Google Home Mini VS Amazon Echo Dot: Konsa Better Hai? Final Opinion - Internet Happy World

Hot

March 28, 2019

Google Home Mini VS Amazon Echo Dot: Konsa Better Hai? Final Opinion

Flipkart Par Big Shopping Day Aur Amazon Par Prime Day Sale Chal Rahi Hai, Jis Me Dono Hi E-Commerce Site Kai Products Par Discount Offer De Rahi Hai. Inhi Me Se Ak Hai Smart Speaker, Jisko Flipkart Aur Amazon Dono Hi Companies Aadhi Kimat Par De Rahi Hai. In Dono Hi Smart Speaker Ki Price 4,999 Rupaye Hai, Lekin Sale Me Inhe Bahut Hi Low Price Me Becha Jaa Raha Hai. 

Flipkart Par Jaha Google Home Mini Sirf 2,999 Rupaye Me De Rahi Hai Vahi Amazon Par Amazon Echo Dot Bhi Itani Hi Price Me Mil Raha Hai. Ye Dono Hi Smart Speaker "Smart Home Device" Hai, Jo Ak Hi Price Me Mil Rahe Hai. Aise Me Confusion Is Baat Ki Hai Ki In Dono Me Se Kise Kharida Jaay. Isliye Aaj Ham Google Home Mini Aur Amazon Echo Dot Smart Speaker Ke Bich Comparison Karke Batane Jaa Rahe Hai Ki Kon Sa Smart Speaker Aapke Liye Better Ho Sakta Hai. Abhi Aap Dono Hi Smart Speaker Ko Flipkart Aur Amazon Ki Sale Me Sirf 2,999 Rupye Me Kharid Sakte Hai.
Google Home Mini Aur Amazon Echo Dot Smart Speaker, Feature Comparison

Google Home Mini Aur Amazon Echo Dot Smart Speaker, Feature Comparison


Amazon Echo Dot
Google Home Mini
Dimension
35X84X84
98X42
Audio
Voice-feedback
 360 Sound
Voice Activation
Wake Word/Action Button
Wake Word/Action Button
Speaker
Stereo Audio Output
360 Sound
Connectivity
Bluetooth / Dual Band Wi-Fi
Bluetooth / Dual Band Wi-Fi
Charging
AC Power Adapter
Micro USB
Weight
250g
173g
Price
 Rs 4,999
Rs 4,999
5 Points Se Jaane Google Home Mini Aur Amazon Echo Dot Ki Specialty.
Google Home Mini
Amazon Echo Dot
Design
  • Fabric Cover. Iske Andar Hi Control Buttons. White, Charcoal And Coral Color Me Milta Hai.
  • Plastic Body. Upar Control Buttons. Sirf Black Aur White Color Me Milta Hai.
Wake Word
  • Ise Start Karne Ke Liye 'Hey Google' Bolna Padta Hai.
  • Iske Liye 'Alexa' Kahna Padta Hai.
Performance
  • Isme Sirf 2 Microphone Diye Gaye Hai, Lekin Uske Baad Bhi Aasani Se Ye Voice Command Le Leta Hai.

  • Is Se Google Play Music, Gaana Aur Saavn Se Free Me Music Stream Kiya Jaa Sakta Hai.

  • Is Me Bluetooth Ke Jatiye Extra Speaker Joda Ja Sakta Hai.
  • Voice Command Ko Jaldi Pakdta Hai, Iski Vajah Hai Isme Diye Gaye 7 Microphone. Agar Ghar Me Ak Se Jyada Device Hai To Ye Duri Ke Hisab Se Voice Command Lekar Respond Karta Hai.

  • Isme Amazon Prime Music Aur Saavn Se Music Stream Kar Sakte Hai.

  • Isme Bhi Bluetooth Speaker Ko Connect Kiya Jaa Sakta Hai.
News/Voice Calling
  • Smartphone Se Connect Kar Is Se Voice Calling Bhi Kar Sakte Hai. Reminder Set Kar Sakte Hai.

  • Sirf Voice Command Se Hi Google Search Kar Sakte Hai. News Bhi Suni Jaa Sakti Hai.
  • Is Se Bhi Voice Calling Ki Jaa Sakti Hai. Agar Ghar Me Ak Se Jyada Device Hai To Voice Massage Bhi Bhej Sakte Hai.

  • Is Me Bhi Reminder Set Karne Ka Option Milta Hai Aur News Bhi Sun Sakte Hai.
Shopping
  • Iske Jariye Sirf बोलकर Hi Shopping Kar Sakte Hai. Halaki, Google Ki Shopping Service Abhi Sirf America Me Hi Hai.
  • Agar Prime Member Hai To Amazon Se Shopping Kar Sakte Hai. Iske Sath Hi Item Ko Cart Me Add Kar Sakte Hai.
Final Opinion: Google Home Mini vs Amazon Echo Dot:-
Google Home Mini Aur Amazon Echo Dot Dono Hi Device Smart Speaker Hai Aur Dono Hi Compact Design Ke Sath Aate Hai, Jinhe Aasani Se Apne Room Me Kahi Bhi Fit Kiya Jaa Sakta Hai. In Dono Ki Price Bhi Same Hi Hai. Agar Aap Amazon Prime Member Hai Ya Feer Amazon Se Hi Jyadatar Shopping Karte Hai To Amazon Echo Dot Aapke Liye Best Hai. Lekin Agar Amazon Ki Bajay Google Ka Jyada Use Karte Hai Aur Shopping Ki Bajay Ghar Me Ak Smart Speaker Lana Chahte Hai To Feer Aapke Liye Google Home Mini Best Option Hai.

YOU MAY ALSO LIKE:

No comments:

Post a Comment