Internet Happy World: Money World

Hot

Showing posts with label Money World. Show all posts
Showing posts with label Money World. Show all posts

April 27, 2019

Multiple Bank Account Hone Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hai

April 27, 2019 6

Ak Se Jyada Bank Account होने के फायदे और नुकसान क्या है।

Aaj Ke Samay Me Jyadatar Log Aise Hai Jo Apne Naam Se Ak Se Jyada Bank Account Rakhte Hai. Kuchh Logo Ke Liye To Yah Jarurat Bhi Hai To Kuchh Log Bina Jarurat Bhi Ak Se Jyada Bank Account Khulva Lete Hai. Example Ke Liye Agar Koi Businessman Hai Aur Paiso Ka Len-Den Daily Basis Par Jyada Hai To Uski Jarurat Ban Jaati Hai Ki Vo Ak Ya Jyada Bank Account Rakhe, Lekin Bahut Se Log Salary Account Ke Alava Saving Account Khulva Lete Hai. असल Me Log Ak Se Jyada Bank Account To Khulva Lete Hai, Lekin Ise Manege Nahi Kar Paate Hai. Aur Uske Fayde (Benefit) Aur Nuksan (Loss) Ke Baare Me Nahi Sochte Hai. Alag-Alag Account Me जमा पैसों Par Aapko Bada Nuksan Uthana Pad Sakta Hai. Aise Me Agar Aapke Paas Bhi 2 Ya 2 Se Jyada Bank Account Hai To Ye Article Aapke Kaam Ke Sabit Ho Sakte Hai.

Multiple Bank Account के 6 नुकसान
/multiple-bank-account-benefits-and-loss.
Better Income Pane Se Rah Jayenge Pichhe:
Ak Se Jyada Banks Me Account Hone Se Aapko Bada Loss Ho Sakta Hai, Jiske Baare Me Aapko Pata Hi Na Ho. Actually, Aapko Apne Har Bank Account Ko Manage Karne Ke Liye Usme राशि Ka Ak तय Amount Rakhna Hi Hota Hai. Yani Ki Jyada Bank Me Account Hone Se Aapka Bada Amount To Banks Me Hi फंस Jaata Hai. Us राशि Par Aapko Jyada Se Jyada 5 Se 6% Hi Yearly Return Milta Hai. 

Vahi, Agar Jyada Saving Account Me Paise Rakhne Ki Bajaye Uuse Dusri Schemes For example, Post Office, Stock Market, Mutual Fund, Government Bond Liquidity Fund Ya Fix Deposit Me Lagaye To Aapka Yearly Return Kai Guna Badh Sakta Hai. Actually Stock Market Aur Mutual Fund To Aapke Paiso Par Saving Account Ki Tulna Me Kai Guna Jyada Return De Sakta Hai. Aur Dusri Savings Schemes Me Bhi Better Income Ho Sakti Hai.

➧1. Jyadatar Saving Account Me Bank Ki Aur Se Minimum Balance Rakhne Ka प्रावधान Hota Hai. Agar Aap Aisa Nahi Karte To Bank Aapse Penalty वसूल Karte Hai. Aapke Account Par रोक Bhi Lag Sakti Hai. Actually Kai Banks Me Minimum Balance Ki Limit Maximum 10,000 Rupye Hai. Yani Aapke Paas Ak Se Jyada Account Hai To Aapki Tension Badh Sakti Hai.

➧2. Multiple Bank Account Hone Se प्रत्येक Account Par Aapko Yearly Maintenance Fees and Service Charge Dene Hote Hai. Credit Aur Debit card, And Other Banking Facilities Ke Liye Customers Se Extra Charge वसूलते Hai. Yaha Bhi Aapko Kafi Nuksan Uthana Padta Hai, Jiska Pata Hame Nahi Chalata.

➧3. Multiple Bank Account Rakhne Ka Ak Bada Nuksan Ye Hai Ki Debit Card Ya Account Password Bhul Jaane Par Isko Recover Karna Mushkil Hota Hai.

➧4. Income Tax File Karne Me Pareshani.
Jyada Banks Me Account Hone Se Income Tax जमा Karte Samay Kafi दिक्कतों Ka Samna Karna Padta Hai. Paperwork Me Adhik माथापच्ची Karni Padti Hai. Sath Hi Income Tax File Karte Samay Sabhi Bank Account Se Judi Jankari Rakhna Aur Uske Statement Ka Record Jutana Kafi पेचीदा Kaam Ho Jaata Hai.

Multiple Bank Account Ke Fayde Kya Hai.
➧1.Bank द्वारा ATM Se Sirf 5 Transaction Aur Dusre Bank Ke ATM Se 3 Transaction Ki Limit तय Kar Dene Ke Baad Multiple Account Hone Se Jyada Free Transaction Ki Facility Mil Jaati Hai. Agar 2 Bank Me Account Hai To ATM Se 10 Baar Free Transaction Kar Sakte Hai. Kisi Ak Bank Ka Network Fail Ho To Aap Dusre Bank Ke ATM Ya Online Banking Ka Istemaal Kar Paate Hai.

➧2. Agar Koi Bank Low Interest Offer Kar Raha Hai To Aap Apne Paise Ko Dusre Bank Me Transfer Kar Adhik ब्याज Le Sakte Hai. Dusri Bank Se High Interest Ka Fayda Utha Sakte Ho.

➧3. Iske Alava Agar Aapke Paas Ak Se Adhik Bank Account Hai To Aap Kai Shandar Scheme Ka Fayda Utha Sakte Hai. Jinme Attractive Yearly Premium Par  Personal Accident Cover, etc., Shamil Hai. 

➧4. Multiple Account Hone Se Check Book Ki संख्‍या Badh Jaati Hai. Iske Sath Hi Bank Apne Account Holder Ko Credit Card Offer Karte Hai. Aapke Paas Ak Se Adhik Credit Card Select Karne Ka Option Hota Hai.

Multiple Bank Account Ko Kaise Manage Kare.
Agar Aapke Paas 2 Ya Jyada Bank Account Hai To Aap Unme Se Jise Use Nahi Kar Rahe Hai. Uuse Band Karva De. Multiple Bank Account Ko Sahi Tarike Se Manage Karne Ke Liye Ak Entry System Taiyar Kare. Isme Aap Sabhi Account Se Judi Jankario Ko Likh Kar Kahi Save Kare. Aap Jis Account Ka Istemaal Jis Kaam Ke Liye Karte Hai Uski Ak Category Bana Le. Sabhi Accounts Ko Kabhi Bhi Mix Na Kare. Agar Aap Aisa Karte Hai To Multiple Account Ka Fayda Utha Sakte Hai Aur Nuksan Ki गुंजाइश Bahut Cum Hogi. Expert Ka Manna Hai Ki Agar Jarurat Nahi Hai To Multiple Account Kholne Se Bachna Chahiye. Agar Job Change Katne Ke Chalte Aapka Ak Se Jyada Account Khul Bhi Jaate Hai To Aap Uuse Close Kara De.

➧ YOU MAY ALSO LIKE 
Read More

5 Low Cost Business Shuru Kare 7 Day Me Aur Kamaye High Profit

April 27, 2019 1
Jyadatar Log Apni Income Badhane Ke Liye Business Shuru Karna Chahte Hai. Lekin Time Ki Kami Aur Paise Ki Kami Ki Vajah Se Vo Pise Hat Jaate Hai. Aksar Log Sochte Hai Ki Business Shuru Karne Me Kafi Time Lag Jata Hai, Aur Starting Me Paisa Bhi Invest Karna Padta Hai. Lekin Sachai Ye Hai Ki Kai Aise Small Business Aur Successful Business Chal Rahe Hai Jo Aap Koi Bhi 7 Days Me Shuru Kar Sakte Hai. Aur Vo Bhi Low Investment High Profit Business Ke Sath. I Mean Ki ShuruAati Lagat Bhi Bahut Cum Hoti Hai. Aaj Ki Post Me Ham Aapko Aise Hi Low Cost Business Ideas With High Profit ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai, Jinhe Sharu Karne Me Lambe Intezaar Ki Jarurat Nahi Hai Aur Starting Big Investment Ki Bhi Jarurat Nahi Hai. To Chaliye Baat Karte Hai Vo 5 Low Cost Business Ke Baare Me Jo 7 Day Me Sharu Kiya Jaa Sakta Hai.


7 Days Me Start Kare Ye 5 Low Cost Business Higi Good earning

5 low investment high profit business ideas in hindi

1.Stock Trading
Stock Market Ko Seriously Lene Wale Trading Ko Ak Best Business Bana Sakte Hai. Media Me Aayi Report Ke Mutabik Kanpur Ke Ak Trader Ekansh Mittal Ne 9 Years Me Ek Aam Trader Se ShuruAat Kar Apni Successful Company Ki Sthapna Ki Thi. 9 Saal Me Unka Return 1700 Percent Se Jyada Raha. Ekansh Ne 2008 Me Apna Demat Account Khola Aur Pocket Money Ke Sath Investment Ki ShuruAat Ki. Practical Exposure Milane Se Ekansh Ko Company Khadi Karne Me Help Mili.

Demat Account 7 Day Se Cum Time Me Sharu Ho Jaata Hai, Jiske Baad Aap Trade Ya investment Ki ShuruAat Kar Sakte Hai.

  • (Stock Market Me Trading Se Jude Apne Risk Hai, Aise Me Bhale Hi SharuAat Small Level Par Ho Lekin Market Aur Market Ke Jokhim Se Judi Sabhi Jankari Hona Jaruri Hai.)


2.Online-tutor
Agar Aap Kisi Subject Me Expert Hai To Aap Online Tutor Ban Kar Apna Business Shuru Kar Sakte Ho. India Me Aise Kai Website Mojud Hai, Jaha Par Aap List Hokar e-tutor ban Sakte Hai. Online Tuition Dene Wali Website Vedantu Ke Mutabik Unki Site Par Application Se Lekar Expert Ke Samne Presentation Dene Tak Ka Pura Process Ek Week Me Complete Ho Jaata Hai.

Aap YouTube Par Apne Lecture Se Juda Channel bhi Open Kar Sakte Hai. Filhal Agree, Painting, Creativity Se Lekar Math Expert Apne Channel YouTube Par Chala Rahe Hai. Hits Badhne Par YouTube Ke Jariye Income Ka New Source Khulta Hai. Vahi Inhi Lecture Ki Help Se Unhe Online Teaching Assignment Milne Me Bhi Aasani Hoti Hai.

3.Handyman Services
Side Business Ideas Ke Baare Me Baat Kare To, Handyman Services Me Ghar Ke Maintenance Se Judi Service Offer Ki Jaati Hai. Agar Aap Apni Handyman Services Kholna Chahte Hai To Aapko कारीगरों Ki Details Rakhni Hogi. Ye Service Ola, Uber Taxi Service Jaise Business Module Par Kaam Karti Hai. Agar Kisi Customer Ko Plumbers, Electrician Ya Carpenter Ki Jarurat Hai To Vo Service Provider Ko Call Karta Hai. Service Provider Customer Ke Ghar Ke Karib Mojud कारीगर Ko Service Request Bhej Deta Hai. Service Me Sabse Jyada Important Baat भरोसा Hota Hai, Is Service Me Bharosa Jaruri Hota Hai Aise Me करिगरो Ka Verification Service Provider Ki Responsibility(जिम्मेदारी) Hoti Hai. Vahi Website Ya Smartphone Ke Jariye करिगरो Ya Customers Se Deal Ki Jaati Hai.

Starting Me Behad Limited संख्या Me करिगरो Ko Jod Kar Ak Khas Areas Me Ki Jaa Sakti Hai. Dhire Dhire Service Aur Area Ka Dayra Badhaya Jaa Sakta Hai. Agar करिगरो Ki संख्या Limited Hai To Details, Verification Ke Sath Advertisement Ke Liye Ak Week Kafi Hai.

4.Loan, Insurance Adviser:
Agar Aap Loan Se Judi Advice Dene Me Expert Hai, To Aap Is Business Ko Shuru Kar Sakte Hai. Major Banks Aur Insurance Companies Apne Products Bechne Ke Liye Agents Ki नियुक्ति Karte Rahte Hai. Aap Kisi Se Judkar Ek Week Se Kam Ki Training Ke Sath Market Me Utar Sakte Hai. Ye Agent Commission Based Hote Hai Jis Se Aap Bahetar Kamai Kar Sakte Hai. Aapko Bata Du Ki GST Loan Insurance Advisor Ya Agent Par Nahi Lagta, Tax Sirf Insurance Company Par Hi Lagta Hai.

Agar Aap Financial Adviser Banna Chahte Hai To Aapko Certificate Hasil Karna Hoga, Jiska Samay Aur Paisa Aapke Course Ke Hisab Se Hoga. Loan Advisor Se Shuru Kar Aap Aage Chalkar Financial Adviser Ban Sakte Hai.

5.Freelancer
Low Investment High Return Business Ke Last Topic Me Freelancer Ke Baare Me Jante Hai. Bahut Sare Logo Ke Liye Freelancing Ak Side Business Hai. halaki Apni Terms Par Kaam Karne Wale Freelancing Ko Man Business Ki Tarah Lete Hai.

Freelancer Actually Vo Log Hote Hai Jo Kisi Company Se Jude Nahi Hote Aur Apne Clients Ke Sath Projects Ke Hisab Se Kaam Karte Hai. Agar Aap IT Se Lekar Content Writing Tak Me Expert Hai To Aap Freelancing Ki SharuAat Kar Sakte Hai. Thodi Research Se Aap Aisi Sites Ka Pata Kar Sakte Hai, Jaha Aapko Work Aur Fees Sahi Tarah Se Offer Hoti Hai.

Freelancer.in Me Aap Aasani Se Khud Ko Register Kar Apne Hisab Se Kisi Job Ke Liye Bid Kar Sakte Hai. Website Par Data Entry, Content, Translation, Designing Jaise Projects Ke Liye Bid Laga Sakte Hai. Sahi Websites Aapse Kaam Ke Badle Paiso Ki Mang Nahi Karti Hai. Vahi List Hone Ke Liye Process Bhi Aasan Hai.

Iske Sath Hi Aap Direct Approach Bhi Istemal Kar Sakte Hai. Apne Kaam Ke Charming Sample Bana Kar Websites, Social Media Ke Jariye Display Kar Sakte Hai. Agar Aapko Aisi Companies Ka Pata Hai Jo Projects Offer Karti Hai Vaha Jakar Face To Face Mil Bhi Sakte Ho. 

  • (Note-Market Me Kai Fraud Websites Ghar Baithe Kaam Ka Offer Deti Hai. Aise Me Alerts Rahna Jaruri Hai.)

CONCLUSION

Hi Dosto, Kya Aapke Paas Bhi Koi Low Investment Business With High Profit Ideas Ho Par iske Baare Me Jyada Jankari Na Ho To Humse Share Kar Sakte Ho. Aapko Puri Tarah Se Guide Kiya Jayega. Aaj Ke Article Me Humne Business Ideas With Low Investment and High Profit ke Baare Me Jankari Share Ki, Feer Bhi Koi Topic Aapko Samaj Me Na Aaya Ho Ya To Iske Baare Me Full Details Me Jankari Chahiye To Hame Comment Me bataiye. And Article Aapko Pasand Aaya Ho To Social Media Pe Apne Friends ke Sath Jarur Share Kare. Agar Aap Chahte Ho Ki Internet Business Ke Baare Me Har Jankari Aapko Free Me Email Par Mile To Hame Subscribe Kare. Thanks And Keep Visiting................
Read More

Post Office Me Tax Saving Ki 4 Scheme, Jo Deti Hai Sabse Best Return

April 27, 2019 0
Yadi Aap Bina Koi Risk Liye Tax Saving Karna Chahte Hai To Aapke Liye Post Office Ki Scheme Sabse Best Ho Sakti Hai. Post Office Ki Scheme Sabse Jyada Secure Mani Jaati Hai. Market Me Chal Rahe Dusri Scheme Ke Comparison Me Inme Bhale Hi Bahut Bada Return Na Diya Jaa Raha Ho, Lekin Jitna Return Post Office Offer Kar Raha Hai, Ve Aapko Milna Fix Hai. In Scheme Me Investment Karke Aap Tax Save Kar Sakte Hai. Aaj Ke Is Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Post Office Ki Aisi 4 Best Scheme Ke Baare Me Jo Tax Saving Ke Sath Good Return Bhi Milta Hai.

Tax Saving Scheme:
  • Term Deposit (TD)
  • National Savings Certificate (NSC)
  • Senior Citizen Savings Scheme (SCSS)
  • Public Provident Fund (PPF)

Post Office Me Good Returns Pane Aur Tax Saving Ki 4 Scheme.

Post Office Me Good Returns Aur Tax Saving Ki 4 Scheme.

Tax Saving Scheme No.1:
Term Deposit (TD)

Term Deposit Account Ko Koi Bhi Open Karva Sakta Hai. Yah Account Post Office Ki Ak Branch Se Dusri Branch Me Transfer Bhi Ho Sakta Hai. TD Account Open Karne Ki Koi Limit Nahi Hai. 10 Saal Ya Is Se Jyada उम्र Ka Koi Bhi Person Is Account Ko Operate Kar Sakta Hai. Isme 5 Years Ke Liye Kiya Gaya Investment 80C Ke Tahat कटौती Ke योग्य Hai. TD Account Me Aap Kitni Bhi Money Deposit Kar Sakte Hai. Isme Annually Interest Diya Hota Hai.

Tax Saving Scheme No.2:
National Savings Certificate (NSC)

Post Office Ki Yah Scheme Khas-Taur Par Employees, Businessman Ya Aise Logo Ke Liye Hai Jinki Salary Par Tax कटता Hai. Isme Maximum Investment Ki Koi Limit Nahi Hai. But, Aap Sirf 1.5 Lakh Rupaye Tak Ka Deduction Karva Sakte Hai. NSC Ke Certificate Ke Aadhar Par Aap Loan Bhi Le Sakte Hai. Loan Me Security Ke Taur Par Is Certificate Ko जमा Kiya Jaa Sakta Hai. Isme Interest Rate 6 Month Me Combined Kiya Jaata Hai. Financial Year 2016-17 Ke 3rd Aur 4th Quarters Me 5 Years Ke Liye NSC Ka Interest Rate 8% Annually Raha.

Tax Saving Scheme No.3:
Public Provident Fund (PPF)

Tax Saving Karne Ka Yah Sabse Jyada Prefer Karne Wala Option Hai. Isme Contribution, Interest and Maturity Amount Tax Free Hota Hai. Isme Account Open Hone Ke 7th Year Se Hi Paise Nikale Jaa Sakta Hai. Vahi Loan Tisre Financial Year Se Hi Liya Jaa Sakta Hai. Iska Maturity Period 15 Years Ka Hota Hai. Ise 5 Year Badhaya Bhi Jaa Sakta Hai. Retirement Ke Hisab Se Bhi Is Scheme Me Invest Karna Sabse Best Options Me Se Ak Hai.

Tax Saving Scheme No.4:
Senior Citizen Savings Scheme (SCSS)

Isme Vahi Log Account Open Karva Sakte Hai Jinki Age 60 Year Se Jyada Hai. VRS Lene Wale Log 55 Saal Ki उम्र Me Apna Account Open Kar Sakte Hai. Iska Maturity Period 5 Years Ka Hota Hai. Iske Investment Ko Bhi 80C Ke Tahat Claim Kiya Jaa Sakta Hai. Isme Quarterly Interest Diya Jaata Hai.

Dosto, Is Article Me Hamne Post Office Ki Tax Saving 4 Scheme, Term Deposit, National Savings Certificate, Senior Citizen Savings Scheme, Public Provident Fund Ke Baare Me Bataya, Jaha Se Aapko Sabse Best Return Milta Hai. Aap Isme Se Koi Kisi Bhi Scheme Me Apna Paisa Invest Kar Sakte Ho, Is Se Tax Bhi Bacha Sakte Hai. Umid Karta Hu Ki Aapko Hamara Ye Article Jarur Pasand Aaya Hoga, Aise Hi Update Pana Chahte Ho To Hamare Blog Ko Subscribe Kare, Aur Koi Sawal Ho To Comment Me Bataye, Thanks And Keep Visiting..
YOU MAY ALSO LIKE:

Read More

Free Time Me Kare Ye Top 5 Side Business, Hogi Sabse Best Income

April 27, 2019 1

Free Time Ka Sahi Istemal Karke Kare Top 5 Side Business


Free Time Ka Sahi Se Istemal Sabhi Karna Chahte Hai. Aur Vahi Log Ye Bhi Chahte Hai Ki Free Time Ka Istemal Is Tarah Se Kiya Jaaye Ki Income Me Bhi Fayda Ho. To Friends Aaj Ke Article Me Ham Un Logo Ko Aise Hi Top 5 Side Business Ideas Ke Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai Jo Aapki Ye Dono Wish Puri Karege. Ye 5 Side Business Ko Income Ke Hisab Se Kai Average Full Time Jobs Se Best Mana Gaya Hai.

Top 5 Side Business For Better Earnings

Top 5 Side Business For Better Earnings

Part Time Job Offer Karne Wali Company FlexJob Ne In Job Ko Apni Top Job List Me Shamil Kiya Hai. American Company Flexjob India Ke Liye Bhi Job Offer Karti Hai. August Month Ke Liye Company Ne Indian Logo Ke Liye 10 Category Me Part Time Job Offer Ki Hai. FlexJob Ke Mutabik List Me Sirf Un Side Business Ko Shamil Kiya Gaya Hai, Jisme Hone Wali Har Hour Ki Average Earning American Government Dvara Fix Ki Gayi Minimum Per Hour Income (7$) Ka Cum Se Cum Double Ho. Matalab Ki Ye List Me Shamil Kiye Gaye Sabhi Side Business Ki Income Har Ghante 14$ Ki Hai.

Top 5 High Paying Side Jobs

1. Group Fitness Instructor:

Flex Job Ki List Me Sabse Upar Group Fitness Instructor Hai. Website Ke Mutabik Yoga, Fitness, Cycling, Is Segment Me Aate Hai. Website Ke Is Job Ki Sabse Khas Baat Ye Hai, Log Pahle Khud Apne Free Time Me In Activity Ko Shikhte Hai, Baad Me Vo Khud Is Service Ko Offer Karne Lagte Hai. Yani Apne Khali Samay Ke Istemal Me Ye Sabse Best Option Hai.

America Me Is Job Ke Liye Cum Se Cum 40$/Hours Tak Mil Jaate Hai. Vahi Delhi Me 1 Se 2 Hours Har Deen Ke Yoga Session Ke Liye Average Fees Rs 2000 Per Month Per Person Hai. Matlab Ki Har Ek Ghante Har Ek Vykti Se 2000 Rupye ki Kamai Ki Jaa Sakti Hai. Agar Teacher Famous Hai Ya सिखाइ Ja Rahi Activity Khas Hai To Income Kai Guna Jyada Ho Sakti Hai.

2. Special Education Tutor:
बुजुर्ग Ho Ya Kisi Pareshani Se जूझ Raha बच्चा, Special Education Tutor Ki Jarurat Har Jagah Badh Rahi Hai. Special Tutor Un Logo Ko Kahte Hai Jo Kisi Khas Jarurat Ke Hisab Se Shikhane Me Help Karte Hai. In Job Me Sign Language Shikhane Walo Se Lekar, Kisi अक्षमता Ke शिकार (Victim of Inability) Logo Ke Tutor Shamil Hai.

FlexJob Ke Mutabik Aksar Awareness Badhane Ke Liye Governments, Institution, Companies Ya School Is Tarah Ke Program Chalati Hai Jaha Vo Tutor Ko Part Time Job Offer Karte Hai. America Me Ak Sign Language Sikhane Wale Ki Har Ghante 35$ Tak Mil Sakte Hai.

3. Multi Language Expert:
2 Ya 2 Se Jyada Languages Ke Jankar:
Agar Aap Ak Se Jyada Language Jante Hai To Aapke Paas Opportunities Ki Koi Kami Nahi Hai. Khas Taur Par India Jaisi Country Me Jaha Kai Tarah Ki Bhasha Ye Hai. FlexJob Ki Mutabiq Content Ka Translation Ho Ya Kisi Company Ke Officer Ka दुभाषिया Banna, Ya Feer Ak Se Jyada Languages Me Expert Hona Kafi Fayde-Mand Job Hai.

Sabse Khas Baat Ye Hai Ki Agar Aap Koi Dusri Language Nahi Jante Hai To Aap Apne Free Time Me Ise Sikh Sakte Ho Aur Baad Me Iska Istemal Dusro Ko Shikhane Me Kar Sakte Hai To Aap Apne Free Time Me Ise Shikh Sakte Ho Aur Baad Me Iska Istemal Dusro Ko Sikhane Me Kar Sakte

4. Event / Product Photographer:
Free Time Me photography Karna Kai Logo Ka शौक Hota Hai, Vahi Dusri Taraf Kai Companies Aise Logo Ki Talash Karti Hai Jo Unke Liye Kisi Khas Event Me Jakar Pure Event Ya Feer Kisi Product Ki Photography Kar Sake. Media House Bhi Behtar Photographs Ki Talash Karte Rahte Hai. Is Job Me Photography Ke Sath Editing Ki  Jankari Hona Jaruri Mana Jaata Hai. kai Log Photography Ki Help Se Photo Feature Bhi Post Karte Hai, Jo Kisi Event, Product Ya Kisi Tour Ka Hissa Ho Sakta Hai.

Expert Ke Mutabik Writing Ke Mukable Photo Feature Jyada Dekhe Jaate Hai Aise Me In Posts Ke Hit Hone Ki Sambhavna Bhi Jyada Hoti Hai. FlexJob Ke Mutabik Product Photographer Har Ghante Cum Se Cum 20$ Kama Lete Hai.

5. Resume Writer:
FlexJob Ke Mutabik Aapko Job Offer Hone Me Sabse Aham Roll Dilata Hai Aapka Bio-data Ya Resume Ya CV, Lekin Khas Baat Ye Hai Ki Jyadatar Log Nahi Jante Hai Ki Bio-data Ya Resume Kaise Taiyar Kiya Jaye. Yahi Par Resume Writer Ki Help Lee Jaati Hai. Resume Writer Banne Ke Liye Aapko Sirf Language Par पकड़ Aur Presentation Skills Chahiye.

Flex Job Ke Mutabik Is Job Me Income Is Baat Par Depend Hoti Hai Ki Aap Kitne Experience Wale Professional Ke Liye Resume Bana Rahe Hai. Aksar Middle Management Se Top Job Ke Liye Apply Karne Wale Executive, Freelancer Experts Ke Sath Kaam Karte Hai. Actually, Upper level Ke Job Application Me Formalities Aur Presentations Kafi Aham Hota Hai. India Me Freelancer Resume Writer 500 Se 3000 Rupye Par Resume Fees Charge Karte Hai.  

Side Jobs / Side Business Karne Ke Tarike:
Side Business Pane Ke Do Tarike Hai Isme Flexible Job Offer Karne Ki Website Hai. Vahi Direct Approach Se Bhi Kaam Kiya Jaata Hai. Freelancer.Com Aur Flexjob Bhi Indian Logo Ke Liye Job Offer Karti Hai. Aapko Job Offer Karne Ke Badle Ye Aapse Fees Leti Hai. Iske Alava Kai Companies Direct Short Term Project Nikalti Hai. Log Social Media Ke Jariye Bhi Business Pane Ki Koshish Karte Hai. Khas Baat Dhyan Rakhe Ki Side Business Kamai Ka Bada Jariya Hai Aur Log Lagatar Occasions (अवसरों) Ki Talash Me Lage Rahte Hai. Is Se In Jobs Me जालसाजी Ka Khatara Utana Hi Jyada Hai. Expert Ke Mutabik Sabhi Genuine Companies Job Milne Se Pahle Aapse Fees Nahi Magti. Vahi स्थापित Ho Chuki Companies Agar Fees Leti Hai To Vo Bhi Kafi Mamuli Hogi.

Dosto, Is Article Ke Jariye Hamne Apne Free Time Ka Sahi Istemal Karke Apni Skill Ko Develop Karne Ke Sath Kamai Karne Ke Baare Me Bataya. Aur Ye Bhi Jaana Ki Ham Apne Khali Samay Me India Ke Top 5 Side Business Kaise Kare. Aur Unse Sabse Bahetar Kamai Kaise Ki Jaati Hai. To Friends Aapko Kaisa Laga Ye Side Business Ideas, Business Ideas With Low Investment, Best Small Business Ideas. Aapko Ye Post Pasand Aayi Ho To Apne Friends Ke Sath Social Media Par Share Jarur Kare. Aur Koi Sawal Ho To Hame Comment Me Bataiye. Thanks And Keep Visiting....

  Ye Bhi Padhe 
Read More

Top 5 Successful Business Ideas Jinhe Follow Karke Bane Crorepati

April 27, 2019 2
Aaj Ke Article Me Appko Kuchh Aise Simple Business Ideas Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai, Jinhe SharuAat Ak Simple Business Se Ki But Un Logo Ne Kaise Bada Business Khada Kar Diya Hai. Is Post Ke Jariye Aapko Ye Bhi Batane Ki Koshish Ki Hai Ki Kon Sa Tha Vo Simple Business Ideas Jo Big Business Me Tabdil Ho Chuka Hai Aur Kon Hai Vo Log Jisne Ye Small Business Ideas Ko Aajmaya Hai.

Aaiye Baat Karte Hai Konse Simple Ideas Se Crores Rupye Ki Income Ki Jaa Sakti Hai. Jinhe Log Aksar Ignore Kar Dete Hai. Aaj Aapko Yahi Batane Jaa Raha Hu Ki Wo Log Kon Hai Jinho Ne Ye Kar Dikhaya Hai. The Richest Ne Aise Hi Kuchh Simple Se Business Ideas Ki List Di Hai. Jo Sirf Isliye Samne Aaye, Kyo Ki Safal Hone Wale Inshan Ne Apne Aas-Pas Ki Behad Normal Lagne Wali Problems Ko Seriousness Se Liya. In Ideas Par Business Sharu Karke Vo Log Crorepati Ban Gaye. In Se Sabak Lekar Aap Bhi Fayda Utha Sakte Hai.
Top 5 Successful Business Ideas in hindi

Top 5 SuperHit Business Idea Se Kamaye Crores Aap Bhi Kare Try


1. Smiley:
The Rechest Ke Mutabik Aise Ideas Se Success Hone Me Kafi Chances Hote Hai Jo Logo Ko Feel good Ka Ahsas (feeling) Karaye, Iska Sabse Bada Example Smiley Face(😏) Hai. Smiley Face Aaj Aapko Har Kahi Dikhne Ko Mil Jaata Hai.
Harvey Ross Ball was an American commercial artist.
Years 1963 Me Harvey Ball Ne Apni PR Company Ke Client State Mutual Life Insurance Ke Liye Smiley Face Banaya Tha. Inke Badle Me Sirf Unko 45$ Mile The. Unho Ne Is Face Ko Patent Karane Ke Liye Socha bhi Nahi.

To Dusri Taraf Do Brothers Bernard Aur Murray Ki Najar Is Face Par Padi To Unhe Iski Feel Good Power Ka Ahsas Huya. Unho Ne Is Smiley Face Ke Rights Kharide Aur "Have A Nice Day" Ki Line Ke Sath Market Me Utar Diya.

Kaise Khadi Ki Crores Ki Company
Unho Ne Har Products Jaise Tshirt, Card, Clothes, Cup Par Is Smiley Face Utara. Logo Par Iska नशा 18 Mahine Tak Raha. 1971 Tak Dono Brothers Ne Is Face Ki Help Se 5 Crore Dollar Ki Kamai Ki. Jiske Baad Unhone Ak Retail Chain Ke Jariye Bikri Jari Rakhi. Baad Me In Brothers Ne Is Retail Chain Ko 50 Crore Dollar Me Bech Diya Jo Aaj Ke Hisab Se 3000 Crore Rupye Se Bhi Jyada Hai.

Simple But SuparHit Business Ideas Aur Unse Jude Sabak

2. Doggles:
Steve Jobs Ne Kaha Tha Ki Logo Ko Nahi Pata Hota Ki Unhe Kya Chahiye, Jab Tak Aap Nahi Batate Ki Unhe Is Khas Chij Ki Jarurta Hai. Doggles Aisa Hi Business Ideas Hai. 1997 Me Apne Dog Ke Sath Khelte Huye  Ak American Software Programmer Roni Di Lullo Ne Dekha Ki Unka Dog (डॉग) Suraj Ke Samne Rahne Par Frizzby Nahi Pakad Pa Raha Hai. Vahi Dhul Me Chalne Par Bhi Yuse Dikkat Ho Rahi Hai. Yahi Se Unke Dimag Me Apne Dog Ke Liye Khas Sunglasses Banane Ka Idea Aaya. Apne Dog Par Hi Experiment Kar Unho Ne Kutte Ko Feet Hone Wale Doggles Taiyar Kiye. 2002 me 1 Lakh Dollar Ki Bikri Hui. Vahi 2015 Me 30 Lakh Dollar Yani Ki Approx (191831404.51) 19 Crore 18 Lakh Rupaye Ki Bikri Hui.

Doggles, LLC
Roni Ab Ak Crorepati Hai. Unke Doggles Customers Me Aam Logo Ke Sath American Army, US Police Se Lekar Celebrity Bhi Shamil Hai. Sabse Important Baat Ye Hai Ki Ronnie Ab Dogs Ke Liye Najar Ke चश्मे Bhi Offer Kar Rahi Hai.

Simple But Top Successful Ideas

3.Plastic Wishbone:
The Richest Ke Mutabik Logo Ke Emotions (भावनाओं) Aur Khushi Se Judi Chhoti Se Chhoti Chij Bade Business Ka Aadhar Ban Sakti Hai. Toffee, Chocolate Jaise Business Sirf Isliye Successful Hai Kyo Ki Ye Baccho Ki Khushi Se Sidhe Jude Hote Hai. Aur Unki Unit Cost Bhi Cum Hoti Hai. Plastic Wishbone Bhi Aisa Hi Ak Product Hai. American Tradition(परंपरा) Me Thanksgiving Day Ke Baad Dish Me Bachi Ak Khas हड्डी Ke Tukde Ko Todne Ki Parmpara Hai. Aisa Mana Jaata Hai Ki Is Se Wish Puri Ho Jati Hai. But Har Dish Me Aisi Sirf Ak Hi हड्डी Hoti Hai. Aise Me Family Me Sirf Ak Ko Ye Khushi Milti Thi, Vahi Vegetarian Khana Khane Walo Ko Vo Bhi Nasib Nahi Hoti.
founder-LuckyBreakWishbone
1999 Me Apne Family Members Ko Ak Wishbone Ke Liye झगड़ते Dekh, Ken Ahroni Ne Decision Liya Ki Vo Plastic Wishbone Banayege Jo Bilkul Vaise Hi Tute. 5 Year Ke Baad Launch Hui Is Wishbone Ne Fist Year Hi 10 Lakh Dollar Yani Ki Karib 6 Crore Rupye Ki Kamai Ki. Filhal Sales 25 Lakh Dollar Yearly Tak Pahuch Gayi Hai. Ken Filhal LuckyBreakWishbone Company Ke President Hai.

4.Snuggie:
Kai Baar Achhe Product Isliye Nahi Chalte Kyo Ki Unki Marketing Achhi Nahi Hoti. Better Marketing Ke Sath Common Concept Bhi Successful Ho Sakta Hai. Snuggie Actually Ak Blanket Hai, Jisme 2 बाहें Lagi Hoti Hai. Is Blanket Ki Specialty Ye Hai Ki Aap Es Ko Gale Tak ओढ़ Sakte Ho, Lekin Aapki बाहें Khuli Rahegi Aur Aap Book, Phone Ya Laptop Par Work Kar Sakte Ho.

All Stock Marketing CEO
SharuAat Me Is Concept Ka Majak Udta Tha, Isliye Is Se Pahle Aise Hi Do Product Slanket and Freedom Blanket Success Nahi Ho Payi. All Stock Marketing CEO, Stock Boylean Ne Is Product Ki Possibilities (संभावनाओं) Ko Samja, Kyo Ki Log Ise Majak Me Lete The Isliye Snuggie Ke Advertisement Me Majak Ko Bhi Shamil Kiya Gaya. Ak Baar Logo Ne Iska Istemal Sharu Kiya To Feer Product Successful Ho Gayi. Ab Tak 20 Crore Dollar Yani Ki Karib 1300 Crore Rupye Ke Snuggie Bik Chuke Hai. Vo Bhi Tab Jab Snuggies Ki Saflta Ka Fayda Baki Dono Brand Slanket and Freedom Blanket Ko Bhi Mila.

CONCLUSION:
Hello, Friends Hamne Aapko Simple Business Ideas Ko Kaise  Successful Business Ideas Me Babdil Kere Jinke Baare Me Bataya Jo SuperHit Business Ideas Me Badal Chuke Hai Aur Aaj Vo Log Crorepati Bhi Ban Gaye Hai, Ak Simple Se Life Changing Business Ideas Ne Kahi Logo Ki Kismat Badal Di, Aapko Bhi Pasand Aaya Ho To Follow Kare Ya Apne Friends Ke Sath Is Article Ko Share Kare. Aur Koi Sawal Ho To Hame Comment me Bataiye, Hame Aapki Help Karne Me Khushi Hogi. Thanks And Keep Visiting.....

*** Ye Bhi Padhe ***
Mobile Phone Ka Sahi Use Karke, Har Mahine 20,000+ Kare Income
Read More

2019 Me Ghar Baithe Internet Se Online Earnings Ke 10 Popular Tarike.

April 27, 2019 2
Online Work Ko Lekar Fraudsters Ki संख्या दिनबदीन Badhati Jaa Rahi Hai. Ye Fraudsters Paise Dene Ka Waada Karke Online Kaam To Kara Lete Hai, Lekin Paise Nahi Dete Hai. Aise Fraudster Se Careful Rahne Ki Nasihat Dete Huye Aapko Online Work Karke Kamai Karne Baare Me Bataa Rahe Hai Ham.
top 10 ways internet online earnings

Paise Kamana Har Kisi Ka Sapna Hota Hai Feer Chahe Vo नौकरीपेशे Wala इंसान Ho, Businessman Ho Ya Feer बेरोजगार. Iske Liye Log Alag-Alag Tarah Se Positive प्रयास Bhi Karte Hai. In Sabke Bich Agar Aapke Paas Thoda Free Time Hai, Aur Internet Ka Thoda Bahut Knowledge Hai, To Online Kamai Aapki Income Badhane Ka Ak Brilliant Ways Hai. Iske Liye Aapko Kahi Jaane Ki Jarurat Nahi, Balki Kamai Ghar Baithe Bhi Ki Jaa Sakti Hai. Aaj Ke Article Me Ham Aapko Online Earnings Karne Ke 10 Popular Tariko Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai. Aaj Ke Article Ke Hamara Main Topic Hai Online Internet Se Kamai Karne Ke 10 Popular Tarike. Aaiye Jaante Hai Kya Hai Vo 10 Tarike.
  • 1. Self-publish eBooks:
  • 2. Photo Bechakar Kaise Kamai Kare:
  • 3. Online Work:
  • 4. Google Adsense:
  • 5. E-tutor:
  • 6. Youtube Se Kamai:
  • 7. BuySellAds:
  • 8. Paid Review:
  • 9. Apps Ka Business:
  • 10. Online Purane Saman BechKar Kare Kamai:

Online Internet Se Kamai Karne Ke 10 Popular Tarike.

1. Self-publish eBooks:
Agar Aapko Writing Se Pyaar Hai, To Kai Website Paise Dekar Online Book Likhane Se Lekar Uski Royalty Se Kamai Karne Ka मौका Deti Hai. Inhi Sites Me Se Ak Hai Amazon. Amazon Kindle Direct Publishing Ke Name Se Yah Feature Chalati Hai. Isme Koi Bhi Online Book Likh kar Ise Kindle Book Store Par Daal Sakte Hai. Iski Sell Hone Par Writer Ko 70% Tak Royalty Milti Hai. Ye Site Aur Self-publish eBook Ki Jyada Jankari Ke Liye Amazon Kindle Direct Publishing Par Click Kare. Is Par Aap Apna Account Bhi Banakar Regular Member Ban Sakte Hai. Amazon Kindle Direct Publishing Kya Hai aur Paise Kaise Kamaye.

2. Photo Bechakar Kaise Kamai Kare:
Online Earnings Ke Dusra Popular Tarika Hai Photos Ki Selling. Photo Stock Rakhne Wali Website Bhi Aapke Online Income Ka Jariya Ban Sakti Hai. Pure World Me Shutterstockshutterpoint Aur IStockPhoto Jaisi Kai Website Photo Kharid Kar Uska Payment Karti Hai. Isme Site Ke Member Ko Apni Photo Ko Site Par Submit Katna Hota Hai. Feer Uske Baad Site Ki Policy Ke Anusar Aap 15 Se 85% Tak Royalty Paa Sakte Hai.

3. Online Work:
UpWork Aur Elance Jaisi Site Online Kamai Karne Ke Mamale Me Pure World Me Famous Websites Me Se Ak Hai. In Dono Sites Me Sabse Pahle Aapko Test Dekar Khud Ko Register Karna Padta Hai. Uske Baad Alag-Alag Kaam Ke Liye Members Ko Contract Aur Freelancer Ke Roop Me हायर Karti Hai. Work Complete Hone Ke Baad Site Aapko Par/Hour Ya Feer अन्य Tariko Se Paisa Deti Hai.

4. Google Adsense:
Google Adsense Ke Jariye Aap Blog Par Advertisement Bhi Laga Sakte Hai, Jis Se Kuchh Kamai Ka Jariya Ban Sakta Hai. Google Ki Service Adsense Ki Aur Se Diye Gaye Advertise Ko Apne Blog Par Lagana Hota Hai. Yah Aapko Har Us Click Ke Liye Payment Karega Jo Aapke Blog Par Dikhai Gaye Advertisement Par Hoga. Google Adsense Aapko Kai Tarah Ke Advertisement Provide Karta Hai Jaise Video, Picture, Text, Banner Etc. Aap Inme Se Apne Liye Best Advertisement Select Karke Apne Blog Par Laga Sakte Hai. Adhik Jaanne Ke Liye Click Kare Google Adsense Se Free Blog Banake Paise Kaise Kamaye.

5. E-tutor:
E-tutor Bhi Online Kamai Ke Famous Tariko Me Se Ak Hai. Bahut Sari Website Alag-Alag Subject Ko Lekar Logo Se Paid e-tutor Ki Facility Provide Karati Hai. Inme TutorVista Aur 2tion.net Jaisi Main Site Hai. User Aisi Hi Sites Par Khud Ko Register Kar Few Hours पढ़ाकर Big Earning Kar Sakta Hai.

6. Youtube Se Kamai:
Youtube Ab Aapke Original Video Ko Online Distribute Kar, Us Se Hone Wali Kamai Me Aapko Hissa Deti Hai. Youtube Partner Program Me Shamil Hone Ke Liye Users Ko Sabse Pahle Youtube Creators Partner Par Jakar Youtube Partner Program Ke Liye Apply Karna Hoga. Users Ko Isi Registration Ke माध्यम Se Apne Video Upload Karna Hoga. Youtube Ki Technical Committee Originality Aur Quality Ka Testing Karegi. Iske Baad Video Par Milane Wale Advertisement Ka Hissa Users Ko Diya Jayega. YouTube Se Paise Kaise Kamaye

7. BuySellAds:
Yah Bhi Ak Online Marketing Ka Jariya Hai. Iske Jariye Direct Advertisement Beche Jaa Sakte Hai. Aapke Blog Ko Diye Gaye Advertisement Ke एवज Me Yah Apni Commission Lete Hai. Iske Advertiser Se Aapka Direct Contact Nahi Hota.

8. Paid Review:
Software Ya Other Products Ke Liye Likhna. Agar Writing Me Aapki क्षमता जबरदस्त Hai To Iske Jariye Aap Kamai Kar Sakte Hai. Iske Alava Infolink Bhi Ak Jariya Hai.

9. Apps Ka Business:
Smartphone Aur Tablet Ke Liye Lakho Application Banke Bik Rahi Hai. Agar Aapke Paas App Banane Ke Liye Best Idea Hai To Aap Bhi Kisi App Developer Ki Service Lekar Apni App Banva Sakte Ho. App Banane ke Baad 30 Se 100$ Ki Yearly Fees Dekar Google, Apple, Microsoft Ke Windows Store Par Registration Karva Sakte Ho.

10. Online Purane Saman BechKar Kare Kamai:
Aasani Se Online Paise Kamane Ke Tariko Me Se Ye Tarika Bhi Kafi Famous Hai. Isme Aap Apne Ghar Me Rakhe Purane Samano Ko Online Bech-Kar Achhi Kamai Kar Sakte Ho. Bahut Sari Website Aapko In Useless Products Ke Liye Free Me Ads Dene Ki Facility Deti Hai. Iske Sahare Purane Samano Ki Photo www.olx.in, www.quickr.com Aur craigslist.co.in Jaisi Kai Site Par Update Kar Tumse Bechne Se Kamai Kar Sakte Hai.

➧ YOU MAY ALSO LIKE 
2019 Me Internet Se Kamai Karne Ke Best 5 Ways
Domain Name Auction में बेचकर कमा सकते है 30 लाख से भी ज्यादा पैसे।
Facebook For Creator App Ke Jariye Kaise Kama Sakte Hai Paise
YouTube पर Earning कैसे बढ़ाएं Famebit से Sponsorship Kaise Le.
Google Se Online Earning Karne Ke Sabse Aasan Tarika
Free Time Me Paise Kamane Ke 3 Asan Tarike- Ghar Baithe Kamai
Internet Se Earning Karne Ke Sabse Best And Easy Ways
Mobile Internet Se Online Paise Kamane Ke Sabse Aasan 5 Tarika
Cum Paise Me Kare Ye Top 5 Online Business
World Ki Top 5 Brilliant Jobs (Work's) Kare Lakho Ki Kamai Ghar Baithe
Read More