Friends, 14 September Ko Pure India Me Hindi Diwas Manaya Gaya. Aaj Ke Article Me Bhi Aaisi 7 Jobs, (Naukari) Ke Baare Me Batane Jaa Raha Hu. Ye Jobs Special Un Logo Ke Liye Hai Jo Hindi Language Me Expert Ho Mins Ki Jinki Hindi Achhi Ho Unke Liye Best Opportunity Hai. Is Article Me Ham Baat Karege Ki Hindi Job Kaha Milegi, Kitni Milegi Salary, Aur Job Ke Liye Hame Kya Karna Hoga. Matalab Ki Ye Jobs Ke Baare Me Aapko Full Guide Kiya Jayega.
Vaise Bhi Internet Happy World Ka Masksad, Har Indian Ko New Career Ke Baare Me Full Guide Karna Hai, Internet World Ki Har Update Ko Sabhi User Tak Sahi Jankari Pahuchana.
Hindi Language World Me Chinese Language Ke Baad Sabse Jyada Boli Jaane Wali Bhasha Hai. Aur Sabse Jyada Internet Pe Search Bhi Hindi Hi Hoti Hai. India Aur Foreign Me Karib 50 Crore Log Hindi Bolte Hai. And Hindi Bhasha Ko Samaj Ne Wale Log Ki संख्या Karib 90 Crore Hai. Hindi Me Achhi Command Karke Aap Ak Fantastic Career Bana Sakte Ho Ham Bata Rahe Hai Aisi Hi 7 Jobs, Jo Hindi Achhi Hone Par Aapko Mil Sakti Hai.
7 Best Hindi Jobs | Kaha Milegi Job? Kaise Milegi Job? Kitani Hogi Salary?
1. Hindi Stenographer Jobs :-
Kaha Milegi Jobs:
Hindi Stenographer Ko Courts, Government Institutions, Newspapers Me Kaam Milata Hai. Staff Selection Commission Ke Jariye विभिन्न सरकारी विभागों Me Stenographer Ke Post Par नियुक्तियां Ki Jaati Hai. कर्मचारी राज्य बीमा निगम (Employees State Insurance Corporation-ESIC) Ke Sath Hi Other Kai Semi Government Aur Private Companies Me Stenographer नियुक्त Kiye Jaate Hai.
Stenographer Ki Naukari Ke Liye Kya Karna Hoga:
Shorthand(आशुलिपि), Writing Ki Ak Method Hai.Jisme Normal Ki अपेक्षा Se Adhik Teji Se Likha Jaa Sakta Hai. Stenographer Banne Ke Liye Candidate Ko Kisi Bhi Subject Se Graduate Hona Chahiye. Vaise Steno Shikhne Ke Liye Candidate Ko Cum Se Cum 12th Pass Hona Hi Jaruri Hai. Sabse Pahle Aapko Steno Typing Shikhna Hoga. Iske Liye Aap Polytechnic College Ya ITI Me प्रवेश Le Sakte Hai.
Stenographer Ki Kya Hai Salary?
Stenographer Ki Starting Salary 5000 Rupye Se Lekar 20,000 Rupaye Tak Hoti Hai. Seniority Ke Baad 35,000 Se 40,000 Rupye Tak Ki Salary Milti Hai.
2. Script Writer Jobs :-
Kaha Milegi Job?
Script Writer Ko पत्र-पत्रिकाओ Me Content Writing, Ghost Writing, Web Series Writing, YouTube Channel Writing, Event Writing and Online Writing Ka Kaam Mil Sakta Hai. Writers Ki Jarurat Ad Companies Aur Corporate Companies Me Bhi Hoti Hai.
Script Writer Job Ke Liye Kya Karna Hoga?
Script Writing Me Diploma Aur Certificate Course Hote Hai. Iske Alava Mass Communication Ke Courses Me Bhi Script Writing Shikhai Jaati Hai. Agar Aapko Writing Me Interest Hai To Aap In Me Se Koi Ak Course Kar Sakte Hai.
Script Writer Job Me Kitni Salary Milati Hai?
Advertising Agency, Comics, Video Games, Theater Play, Film, Television, Radio Ke Sath Hi Aap Freelancing Kar Sakte Hai.
3. Interpreter Jobs :-
Kaha Mil Sakti Hai Jobs.
Entertainment, Tourism, Aviation, International Institute, Embassy(दूतावास), Diplomatic Service, Journalism and Public Relations(पत्रकारिता एवं जनसंपर्क), Education Institute, Publications Institute and BPO etc. Ke Field Me Career Ki SharuAat Kar Sakte Hai.
Interpreter Job Pane Ke Liye Kya Karna Hoga:
Interpreter Mins Ki दुभाषिया. Foreign Language Me Certificate, Diploma And Degree Courses Available Hai. Certificate, Diploma Aur Advance Diploma Part Time Course Hai. Aur Kai Sari University Karvati Hai. Certificate Course Ke Liye Cum Se Cum 12th Pass Hona Jaruri Hai. Jabki Diploma Ke Liye Yus Bhasha Me Certificate Jaruri Hota Hai. Iske Alava Aap Foreign Language Me Graduation Degree, M. Phil and PhD Bhi Kar Sakte Hai.
Interpreter Job Me Kitni Salary Milegi:
बतौर Translator Aapko 100-150 Rupye/Page Aur बतौर Interpreter 200-500 Rupye/Hour Kama Sakta Hai. Ak Best Interpreter 2000-4000 Rupye प्रति घंटा Tak Bhi Kama Sakta Hai.
4. Hindi Translator Jobs :-
Kaha Hai Mauke Hindi Translator Jobs Ke:
Web-Portals, Media House, Communicators and Export-Import Me Translator Ki Jarurat Hoti Hai. Universities, Multinational Companies Ke Sath Market Research Ka Kaam Karne Wali Companies Translator Ko Recruit Karti Hai. MNCs, Medical Transcriptions Me Bhi Translator Recruit Kiye Jaate Hai.
Hindi Translator Job Ke Liye Kya Karna Hoga:
Indira Gandhi National Open University Me School of Translation Studies and Training Ka Program Karvaya Jaata Hai. French, German, Spanish, Chinese Jaisi Kisi Foreign Language Me Aap Certificate, Diploma Ya Degree Kar Sakte Hai. Kai University Foreign Language Ke Course Offer Karti Hai.
Translator Job Me Kitni Milati Hai Salary:
Translator Ki Starting Salary 10,000 Se 15,000 Rupye Tak Hoti Hai. Seniority Ke Sath Yah Badhte Jaati Hai. Foreign Language Me Achhi Command Hone Par Translator Ko Bada Package Mil Jaata Hai.
5. Govt Official Language Officers Jobs :-
Job Ke Liye Kaha Mil Sakte Hai Mauke?
राजभाषा विभाग, राजभाषा अधिकारी Ke Post सृजित Karta Hai. Central Government Ke विभिन्न विभागों Me राजभाषा अधिकारी नियुक्त Kiye Jaate Hai. Ministries(मंत्रालयों) Me Official Language Officer Recruit kiye jaate Hai. Iske Alava Bhi Banks Me IBPS Ke Jariye राजभाषा अधिकारी Ki नियुक्त Ki Jaati Hai. राज्यों Me Bhi Alag-Alag Departments Me Official Language Officer Ki Vacancy Samay-Samay Par Nikalti Hai.
राजभाषा अधिकारी Banne Ke Liye Kya Karna Hoga:
Graduation Ke Baad Koi Bhi Official Language Officer Banne Ke Liye Eligible Hota Hai. IBS, Public Service Commission Ke Jariye Samay-Samay Par Vacancy Nikali Jaati Hai. Return Test Aur Interview Ke Jariye Eligible Candidates Ka Selection Kiya Jaata Hai. Isme Hindi Par Achhi Command Hone Ke Sath Hi Aapko General Study Ki Taiyari Bhi Karni Hogi.
Official Language Officer Ki Kitni Hoti Hai Salary:
Government Ke Pay-Scale Ke Hisab Se Salary Milti Hai. Seniority Ke Hisab Se Salary Badhti Jaati Hai.
6. Proof Reader Jobs :-
Kaha Mil Sakte Hai Proof Reader Jobs:
Rajya Sabha, Publishing House, Newspaper, Magazine, Advertising Agency, PR Agency Ke Sath Content Me Deal Karne Wali Private Companies Me Proof Reader Ki नियुक्ति Ki Jaati Hai.
Proof Reader Job Ke Liye Kya Karna Hoga:
Proof Reader Apply Karne Ke Liye Candidate Graduate Hona Chahiye. Hindi Language Pura अधिकार Ho. Especially व्याकरण Ka Knowledge Ho. Iske Alava Typing Bhi Aana Chahiye. Typing Speed 80wpm Honi Chahiye.
Proof Reader Ki Salary Kya Hai:
Private Institutions Me Starting Salary 10,000 Se 15,000 Rupaye Hoti Hai. Vahi Government Me 30,000 Se 35,000 Rupye Par Month Salary Mil Jaati Hai. Seniority Ke Hisab Se Package Badhte Jaate Hai.
7. Hindi Teacher, Professor :-
Hindi Teacher, Professor Banne Ke Mauke:
School, College, University, Home Tutorial, Online Teaching Job.
Hindi Teacher, Professor Banne Ke Liye Kya Karna Hoga:
Teacher's Eligibility Test Pass Karke Aap Hindi Ki Teaching Sharu Kar Sakte Hai. Higher level Par Hindi Ka Teacher Banana Hai To Net Aur PhD Bhi Karna Hoga.
Hindi Teacher, Professor Ki Salary Kya Hai:
Primary Teacher Ko 15,000 Se 20,000 Rupye Ki Salary Aasani Se Mil Jaati Hai. Higher Level Par Professor Lakho Tak Salary Paate Hai.
Friends, Hamne Is Article Ke Jariye 7 Hindi Best Jobs Ke Baare Jankari Hasil Ki, Aur Ise Private Job Kahe Ya Sarkari Naukri, Sarkari Job Ya Job Opportunities in Hindi Language, Sab Ak Hi Post Me Sari Jankari Dene Ki Koshis Ki Hai, Aapke Interest Ke Mutabik Aap Private Ya Government Naukari Select Kar Sakte Hai. Umid Karta Hu Ki Aapko Ye Article Jarur Pasand Aaya Hoga. Aap Ise Social Media Pe Share Bhi Kar Sakte Hai. Site Ki Visit Ke Liye Aapka Bahut Bahut Dhnyawaad.....
➧YOU MAY ALSO LIKE:
- Free Time Me Kare Ye Top 5 Side Business, Hogi Sabse Best Income
- Social Media Marketing Se Kare Income, Gov. De Rahi Hai Training
- Reliance Jio Me Vacancy 3000+ Jobs Kaise Kare Apply
- World Ki Top 5 Brilliant Jobs (Work's) Kare Lakho Ki Kamai Ghar Baithe
- Sabse Jyada Salary Dene Wali India Ki Top 10 Highest Paying Jobs 2017
- Study Ke Sath Good Job Karne Ke 5 Best Tarike - New Career Advice
- Government Ki 1 Scheme Se 3 Tarah Ke Business Kaise Sharu Kare.
- Business Opportunity With Nokia Will Create 20,000 New Retailers
- Skill Development Training Center Kholke Bane Training Provider
- 5 Low Cost Business Sharu Kare 7 Day Me Aur Kamaye High Profit
- Ghar Baithe Kare Online Business. Modi Sarkar Ke Sath Kamai Ka Mouka
- Online Earnings Karne Ke Liye Government De Rahi Hai Training
- Ghar Baithe Kare Online Business. Modi Sarkar Ke Sath Kamai Ka Mouka
- Cum Paise Me Kare Ye Top 5 Online Business Hogi 20 Se 30 Hajar income
- India Post Office Franchise Opportunities (Post Office Se Kamai Kare)
- Top 5 Successful Business Ideas Jinhe Follow Karke Bane Crorepati
- Vacancy in Paytm Mall Me 2000+ Jobs, Kaise Kare Registration
- 10th Pass Ke Liye Bank Me Part-time Job. Kare Online Apply
Nice job hai sir
ReplyDeletethank you bro
Deletevery helpful article.
ReplyDeletehttp://sabhindime.com/vishwakarma-day-2017-messages-wishes/
thank you Kalaa Shree
Deletegreat article keep it up
ReplyDeletethank you Rahul kumar vishwakarma
Delete