Kisi Bhi Banks Me Customers Ko Milte Hai 10 Rights - Pata Hai Aapko? - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Kisi Bhi Banks Me Customers Ko Milte Hai 10 Rights - Pata Hai Aapko?

Banks Se Jude Kaam Sabhi Ke Liye Aasan Nahi Hote. Bank Ke Baare Me Jyada Jankari Na Hone Se Bank Account Khulvana, Loan Lena Jaisa Kaam Mushkil Ho Jaate Hai. Customer Ko Aksar Apne Rights (अधिकरो) Ki Puri Jankari Nahi Hoti, Jis Se Unhe In Mushkilo Ka Samna Karna Padta Hai. In मुश्किलो Se Nijat Dilane Ke Liye Reserve Bank Dvara गठित Banking Codes and Standards Board of India (BCSBI) Ne Bank Customers Ko Bahut Sare अधिकारो Diye Hai. Ham Aapko Aise Hi 10 Banking Rights Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai, Jinhe Jankar Aap Iska Fayda Utha Sakte Ho.

Banks Ne Customers Ko Diye Hai Ye 10 Rights

 10 Banking Rights to customers

1. Right to Open Bank Account
Koi Bhi Bank Keval Permanent Address Proof Ke Abhav Me Country Ke Kisi Bhi Areas Me Rahne Wale Indian Citizens Ka Account Kholne Se Inkar Nahi Kar Sakta.

2. Fund Transfer Right
Koi Bhi Vykti Kisi Bhi Bank Se National Electronic Funds Transfer (NEFT) Ke Jariye 50,000 Rupye Tak रकम Kisi Other Bank Account Me Deposit Kara Sakte Hai. Iske Liye Jaruri Nahi Hai Ki Related Bank Me Us Vykti Ka Account Ho.

3. Check Collection Me देरी Par मुआवजा
Check Collection  Me Bank Ki Taraf Se निर्धारित Samay Se Jyada Vakt Lagne Par Customers Ko मुआवजा Pane Ka Rights Hai. मुआवजे Ki Rakam Simple Interest Rate (साधारण ब्याज दर) Ke Hisab Se Chukai Jayegi.

4. Right to Withdraw Security
Yadi Kisi Customer Ne Bank Se Loan Liya Hai, Jiske Liye Security Di Hai To Is Mamle Me Puri देनदारी Chukaye Jaane Ke 15 Din Ke Bhitar Security Vapas Milni Chahiye.

5. Right to Information
Bank Aur Aapke Bich Huye Agreement Me Yadi Bank Inme Koi Badlav Karta Hai, To Yuse Aisa Karne Se 30 Days Pahle Notice Bhejkar Aapko Iski Jankari Deni Hogi.

6.Unauthorized Withdrawal Ke Liye Customer दोषी Nahi.
Customer Ke Bank Account Se Hui Unauthorized Withdrawal Ke Liye Bank Customer Ko दोषी Nahi ठहरा Sakta Hai. Isko Sabit Karne Ki Jimmedari Bank Ki Hogi. 10th Pass Ke Liye Bank Me Part-time Job, Kare Online Apply

7. इनकार Ka Reason Janne Ka Adhikar
Yadi Bank Koi Facility Dene Se Inkaar Karta Hai, To Customer Ko Iski Vajah Janne Ka Pura Adhikar Hai.

8. Third Party Products
Koi Bhi Bank Kisi Bhi Customer Ko Jabran Third Party Products Nahi Bech Sakta. Third Party Products Ka Matalab Aise Products Se Hai, Jo Related Bank Ke Nahi Hote.

9. Right to Privacy
Customer Ki Private Information Ko Secret Rakhna Banks Ki अहम Jimmedari Hai. Bank Aapki Personal Information Bina सहमति Se Kisi Se Share Nahi Kar Sakta Hai. Bigger Loan Ki Musibat Se Bachne Ke 8 Asan Tarike

10. शिकायत Ko निपटाने Ka Rights
Bank Ko Customer Ko Diye Gaye Rights Ka Palan Karna Hoga. Uski Shikayat Ka Bank Ko समाधान Karna Hi Hoga.

11. Right of Appropriate Behavior

1 comment: