Google Ne Play Store Se UC Browser Ko Delete Kar Diya Hai, Google Ka Kahna Hai Ki UC Browser Indian Users Ka Data Chori Kar Raha Hai. Itana Hi Nahi Vo Data Churake China Tak Pahuchaya Jaata Hai. Isliye Google Play Store Se 30 Days Ke Liye Hata Diya Hai. Baat Kare World Most Popular Web Browsers Ki To Google Chrome Browser Ke Baad UC Browser Ka Naam Aaata Hai. UC Browser Ko 10 Crore Se Bhi Jyada Users Use Karte The. Yah Browser Fast Speed Ki Vajah Se Kafi Famous Huya Tha. Aaj Ke Article Me Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai UC Browser Ke Alava Aise Hi Top 5 High Speed Internet Web Browsers Ki.
5 Best High Speed Internet Browser.
1. Opera Browser
➤Special Things
➤Excellent Turbo Mode
➤Integrated Ad Blocker
➤Fever Plug-in
Opera Ak Quality Browser Hai. Iski Launching Speed Fast Hai. Iska User Interface Bhi Bahut Hi Clean Hai. Is Browser Ka Sabse Best Feature Opera Turbo Feature Hai. Ye Aapke Web Traffic Ko Compress Kar Deta Hai. Jis Se Browsing Speed Fast Ho Jaati Hai. Yah Data Use Ko Bhi Cum Kar Deta Hai. Mobile Par Use Karne Ke Liye Opera Best Browser Hai.
2. Mozilla Firefox Browser
Mozilla Firefox Bhi Internet Browsing Ke Liye Best Hai, Aur Iski Khas Baat Iska Layout Ya Kahe Ki Design Kafi Badiya Hai. Is Me Search Aur URL Box Alag-Alag Hote Hai. Yah Browser Weekly Regular Update Hota Hai. Is Me Bahut Sare Extension Available Hai.
3. Microsoft Internet Explorer Browser
Microsoft Internet Explorer Ka Design Akdam Clean Hai Isko Use Karna Behad Aasan Hai. Iski Pahchan Ak Powerful, Highly Compatible Search Engine Ke Roop Me Hai. Yeh Cum Ram Wale System Me Bhi Best Work Karta Hai.
4. Microsoft Edge Browser
Windows 10 Me Microsoft Edge Browser Ka Experience Default Liya Jaa Sakta Hai. Es Ko Fast Browser Me Shamil Kiya Jaata Hai. Yah Windows Integrated Tablet Me Aasani Se Kaam Karta Hai. Isme Web Browsing Karna Ya Other Work Karne Me Aapko Pleasant Experience Deta Hai. Company Ne Dava Kiya Hai Ki Isme Security Ka Koi Breech Nahi Hai.
5. Vivaldi Browser
Yah Browser Aapko Pleasant Aur Personal Experience Deta Hai. Isme Jald Hi New Features Join Kiye Jayege. Is Browser Ne Short Time Me Web Browser Ke Bich Apni Jagah Bana Li Hai, Vivaldi Me Unique Feature Hai. Browser Ki Duniya Me Yah Pahli Baar Hai Jab Browser Ke Jariye Home Page Ki Light Aur Color Ko Bhi Control Kar Sakte Hai. Vivaldi Ki Specialty Iski Flexibility Hai.
Google Play Store Se Delete Huya UC Browser - Data Chori Ka Hai आरोप.
Fast Web Browser UC Ki Downloading Speed Hui Slow.
Alibaba Group Ke UC Browser Ko Play Store Se Hata Diya Hai, But Ise Hamesha Ke Liye Nahi Hataya Gaya Hai. Filhal Users Is Browser Ko 30 Day Yani Ki 15 December Tak Play Store Se Install Nahi Kar Sakege. Baat Ye Hai Ki Google Ka Manna Hai Ki Indian Users Ka Personal Data China स्थित Apne Server Par Bhej Raha Hai. Sath Hi, Yadi User Is Browser Ko Phone Se Uninstall Kar Dete Hai Tab Bhi Ye Aapke Device Ko Control Kar Sakta Hai. Yani Ab Ye Browser Aapke Phone Ke Liye Third Party App Ban Chuka Hai.
Third Party App Made By UC Browser
Play Store Ne Jaise Hi Is Browser Ko Apni App List Se Delete Kiya, Ye Third Party App Ban Gaya. Yani User Ko Ab Ye Browser APK File Ki Help Se Apne Device Me Install Karna Hoga. Sath Hi, Apne Phone Ke Unknown Source Ko Bhi ON Karna Hoga. Android Operating System User Ko Kabhi Bhi APK File Wale Kisi Bhi App Ko Install Karne Ki Permission Nahi Deta Hai. Yani Agar Aap APK File Se Aapke Phone Ko Kisi Tarah Ka Loss Ya Phone Damage Hota Hai, To Iski Responsibility Google Ki Nahi Hogi.
UC Browser Par Kab Ho Gayi Downloading Speed Slow.
UC Browser Par Movie Aur Song Ko Aasani Se Download Kiya Jaa Sakta Hai. Yaha User Downloading Ko Pause Karne Aur Pause Se Start Karne Ki Facility Bhi Deta Hai. Yahi Vajah Hai Ki India Me Ise Use Karne Wale Users Kai Guna Badh Chuka Hai. Halaki, Jo Uset UC Web Use Kar Rahe Hai Unka Kahna Hai Ki Ab UC Browser Me Pahle Jaisi Downloading Speed Nahi Milti Hai. Khas-Kar, Night 8 Baje Ke Baad Pahle 4mbps Se 7mbps Tak Ki Downloading Speed Aati Thi, Vo घटकर Ab 1mbps Se Bhi Cum Ho Gayi Hai. Aise Me Ho Sakta Hai Ki Google Ne UC Par Data China स्थित Apne Server Par Bhej Ne Ki Jo Baat Kahi Hai Vo Sahi Ho.
Jo Users UC Browser Use Kar Rahe Hai Unka Kya?
UC Browser Use Karne Wale India Me Lakho Users Hai. Aise Me Is Browser Ka App Jiske Bhi Phone Me Hai Vo Yuse Update Nahi Kar Sakege. Itana Hi Nahi, Google Iske Liye Kisi Tarah Ki Security Nahi Degi. Matalab Ki User Apne Risk Par Is Browser Ka Istemal Kar Sakte Hai. Vaise 30 Day Ke Baad Yadi Ise Feer Se Play Store Par Add Kiya Jaata Hai Tab User Ko Is Se Jude Update Milte Rahege.
Ye Bhi Padhe➥
No comments:
Post a Comment