YouTube Se Paise Kamana Hua Aasan- Adsense Monetization Policy 2018 - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

YouTube Se Paise Kamana Hua Aasan- Adsense Monetization Policy 2018

Hello Friends, Ham Aaj Ke Article Me Jo Baat Karne Jaa Rahe Hai, Vo Hai YouTube Monetization New Policy Update 2018 Ki, YouTube Ne Apni Policy Me Abhi Tak Ka Sabse Bada Badlaav Kiya Hai, Aaj Ke Topic Me Main Point Kuchh Is Tarah Se Mention Kiya Hai. YouTube New Monetization Rules 2018, YouTube New Monetization Policy 2018.

1 Lakh Followers Par Paid YouTube Channel Kaise Banaye.


YouTube Ke Chief Product Officer Neal Mohan Ne Friday Ko Company's Ki Annual Conferences 'VIDCON 2018' Me Monetization Policy Ko Aur Bhi Aasan Karne घोषणा Ki. Iske Jariye YouTuber Apne Channel Ke Jariye Jyada Paise Kama Sakte Hai. Neal Mohan Ne Bataya Ki Agar Kisi Channel Ke Paas 1 Lakh Se Jyada Followers Hai, To Vo Apne Channel Ko Paid Bana Sakta Hai, Yani Ki Users Uske Channel Ka 4.99$ (About Rs 340) Me Monthly Subscription Le Sakte Hai. Iske Baad Users Channel Ki Taraf Se Diye Jaane Wale Kai Bahetarin Features Ke Fayda Le Sakte Hai.

1 Lakh Se Jyada Followers Wale Channel Par Ab Sharu Hoga Paid Monthly Subscription
youtube-monetization-new-policy-update-2018

YouTube New Monetisation Policy Update - 3 New Features Added;
Neal Mohan Ne Bataya Ki New Monetisation Policy Ke Tahat YouTube Me 3 Tarah Ke New Features Add Kiye Hai, Taki Channel Apne Content Ke Jariye Pahle Se Jyada Aur Acchi Kamai Kar Sake. New Monetisation Policy Ke Tahat YouTube Ka Pahla Feature Hai Tweet Subscription. Aur Dusra Best Feature Hai Merchandise. Aur Tisra Feature Hai Premiere. Ab Ham 3no Features Ke Baare Me Thoda Deep Me Jakar Baat Karege Ki Is New Monetisation Policy Se YouTuber Ko Kya Fayda Hoga Aur Users Ke Liye Kitna Useful Hoga, Aur Income Me Kya Fayda Hoga.

1. New Feature - Tweet Subscription:
New Monetisation Policy Ke Tahat YouTube Ka Pahle Feature Ki Baat Kare To Vo Hai Tweet Subscription. Jiske Jariye Users Channel Ko Subscribe Kar Sakte Hai. Aur Neal Mohan Ne Ye Bhi Bataya Ki Abhi Ye Feature Sirf America Me Hi Sharu Kiya Gaya Hai Aur Jald Hi Ese 1 Lakh Se Jyada Followers Wale Channel Ke Liye Bhi Sharu Kar Diya Jayega.

2. New Feature - Merchandise:
YouTube Ka Dusra Best Feature Hai Merchandise Iske Jariye Har YouTube Video Ke Niche Ads Link Jodi Ja Sakti Hai. Abhi Tak Video Creator Ko Personal Store Front Ko Video Description Se Link Karna Padta Tha, Lekin Ab Channel Me Hi Ak Section Milega Jisme Har Product Ki Kimat Aur Photo Dikha Sakenge.

3. New Feature - Premiere:
New Monetization Policy Ke Tahat Tisra Feature Premiere Joda Gaya Hai. Jiske Jariye Creator Apne Pahle Se Recorded Video Ko Page Par Live Streaming Me Dikha Sakta Hai. Sath Hi Baki User Se Chat Bhi Kar Sakta Hai.

YouTube New Policy Update 2018 Kya Hai.

Is Policy Me Badlaav Karne Ke Baad Ab Unhi Channel Ko Ads Mil Payege Jis Channel Par 1 Year Me Cum Se Cum 10,000 Subscriber Ho Sath Hi Total 4000 Hours Ka Watch Time Ho. 4000 Hours Yani 4000×60=240,000 Minute Ka Watch Time Hona Jaruri Hai. New Policy Me Channel Ke 10,000 Subscriber Hone Ke Sath Cum Se Cum 1 Lakh Followers Hona Bhi Compulsory Hai. Is Criteria Me Aane Wale Channels Ko Hi Google Adsense Se Ads Lene Ki Facility Milegi. Is Criteria Me Na Aane Par Monetization Automatic Disable Ho Jayega.

YouTube Monetization Ki Old Policy Kya Thi.

Pahle YouTube Channel Par Koi Bhi Apni Email ID Se Login Kar YouTube Channel Banakar Turant Video Upload Kar Sakte The. Iske Baad Adsense Ke Liye Apply Kar Monetization Enable Kar Paise Kamane Sharu Kar Dete The. Last Year 2017 Me Bhi Google Ne 10,000 Life Time Views Policy Banai Thi Jisme Kisi Bhi Channel Par 10,000 Views Hone Par Hi Videos Par Ads Milta Tha.

Kyu Karna Pada Monetisation Policy Me Itana Bada Update?

Ham Jante Hai Ki Last Kuchh Month's Se YouTube Kai Controversies Me घिरा Hua Tha. Baat Chahe घोटालों Ki Ho Ya Feer Site Par Mozuda à¤µिवादित Content Ki. Last Year Me Kai YouTube Users Ne Site Ke Content Lekar Complaints Ki Hai. Users Ka Kahna Hai Ki YouTube Ke Contents Ka बच्चो Par Bad Effect Pad Raha Hai. Aise Me Apni Image Ko Improve Karne Ke Liye Aur Logo Ki Complaints Ko दूर Karne Ke Liye YouTube Ne Kuchh Bade Kadam Uthaye Hai.

Haal Hi Me Ak शख्स Ne Channel Par Behad Disturbing Video Upload Kiya Tha Jisme Suicide Karne Wale Ak शख्स Ke Dead Body Ko फिल्माया Gaya Tha. YouTube Ne Is Content Ko Lekar Immediate Action Liya Aur Video Ko Channel Se Remove Kar Diya Gaya. Sath Hi YouTube Ne Poll Ko Apne Ads Program Se Bhi Nikal Diya Aur Uske Sath Apne Projects Ko Bhi Hold Par Rakh Diya.

New YouTuber Ko Ab Video Se Paise Kamana Ho Jayega Mushkil.

Is Tarah Ki घटनाओं Se Nipatane Ke Liye YouTube Ne Apni Monetizing Policy Yani Users Ko Ads Ke Jariye Paisa Dene Ki निती Me Badlav Kiya. Ab YouTube Par Naye YouTuber Ko Paisa Kamana Pahle Ki Tulna Me Mushkil Ho Jaayega. Ab YouTube Par Vahi Paise Kama Payega, Jiske Cum Se Cum 1000 Subscribers Ho Aur 4000 Hours Se Jyada Watch Time Ho.

Kise Kahte Hai YouTube Monetization

YouTube Monetization Ka Matalab Hai Apne YouTube Videos Par Ads Sharu Karne Ki Permission Dena. Iske Liye YouTube Channel Ke Monetization Enable Karna Hota Hai. Ese Enable Karte Hi User Ka YouTube Se Ak Agreement Hota Hai Jisme Kuchh Term And Condition Hoti Hai.

Is Term And Condition Ke Tahat YouTube Har Channel Jis Par Monetization Enable Hai Us Channel Ki Monthly Income Ka 45% Kat Kar Channel Ki Total Income Ko Google Adsense Ko Bhejta Hai Jise User Apne Account Me Transfer Bhi Kar Sakta Hai. Lekin YouTube Par Monetization Enable Karne Ki Kuchh Criteria Hote Hai.

Kya Hai YouTube Monetization Ka Criteria
  • 1- Sabse Pahla Rule Yah Hai Ki Aapka Video Advertisement Hona Chahiye. Isme Kisi Bhi Tarah Ka Violent Scene (हिंसात्मक सीन) Na Ho Aur Nahi अश्लीलता.
  • 2- Video Me Dusre Ki Chijo Ko Bina Uski Permission Ke Use Nahi Kar Sakte. Example Ke Liye Aap Kisi Aur Ka Background Music Apne Video Me Use Nahi Kar Sakte. Agar Aisa Kiya To Aap Ka Channel 3 Se 6 Month Tak Ke Liye Block Ho Sakta Hai.
  • 3- Aap Kisi Aur Ka Video Use Nahi Kar Sakte. Aisa Karne Par Aapka YouTube Channel Block Ho Sakta Hai.
YouTuber Monetization New Policy Update 2018, YouTube Monetization Policy Me Badlaav, Ab 1 Lacs Follower Par Hi Milega Ads, YouTube New Policy Update 2018- Ab Chennal Se Paisa Kamana Huya Mushkil

No comments:

Post a Comment