Google Ke 8 Secret Features Ko Kaise Kare Use - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Google Ke 8 Secret Features Ko Kaise Kare Use

Happy World Ki Special Post Me Aaj Aapko Google Ke Aise 8 Hidden Features Ke Baare Me Batane Ja Raha Hu. Jaise Ki Har Koi Internet World Me Google Use Karne Ke Baare Me Jante Honge. But Google Ne Users Ki Facility Ke Liye Bahut Sare Features Banaye Hai, Aksar Inka Istemal Har Koi Karta Hai, Lekin Me Jo Batane Jaa Raha Hu Google Ke 8 Secret Features Ke Baare Me Vo Shayad Hi Kisi Ne Use Kiya Hoga. Vo Features Bahut Interesting Hai Aap Bhi Ise Try Kar Sakte Hai.

Google Search Secrets Tricks and Features In Hindi

Google Secret Features Ko Kaise Kare Use
Ham Apna Kafi Time Google Search Engine Par Kaam Karte Huye Bitate Hai, Lekin Feer Bhi Google Ke Kai Useful Features Se Anjan Hai. Is Article Ke Jariye Hamne Aapko Google Tricks and Secrets Hidden Features Ke Baare Me Batane Ki Koshish Ki Hai, Aapko Jarur Pasand Aayegi. Aur Bahut Hi Useful Sabit Hogi.

1. Pronunciation Me Karta Hai Help

Google Calculations Karne Me Aapki Bahut Help Karta Hai. Agar Aap Kisi Big Digit Ko Pronounce Nahi Kar Pa Rahe Hai, (ex. 9956893220) To Google Me Us Digit Ko Add Karke Uske Aage =Lagakar English Likhe. (ex. 9956893220=English) Aisa Karte Hi Is Digit Ka English Me Full Answer Mil Jayega.
(Example. 9 956 893 220= nine billion nine hundred fifty-six million eight hundred ninety-three thousand two hundred twenty)
2. Favorite Fonts Select Karna:

Google.com/fonts Par Jakar Aap Apna Favorite Fonts Select Karke Usme Kaam Kar Sakte Hai. Yah Free Of Cost Hai.

3. Google Trends / Most Search Item

Google Search Engine Me Jakar Aap Jaise Hi Google Trends Type Karte Hai To Aapko Google Trending Stories Ki Puri list Samne Aayegi. Isme Aap Har Din Ke Most Search Item Dekh Sakte Ho. Isme India Aur World Ki List Alag-Alag Dekh Sakte Hai.

4. Google.com/sky / Walk out the sky

Google.com/sky Par Jakar Aap Nasa Satellite Ki Images Dekh Sakte Ho. Sath Hi Digital Sky Survey Ke Baare Me Information Prapt Kar Sakte Hai. Yaha Par Aapko Planets (ग्रहों) Ki bhi Jankari Mil Jayegi.

5. Google Maps Par Apni Personal Photos Kaise Lagaye.

Google Panoramio Me Jakar Aap Apne Photos Ko Google Maps Par Upload Kar Sakte Hai. Jis Jagah Aapne Yah Photos Capture Kiye Hai Usi Jagah Aap Inhe Laga Sakte Hai.

6. World Museums Ka Collection

Google Art Project Me Jakar Aap Pure World Ke Museum Ke Artwork Ka Collection Dekh Sakte Hai. Yah Sabhi High Revolution Photos Hai.

7. Google Keep Apps:

Google Keep Ak Aasi App Hai Jo Mobile Aur Desktop Dono Par Work Karti Hai. Is Application Ki Help Se Aap Apne Kaamo Ka लेखा जोखा Rakh Sakte Ho. Actually Yah Ak Modern To-Do List Hai. Yaha Par Aap Remainders Bhi Set Kar Sakte Ho.

8. Google Transalate App: Real Time Voice And Visual Translation

Aap World Ke Chahe Koi Bhi Location Pe Ho. Aapko Ye Application Language Ki Problem Nahi Hone Degi. Agar Aap Duniya Ke Kisi Bhi Kone Me Hai Aapko Vaha Ki Language Samaj Nahi Aa Rahi Hai To Google Translate App Aapko Real Time Voice And Visual Translation Kar Aapki Puri Help Karega.

CONCLUSION:
Friends Google Secret Search Ke Baare Me Aur Bhi Post Read Karna Chahte Ho aur Hamara Article Free Me Apne Email Address Par Pana Chahte Ho To Subscribe Kare and Aap Chhte Ho Ki Hamara Article Aapko Facebook Par Mile To Hamara Facebook Page Like Kare. Aapko Ye Article Pasand Aaya Ho To Share Jarur Kare. Post Se Related Koi Sawal Ho To Hame Comment Me Pus Sakte Ho, Aapki Puri Help Ki Jayegi. Thanks And Keep Visiting.

ALSO READ:


4 comments:

  1. bahut badiya article, google search tricks and google secrets tricks ke baare me achi information di hai thank you

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you very much and keep visiting

      Delete
  2. hi , Sanju Dangar please ap google ke jo new update aye hai uspe article likhe

    ReplyDelete
    Replies
    1. ok bro.. but abhi bahut sare blogger ne google ke new update ke baare me article share kar chuke hai, thans and keep visiting

      Delete