Government Companies Ke Sath Business Kaise Sharu Kare, Apply Kaise Kare - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Government Companies Ke Sath Business Kaise Sharu Kare, Apply Kaise Kare

Modi Sarkar Ne Government Companies Ke Sath Business Karna Ab Aasan Kar Diya Hai. Government In Process Ko Aur Bhi Bahetar Aur Easy Banane Ki Koshis Kar Rahi Hai. Central Government Ki Public Procurement Policy Ke Tahat Har Sarakari Company (PSU) Ke Liye Yah Vo Apni कुल खरीद Ka Cum Se Cum 20% Shopping, Small Businesses (Micro & Small Enterprises, MSE) Se Kare. Is Policy Ke Tahat Aap Bhi Government Companies Ke Vendor Ban Sakte Hai. Government Ne 358 Items Ko Small Businesses (MSI) Ke Liye Reserve Kiya Hai, Jise Big Companies Nahi Bana Sakti, Lekin Small Businessmen Iske Alava Bhi Apni Capacity Ke Mutabik Companies Ke Tenders Me Bhag Le Sakte Hai.

Aaiye, Ham Aapko Batate Hai Ki Government Companies Ke Sath Business Karne Ke Liye Aapko Kya Kya Karna Hoga.

Sarkari Companies Ke Sath Business Kaise Sharu Kare?

how-to-start-business-with-5-government-company

Kya Hai Small Businessmen Ke Liye Reserve:
Government Ne Jis 358 Items Ko Reserve Category Me Rakha Hai, Unme Air / Room Cooler, Aluminum Hardware, Automobile Head Light Assembly, Har Tarah Ke Bag, Battery Charger, Belts, Nut Bolt, Har Tarah Ke Boot and Shoes, Sandals, Cloth Covers, Cotton items, Dust Bins, Dust Shield Ladders, Hand Lamps, Hand Presses, Leather Products, Lockers, निवाड़, Papad, Polyethylene Bags, रैजर्स, Machis, Safety Pin, Shoe Laces, Steel Chairs, Steel Stools, Taps, Toilet Rules, CT, Wooden Items Etc. Shamil Hai. Jab Bhi Government Company In Items Ke Tenders Dekh Kar Small Businessman Shamil Ho Sakte Hai. Reserve Items Ki Puri List Yaha Dekhe. List of 358 Items Reserved for Purchase from Micro and Small Enterprises

1.Railway Ke Sath Kaise Sharu Kare Business
Railway Me Hajaro Chhote कारोबारी Vendor Ke Taur Par Kaam Karte Hai. Agar Aap Bhi Railway Ke Sath Business Sharu Karna Chahte Hai To Sabse Pahle MSMI Unit Ke Taur Par Apna Registration Karaye. Aaj-Kal Industry Base Online Registration Karaya Jaa Sakta Hai. Railway Ne Bhi Vendor Registration Ki Facility Sharu Kar Di Hai. Railway Ke Alag-Alag PSU Ki Site Par Online Registration Karaya Jaa Sakta Hai. Iske Baad Railway Ke Tenders Me Bhag Le Sakte Ho. MSI Ke Taur Par Aap Akele Bidder Hai, To Bhi Sabse Cum Rate Coat Karne Wali Big Company Se 15% Adhik Rate Karne Ke Bavjud Bhi Aapko Tender Mil Sakta Hai.

Railway Hand Lamps and Railway Carriage Light Fitting Keval Small Businessman Kara Sakta Hai. Lekin Iske Alava Chhote कारोबारी Nut Bolts, Forging, Metal, Fabrication, Polymers, Plastic Products, Rubber Gasket, Paint, Floor Cleaning Chemicals Ke Tender Me Shamil Ho Sakta Hai. MSI Railway Ko Stationery, Furniture etc. Ki Bhi Supply Kar Sakte Hai.

2.Oil Companies Ke Sath Kaise Kare Business
Indian Oil, Bharat Petroleum, Hindustan Oil Jaisi Government Companies Ke Sath Bhi Chhote कारोबारी Business Kar Sakte Hai. Public Procurement Policy Ke Dayre Me Ye Companies Bhi Aati Hai. Aap In Companies Ke Tender Par Najar Rakhe Aur Aapse Related Hone Tender Bhar Sakte Hai.

Tender Ke Sath Hi Aap Apne MSI Ke Certificate Bhi Lagane Hoge, Taki Aapko MSI Hone Ka Fayda Mil Sake. in Companies Me Bhi Sabse Cum Bid Karne Wali Companies Ke Mukable 15% Se Adhik Par Tender Mil Sakta Hai.

3. NTPC Ke Sath Business Kaise Sharu Kare:
Power Sector Ki Big Company NTPC Bhi 20 Percent Saman Aur Services Chhote कारोबारियों Se Leti Hai. Aap Bhi NTPC Ke Vendor Ban Sakte Hai. Iske Liye MSMI Registration Karana Hoga. Sath Hi Aapko IT Department Se Pen Card Lena Hoga Aur Excise Ya Service Tax Department Se Registration Karana Hoga. Iske Baad Aap NTPC ki Website Par Vendor Registration kara Sakte Hai. NTPC Alag-Alag शर्तों Par Tender Jaari Karti Hai. Jaise Ki Kuchh Tender Me Yearly Turnover Ke Baare Me Bhi Pusa Jaata Hai. Isliye Aapko NPTC Ke Tender Me Shamil Hone Ke Liye Cum Se Cum 1 Year Ka Wait Karna Pad Sakta Hai, Lekin Kuchh Tender Me NPTC Aisi Koi Policy Nahi Rakhti.

4. NHPC Ke Sath Kaise Sharu Kare Business:
Power Sector Ki National Hydro Power Corporation Limited (NHPC) Dvara MSMI Ke Liye Alag Se Arrangement Kiya Gaya Hai. NHPC Dvara Alag-Alag City's Me Vendor Development Program Chalaye Jaate Hai, Aur MSMI Ko Registration Kiya Jaata Hai. Iske Baad NHPC Ke Pure India Me फैले, दो दर्जन Se Adhik Projects Ke Tenders Me Hissa Le Sakte Hai. NHPC Dvara Iski Monitoring Ki Jaati Hai.

5. Defence PSU Ke Sath Kaise Kare Business:
Defence Sector Ne Apne Vendor Development Program Me MSI Ko Jodne Ke Liye Last Days Se Special Campaign Chalaya Hai. Defence Ke Sabhi PSU Me MSI Ka Registration Kiya Jaa Raha Hai. Businessman MSMI Aur Tax Related Registration Karane Ke Baad Defence PSU Me Apply Kar Sakte Hai Aur Registration Hone Ke Baad Defence PSU Ke Tender Me Bhag Le Sakte Hai.
Friends, Is Article Se Aapko Help Mili Ho To Share Jarur Kare, Aur Aisi Hi Internet Business World Ki Har New Update Pana Chahte Ho To Hame Subscribe Kare. Koi Sawal Ho To Hame Comment Ke Jariye Bataiye.

Also Read:

No comments:

Post a Comment