Kin Tariko Se Puchhe Gaye Sawalo Ke Javab Modi Sarkar Ko Immediately Dena Padta Hai - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Kin Tariko Se Puchhe Gaye Sawalo Ke Javab Modi Sarkar Ko Immediately Dena Padta Hai

In Tarike Se Puchhe Gaye Sawal Modi Sarkar Ko, Jawab Dena Hi Hoga

Narendra Modi Ne Har Citizen Ke Account Me 15 Lakh Rupaye Dalvane Ka Vaada Kiya Tha? Uski Date Kya Hai? Yah Sawal Prime Minister Office Se Puchha Gaya. Ise सूचना के अधिकार (RTI-Right to Information) Ke Tahat Puchha Gaya Tha. आवेदक Vo Date Janna Chahta Hai, Jis Account Me Paisa Aayega. But Is Par PMO Ne Koi Bhi Jankari Dene Se Mana Kar Diya. RTI Ke Jawab Me Kaha Gaya Ki Yah Information 'Right to Information Act' Ke नियमों Ke Tahat Nahi Aati. Aapko Ak Baat Bata Du Ki Hamara Ye Blog Ya Article Na Hi Kisi Political Parties Ko Support Karta Hai, Aur Nahi Against Hai. Ye Jankari Sirf Education Purpose Ke Liye.

Modi Sarkar Ne Konsa Vaada Kiya Tha.
2014 Lok Sabha Ke Elections Ke प्रचार Ke दौरान Vadaa Kiya Tha Ki विदेशों Me Jo Back-Money Jama Hai, Yuse Vapas Laya Jayega. Is Se Har Account Holder Ko 15 Lakh Rupaye Milenge. But Baad Me Party Chief Amit Shah Ne Yah Confirm Kar Diya Tha Ki Yah Mahaj Ak Jumla Tha. Chief Information Commissioner RK Mathur Ne Reply Me Bataya Ki, PMO Se Bataya Gaya Hai Ki Yah Information RTI Act Ki Definition Ke Tahat Nahi Aati.

online-rti-file-kaise-kare

Kaise Puchh Sakte Hai Modi Sarkar Se Sawal
Aap Right to Information (RTI) Ke Tahat Sarkar Se Koi Bhi Sawal Puchh Sakte Hai, Iska Jawab जिम्मेदारों Ko Dena Hi Hoga. But Kuchh Aisi Chuje Hai Jo RTI Ke दायरे Me Nahi Aati. Government Iska Jawab Dene Se Mana Bhi Kar Sakti Hai. To Chale Ham Baat Karte Hai RTI Kon Laga Sakta Hai Aur Iska Online Process Kya Hai. 
Kon Laga Sakta Hai RTI
Koi Bhi Indian Citizens RTI Laga Sakta Hai. Magi Gayi Jankari Ka Description, Application Me Shamil Hona Chahiye. Application Fee Ke Payment Ka Proof Bhi Attach Hona Chahiye. Address Clearly Likha Hona Chahiye. Jaha Par Reply Aana Hai.

Kaise Kar Sakte Hai Online आवेदन:
rtionline.gov.in

RTI Ki Website rtionline.gov.in Par Jaaye. Submit Request Par Click Kare. Uske Baad Check Box Par Click Kare Aur Submit Karde. Iske Baad Aapko RTI Application Submit Karne Ke Liye Form Bharna Hoga. Sahi Ministry Aur Department Select Kare Aur Detail Add Kare. Aapko Application Me Email I'd Add Karna Hoga. SMS Alert Chahte Ho To Mobile Number Bhi Add Kar Sakte Ho.

YOU MAY ALSO LIKE:

No comments:

Post a Comment