10th Ke Baad Job Ki Guarantee Chahiye To Kare Ye 5 Diploma Courses - Internet Happy World

Hot

March 28, 2019

10th Ke Baad Job Ki Guarantee Chahiye To Kare Ye 5 Diploma Courses

Ab Job Oriented Courses Ke Prati Trend Badhta Jaa Raha Hai. Kai Parents Chahte Hai Ki Unke Bachhe Aisa Course Kare, Jise Karne Ke Baad Job Search Karne Me Aasaani Ho. Aaj Ke Article Me Ham Batane Jaa Rahe Hai Aise 5 Diploma Courses Ke Baare Me Jinhe 10th Ke Baad Hi Kiya Jaa Sakta Hai. Yani Ki Aap Ye Course Karke Jaldi Hi Apne Pairo Par Khade Ho Sakte Hai.

10th Ke Baad Diploma Ke In 5 Courses Me Hai Job Ki Guarantee.

after-10th-career-guide-in-hindi

1. Hotel Management:
In Deeno Hotel Aur Hospitality Industry Me Kafi Scope Hai. Aise Me Yadi Aapko Hospitality Me Career Banana Hai To Aap 10th Ke Baad Hotel Management Me Diploma Kar Sakte Hai. Yah Diploma Karne Se Is Field Me Job Milna Aasan Ho Jayega.

2. Computer Hardware and Networking:
Computer Ke युग Me Yah Ak Bahetarin Option Ho Sakta Hai. Is Field Me Aap Computer Repair Aur Networking Se Related Jankari Prapt Karte Hai Jo Ak Best Job Dilane Me Helpful Ho Sakti Hai.

3. Engineering Diploma:
Bahut Sare Institute Aur Polytechnic College 10th Ke Baad Engineering Diploma Karvaate Hai. Isko Pura Karne Ke Baad Aapko Engineering Field Se Jude Middle Level Ke Job Aasani Se Mil Sakti Hai.

4. ITI (industrial training):
10th Ke Baad ITI Bhi Best Option Hai. Isme Bahut Se Subject Hai Jaise Electrician, Welder, Fitter, Carpenter, Mechanic, Steno, Computer Etc. Isme Bahut Bade Job To Nahi Milte Hai, Lekin Agar Aap Khud Ka Koi Kaam Karna Chahte Hai To Is Course Ko Aasani Se Karke Best Income Bhi Ki Jaa Sakti Hai.

5. Stenography and Typing:
Aap 10th Ke Baad Stenography Aur Typing Me Bhi Diploma Kar Sakte Hai. Kuchh प्रदेशों Me 11th Aur 12th Me Bhi Stenography Ak Subject Ke Roop Me Chun Sakte Hai. Court Aur Other Kai Government Office Me Is Tarah Ki Vacancies Nikalti Rahti Hai Jinke Liye Steno Mandatory Hota Hai.

YOU MAY ALSO LIKE:

1 comment:

  1. You have nice information regarding the online entrance exams and for more info you can visit our website

    ReplyDelete