प्रधानमंत्री आवास योजना (PMAY) के लिए ऑनलाइन आवेदन कैसे करे। - Internet Happy World

Hot

April 27, 2019

प्रधानमंत्री आवास योजना (PMAY) के लिए ऑनलाइन आवेदन कैसे करे।

Pradhan Mantri Awas Yojana Kya Hai Aur Online Apply Kaise Kare.

Central Government Ne Pradhan Mantri Awas Yojana Ke Liye Online आवेदन Ko Permission De Di Hai. Central Government Ki महत्वाकांक्षी Awas Yojana Ke Liye Ab शहरों Me Rahne Wale Garib Log Jinke Pass Ghar Nahi Hai Vo Online Apply Kar Sakte Hai. Pradhan Mantri Awas Yojana शहर Ke Liye Online Apply 2018 Me Bhi Khule Hua Hai Aur Koi Bhi Eligible Person Is Yojana Ke Liye Apply Kar Sakta Hai.

Jaruri Documents Aur Fees Kya Hai?
Online Apply Karne Ke Liye Aadhaar Number Aur Passport Size Photo Jaruri Hai. Is Yojana Ke Online Apply Karne Ke Liye जन सुविधा केंद्र Dvara 25 Rupye Fees Lee Jayegi. Apply Karne Ke Baad Candidate Ko Ak Receipt Di Jayegi Jis Par Candidate Ka Ak Photo Hoga Aur Application Number Likha Hoga. Application Number Har Ak Candidate Ke Liye Alag Hoga Jiske Jariye Application Ki Status Pata Ki Ja Sakegi.
Pradhan Mantri Awas Yojana ke liye Online Apply Kaise Kare.

Application Ka Status Kaise Pata Kare.
Application Ka Status Pata Karne Ki Process Janne Ke Liye Is Link Ki Visit Kare. https://pmaymis.gov.in/Track_Application_Status.aspx Ya Official Website pmaymis.gov.in Par Jaye.

Pradhan Mantri Awas Yojana Ke Liye Online Apply Karne Ki Process:

Step-1. Pradhan Mantri Awas Yojana Ke Liye Official Website pmaymis.gov.in Is Link Ke Jariye Website Pe Jaaye.

Step-2. Yaha Par Manu Me 'Citizen Assessment' Ke Option Par Click Kare. Agar Aap Abhi Kisi Slum (गन्दी बस्ती) Me Rahte Hai To 'For Slum Dwellers' Ke Option Par Click Kare. Ya Feer 'Benefit Under Other 3 Components' Ke Option Pe Click Kare.

Step-3. Ab Jaise Hi Aap Click Karege Uske Baad Ak New Page Open Hoga Usme Aadhaar Number Aur Aadhaar Me Jo Apna Name Hai Ise Dalna Hoga Uske Baad Check Button Pe Click Kare 
Pradhan Mantri Awas Yojana Online Apply Form

Step 4. Yadi Aapka Aadhaar Number Sahi Hai To Aapke Samne Niche Diye Gaye Photo Ke Saman Ak Application Form Open Hoga. Jisme Aapko Apni Sabhi Jankari Add Karni Hogi Aur Last Me Sabse Niche Diye Gaye Captcha Code Enter Karke Save Button Pe Click Karna Hoga. Yadi Aadhaar Number Galat Hai To Aap Dobaara Sahi Aadhaar Number Dalke Koshish Kare.

Step-5. Save/सुरक्षित Button Par Click Karne Ke Baad Aapki Screen Par Ak Application Number Diya Jayega. Jise Aap Print Kar Sakte Hai. Is Application Number Ko Aap Note Kar Le Taki Feature Me Aap Apne Application Ka Status Pata Kar Sake.

Kon Le Sakta Hai Is Yojana Ka Labh:
  • Aise Log Jiske Paas Pahle Se Ghar Hai Ya Jiske Family Member Ka Koi Ghar Hai, Vo Is Yojana Ka Labh Nahi Le Sakte.
  • आवेदक Ya Uske Family Ka पक्का Ghar Nahi Hona Chahiye Aur Vo INDIAN Government Ki Kisi Awas Yojana Ke Tahat Koi लाभार्थी Bhi Nahi Hona Chahiye.
  • Is Yojana Ke Tahat Husband-Wife Aur Unmarried Sons, Daughters, Family Me Shamil Hai. Kisi Tarah Ke Fraud Ki आशंका Nahi Rahe, Iske Liye Application Form Me Family Members Ka Aadhaar Number Dena Jaruri Hai.
  • Kamai Karne Wale Kisi Married Ya Unmarried Adult Member Ko Alag Family Maana Jaa Sakta Hai. बशर्ते Uske Naam Par Pure India Me Kahi Koi पक्का मकान Nahi Ho. Yojana Ka Labh Yah Log Utha Sakte Hai.
  • पक्के मकान Wale Mother-Father Ka/Ki कमाऊ बेटा/बेटी Bhi PMAY Ka Fayda Le Sakte Hai, बशर्ते Khud Uske Naam Par Koi पक्का मकान Nahi Hona Chahiye.

Subsidy Kitni Milti Hai.
1.6 Se 12 Lakh Rupye Ki Yearly Income Karne Wale MIG Ki Pahli Category Ke Logo Ko 9 Lakh Rupye Tak Ke Loan Amount Ke Interest Par 4% Ki Subsidy Milegi Jab Ki 12 Lakh Se 18 Lakh Rupye Ki Yearly Income Wale Dusri Category Ke Logo Ko 12 Lakh Rupye Tak Ki Loan Ke Interest Par 3% Ki छूट Milegi.

Agar Koi Is Se Jyada Loan Lega To Ise अतिरिक्त रकम Par Bank Ki Aur Se Fixed Rate Par Hi Interest Chukana Hoga.

Kaise Milti Hai Subsidy
Example Ke तौर Par Man Lijiye Agar 12 Lakh Rupye Ke Loan Par ब्याज Ka 3% Total 2.30 Lakh Rupye Ban Rahe Hai. Aise Me Yah Amount Aapke Loan Ke Amount Se Hi Minus Kar Diya Jayega, Aur बकाया रकम Par Bank Ki Aur Se Fixed Interest Rate Ke Sath EMI Bharni Hogi. Yani, 12 Lakh Rupye Me Se 2.30 Lakh Rupye Ghatane Ke Baad बची रकम 9.7 Lakh Rupaye Par Aapko 9% (Agar Bank Ki Interest Rate Yahi Ho To) Ke Interest Rate Ke Sath EMI Deni Padegi. Iska Fayda Yah Hoga Ki EMI Hi Cum Ho Jayegi Kyo Ki Government Har Mahine Aapke Loan Account Me Interest Subsidy Ki रकम Daal Diya Karegi.

Kin घरो Par Milega Loan
  • Aap Kisi Developer Ya Builder Se Ghar Kharid Rahe Hai Ya Koi Purana Makan Kharid Rahe Hai, Aap PMAY Ka Fayda Le Sakte Hai. 
  • Jo Log Ghar Kharid Ne Ki Bajay Ise Khud Banva Rahe Hai, Unhe Bhi Is Yojana Ka Labh Milega.
  • Jinke Paas Abhi पक्का मकान Nahi Hai, Vo Iski Repairs Karne Ya Isme Kuchh Aur Rooms Judvane Ya Kisi Dusre Tarah Se Iska विस्तार Karne Ke Liye Bhi Loan Le Sakte Hai.
  • Bank Aapko Mojuda पक्का मकान Me Kitchen, Rooms etc. Banvane Ke Liye Yojana Ke Tahat Loan Dene Se Yah कहकर मना Nahi Kar Sakta Ki Aapke Paas  Pahle Se Hi Pakka मकान Hai.

To दोस्तो, अब आपको पता चल ही गया होगा की प्रधानमंत्री आवास योजना (PMAY) के लिए ऑनलाइन आवेदन कैसे करे। और Pradhan Mantri Awas Yojana क्या है और उनका लाभ कैसे उठाये।

Hame Umid Hai Ki Aapko Hamara Ye Article Jarur Pasand Aaya Hoga Aur Helpful Bhi Hua Hoga, Agar Aapko PMAY Ke Online Apply Karne Me Kahi Problem Aa Rahi Ho Ya Kuchh Samaj Na Aata Ho To Hame Comment Me Bata Sakte Ho. Ya Feer Koi Aur Doubt Ho To Hame Comment Me Bataye, Aur Aise Hi Helpful Article Aapke Mobile Me Pana Chahte Ho To Hame Subscribe Kare, Like Kare, Share Kare, Thanks And Keep Visiting.... Have A Good Day!!!!!!!!

Ye Bhi Padhe➦

No comments:

Post a Comment