Har Indian Ke Pass Ab Aadhaar Card Hona Jaruri Ho Gaya Hai. Bina Aadhaar Ke Aapka Kaam Hona Mushkil Hai. Lekin Aadhaar Ke Alava Bhi Aise Documents Hai, Jo Aapke Paas Hona Hi Chahiye. In Documents Ke Na Hone Par Aap Musibat Me Pad Sakte Hai. Aaj Ke Article Me Ham Aapko Aise Hi 5 Important Documents Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai Jo Har Indian Citizens Ke Paas Hona Chahiye. Sath Hi Ye Bhi Janege Ki In Documents Ko Kaha Se Banvaya Jaa Sakta Hai.
1. Aadhaar Card:
Aadhaar Card Banvana Ab Har Indians Ke Liye Jaruri Ho Gaya Hai. Central Government Ki Schemes Se Lekar Bank, Insurance Tak ko Aadhaar Number Se Jod Diya Gaya Hai. Aap Apne Area Ke Aadhaar Center Me Jakar Is Card Ko Banva Sakte Ho. Ya Feer Aadhaar Card Ke Liye Online Bhi Apply Kar Sakte Ho.
2. Voter ID Card:
Voter ID Bahut Hi Important Documents Hai. Iske Bina Aap Election Me Voting Nahi Kar Sakte. Voting Ke Alava Identity Card Ke Taur Par Bhi Use Hota Hai. Voter Card Ko Election Office Me Jakar Banvaya Jaa Sakta Hai. Ya Feer Aap Election Commission Ki Website Par Jakar Bhi Online Process Complete Kar Sakte Ho. eci-citizenservices.nic.in Agar Aapko Nahi Pata Ki Online Voter Id Card Kaise Banavaya Jaata Hai To Ye Post Read Kare.
3. Pan Card:
Pan Card Ki Jarurat Income Tax File Karte Vakht Padti Hai. Bank Se Jude Kaamo Ke Sath Hi Property Ko Kharidne-Bechne Ke Liye Bhi Is Card Ki Jarurat Hoti Hai. Aap Apne नजदीकी IT Pan Services Center Par Jakar Pan Card Banva Sakte Hai.
4. Passport:
Passport Aapki Pahchan Ka Sabse Bada Document Hota Hai. Ise Banvate Samay Name, Surname Se Lekar Sabhi Jankariya Dene Me Kafi सतर्कता Barti Jati Hai. Passport Ke Bina Aap Visa Ke Liye Apply Nahi Kar Sakte. Passport Service Ki Website www.passportindia.gov.in Par Jakar Aap Khud Hi Apna Passport Banva Sakte Hai.
5. Marriage Certificate:
India Me Shadi Ka Registration The Hindu Marriage Act, 1955 Ya Feer The Special Marriage Act 1954 Ke Tahat Kiya Jaata Hai. Shadi Ki कानूनी मान्यता स्थापित Karne Ke Liye Aur Surname Badalne Ke Liye Iska Istemal Kiya Jaata Hai. Registrar Office Me Jakar Aap Is Certificate Ko Banva Sakte Hai. Agar Aapko Online Marriage Certificate Kaise Banavaya Jaata Hai Nahi Pata To Ye Post Read Kare. ➦Online Marriage Certificate Kaise Banaye, Registration Process Aur Fayde
6. Birth Certificate:
Birth Certificate Ko Municipal Corporation Aur ग्राम पंचायत Se Banvaya Jaa Sakta Hai. Yah Age Ke Pahchan Ka Sabse Bada Proof Hota Hai. बच्चे Ke जन्म Ke Baad Hospital Se Hi Iski Process Ki Jaa Sakti Hai.
Ye Bhi Padhe➦
I will right away grab your rss feed as I can't to find your email subscription hyperlink or e-newsletter service.
ReplyDeleteDo you have any? Please permit me understand so that I may just subscribe.
Thanks.
You can add your email to the newsletter box and then do the captcha, then later verify your email and verify it.
ReplyDelete