Digital Locker Me Apna Account Kaise Banaye, Iske Fayde Kya Hai? - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Digital Locker Me Apna Account Kaise Banaye, Iske Fayde Kya Hai?

Hello Friends, Aaj Ham Aapke Liye Ak Aur Article Lekar Aaye Hai, Jo Bahut Hi Khas Hai. Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai DigiLocker Ke Baare Me, Yani Ki Digital Locker Kya Hai, Digital Locker Ke Fayde Kya Hai, Digital Locker Me Apna Account Kaise Banaye, DigiLocker Kitna Secure Hai, Aur Bhi Bahut Sari Jankari Hindi Me Aapke Liye Lekar Aaye Hai To Last Tak Padhe, Chaliye Shuru Karte Hai.

Digital Locker Me Apna Account Aap Sirf 15 Minuet Me Bana Sakte Hai, Aur Apne Sare Documents Save Bhi Kar Sakte Ho, Ye Kaam Bahut Hi Aasan Hai. Agar Aapke Documents Kahi गुम Ho Jaaye Ya Kahi नष्ट Hone Par Aapke Paas Digital Copy Me Sabhi Documents Mojud Rahege, DigiLocker Ka Sabse Bada Fayda Yahi Hai.

डिजिटल लॉकर क्या है? और उसके फायदे क्या हैं |

DigiLocker Me Apna Account Kaise Banaye

Aur Bhi Bahut Sare Fayde Hai Jaise Ki Aapko Kahi Jaane Par Sath Me Driving License Ya Aur Documents Sath Me Rakhne Ki Jarurat Hi Nahi Hogi, RTO Ya Police Ke Driving Licence, Vehicle Ki RC Magane Par Digi Locker Par Save Documents Ko Aap Dikha Sakte Ho, Sach Me Ye Kamal Ki App Hai, Kyu Ki Ham Kahi Baar Bahar Jaate Vakht Apna Driving Licence Vagera Ghar Pe Hi Bhul Jaate Hai, To Is Problem Ka Solution Digital Locker Ne Aasani Se Kar Diya Hai.

Digital India Ke सपने Ko साकार Karne Ke Liye Government Ne Digital Locker Ko मान्यता Dedi Hai. Digi Locker Me Sabhi Documents Online Save Kiye Jaa Sakte Hai. RTO Ya Police Ke Driving Licence, Vehicle Ki RC Magne Par Digi Locker Me Save Documents Ko Dikha Sakte Ho. Government Ne Ise Valid Kar Diya Hai. Digital Locker Par Aap Sirf 15 Minute Me Apna Account Create Kar Sakte Hai, Digi Locker Me Account Create Kaise Kare, Aur Digital Locker Ka Istemaal Kaise Kare Is Se Jude Har Sawal Ka Jawab Aapko Is Article Me De Rahe Hai.

Digital Locker Me Aapke Documents Kitne Secure Hai?
Digital Locker Me Aapke Documents Utane Hi Secure Hai Jaise Aapka Bank Account Ya Feer Net Banking. Is Me Aapko User ID, Aadhaar Card Aur Mobile Number Se Link Hota Hai. Jab Bhi Aap Digital Locker Me Kaam Karege Pahle Aapke Mobile Number Pe Ak OTP (One Time Password) Aayega. Iske Dalne Ke Baad Hi Aap Usme Kaam Kar Sakenge Ya Koi Bhi Documents प्राप्त Kar Sakenge.

Digi Locker Me Apna Account Kaise Banaye.
Digi Locker Me खाता खोलने Ke Liye DigiLocker Is Link Par Jaana Hoga Ya Feer Google Play Store Se Bhi DigiLocker App Download Kar Sakte Hai. Is Website Par Jaane Ke Baad Apna Mobile Number Dalkar Continue Par Click Kare. Aapke Mobile Number Par Ak OTP Ka Massage Aayega Isko Enter Karke Verify Kare. Uske Baad Apna User Name Aur Password Banaye, Password Aap Is Tarah Se Bana Sakte Ho, Example:- Sanju@0123#*. Feer Sign-Up Par Click Kare Aur Aadhaar Number Enter Kare, Feer Sign-Up Par Click Kare. Uske Baad Aadhaar Number Dalke Verify Karle, Aapke Mobile Number Par Ak OTP Massage Aayega, Ise Dalke Continue Button Par Click Kare. Ab Ak Massage Aayega Jisme Kaha Hoga Ab Digital Locker Me Aapka Account Ban Chuka Hai, Apna User Name Aur Password Yaad Kar Le.

Digital Locker Me Documents Ko Kaise Save Kare.
Documents Ko Digital Locker Me Save Karne Ke Liye Unhe Scan Karna Hoga, Agar Aapke Paas Computer Ya Scanner Machine Nahi Hai To Bhi Aap Aasani Se Documents Ko DigiLocker Me Save Kar Sakte Ho, Aapko Karna Ye Hoga Apne Mobile Me Documents Ki Achhi Aur Clear Photo Khich Le, Usko JPG Ya PNG Format Me Save Kar Sakte Hai. Uske Baad Is Photo Ko Aap Upload Kar Sakte Ho. DigiLocker Me Folder Banane Ki Bhi Suvidha Hai. Kai Folder BanaKar School, Houses, Vehicles Ke Alag-Alag Document Rakh Sakte Hai.

Digi Locker Me Account Banane Ke Fayde Kya Hai.
Agar Aapke Document Kahi खो Jaay Ya नष्ट Ho Jaane Par Aapke Paas Digital Coppy Me Sare Documents Mojud Hoga. Agar Ham Gaadi, Aadhaar Ya Feer Koi Other Documents Ghar Me Bhul Jaate Hai To Is Se Turat Nikal Kar Print Le Sakte Hai, Ya Kisi Ko Dikha Sakte Hai. Digital Locker Me Save Documents Ko Aap Kahi Bhi Use Kar Sakte Hai Bas Internet Ki Suvidha Honi Chahiye, Jo Aaj Kal Sab Ke Mobile Me Free Net Plan Hota Hi Hai. Digital Locker Ab Sabhi Government Aur Non-Governmental Organizations Me Valid Hai. Kahi Bhi Document Verify Kara Sakte Hai. Ise Lene Ko Koi Mana Nahi Kar Sakta. Kisi Government Office Me Document Ki Photo Copy Dene Ki Bajay Aap Soft Copy De Sakte Hai.

DigiLocker Ke Extra Fayde:-
  • 100% Security
  • One Plus Storage Facility
  • Maintenance Kuchh Bhi Nahi.
  • Link Based Access Se Documents खोने Ka डर Nahi.
  • Paper Work Cum Hoga, Physical Documents Uses Me Kami Aayegi.
  • Time Ki Saving Hogi,
  • Jaha Jarurat Ho Vaha Documents Ko Share Karna Aasan Hoga.
  • 24*7 Free Service Milegi, Yani Ki Aap Jab Chahe Tab Apne Documents Ko Access Kar Payenge.
Benefits of Digital Locker

Digital Locker Kya Hai? Aur DigiLocker Me Kon Se Documents Store Kar Sakte Hai.
Digital Locker Me Aap Education, Medical, Passport, Pan, Aadhaar Card Aur Property, Se Jude Documents Ko Alag-Alag Folder Me Ak Jagah Store Kar Sakte Hai.

Hame DigiLocker Kyo Istemaal Karna Chahiye?
how to use digilocker

Kyo Ki Aane Wale Samay Me Jaruri Documents Government Direct Aapke Record Ke Liye DigiLocker Me Upload Karegi. Digital Locker Me Documents Upload Karne Ke Baad Aapko Kahi Bhi Apne Certificate Dene Ki Jarurat Nahi Hogi. Documents Share Karne Ke Liye Digi Locker Ka Link Ya Mail Hi Kafi Hai.

Kaise Banaye Apna Personal DigiLocker Account

How To Create DigiLocker Account

DigiLocker Me Apna Account Create Karne Ke Liye https://digilocker.gov.in/ Website Par Jaaye. Uske Baad Ak Page Khulega Jisme Aapko Apne Aadhaar Number Dalna Hoga. OTP (One Time Password) Ya Use Fingerprint Me Se Kisi Ak Option Ko Chune. One Time Password, Jo Email Ya Mobile Par Aayega, Ise Enter Karke Sign-Up Process Puri Kare. Is Tarah Aapka User Id Aur Password Ban Jayega. User ID Aur Password Fingerprint Process Se Bhi Hasil Kar Sakte Ho.

Aapko Hamara Ye Article Digi Locker Ke Baare Me, Digital Locker Ke Fayde, How To Create DigiLocker Account, Digital Locker Me Account Kaise Banaye, Digital Locker Kya Hai, Digital Locker Me Apne Documents Kaise Upload Kare, DigiLocker Ka Istemaal Kaise Kare, Jiski Sari Process Aapko Batai, Agar Aapko Digital Locker Ke Baare Me Koi Bhi Sawal Ho To Hame Comment Me Bataye, Aur Aise Hi Free Me Update Pana Chahte Ho Apne Email ID Pe To Blog Ko Subscribe Kare, Thanks And Keep Visiting...

Ye Bhi Padhe➦

1 comment: