Yadi Aap Bina Koi Risk Liye Tax Saving Karna Chahte Hai To Aapke Liye Post Office Ki Scheme Sabse Best Ho Sakti Hai. Post Office Ki Scheme Sabse Jyada Secure Mani Jaati Hai. Market Me Chal Rahe Dusri Scheme Ke Comparison Me Inme Bhale Hi Bahut Bada Return Na Diya Jaa Raha Ho, Lekin Jitna Return Post Office Offer Kar Raha Hai, Ve Aapko Milna Fix Hai. In Scheme Me Investment Karke Aap Tax Save Kar Sakte Hai. Aaj Ke Is Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Post Office Ki Aisi 4 Best Scheme Ke Baare Me Jo Tax Saving Ke Sath Good Return Bhi Milta Hai.
Tax Saving Scheme:
- Term Deposit (TD)
- National Savings Certificate (NSC)
- Senior Citizen Savings Scheme (SCSS)
- Public Provident Fund (PPF)
Post Office Me Good Returns Pane Aur Tax Saving Ki 4 Scheme.
|
Term Deposit (TD)
Term Deposit Account Ko Koi Bhi Open Karva Sakta Hai. Yah Account Post Office Ki Ak Branch Se Dusri Branch Me Transfer Bhi Ho Sakta Hai. TD Account Open Karne Ki Koi Limit Nahi Hai. 10 Saal Ya Is Se Jyada उम्र Ka Koi Bhi Person Is Account Ko Operate Kar Sakta Hai. Isme 5 Years Ke Liye Kiya Gaya Investment 80C Ke Tahat कटौती Ke योग्य Hai. TD Account Me Aap Kitni Bhi Money Deposit Kar Sakte Hai. Isme Annually Interest Diya Hota Hai.
|
National Savings Certificate (NSC)
Post Office Ki Yah Scheme Khas-Taur Par Employees, Businessman Ya Aise Logo Ke Liye Hai Jinki Salary Par Tax कटता Hai. Isme Maximum Investment Ki Koi Limit Nahi Hai. But, Aap Sirf 1.5 Lakh Rupaye Tak Ka Deduction Karva Sakte Hai. NSC Ke Certificate Ke Aadhar Par Aap Loan Bhi Le Sakte Hai. Loan Me Security Ke Taur Par Is Certificate Ko जमा Kiya Jaa Sakta Hai. Isme Interest Rate 6 Month Me Combined Kiya Jaata Hai. Financial Year 2016-17 Ke 3rd Aur 4th Quarters Me 5 Years Ke Liye NSC Ka Interest Rate 8% Annually Raha.
|
Public Provident Fund (PPF)
Tax Saving Karne Ka Yah Sabse Jyada Prefer Karne Wala Option Hai. Isme Contribution, Interest and Maturity Amount Tax Free Hota Hai. Isme Account Open Hone Ke 7th Year Se Hi Paise Nikale Jaa Sakta Hai. Vahi Loan Tisre Financial Year Se Hi Liya Jaa Sakta Hai. Iska Maturity Period 15 Years Ka Hota Hai. Ise 5 Year Badhaya Bhi Jaa Sakta Hai. Retirement Ke Hisab Se Bhi Is Scheme Me Invest Karna Sabse Best Options Me Se Ak Hai.
|
Senior Citizen Savings Scheme (SCSS)
Isme Vahi Log Account Open Karva Sakte Hai Jinki Age 60 Year Se Jyada Hai. VRS Lene Wale Log 55 Saal Ki उम्र Me Apna Account Open Kar Sakte Hai. Iska Maturity Period 5 Years Ka Hota Hai. Iske Investment Ko Bhi 80C Ke Tahat Claim Kiya Jaa Sakta Hai. Isme Quarterly Interest Diya Jaata Hai.
Dosto, Is Article Me Hamne Post Office Ki Tax Saving 4 Scheme, Term Deposit, National Savings Certificate, Senior Citizen Savings Scheme, Public Provident Fund Ke Baare Me Bataya, Jaha Se Aapko Sabse Best Return Milta Hai. Aap Isme Se Koi Kisi Bhi Scheme Me Apna Paisa Invest Kar Sakte Ho, Is Se Tax Bhi Bacha Sakte Hai. Umid Karta Hu Ki Aapko Hamara Ye Article Jarur Pasand Aaya Hoga, Aise Hi Update Pana Chahte Ho To Hamare Blog Ko Subscribe Kare, Aur Koi Sawal Ho To Comment Me Bataye, Thanks And Keep Visiting..
➧YOU MAY ALSO LIKE:
➧YOU MAY ALSO LIKE:
No comments:
Post a Comment