Sukanya Samriddhi Yojana: 250 Rs. Deposit Karne Par Milega Big Amount - Internet Happy World

Hot

March 23, 2019

Sukanya Samriddhi Yojana: 250 Rs. Deposit Karne Par Milega Big Amount

Sukanya Samriddhi Account Yojana: Details, Benefits, Eligibility

Central Government Ne Sukanya Samriddhi Account Rule, 2016 Me Modify Kar Ise Aur Bhi Aasan Bana Diya Hai. Ab Sukanya Samriddhi Account Open Karne Ke Liye Yearly 1000 Rupye Ki Bajay 250 Rupye Hi Jama Karane Padege. Government Ke Is Kadam Se Jyada Se Jyada Log Is Yojana Ka Fayda Le Sakege. To Aaj Ke Is Article Ke Jariye Ham Aapko Yahi Batane Jaa Rahe Hai Ki Is Yojana Ka Fayda Kaise Uthaye, Aur Is Yojana Ka Kitna Fyda Hoga Aur Kya Fayda Hoga.

Sukanya Samriddhi Account Yojana-Details-Benefits-Eligibility

सुकन्या समृद्धि योजना: 250 Rupye Yearly Deposit Karne Par 21 Saal Me Beti Ki Shadi Ke Liye Milegi Big Amount

8% Se Jyada Milta Hai Interest
Shayad Aapko Jankari Ho Ki Sukanya Samriddhi Account Par Interest Rates Ko Other Small Savings Schemes Aur PPF Ki Tarah प्रत्येक Quarter Me Modify Kiya Jaata Hai. Yani Ki प्रत्येक तिमाही Me Kuchh Badlaav Ya Sudhaar Kiya Jaata Hai. July-September Ki Quarter Ke Liye Interest Rate 8.1 Percent Fix Kiya Gaya Hai. Union Minister Arun Jaitley Ne 2018-19 Ke Apne Budget Speech Me दावा Kiya Tha Ki 2015 Me Shuru Sukanya Samriddhi Account Yojana Me November 2017 Tak Pure India Me छोटी लड़कियों Ke Naam Par 1.26 Crore Account Khole Gaye The. In Accounts Me 19,183 Crore Rupye Jama Huye The.

Sukanya Samriddhi Account Kholane Ka Tarika:
Is Yojana Ke Tahat 10 Saal Se Cum Age Ki Ladki Ke Parents Ya Legal Guardian Uske Naam Par Account Open Kar Sakte Hai. Account Kisi Post office Branch Me Ya Fer Kisi Authorized Government Bank Ki Branch Me Khola Jaa Sakta Hai. Is Account Me Deposit Aur Maturity Amount Par Income Tax Law Ke Section 80C Ke Tahat Koi Tax Nahi Lagta. New नियमों Ke Hisab Se Is Khate Me Minimum 250 Rupye Jama Karane Ki Jarurat Hogi. Ak Saal Me Is Account Me Maximum 1.5 Lakh Rupye Deposit Kiye Jaa Sakte Hai. Yah Account 21 Saal Tak Ki Maximum Duration Ke Liye Hota Hai.

Sukanya Samriddhi Account Kholne Ke Liye Jaruri Documents:
  • Sukanya Samriddhi Account Kholne Ka Form
  • Child's Birth Certificate.
  • बच्ची Ke Parents Ya अभिभावक Ka Identity Card Jaise (PAN Card, Ration Card, Driving License etc.)
  • बच्ची Ke Parents Ya Guardian Ke Address Certificate (Passport, Ration Card, Electricity Bill, Telephone Bill, Water Bill)
  • Sukanya Samriddhi Yojana (SSY) Ka Form Aap Post Office Ya Bank Se Le Sakte Hai.

Sukanya Samriddhi Yojana Ke Fayde Ko Aise Samaje.
Saal 2018 Me Agar Koi Vykti 1,000 Rupye Mahine Se Sukanya Samriddhi Account Open Karta Hai To Ise 14 Saal Tak Yani Ki 2031 Tak Har Saal 12,000 Rupye Deposit Karane Hoge. Is Tarah 14 Saal Me 1.68 Lakh Rupye Deposit Hoge. 2018 Me Is Yojana Ki Interest Rate 8.1 Percent Hai. Is Rate Se Jab बच्ची 21 Saal Ki Hogi To Use 5,27,036 Rupye Mileage. Isi Tarah 500 Rupye Par Month Deposit Karane Par 2 Lakh 38,000 Rupye Mileage.

14 Year Tak Paise Jama Karane Honge.
21 Year Baad Jab Khata Mature Hone Par Us Ladki Ko Iska Payment Kiya Jayega Jiske Naam Par Account Open Kiya Gaya Hai. Jab Aap Account Open Karate Hai Isi Date Se 14 Years Tak Isme Paise Jama Kiye Jaa Sakte Hai. Uske Baad Account Par Us Samay Lagu Interest Rates Ke Hisab Se ब्याज Milega.

Is Scheme Se Kisko Hoga Fayda:
Government Ke Is फ़ैसले Se Garib परिवारो Ko Fayda Hoga. Khas Kar Vo Parivaar Bhi Is Yojana Ka Fayda Le Sakenge दैनिक मजदूरी Karke बच्चों Ka पेट पाल Rahe Hai. Iske Sath Hi Aise Parivaar Jo गावो Me Baste Hai Aur Unki Income Ke Source Bahut Limited Hai. Vo Bhi 250 Rupye Yearly Is Yojana Me Invest Kar Sakte Hai.  

Account Holder Ki Death Par Family Ko Milega Amount:- Question Answer;
  1. Que:-Agar Hame Bich Me Hi Paise Ki Jarurat Padi To Kya Ham Paise Nikal Sakte Hai?
  2. Ans:- Bich Me Koi Paisa Nahi Nikala Ja Sakta Aur Nahi Account Ko Aap Band Karte.
  3. Que:-Kya Bich Me Ham Apna Account Ko Band Kar Sakte Hai?
  4. Ans:-Nahi Kar Sakte, बेटी 21 Saal Ki Hone Tak Nahi Band Kar Sakte.
  5. Que:-Agar Account Holder Ki Death Ho Jaaye To?
  6. Ans:-Account Holder Ki मृत्यु Ho Jaaye To Death Certificate Dikha Kar Account Band Karaya Jaa Sakta Hai. Iske Baad Account Me Jama राशि बच्ची Ke अभिभावक Ko ब्याज Sahit Vapis Mil Jati Hai.
  7. Que:-Kitne Saal Tak Paise Deposit Karane Hoge.
  8. Ans:-14 Saal Tak Aapko Paise Jama Karane Hoge. Half Yearly Jaise Aap Chaho Vaise Installment Me Paise Jama Kara Sakte Ho.
  9. Que:-Kya Bich Me Paisa Milta Rahega
  10. Ans:-Ji Nahi, Maturity Me Milega Pura.

Hamne Yaha Par Sukanya Samriddhi Yojana Ke Baare Me, Sukanya Samriddhi Yojana Ke Fayde Ke Baare Me, Sukanya Samriddhi Yojana Me Apna Account Kaise Khole Jiske Baare Me Guide Kiya, Feer Bhi Aapko Koi Sawal Ho To Hame Comment Me Bata Sakte Ho, And Aapko Article Pasand Aaya Ho Ya Useful Laga Ho To Apne Dosto Ke Sath Share Jarur Kare, And Aise Hi Update Free Me Apne Mobile Pe Pana Chahte Ho To Hamare Blog Ko Subscribe Kare. Thanks And Keep Visiting.... Have A Good Day!!!!!


इससे जुड़े कुछ और आर्टिकल पढ़े:-

No comments:

Post a Comment