Aadhaar Data Leak Hone Se Kaise Bache, Aise Hi 10 Sawalo Ke Jawab. - Internet Happy World

Hot

March 23, 2019

Aadhaar Data Leak Hone Se Kaise Bache, Aise Hi 10 Sawalo Ke Jawab.

Kya Aadhaar Card Hack Ho Sakta Hai? Ways To Secure Your Aadhar Card

Abhi Haal Ke Samay Me Aadhar Card Ke Data Leak Hone Ki News Har Deen Milti Rahti Hai, Vajah Ye Hai Ki Ak ethical Hacker Elliot Alderson Ne PM Modi Aur TRAI Chief Ko Aadhaar Details Share Karne Ka Challenge Kiya Tha. Aur Us Hacker Ne Sari Details Publicly Share Bhi Ki.

Ab Pura Majara Kya Hai Samjte Hai. असल Me Hua Ye Ki TRAI Chairman RS Sharma Ne Saturday Ko Twitter Par Apna Aadhaar Number Share Kar Challenge Diya Ki Is Se Unka Data Leak Karke Dikhaya Jaaye, Uske Baad Ak ethical Hacker Elliot Alderson Ne RS Sharma Ka Contact Number, Pan Number, Address Samet Kai Personal Photo Bhi Twitter Pe Share Kar Di, Feer Kya, Uske Baad Pure Media Ne Is Khabar Ko Cover Kiya.
Aadhaar Ke Data Leak Se Jude 10 Sawal Jawab, Unka Use Kaise Aur Kaha Hota Hai.
Aadhaar Ke Data Leak Kaise Hota Hai

Aadhaar Ke Data Leak Kaise Hota Hai, Aadhaar Card Ki Security Kaise Rakhe.

Ab Web Expert Manuj Jain Ne Facebook Par Dava Kiya Ki TRAI Chairman RS Sharma Ke Data Ko Hack Nahi Kiya Gaya Balki Jo Data Leak Hua Hai Vah Pahle Se Hi Government Rules and Orders Ke Mutabik Sarkari Websites Par Mojud Tha. Aur Itana Hi Nahi Is Daave Ke Proof Ke Liye Usne Prime Minister Narendra Modi Aur Delhi Ke Chief Minister Arvind Kejriwal Ka Data Bhi Public Kia. Manuj Ne Uske Facebook Account Par In Dono Ke Address, Email Id, Phone Number, Pan Number Share Kar Diye. Ab Ham Manuj Jain Se Janege Ki Data Leak Kaise Hota Hai, Aur Iska Istemaal Kaise Aur Kaha Use Hota Hai.

Aadhaar Card  Ke Data Leak Aur Privacy Se Jude Sabhi Sawalo Ke Jawab.

1. Kya Sach Me Aadhaar Se Data Leak Ho Sakta Hai?
Ans:- Actually, Aadhaar Card Ka Istemaal Verification Ke Liye Kiya Jaata Hai. Agar Aap Koi Sim Card Lene Jaate Hai To Apne Address Ke Verification Ke Liye Aadhaar Dete Hai. Aadhaar Se Koi Data Leak Nahi Hota Aur Uska Istemaal Sirf Verification Ke Liye Hi Hota Hai.

2. To Kya Aadhaar Puri Tarah Safe Hai?
Ans:- Ha, Aadhaar Puri Tarah Se Safe Hai, Actually UIDAI Ke Paas Encoding and Decoding Ke Sabse Best Algorithm Hai. Fee Bhi World Me Aisa Koi Code Nahi Jise तोड़ा Na Jaa Sake. Lekin Samay Ke Sath-Sath Database Bhi Upgrade Kiya Jaata Hai Taki Ise Hacking Se Bachaya Jaa Sake.


3. Aadhaar Se Hamari Privacy Ko Khatra Hai?
Ans:-Agar Aap Government Se Kuchh Lena Chahte Hai To Uske Liye Aapko Privacy Se Thoda समझौता Karna Padta Hai. And Government Ko Ye Janne Ka Adhikar Hai Ki Jo Log Uski योजनाओं Ka Fayda Le Rahe Hai, Unki Pahchan Kya Hai? Ve Kon Log Hai? Ham Social Media Pe Bhi Hamari Personal Information Dalte Hai To Ak Tarah Se Ham Apni Privacy Ka Khud Hi Khulasa Kar Rahe Hai, To Feer Hame Privacy Ke Liye Aadhaar Ko Jimmedar Nahi ठहराना Chahiye.

4. Manuj Ke Paas Modi Aur Kejriwal Ka Data Kaha Se Aaya?
Ans:- Election Commission Ke Rules Ke Mutabik, Jo Bhi चुनाव लड़ता Hai Yuse Apni Sari Jankari Ak Affidavit Me Deni Hoti Hai. Election Commission In Sabhi Affidavit Ko Apni Website Par Dalta Hai, Vaha Se Aap Sabhi Website Par नेताओं Ka Affidavit Dekh-Kar Unki Jankari Le Sakte Hai. Sirf नेता Hi Nahi, Balki Common Man Ki Information Election Commission Ki Website Par Hoti Hai. 
Modi Aur Kejriwal Ki Ditails tweet by manuj

5. TRAI Chairman To नेता Nahi Hai, Feer Unka Data Kaha Se Aaya?
Ans:- TRAI Chairman Post Ke Liye Jab RS Sharma Ne Apply Kiya Hoga To Unhone Ne Apna Resume Bhi Diya Hoga, Usme Unki Sabhi Jankari Hogi. TRAI Ki Website Par Bhi Data Save Rahta Hai. Iske Alava TRAI Chairman IAS Rahe Hai Aur Government Me Bhi Kai Badi Post Par नियुक्त Rahe Hai, Vaha Se Unka Data Liya Jaa Sakta Hai. Agar Unka Phone Number Pata Karna Ho To Google Pe Search Kar Sakte Ho Vaha Se Aapko NIC Ki Website Ke Jariye Mil Jayega, Kyo Ki Vo Indian Government Me IT Secretary Rah Chuke Hai.

6. Hackers Ne Ye Daava Kaise Kiya Ki Unka Data Leak Huyaa Hai?
Ans:- Actually, Hackers Ne Kisi Tarah Ka Data Leak Nahi Kiya. Unho Ne Twitter Par RS Sharma Ke Baare Me Jo Bhi Information Leak Ki, Vo Internet Par Pahle Se Hi Mojud Hai. Hackers Ne Pahle Se Hi Public Information Ko 'Club' Kiya Aur Daava Kiya Ki Unho Ne Aadhaar System Ko Hack Kar Liya. 

7. Kis Tarah Ka Data Leak Kiya Jaata Hai?
Ans:- Jo Bhi Data Leak Hota Hai, Vo Pahle Se Hi Publicly Rahta Hai, Jaise Ki Cambridge Analytica Wale मामले Me Hua Tha. Cambridge Analytica Ne Users Ka Vahi Data Collect Kiya Jo Users Ne Apni Facebook Profile Me Dalkar Rakha Tha. 

8. Logo Ka Data Kaise Collect Kiya Jaata Hai.
Ans:- Ise Data Mining Kaha Jaata Hai. Aasan Words Me Kahe To Data Ki Khoj. Social Media Par Logo Ki Profile Ke Jariye Unka Data Collect Kiya Jaata Hai Aur Usko Ak Common Server Me Save Kiya Jaata Hai Taki Iska Use Kiya Jaa Sake. Feer Usi Data Ke Hisab Se Aapko Advertise Dikhaya Jaate Hai.

9. Aadhaar Data Ka Use Kaha Hua, Kaise Pata Kare?
Ans:- UIDAI Ki Website Par Jakar Aap Check Kar Sakte Hai Ki Aapka Aadhaar Data Kaha-Kaha Use Hua Hai. Iske Alava Agar Aap Apna Biometric Data Lock Karna Chahte Hai, To Yuse Bhi UIDAI Ki Website Par Jakar Kar Sakte Hai, Lekin Iske Liye Aadhaar Se Mobile Number Registered Hona Jaruri Hai.

10. Aadhaar Data Leak Hone Se Kaise Bache?
Ans:- Government Hamesha Kahti Rahti Hai Ki Aadhar Sirf Card Nahi Balki Number Hai. But Ab Iska Use Bina OTP Ya Fingerprint Authentication Ke Hone Lage Hai. Itana Hi Nahi, Institutions Computer Se Printout Hua Aadhaar Bhi Bina  Authentication Ke ID Proof Ki Tarah Use Karne Lagi Hai Jo Ki Aadhaar Ki मूल भावना Ke Khilaf Hai. Is Tarah Se Aadhaar Ke Jariye Fraud Ki Jaa Sakti Hai.

Ye Bhi Padhe➥

No comments:

Post a Comment