बैंकों को अतिरिक्त शुल्क से बचने की 6 एक्सीलेंट टिप्स.
Bank Ab Extra Charge Lete Hai, Minimum Balance Maintain Na Karne Se Lekar ATM Se Paise Nikalne Tak Customers Ko Extra Charge Dena Hota Hai. Yah Chhote-Chhote Charges Online Hi Cut Ho Jaate Hai Aur Bahut Si Baar Customer Ko Inki Jankari Bhi Nahi Hoti Hai.
Vaise Jyadatar Bank SMS Aur Email Ke Jariye Services Ke Liye Vasul Rahe Charges Ki Janakari Dete Hai Lekin Kai Log Inhe Ignore Kar Dete Hai, Jab Ki Aapko Inhe Dhyan Se Padhna Chahiye. Vahi Yadi Aapke Paas Bank Se Alert Nahi Aa Raha Hai To Aap Email Aur Phone Number Bank Me Jakar Update Karva Sakte Hai Ya Feer Net Baking Ke Jariye Bhi Apna Email Aur Phone Number Add Kar Sakte Hai. Monthly Aur Quarterly Bank Statement Bhi Aapko Dhyan Se Padhna Chahiye. Aaj Ke Article Me Ham Aapko Bata Rahe Hai, Aise 6 Tips Jinhe Follow Karne Par Aap Extra Charge Dene Se Bach Sakte Hai. Yani Ki Full Money Saving Tips.
6 Excellent Tips to Avoid Extra Dues from Banks.
1. 5-Transaction Hi Free:
Kai Bank 1 Mahine Me 5 Transaction Hi Free Dete Hai. Aise Me ATM Se Is Hisab Se Cash Nikale Jis Se Aapko Extra Paise Na Dena Pade.
2. Net Banking Ka Kare Use:
Checkbook Ke Bajay Net Banking Ke Jariye Paiso Ka लेनदेन Kare, Is Se Extra Charge Se Bach Sakte Hai.
3. Credit Card Se Paise Na Nikale:
Credit Card Ke Payment Par Jo Interest Lagta Hai Uske Upat Bank Transaction Fees Vasulate Hai. Isliye Credit Card Se Paise Nikalne Se Bachna Chahiye.
4. Minimum Account Pura Rakhe:
Apne Bank Account Me Minimum Amount Hamesha Rakhe. Is Se Bhi Extra Charge Se Bach Sakte Hai.
5. Statement Email Par Bulvaye:
Duplicate Statement Bank Branch Ki Bajaye Apne Email Par Bulvaye. Is Se Aapko Charge Nahi Dena Hoga.
6. Paisa Hone Par Hi Check De:
Agar Aapke Bank Account Me Paise Nahi Hai To Kisi Ko Check Na De. Aisa Karne Par Aap Par Penalty To Lagegi Hi Sath Hi Aap Legal Scum Me Bhi फस Jayenge.
➧YOU MAY ALSO LIKE:
➧YOU MAY ALSO LIKE:
- Ak Se Jyada Bank Account Hone Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hai
- Kisi Bhi Banks Me Customers Ko Milte Hai 10 Rights
- Aadhaar Card Se Hone Wale 8 Fayde Kya Hai.
- Bank of Baroda Me Nikali 590 Posts Par Vacancy
- 10th Pass Ke Liye Bank Me Part-time Job. Kaise Kare Online Apply
- 2018 Me Best Income Ke 5 Best Option
- Bigger Loan Ki Musibat Se Bachne Ke 8 Asan Tarike
- Phone Number Ko Aadhar Se Link Karne Ki Sabse Aasan Process
- Ye 5 Important Documents Har Indian Ke Pass Hona Jaruri Hai.
No comments:
Post a Comment