Whatsapp Me Kitni Post Par Nikali Hai Vacancy Aur Apply Kaise Kare.
Popular Massaging Company Whatsapp Me Vacancy Hai. Facebook Ke Ownership Wali Is Company Me Recruitment Karne Ke Liye Facebook Ne Apne Career Page Par Full Time Job Roll Post Kiya Hai. Yadi Aap Bhi Eligibility Puri Kar Rahe Hai To Iske Liye Apply Kar Sakte Hai. Ham Bata Rahe Hai Aapko Kis Post Ke Liye Vacancy Hai Aur Kya Roll Hoga.
Kon Si Hai Post :
Company Ne India Me Country Head Ke Liye Vacancy Nikali Hai. Yah Post Kafi Deeno Se Khali Padi Hai. Isme Select Hone Wale Candidate Ko India Me Whatsapp Business Ko Lead Karna Hoga. Khas-Taur Par P2P Payment Service Ko, Jo Haal Hi Me Sharu Hui Hai Aur Testing Phase Me Hai.
India Kyo Jaruri :
Whatsapp Ke India Me 200 Million Monthly Active Users Hai. Company Users Ki संख्या Badhana Chahti Hai. Payment Service Me Bhi Whatsapp Utar Chuka Hai. In Deeno Facebook Pareshani Me Hai, Aise Me Whatsapp Ko India Me Leader Ki Jarurat Hai. Whatsapp Ne February Me Hi Payment Service Ko India Me Introduce Kiya Hai.
Kon Kar Sakta Hai Apply :
Product Driven Company Me 15 Years Ka Experience Hona Chahiye. Payment Technology Me Cum Se Cum 5 Year Ka Experience Hona Jaruri Hai. Minimum Academic Qualification Me Bachelor of Science Aur Master of Science Ki Degree Honi Chahiye.
Mumbai Office Ke Liye :
Yah Position Facebook Ke Mumbai Office Ke Liye Hai. Esi Office Se Whatsapp Ke Operations Bhi Sanchalit Hote Hai. Country Head Ko Direct Whatsapp Ke Chief Operating Officer Ko Report Karna Hoga. Country Head Ko Key-Partner Ke Sath Acche Relations Build Karna Hoga. WhatsApp Ko Logo Ki Jarurat Banane Ke Liye Planning Karna Hoga. Whatsapp Ke Product Strategy Ko Lagu karna Hoga. Is Ke Sath Hi Aur Bhi Kai Jimmedariya Hogi.
- Mobile Phone Ka Sahi Use Karke, Har Mahine 20,000+ Kare Income
- Internet Se Earning Karne Ke Sabse Best And Easy Ways
- Free Time Me Paise Kamane Ke 3 Asan Tarike- Ghar Baithe Kamai
- Social Media Marketing Se Kare Income, Government De Rahi Hai Training
- YouTube पर Earning कैसे बढ़ाएं Famebit से Sponsorship Kaise Le.
- Aadhaar Card (UIDAI) Me Nikali Hai Jobs, Kaise Kare Online Apply.
- सरकारी नौकरी की तैयारी करने वालों के लिए 400 Post Par Vacancy/ Salary 39,000/
- 10th Pass Ke Liye Bank Me Part-time Job. Kaise Kare Online Apply
- Bumpers Vacancy - Clerk, Steno Typist, Deputy Manager
- Sarkari Naukri Kyo Nahi Mil Pati, 3 Galatiya Ko Kare Avoid
No comments:
Post a Comment