Gun (बंदूक) Ka Licence Lene Ki Full Process Hindi Me - Internet Happy World

Hot

March 23, 2019

Gun (बंदूक) Ka Licence Lene Ki Full Process Hindi Me

बंदूक Ka Licence Kaha Se Le Aur Kya Hai Process, Kitna Hoga Kharcha.

how-to-obtain-gun-license-in-india

Sirf 100 Rupye Me Le Sakte Hai In 3 Jagaho Se Gun Ka Licence.

India Me Gun Ka Licence Arms Act 1959 Ke Tahat Diya Jaata Hai  India Me Rahne Wale Citizen Sirf NBP Gun Non Prohibited Bore Ke Tahat बंदूक Le Sakte Hai. Is Act Ke Tahat Koi Bhi Citizen Apni Security Ke Liye Gun Ka Licence Le Sakta Hai. Aaj Ke Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Gun Licence Lene Ki Puri Process Hindi Me To Last Tak Padhe.

Form A Download Karna Hoga.
Gun Ka Licence Lene Ke Liye Aapko Form A Fill Karna Hoga. Form A Download Karne Ke Liye Aap Is Link Par Click Kare FORM OF APPLICATION FOR AN ARMS LICENCE Yaha Se Aapka Form A Download Ho Jaayega.

India Me Milne Wale Sabhi Licence Ke Liye Isi Form Ka Use Kiya Jaata Hai. Sabhi Supporting Document Ke Sath Is Application Ko Arms Licensing Office Me Jama Karna Hota Hai. Yah Office (District Magistrate, Deputy Commissioner Ya Police Commissioner) Me Ho Sakta Hai. Aapke District Me Aapko Pata Karna Hoga Ki Kaha Application Jama Hoti Hai. 

Kon Se Document Lagana Hote Hai.
Address Proof, Age Proof, Fitness Certificates Ke Sath Hi Licensing Officer Dusre Kai Documents Ki Demand Kar Sakta Hai. Arms Licence Ki Jarurat Aur Nature Ke Hisab Se Bhi Aur Documents Ki Demand Kar Sakte Hai. Prohibited Bore (PB) हथियारों Ko Dene Ke Liye Licensing Authority Central Government Ka Home Ministry Hai. Jab Ki Non Prohibited Bore Weapons (NPB) Arms District Magistrate Aur Dusre District Authority द्वारा Jari Kiye Jaate Hai.

Aapka Application Reject Bhi Ho Sakta Hai.
Aapka Arms Licence Reject Bhi Kiya Jaa Sakta Hai. Iske Pichhe Ka Region Bhi Aapko Bataye Jaate Hai. Arm Licence Ke Liye Apply Karne Ke Baad Police Aapka Records Check Karti Hai. Isme Dekha Jaata Hai Ki Pahle Vykti Ka Criminal Record To Nahi Raha? Address Ka Verification Kiya Jaata Hai. Iske Alava Bhi Aapke Baare Me Tamam Jankari Jutai Jaati Hai  Jaise Colony Me Aap Rah Rahe Hai, Vaha Se 2 Logo Se Aapke Character Ke Baare Me पूछताछ Ki Jayegi. Yah जांच Ki Jayegi Ki Kahi Aap Mental Ya Physical Taur Par बीमार Hai Ya Nahi. Police Officer आवेदनकर्ता Ka Interview Bhi Lete Hai.

Sabse Important Hota Hai Ye Sawal 
Interview Ka Sabse Important Question Yahi Hota Hai Ki Aap Gun (बंदूक) Kyo Chahte Hai? Iska Answer Me Jydatar Log Yahi Dete Hai Ki Yah Self Defense Ke Liye Jaruri Hai, Interview Ke Baad Aapki Report Criminal Branch Ke Sath Hi National Crime national Bureau Ke Paas Jaati Hai. Isme Koi आपत्ति Nahi Aai Aur Police Officer आवेदनकर्ता Ke Documents Aur Baat Se Satisfied Huye To Aapko Gun Ka Licence Jaari Kar Diya Jaata Hai. Licence Milne Ke Baad Vykti Gun Bechne Wale Dealer Se Contact Kar Sakta Hai. Customer Ko Apni Pasand Ki बंदूक Ke Liye Pre-Order Karna Hota Hai. 

Kitani Lagti Hai Fees
Pistol, Revolver And Repeating Rifle Ke Liye License Fees 100 Rupye Hai. Vahi Renewal Fees 50 Rupye Hai. 22 बोर Rifle License Ki Kimat 40 Rupye Aur Renewal Fees 20 Rupye Hai. Vahi ML Gun, Air Gun Ke Liye 10 Rupye Fees Lagti Hai. Renewal Ke Liye 5 Rupye Fees Lagti Hai. Alag-Alag Weapon Ki Category Ke Hisab Se Fees Alag-Alag Hai.

Also Read:

2 comments:

  1. How much is the price of a gun ?

    ReplyDelete
  2. licence lene ke baad jab aap dealer se contact karege tab aapko bataya jayega.

    ReplyDelete