Bhim App Se Kaise Milega Cashback Jaane 10 Tips Se - Internet Happy World

Hot

March 23, 2019

Bhim App Se Kaise Milega Cashback Jaane 10 Tips Se

Dosto, Aaj Ke Is Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai BHIM (Bharat Interface for Money) App Ke Baare Me. Digital Transaction Ko Badhava Dene Ke Liye Khas Kar Bhim App Ko Launch Kiya Gaya Hai, Ab Is App Me Cashback Bhi Mil Raha Hai, To Chaliye Baat Shuru Karte Hai.....

GST Council Ne Saturday Ko Hui Meeting Me Digital Transaction Ko Badhava Dene Ke Liye Rupay Card Aur Bhim App Se Payment Karne Par Tax Me 20% Ki Discount Dene Ke Proposal Ko Approve Kar Diya Hai. Iske Tahat User Ko Cum Se Cum 100 Rupaye Taka Ka Cashback Diya Jayega. Is Project Ko ShuruAat Me Pilot Project Ke Taur Par Kai States Me Lagu Kiya Jayega.

Bhim App Se Har Deen Paise Kaise Kamaye

Bhim App Ka Istemaal Kaise Kare
Bhim App Ke Baare Me Har Jankari Hindi Me
Financial Year 2016-17 Ke Mukable 2017-18 Me Rupay Card Ke Jariye Transaction Me 135% Ki Growth दर्ज Ki Gai. 2018 Me 46 Crores Logo Ne POS (Point Of Scale) Machines Me Rupay Cards Ka Istemaal Kiya Tha. Jab Ki 2016-17 Me Ye आंकड़ा 19.5 Crore Tha. नोटबंदी (Demonetisation) Ke Baad Digital Transaction Ko Badhava Dene Ke Liye 30 December 2016 Ko Bhim App Ko Launch Kiya Gaya Tha. 1 January 2018 Tak 2.26 Crore Logo Ne Bhim App Download Kiya. Isliye Aaj Ham Bhim App Se Judi Har Vo Baat Batane Jaa Rahe Hai, Jise Janna Bahut Jaruri Hai.

Bhim App Ka Istemaal Kaise Kare Jaane 7 Step Me..
Google Play Store Ya Apple App Store Se Bhim App Download Karke Ise Install Kar Le. Uske Baad Language Select Kare, Feer Apne Registered Mobile Number Se Bank Select Kare. Uske Bad 4 Digit Ka Application Password Set Kare. Feer Apne Bank Account Ko Bhim App Se Link Kare, Aur Last Me 6 Digit Ka UPI Pin Set Kare, Inhe Kahi Note Kare Ya Feer Yaad Rakhle, Kyu Ki Ye Pin Bahut Jaruri Hai, Jab Bhi Aap Koi Transaction Karte Hai Ya Feer Apne Bank Account Ki Balance Check Karte Hai To Aapko UPI Pin Ki Jarurat Padegi, Abhi Aapka Kaam Pura Ho Gaya Ab Aap Kisi Bhi Bank Me Transaction Kar Sakte Hai, Kisi Ko Paise Bhej Sakte Hai Aur Receive Bhi Kar Payege.

Bhim App Kya Hai?
Bhim App Ka Full Form Bharat Interface for Money Hai, Jiska Name Doctor Bhim Rao Ambedkar Ke Name Par Rakha Gaya Hai. Bhim App Android Aur IOS Dono Hi Users Ke Liye Available Hai. Is Mobile App Ko National Payments Corporation of India (NPCI) Ne Develope Kiya Hai. Jo Unified Payment Interface (UPI) Par Work Karta Hai. Aur UPI IMPS (Immediate Payment Service) Infrastructure Ke Upar Work Karta Hai Aur Iske Jariye Ak Bank Se Dusre Bank Tak Smartphone Se Hi Paiso Ko Transfer Kiya Jaa Sakta Hai.

Bhim App Se Transaction Par Koi Charge Lagta Hai.
Ji Nahi, Is App Ke Jariye Transaction Karne Ki Koi Fees Nahi Lagti, Lekin Ho Sakta Hai Ki Bank Iske Liye Charge Vasule. Feer Bhi Debit Card Ke Transaction Se Jyada Secure Aur Bahut Hi Aasan Hai, And Jyadatar Bank UPI Transaction Par Koi Charge Nahi वसुल्ती, Agar Charge Leti Bhi Hai To Vo Bahut Hi Normal Hota Hai.

Bhim App Ke Istemaal Ke Liye Internet Banking Hona Karuri Hai Kya?
Bilkul Nahi, Ise Use Karne Ke Liye Net Banking Hona Jaruri Nahi Hai. Lekin Jis Number Ke Jariye Is Me Log-in Karenge, Vo Number Bank Account Me Register Hona Chahiye. 

Bhim App Se Kya Fayda Hoga?
Is App Ka Bahut Sare Fayde Hai, Jaise Ki Aap Is App Ke Jariye Na Sirf Transaction Kar Sakte Hai, Balki Apne Bank Account Ka Balance Bhi Check Kar Sakte Hai. Iske Sath Hi Transaction Details Bhi Iske Jariye Pata Kar Sakte Hai. Aur Paytm Ya Feer Kisi Bhi Mobile Wallet Me Apni Bank Details Add Nahi Karni Padegi, Aap Direct UPI Ke Jariye Mobile Bill, Recharge, Electricity Bill Ka Payment Wallet Ke Jariye Kar Sakte Hai, Aapko Sirf UPI Number Dalna Hoga Uske Baad Bhim App Me Aapko Request Aayegi Usko Accept Karna Hoga, Aapka Payment Successfully Ho Jayega, Me Bhi Aise Hi Sab Online Payment Karta Hu, Aur Kafi Secure Bhi Hai.

Bhim App Ke Jariye Recharge, Bill Payment, etc Kar Sakte Hai?
Vaise To Aap Direct Payment Nahi Kar Sakte But UPI Number Ke Jariye Aasani Se Kar Sakte Hai, Jab Aap UPI Pin Set Karte Hai Tabhi Aapko Apne Mobile Number Ke Hisab Se UPI Number Milta Hai, Jaise Ki 9909988088@upi Agar Aap Mobile Wallet Use Karte Hai Jaise Ki Paytm To Aapko Apna Number Recharge Karna Hai Ya Feer Kisi Ka Bill Pay Karna Hai To Aap Paytm Ya Kisi Bhi App Me Jakar Payment Ke Option Ke Baad Aapko Pusa Jayega Ki Aap Kis Tarike Se Pay Karna Chahte Hai Jaise Debit Card, Credit Card, Ya UPI, Abhi Aap UPI Option Select Karege Uske Baad Apna UPI Number Dalna Hoga Uske Baad Bhim App Me Ak Request Aayegi Use Accept Karna Hoga. Aapka Kaam Ho Gaya, Aapko Kisi Bhi Debit Card Ya Kisi Aur Card Ki Detail Fill Nahi Karni Padegi, To Ye Sabse Best Option Hai Secure Payment Ka.

Bhim App Ke Jariye Ak Deen Me Kitni Transaction Kar Sakte Hai?
Is App Ke Jariye Aap Ak Deen Me Sirf 20 Bank Tak Transaction Kar Sakte Hai. Iske Sath Hi Ak Deen Me Sirf 20,000 Rupaye Tak Ka Hi Transaction Kar Sakte Hai. Agar Ak Hi Account Me 20,000 Rupaye Aapne Bheje Hai, To Feer Dusre Account Me Transaction Nahi Kar Sakte.

Kya Iske Liye Koi Cashback Offer Bhi Milta Hai?
Ha, Iske Liye Bhim Cashback Scheme Shuru Ki Gai Hai. Jiske Tahat Agar Koi User Pahli Baar App Ke Jariye Transaction Karta Hai, To Use 150 Rupaye Tak Ka Cashback Milta Hai. Iske Sath Hi Agar 10 Alag-Alag Account Me Cum Se Cum 50 Rupaye Ka Transaction Hota Hai To Bhi Aapko Cashback Milta Hai.

Iska Istemaal Karne Ke Liye Kya Karna Hoga?
Sabse Pahle Bhim App Ko Download Kare Aur Feer Apne Registered Mobile Number Se Apna Bank Select Kare. Bank Select Hone Ke Baad Apna UPI Pin Set Kare. Itana Karne Ke Baad Home Page Par Jakar Transaction Kar Sakte Hai. Is App Ke Jariye Kisi Dusre Bank Account Me Paise Aasani Se Transfer Kar Sakte Ho, Multiple Bank Account Walo Ko Is App Ka Sabse Bada Fayda Ye Hoga Ki Aap Apne Kisi Bhi Dusre Account Ke Paise अन्य Bank Account Me Transfer Kar Sakte Hai.

Bank Account Na Hone Par Is App Ka Use Kar Sakte Hai.
Nahi, Agar Aapke Paas Koi Bank Account Nahi Hai To Bhim App Ka Use Aap Nahi Kar Sakte.

Kisi Bhi Bank Me Account Hone Par Istemaal Kar Sakte Hai?
Ha, Agar Aapke Paas Kisi Bhi Bank Me Account Hai To Iska Use Kar Sakte Hai, Bhim App Me 93 Bank Registered Hai. 

Kitne Bank Account Ko Isme Join Kiya Jaa Sakta Hai?
Bhim App Me Abhi Sirf Ak Hi Bank Account Ko Link Kiya Sakta Hai, Agar Aapke Paas Ak Se Jyada Bank Account Link Hai, To Unme Sirf Paise Bhej Sakte Hai Lekin Agar Paisa Aata Hai To Vo Sirf Default Bank Account Me Hi Save Hoga. Feer Bhi Agar Aake Paas Ak Hi Mobiles Number Se Link Dusre Bank Account Hai To Aap Ak Se Jyada Bank Account Use Kar Sakte Hai, Kyu Ki Aapne Jis Account Ko Bhim Me Link Kiya Hai Unko Log-Out Karde, Feer Apne Dusre Account Ki Bank Select Kare, Aur Register Karle, Vaise Hi Sab Account Join Kar Sakte Hai Me Bhi Apne Alag-Alag Bank Ke 3 Account Ko Aise Hi Manage Karta Hu, But Sabhi Bank Me Ak Hi Mobile Number Register Hona Chahiye Varna Aap Aisa Nahi Kar Sakte.

To Dosto Hamara Ye Article Bhim App Ke Baare Me Kaisa Laga, Aapko Kuchh New Jankari Mili Ho Ya Helpful Lagi Ho To Apne Social Media Account Pe Share Karna Na Bhule. Aur Bhim App Ke Baare Me Koi Bhi Sawal Ho To Hame Comment Me Bataiye, Aapki Puri Help Ki Jayegi. Aur Aise Hi Jankari Apne Mobile Pe Pana Chahte Ho To Hame Subscribe Kare, Thanks And Keep Visiting.....

Ye Bhi Padhe➦

No comments:

Post a Comment