Interview Me Puche Jane Wale Most Important 5 Question - Internet Happy World

Hot

July 7, 2019

Interview Me Puche Jane Wale Most Important 5 Question

Job Interview Me Kuchh General Questions Se Har Candidate Ka Samna Hota Hai. Usually Job Seekers Technical Questions Ki Achhi-Khasi Taiyari Karke Jaate Hai, But General Questions Yani Ki सामान्य सवालों Ko Jyada Time Nahi Dete Hai. Jab Ki In Sawalo Ke Majboot Jawab Bhi Aapko Job Offer Hasil Karne Me Help Kar Sakte Hai. Yaad Rakhe Ye Sawal सुनने Me Bhale Hi सामान्य Lagte Hai, Lekin Inka Maksad Candidate's Ki Potential पहचानना Hota Hai. Yaha Interview Me Puchhe Jane Wale Aise Kuchh Sawal Aur Unki Taiyari Se Jude Interview Tips Bata Rahe Hai, Jo Aapke Kaam Aa Sakti Hai.

Interview Me Puche Jane Vale Vo 5 Sawal Aapko Mil Sakti Hai Naukri

questions in hindi with answer

1. Aapne Pichhla Job Kyo Chhoda?

Interview Me Puche Jane Wale Sawalo Me Sabse Pahla Sawal Aksar Yahi Pucha Jata Hai Ki Aapne Last Job Kyo Chhoda? Is Sawal Se Interviewer Yah Janna Chahte Hai Ki Aapne Apna Pichala Job Kis Vajah Se Chhoda. Actually, Is Sawal Ke Jariye Vo Kaam Ko Lekar Aapka Mindset Janna Chahte Hai. Aise Me Agar Growth Ke Liye Naukri Badal Rahe Hai To Yah Ak Logical Wajah Hogi. Vahi Agar Work Pressure Ya Aisi Hi Other Kisi Wajah Se Job Chhodi Hai To Uske Baare Me Kabhi Bhi जिक्र Na Kare.

2. Apne Baare Me Bataiye?

Dusra Sabse Important Sawal Har Interviewer Yahi Puchte Hai Ki Apne Baare Me Bataye, Recruiter Is Sawal Ke Jariye Yah Janna Chahte Hai Ki Aapki Professional Personal Recruiter Company Ke Liye Kis Tarah Beneficial Hogi. Is Sawal Ke Jawab Me Apply Kiye Gaye Job Roll Ko Dhyan Me Rakhte Hua Apne Experience Aur Goal's Ke Baare Me Baat Kare. Yaad Rakhe Yah Sawal Aapko Professional Behaviour Ko Samaj Ne Ke Liye Pucha Jata Hai, Aise Me Cum Se Cum Words Me Apni विशेषताओं Ke Baare Me Bataiye.

3. Salary Expectations?

Tisra Sabse Most Important Question Har Interviewer Yahi Puchte Hai Aapki Salary Expectations Ke Baare Me, Is Se Interviewer Aapse Yah Janna Chahte Hai Ki Aap Khud Ko Kaha आंकते Hai. Aise Me Jaruri Hai Ki Aap Research Karke Jaye Ki Aapke Job Profile Ke Liye Market Me Salary Range Kya Hai? Is Se Aap Recruiter Ko Ak Andaja De Payenge.

4. Future Ke Liye Kya Goals Hai?
Yah Sawal Bhi Aksar Pucha Jata Hai Ki Aapka Goals Kya Hai Future Ke Liye. Yah Sawal Puchkar Interviewer Aapse 2 Baate Janna Chahte Hai. Pahla Yah Ki Aap Unki Company Ke Liye Sahi Candidate Hai Ya Nahi Aur Dusra Yah Ki Job Ke Liye Aapke Goals Short-Term Hai Ya Long-Term. Is Se Aage Badhne Ki Aapki इच्छा शक्ति (Willpower) Aur जिम्मेदारियां (Responsibilities) Lene Ki प्रवृत्ति (Trend) Bhi Pata Chalegi. Iske Sath Hi Example Dekar समझाएं Ki Aap Company Ke Liye Kis Tarah Useful Sabit Ho Sakte Hai.

5. Aap ki Sabse Badi Weakness Kya Hai?
Is Sawal Ke Jariye Interviewer Janna Chahte Hai Ki Aap Apni Kamiyo Ko Lekar Kitne सहज Hai. Jawab Dete Hua Dhyan Rakhe Ki Weakness Sabhi Me Hoti Hai. Jarurat Se Jyada Perfection Dikhana Recruiter Ko Pasand Nahi Aata. Apni Kamiyo Ke Baare Me Baat Karte Hua Yah Bhi Bataye Ki Unhe Dur Karne Ke Liye Aap Kitne गंभीर प्रयास Kar Rahe Hai.➦ Interviewer Ko Kaise Impress Kare - Interview Tips In Hindi

CONCLUSION

To Dosto Hamne Is Article Ke Kariye Ye Jaana Ki Interview Me Puche Jane Wale 5 Most Important Question Ke Baare Me, Ab Jab Bhi Kisi Interview Me Jaye To Hamesha In 5 Baato Ka Khayal Rakhe..

  • 1. Aapne Pichhla Job Kyo Chhoda?
  • 2. Apne Baare Me Bataiye?
  • 3. Salary Expectations?
  • 4. Future Ke Liye Kya Goals Hai?
  • 5. Aapki Sabse Badi Weakness Kya Hai?

Umid Karta Hu Ki Aapko Hamara Ye Article interview questions and answers in hindi, interview questions in hindi. Jarur Pasand Aaya Hoga, Aur Aise Hi Useful Update Pane Ke Liye Hame Subscribe Kare, Like Kare Share Kare Aur Koi Bhi Sawal Ho To Hame Comment Section Me Jarur Bataiye, Thanks And Keep Visiting... Have A Good Day!!!!!!!


इससे जुड़े कुछ और आर्टिकल पढ़े:-

No comments:

Post a Comment