How To Update Your Aadhar Address, Without Address Proof
Without Address Proof Ke Aadhar Ke Address Ko Update Kaise Kare- UIDAI New Service Launch
Hello Friends, Aaj Ke Is Article Me Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai Ak Bahut Hi Useful Information Ke Baare Me, Actually Ham Baat Karne Wale Hai Unique Identification Authority of India (UIDAI) Ki Ak New Service Ke Baare Me Jo अगले साल शुरू Hone Jaa Rahi Hai, Aur Unka Fayda Bahut Sare Logo Ko Hone Wala Hai. Isme Bhi Jiske Paas Address Proof Nahi Hai Aur Apne Aadhaar Card Ke पते Ko बदलना Chahte Hai Unke Liye Ye Khas Hai. Kyu Ki Is Service Shuru Hone Ke Baad Har Koi Bina Address Proof Ke Apna Aadhar Address Online Update Kar Sakte Hai. To Chaliye Shuru Karte Hai....
UIDAI April 2019 Me Ak New Service Shuru Karne Jaa Rahi Hai. UIDAI Ki Is New Service Se Aise Logo Ko Fayda Hone Wala Hai Jinke Paas Abhi Haal Me Unke Address Ka Koi Proof Nahi Hai. Feer Bhi Vo Aadhar Database Me Registered Apna Address Update Karna Yani Ki Change Karna Chahte Hai. Is Service Ke Tahat UIDAI Aadhaar Card Holder Ke Current Address Par Secret Pin Wala Ak Later Bhejega. Isi Secret Pin Ka Use Karke Aadhaar Holder Apna Address Change Kar Sakte Hai.
Post Office Ke Jariye Bheja Jayega Secret Pin:
UIDAI Ki Taraf Se Jari Kiye Gaye Ak Notification Me Kaha Gaya Hai Ki Yah Service 1 April 2019 Se Shuru Ho Jayegi. Is Secret Pin Ko Paane Ke Liye Aadhar Holder UIDAI Ki Website Par Jakar Request Kar Sakte Hai. Request Karte Samay Unhe Apna Current Address Mins Abhi Haal Ka पता Registered Karna Hoga. Iske Kuchh Samay Ke Baad UIDAI Aadhaar Holder Ke Registered Kiye Gaye Address Par Post Ke Jariye Ak Later Bhejaga. Isi Later Me Ak Secret Pin Hoga. Jise SSUP Portal (Self Service Update Portal) Par Submit Karke Aadhaar Holder Bina Kisi Pareshani Ke Apna Address Change Kar Payege. Is Service Ko Shuru Karne Se Pahle UIDAI Pilot Project Ke Taur Par Ise 1 January 2019 Se Kuchh Areas Me Start Kar Sakti Hai.
Point To Be Noted Ki Abhi Aadhaar Database Me Registered Kiye Gaye Address Me Changes Ke Liye Aadhar Holder Ko Ak Form Bharna Hota Hai Aur Passport, Bank Passbook, Voter Id, Jaise 35 Documents Me Se Kisi Ak Document Ko Submit Karna Hota Hai. UIDAI Ki Taraf Se Shuru Ki Jaane Wali Is Service Se Apna Ghar छोड़कर बाहर Rent Ke मकान Me Rahne Wale करोड़ों Logo Ko Iska Fayda Milega.
Dosto Kaisa Laga Hamara Ye How To Update Your Aadhar Address, Without Address Proof... Article, Aapko Pasand Aaya Ho To Hame Comment Kare, Share Kare, Aur Like Kare, Aur Aise Hi Aadhaar Card Ki Update Aur Bahut Sari Useful Jankari Apne Email Address Pe Free Me Pana Chahte Hai To Hame Subscribe Kare, Thanks And Keep Visiting...
Ye Bhi Padhe➥
Ye Bhi Padhe➥
- Aadhaar Card Se Hone Wale 8 Fayde Kya Hai.
- Aadhaar Data Leak Hone Se Kaise Bache, Aise Hi 10 Sawalo Ke Jawab.
- Aadhaar Data Leak Karne Wala Ethical Hacker Elliot Alderson Kon Hai.
- Aadhar Card Ki Security Kaise Rakhe 10 Most Important Tips
- Phone Number Ko Aadhar Se Link Karne Ki Sabse Aasan Process
- Aadhaar Card Ko, Pan Card Se Aise Kare Link - Online Easy Process
- Ye 5 Important Documents Har Indian Ke Pass Hona Jaruri Hai.
- Ethical Hacking (Cyber Security Researcher) Ke Scope Kya Hai India Me.
- Aadhaar Card (UIDAI) Me Nikali Hai Jobs, Kaise Kare Online Apply.
- Ab Kare PM Se Direct Baat, Narendra Modi Mobile App Ke Jariye
- Kisi Bhi Banks Me Customers Ko Milte Hai 10 Rights
- Banks Ko Extra Charge Dene Se Bachne Ki 6 Excellent Tips
- Multiple Bank Account Hone Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hai
- 2018 Ki Income Tax Bachane Ki Best 5 Tips
thank you, Bhai...
ReplyDeleteThank you bhai for SSUP Update portal Information.
ReplyDeleteAdhar card ke bare me bahut achi jankari di he aap ne
ReplyDeletehttps://www.amarbalecha.com/