare Me Puri Jankari Hasil Kar Sakte Ho. Aur Agar Aap Apply Karna Chahte Has To Aap http://solarrooftop.gov.in/login ki site par jake Aasani Se Aaply Kar Sakte Ho.
DeleteGreat Articles
ReplyDeletehttp://www.govtjobfree.com/
thank you nityananda boro. Hamari site par aa ke comment ke liye. Happy morning
DeleteBahut hi accha tarika bataya hai. thank you so much
ReplyDeletethank you rinki ji
DeleteNice Post.
ReplyDeleteSir, very nice article. Kya me Koi online business shuru Kar sakta Hun? Kya ye faidemant Hoga ?
ReplyDeletethank you Rahul Das, online business ke bahut sare ways hai, aap interest ke mutabik koi bhi business kar sakte ho, is business kitna faydemand hoga vo aapke talent par depend karega.
DeleteReally Great Post dost bahut accha likha apne
ReplyDeletethank you sushil pandey ji
Deletethanks bhai.. apne mere blog par visit kiya..
ReplyDelete