Net Banking Se Bank Ko Extra Charge Dene Se Kaise Bache - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

Net Banking Se Bank Ko Extra Charge Dene Se Kaise Bache

Banking Karte Samay In 7 Baato Ka Rakhe Khas Dhyan

Banks Ka Extra Charge Se Bachne Ke Upay, How To Avoid Bank Fees, Banks Ka Extra Charge Dene Se Kaise Bache Tips In Hindi Is Baare Me Ham Last Article Me Bata Chuke Hai, Jise Aap Upar Link Par Click Karke Padh Sakte Hai. Feer Bhi Us Article Me Kuchh Baate Miss Hui Thi, Aaj Ke Article Me Ham Aur Bhi Bahetar Tarike Batane Wale Hai, Jiski Help Se Aap Bhi Bank Extra Charge वसुलते Hai Unse Aasani Se Bach Sakte Hai.

Banks Ki Aur Se Milne Wali Lagbhag Har Facilities Ke Liye Aapse Charge वसूला Jaata Hai. Lekin Kai Baar Hamari Hi Galati Ya Kahe लापरवाही Ki Vajah Se बैंकों Ko Charge वसूल Ne Ka Mauka Mil Jaata Hai. Kyo Ki Kai Baar Ham Banking Karte Samay Balance, Transaction Limit Jaisi Bahut Sari Dhyan Rakhne Wali Baato Ko Avoid Karte Hai Ya Feer In Baato Ko Lekar Ham Alert Nahi Rahte Aur Yahi Ak Chhoti Si Mistake Hamari Pocket Par Bhaari Padti Hai. Agar Ham Thodi Si सावधानी बर्ते To In Extra Charge Dene Se Bacha Jaa Sakta Hai. Aise Me Aaj Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Ki Aise Kon Se Charge Hai, Jinhe Aap Thoda Sa Dhyan Dekar कटने Se Bacha Sakte Ho.
Net Banking Se Bank Ko Extra Charge Dene Se Kaise Bache

Chequebook Ki बजाय Net Banking Ka Use Kare:
Aaj Yah Jaruri Ho Gaya Hai Ki Ham Samay Ke Sath Kadam Milakar Chale. Aise Me Agar Aapko Cheque Se Paise Nikalne Ki Aadat Hai To Vo Aadat Badal Lijiye. Kyo Ki Bank Cheque-book Dene Ke Liye Fees Leti Hai. Aise Me Agar Aap Net Banking Ke Jariye 20 Rupye Se Lekar 150 Rupye Tak Ki Saving Kar Sakte Hai. Dusri Taraf, Chequebook Par Lagne Wali Fees Is Baat Par Depend Karti Hai Ki Aapne Kitne Page Wali Chequebook Le Hai. Aage Ham Jante Hai Ki ATM Ka Use Kaise Kare Jis Se Bank Me Lagne Wale Extra Charges Se Bacha Jaa Sake.

ATM Ka Use Kis Tarah Se Karna Chahiye.
Aaj-Kal Jyadatar Log Ya Kahe Sabhi Log ATM Ka Use Karte Hai. Lekin Kai Baar Ham Ye Bhul Jaate Hai Ki Jyadatar Bank Mahine Me Sirf 5 Baar Hi Free Me Transaction Karne Ka Mauka Deti Hai Yani Ki Ham ATM Se Sirf 5 Baar Hi Free Me Paise Nikal Sakte Hai, Is Se Jyada Transaction Par Aapse Paise Vasule Jaate Hai. Aise Me Koshish Kare Ki Ak Baar Me Hi Bada Amount Nikal Le. Taki Baar-Baar Paise Nikal Kar Bank Ko Extra Payment Na Karni Pade. Aisa Kar Aap 10 Rupye Se Lekar 20 Rupye Har Transaction Par Bacha Sakte Hai. Ab Jante Hai Ki Credit Card Ka Bill Bharne Me Kyo Na Kare à¤¦ेरी.

Samay Par Credit Card Ka Bill Bhare.
Aaj-Kal Logo Ki Jarurat Aur शौक Dono Ko Pura Karne Me Credit Card Ka Bada हाथ Hai. Yahi Vajah Hai Ki Log Ak Baar Me Bahut Sari Shopping Kar Lete Hai Aur Credit Card Ki EMI Banva Lete Hai.

Lekin Credit Card Late Payment Karne Par Aapke Uper 30 Percent Se Lekar 42 Percent Ka Charge Lag Sakta Hai. Vahi, Sirf 30 Day Ki Late Payment Par Aapko 750 Rupaye Charge Dene Pad Sakte Hai. Aise Me Koshish Kare Ki Credit Card Ki Full Payment Samay Par Ho. Ab Baat Karte Hai Bill Pay Karne Ke Liye Hamesha Net Banking Ka Hi सहारा Kyu Le. 

Bank Se Kare Bill Payment;
Electricity Bill, Water Bill, Phone Bill Ki Payment Late Hone Par Companies Aap Par Charge Lagati Hai. Aise Me Aap Net Banking Ki Help Se Samay Par Bill Ka Payment Karna Fix Kar Sakte Hai. Iske Liye Bank Ki Aur Se Auto Deduction Ke Option Diye Gaye Hote Hai. Is Se Aapke 40 Rupye Se Lekar 100 Rupye Tak Har Bill Par Bachge.

Minimum Balance Ka Rakhe Hamesha Dhyan:
Bank Me Paise Rakhne Ki Minimum Balance Limit Hoti Hai. Aise Me Hamesha Koshish Kare Ki Aapke Account Me Minimum Balance Bana Rahe. Kyo Ki Aisa Na Hone Par Bank Aap Par 10 Rupye Mahine Se Lekar 600 Rupye Tak Charge Kar Sakti Hai.

Account Me Available Balance Se Jyada Ka Cheque Na De:
Hamesha Yaad Rakhe Ki Account Me Jitne Paise Ho Utni Rakam Ka Hi Cheque Issue Kare. Kyo Ki Agar Cheque Bounce Ho Gaya To Bank Aap Par 500 Rupye Se Lekar 750 Rupye Tak Ki Penalty Laga Sakta Hai. Iske Alava Cheque Bounce Hona Ak Criminal Offense Bhi Hai.

Credit Card Se Na Nikale Paisa:
Kabhi Bhi Apne Credit Card Se Paise Na Nikale. Kyo Ki Aisa Karne Par Aapko Daily Ke Aadhar Par Interest Dena Pad Sakta Hai. Is Par 2.5% Interest Rate Lagta Hai. Vahi, Fixed Charge Ke Roop Me Minimum 300 Rupye Se 500 Rupye Tak Charge Dena Pad Sakta Hai.

To दोस्तो, अब आपको पता चल ही गया होगा की बैंक à¤¹à¤®à¤¸े किस जगह पे और कहा-कहा हमसे Extra Charge वसुलते हैं, और हम इन सभी बैंक के Extra Charges को Kaise Avoid kar Sakte Hai. Aur Bank Ko Jyada Charge Dene Se Kaise Bacha Jaa Sakta Hai Jiske Baare Me Hamne Yaha Par Aapko Bataya.

Hame Umid Hai Ki Aapko Hamara Ye Article Jarur Pasand Aaya Hoga Aur Helpful Bhi Hua Hoga, Agar Aap In Baato Ka Dhayan Rakhege To Bank Kabhi Aapse Extra Charge Nahi वसूल Sakegi. Feer Bhi Aapko Koi Doubt Ho To Hame Comment Me Bataye Aur Aapke Sath Bhi Aisa Hua To Hamare Sath Apni राई Share Kar Sakte Ho. Aur Aise Hi Helpful Article Aapke Mobile Me Pana Chahte Ho To Hame Subscribe Kare, Like Kare, Share Kare, Thanks And Keep Visiting.... Have A Good Day!!!!!!!!

Ye Bhi Padhe➥

No comments:

Post a Comment