Laptop Kharidte Vakht Dhyan Me Rakhne Wali Kus 7 Baate Hai Jo Aapke Sath Share Kar Raha Hu. Aksar Log Laptop By Karte Vakht In Baato Ko Najar-Andaj Karte Hai. Ya To Ye 7 Baato Ka Pata Nahi Hota Ya Feer Dusre Friend Ne Liya To Ham Bhi Vahi Le, Uski Yahi Soch Hoti Hai. But Hamare Budget Ke Hisab Se Right Choice Laptop Lena Hai To Aapko Kus Baate Bata Raha Hu, Jisko Follow Karne Se Aapka Budget Bhi Vahi Rahega Aur Aapke Work Ke Liye Perfect Laptop By Karne Me Kafi Help Milegi.
How to Buy the Right Laptop Kharidte Vakht Jarur Check Kare Ye 7 Chije.
Computer Shop Par Ho Ya Online Shopping Site Par Ho, Jab Bhi Laptop Dekhte Hai To Vaha Bahut Sare Laptops Samne Dikhte Hai. Koi Small Screen Size To Koi Big Display Wala, Koi High Price Laptop Cum Storage Ke Sath Aata Hai To Koi High Storage Capacity Ke Sath Low Price Me Mil Jaata Hai. Aise Me Bayer Ko Ye Faisala Lena Mushkil Ho Jaata Hai Ki Konsa Laptop Kharide Aur Konse Features Wale Laptop Uske Liye Bahetar Hoga.
To Chale, Baat Karte Hai Laptop Kharidte Vakht Konsi Baate Dhyan Me Rakhna Jaruri Hota Hai, Jiska Aap Dhyan Rakhege To Kabhi Dhokha Nahi Khayege.
Laptop Kharidte VAKHT Dhyan Rakhe Ye 7 Jaruri Baate. Buying Guide 2018
1. Aapki Jarurat Kya Hai
Sabse Pahle Most Important Baat Ye Hai Ki Aap Laptop Choice Karte Time Ye Baat Hamesha Yaad Rakhe Ki Aap Konse Use Ke Liye By Kar Rahe Hai. Laptop By Karne Se Pahle Khud Se Ak Sawal Jarur Puse Ki Aapko Laptop Kis Kaam Ke Liye Chahiye. Agar Aapko Laptop Sirf Movies Dekhne Ke Liye Aur Regular Computer Ke Work Karne Ke Liye Chahiye, To Aap Uske Hisab Se Laptop Choice Kar Sakte Ho.
Yadi Aap Gaming Aur Designing Ke Liye Laptop Lena Chahte Hai, To Jyada Graphics Wala Laptop Aapke Liye Bahetar Hoga. Alag-Alag Jarurat Ke Hisab Se Laptop Bhi Alag-Alag Feature Aur Price Range Me Milte Hai. Isliye Laptop Kharidte Vakht Kuchh Baato Ka Dhyan Rakhna Jaruri Hai. Taki Ham Low Budget Laptop By Karke Bhi Apni Jaruriyat Ko Purti Kar Pate Hai.
2. Laptop Ki Screen/Display Size
Agar Aap Movies Dekhna Pasand Karte Hai Aur Laptop Ko Aap Regular Use Ke Liye Istemal Karege, To Big Screen Ka Laptop Aapke Liye Best Rahega. Aap Designing Karte Ya Feer Aapko Laptop Par Graphics Taiyar Karna Padta Hai, To Bhi Aapke Liye Screen Size 15 Se 17 inch Best Hoga. Lekin Agar Aap Office Work Ke Liye Laptop Le Rahe Hai Ya Feer Jyada Din Tak Travel Karna Hota Hai To Small Screen Size Laptop Best Rahega. HD Screen Wale Laptop Bhi Ab Market Me Aane Lage Hai. isliye Shop Par Screen Ka HD Hai Ya Nahi Aur Resolution Jarur Puse.
3. Battery Power Capacity
Mobile Ki Tarah Hi Laptop Bhi Alag-Alag Battery Power Ke Sath Aate Hai. Isliye Laptop Kharidte Time Battery Capacity Ke Baare Me Pata Jarur Kar Le. Minimum 7 Se 8 Hours Backup Dene Wali Batteries Kafi Achhi Hoti Hai. Agar Aap Koi Aisa Kaam Karte Hai, Jisme Power Jyada Kharch Hote Hai, Jaise Ki Internet Par Surfing Karna, Ya Aap Internet Par Online Business, Blogging Jaise Work Karne Me Battery Jyada Kharch Hoti Hai To Aap Us Hisab Se Battery Power Select Kare, Mins Ki Jyada Battery Backup Wale Laptop Choice Kare.
4. Kitni Ram Jaruri Hai
Laptop Me Jitani Jyada Ram Hogi, Utana Bahetar Hoga, Kyu Ki Jyada Ram Wale Laptop Best Performance Deta Hai. But Average Kaam Ke Liye Jaise Ki Movies Dekhna Ya Office Work Karne Ke Liye 4 GB Ram Thik Hai. Lekin Agar Aap Apne Laptop Se Hamesha Fast Performance Chahte Hai To Aap Ke Liye 8 GB Ram Wala Laptop Best Rahega. Agar Aapka Budget Cum Hai Mins Ki Approx 20,000 Se 25,000 To Aap Koshish Kijiye Ki Jyada Se Jyada Ram Capacity Wala Laptop Ho.
5. HDD Ya SSD Storage, Konsa Better Hai.
SSD Storage Hard Disk Ka Advance Version Hai, Jo HDD Se Kai Guna Fast Hai. Aise Me Agar Aap Fast Aur Responsive Storage Chahte Hai, To SSD Sabse Best Hai. But Ise Lene Ke Liye Cum Storage Me Manage Karna Padega. Agar Aapko Laptop Me Jyada Storage Karne Ki Jarurat Padti Hai To HDD Hard Disk (500 GB, Aur 1 TB) Storage Wale Laptop Lena Sahi Hai. Ye Aapka Budget Bhi Nahi Bagdega. Vahi, SSD Hi Lena Chahte Hai, To Portable Hard Disk Lekar Bhi Aap Storage Ki Kami Ko Pura Kar Sakte Hai.
6. Processor Kon Sa Sahi Hai.
Aap Laptop Par Jo Bhi Command Dete Hai, Unhe Process Karne Ka Pura Kaam Processor karta Hai. Isliye Ak Bahetar Aur Fast Processor Lene Me Hi Samajdari Hoti Hai. Agar Aapke Samne Atom and Pentium Processor Ho, To Isme Pentium Choice Karna Bahetar Hoga. In Dono Ke Mukable Agar Aap Core i3 Cerise Ka Processor Chun Sake, To Vo Sabse Best Hai.
Haal Ke Samay Me Core i3, i5, Aur i7 Jaise Processor Chal Rahe Hai. Apne Budget Ke Hasab Se Aap Inme Se Koi Le Sakte Hai. Agar Aapko Pentium Processor Chahiye To Aapka Budget 20,000 Ke Approx Hona Chahiye, Aur Core i3 Processor Wala Laptop Lena Hai To Aapka Budget 30,000 Approx Hona Chahiye. Processor Me Bhi Alag Alag Speed Aapko Milegi. But Core i3 Cerise Atom Aur Pentium Se Kafi Guna Achhi Hai.
7. Laptop Ya Tablet Me Se Konsa Best
Laptop Ya Tablet Me Se Agar Aap Selection Karna Chahte Hai, To Multi function Ke Liye Laptop Ak Best Choice Hogi. Agar Aa Movies Dekhna Chahte Hai. Email Bhejna Ya Internet Surfing Karna Chahte Hai Aur Document Taiyar Karne Ya Presentation Banana Chahte Hai, To Aapko Laptop Lene Ki Jarurat Nahi Hai, Ye Sab Kaam Tablet Me Bhi Ho Sakta Hai. Feer Bhi Jo Maja Laptop Me Hai Vo Tablet Me Nahi. Tablet Ke Sath Multi function Nahi Kar Sakte. Limited Processing Power Ke Sath Ye Aapki Laptop Ki Other Jarurato Ko Pura Nahi Kar Payega. Aur Features Ke Hasab Se Laptop Hi Best Hoga.
Blogging Ke Liye Konsa Laptop Kharidna Best Rahega.
Agar Aap Blogging Ke Liye Laptop Kharidna Chahte Hai But Aapka Budget Low Hai Mins 20,000 Ke 23,000 Me Laptop Kharidna Chahte Hai, Vo Bhi Best Performance Aur Large Screen Size Ke Sath, Aur Jisme Ram Bhi Jyada Ho. To Aapke Liye Lenovo Company Me personally Suggest Karuga. Kyu Ki Iska Me Khud Use kar Raha Hu Blogging Ke Liye Last 1 Years Se Lekin Aaj Tak Koi Problem Nahi Hui Hai. Aur Vo Bhi 3 Years Ki Warranty Ke Sath. Full Specifications Ki Baat Kare To Isme 15.6 Inch Display Size Hai. Storage Capacity 1 TB, 0.3 Mega Pixel Camera. 4 GB Ram. Intel Pentium Dual Core Process Jo Blogging Ke Liye Kafi Hai. Model Name Lenovo V110-14IMP
Friends Aaj Ke Is Article Laptop Buying Guide 2017 Me Aapko How to Buy the Right Laptop Ke Baare Me Jankari Share Ki. Feer Bhi Right Laptop Choose Karne Me Pareshani Ho To Hame Comment Me Bataiye Ki Aap Kis Budget Ke Laptop Lena Chahte Hai and Aapko Kis Kaam Ke Liye Laptop By Karna Hai. Aur Hamara Article Aapko Pasand Aaya Ho To Apne Dosto Ke Sath Share Kar Sakte Ho, Iske Liye Niche Diye Gaye Social Media Button Ki Help Se Aap Facebook, Twitter Par Post Ko Share Kar Sakte Ho. Thanks And Keep Visiting......
➧YOU MAY ALSO LIKE:
sir muje web designing ke liye laptop by karna hai, pleas aap bataiye ki konsa laptop mere liye sahi hoga
ReplyDeletegood information best choose laptop
ReplyDeleteSimply recollect that a major processor on your laptop will mean a major power prerequisite. Top of the line CPUs tend to purge a battery considerably speedier than general ones. It's the value you pay for superior.best portable laptop stand
ReplyDeleteNice post really good.
ReplyDeletewww.alltechsolutions.xyz
Thanks for amazing tips.
ReplyDeleteHeck Oh Yeah
But beware of sales people who will simply get you to buy the most expensive model.Best 2 In 1 Laptops 2019
ReplyDelete