Internet Happy World: Android Smartphone World

Hot

Showing posts with label Android Smartphone World. Show all posts
Showing posts with label Android Smartphone World. Show all posts

March 23, 2019

Hindi e-Books Ka Khajana, Free Me Download Karne Ki Top 15 Website

March 23, 2019 0
E-Books Yani Aisi Digital Books(किताबें) Jinhe Bas Ak Device Ki Help Se Aap Kahi Bhi Kabhi Bhi Read Kar Sakte Hai. Ye Device Aapka Smartphone, Laptop, Tablet Ya Koi E-Book Reader Ho Sakti Hai. Ab Aapko Kisi Library Ya Book Kharid Ke Padhne Ki Jarurat Nahi Hai. 4G Ke Baad Low Price Data Hone Se E-Books Ka Trend Teji Se Badh Raha Hai, Lagbhag Har Nayi Achhi Kitab Ka Digital Version Launch Hone Laga Hai. Aaj Ke Article Me Ham Aapke Liye Laaye Hai Hindi Ki EBooks Ke Aise ठिकाने Jaha Par Mojud Hai सैकड़ों Nayi-Purani Kitabe Jinki Talash Me Aap Hamesha Rahte Hai. Aaiye Pahle Ham Jante Hai Ki....

Kyo Badh Raha Hai Ebooks Ka Trend:
hindi ebooks free download top website

Is Sawal Ka Jawab Dete Huye Amazon Device Platform Ki Senior Brand Manager Avni Singh Batati Hai Ki Iske Pise Bade Taur Par Readers Ki 5 Big Problems Ka Solution Hi Hai.
➤Internet Par Hindi Ka Badhta Trend
➤Device And Data Pack, Low Price Hona
➤Hindi Me Internet Search Ka दायरा Badhna
➤Hard Copy Ko Soft Copy Me Badlne Me Aasani
➤Big Publishers(प्रकाशकों) Ki Aur Se Positive Response 

Hindi E-Books Download Aur Read Karne Ki Top 15 Website

Is Site Par Ebooks Ka Khajana Hai, Lagbhag Sabhi Category Aur Bahut Sare Writer Ki Ebooks Mil Jayegi, Jise Aap Free Me Download Ya Online EBook Read Bhi Kar Sakte Hai.

  Ye Bhi Padhe 
Read More

Sabse Fast File Transfer App, SHAREit Aur Xender Se Bhi Tez

March 23, 2019 0

Bina Internet Ke Sabse Fast File Transfer App Kon Si Hai?

Aaj Ke Article Me Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai Best Way To Send Large Files Yani Ki SHAREit Aur Xender Se Bhi Fast File Transfer Ki. Vaise To Bahut Sari Application Google Play Store Pe Mojud Hai, Aur Jiski File Share Ki Speed Bhi Achhi Hai, But Aapko Ak Baat Bata Du Ki Maine Bataye Upar Ke Dono App Par Data Chori Ka Aarop Hai, Lekin Aaj Me Jis Application Ki Baat Karne Jaa Raha Hu Vo Sabse Fast File Transfer Ke Sath Secure File Transfer Bhi Hai. Aur Is App Ko Develop Kiya Hai World Ki Sabse Badi Company Google Ne.

Sabse Fast Data Transfer Ki Baat Hoti Hai To SHAREit Aur Xender Ka Hi Naam Aata Hai, Aur Is App Ke Baare Me Sab Log Jante Hi Honge, Ye Dono Application Ka Use Data Transfer Ke Sath Hotspot Ke Liye Kiya Jaata Hai. Ye Dono Apps Ka दावा Hai Ki Bina Internet Ke Ye Sabse Tez Data Transfer Bhi Karte Hai. Yani Ki WiFi Network Par Ak Phone Ka Data Dusre Phone Par Tezi Se Share Kiya Jaa Sakta Hai. Lekin Google Ne Abhi Ak Naya App Launch Kiya Hai Jiska Name Hai Files Go App, Jo Sabse Fast File, Data Transfer Karta Hai. Upar Aapko Bataya Jaise Ye Google Ne Banaya Hai Aur Puri Tarah Se Secure Bhi Hai, Jis Se Aapko Data Chori Hone Ka भय Bhi Nahi Rahega.

Files Go App Hi Kyu Sabse Best Hai?
Files Go by Google: Free Up Space On Your Phone

Files Go App Ka Pura Name Files Go by Google: Free Up Space On Your Phone Hai. Ye Aapke Phone Me Space Banane Ke Sath File Transfer Karne Ka Kaam Bhi Karta Hai. Google Ka दावा Hai Ki Ye 125Mbps Ki Speed Se File Transfer Karta Hai, And Iske Liye Kisi Bhi Internet Ki Jarurat Nahi Hoti Hai. Is App Android Operating System Par Work Karti Hai, Jiske Chalte Ye Application Best Perform Kar Sakta Hai. Is App Ki Sabse Badi खासियत Ye Hai Ki Isme Dusre App Ki Tarah Advertise Nahi Aate, Jis Se Use Karna Karna Aur Bhi मज़ेदार Aur आसान Hoga.

Files Go App Ke Baare Me....

Google Ke Is Files Go App Ke Baare Me Kai Users Nahi Jaante Hai. Is App Ka Size Approx 15 MB Hai. इसे 50 Lakh Se Jyada Baar Install Kiya Gaya Hai. Ye Android Ke Version 5.0 Aur Is Se Upar Hi Install Kiya Jaa Sakta Hai. Users Ne Is App Ko 5 Me Se 4.6 Star Ratting Di Hai.

SHAREit Aur Xender Kyu Nahi Best?
https://en.m.wikipedia.org/wiki/Line_of_Actual_Control
Haal Hi Me Bharat Sarkar Ki Taraf Se Ak Advisory Jaari Ki Thi Jisme LAC Line Of Actual Control Par तैनात जवानों Ko Kuchh China Mobile App Removed Ke Baare Me Kaha Gaya Tha, App Ke Sath Hi Phone Ko Reformat Karne Ki Advice Bhi Dee Gayi Hai. Advisory Ke Mutabik Foreign Intelligence Agencies Specially China Aur Pakistan In App Ka Use Kar Data Chori Kar Rahe Hai. Is List Me SHAREit Ka Naam Bhi Shamil Hai.

Files Go App Ko Use Kaise Karte Hai.
  • इस ऐप को गूगल प्ले स्टोर से फ्री में इंस्टॉल किया जा सकता है। ओपन करने पर इसका इंटरफ़ेस ऐसा नजर आता है जैसे फोटो में देख सकते है।
  • यहां आपको फोन में मौजूद Photo, Video, Audio और अन्य फाइल के फोल्डर नजर आएंगे। साथ ही Duplicate Folder भी दिखाई देते हैं।
  • आप चाहें तो यहां से Duplicate File Delete कर सकते हैं। इससे Phone की Memory में पहले से ज्यादा Space बन जाएगा।
  • App मे नीचे की तरफ Storage और File के दो ऑप्शन होते हैं। यहां पर फाइल में जाने पर नीचे Send और Receive File का ऑप्शन दिया होता है।
  • अगर आप किसी को File Send करना चाहते हैं तब Send पर जाएं। यहाँ आपको अपनी एक Profile बनानी होगी। जिसमें नाम देना होगा।
  • Profile बनते ही ये दूसरे फोन को Search करने लगता है। दूसरे फोन Bluetooth की मदद से कनेक्ट होता है और फिर WiFi से Data Send होता है।

ALSO READ:
Smartphone Me Sabse Jyada Virus Khatra Hai Ye 20 Popular Apps
Hindi e-Books Ka Khajana, Free Me Download Karne Ki Top 15 Website
Technology Ke Bare Me Ye 7 Myths, Jin Par Hum Karte Hai Full Trust
Read More

Android Smartphone Me Hota Hai 6 Best Features, Kabhi Use Kiye Hai Aapne?

March 23, 2019 2
Smartphone Me Kai Aise Features Hote Hai Jinke Baare Me User's Ko Pata Nahi Hota. Our Inke Baare Me Janne Ki Koshish Bhi Nahi Karte. But Ye Itane Kaam Ke Features Hote Hai Jiska Andaja Ham Nahi Laga Sakte.

Aaj Ke Article Me Smartphone Ke 6 Best Features Ke Baare Me Batane Jaa Rahe Hai Aur Aapke Liye Kafi Helpful Sabit Hoga. And Har Android Smartphone Users Ko Ye 6 Features Ke Baare Me Pata Hona Jaruri Hai. World Me Sabse Jyada Use Hone Wala Koi Mobile Operating System Ho To Vo Hai Android. Android Operating System Ko Apne Hisab Se Ham Customize Kar Sakte Hai. But Ak Baat Our Bhi Hai Ki Kuchh Features Android Me Hai Vo iOS (iPhone Operating System) Me Bhi Nahi Milte.
android smartphone 6 best features

1. Silent Mode Par Rakha Phone Kho Jaane Par Pata Kaise Lagaye

Agar Aapne Mobile Ko Silent Mode Par Rakh-Kar Kahi Bhul Gaye, Ya Kahi Kho Gaya Ho, Ya Chori Ho Gaya Ho, To Aap "Android Device Manager" Ka Use Karke Apne Phone Ka Pata Laga Sakte Ho. Unka Use Aap Apne Phone Chori Ho Jaane Par Use Locate Karne, Apne Phone Ka Data Delete Karne Ya Phone Ko Lock Karne Ke Liye Bhi Kar Sakte Hai.

Iske Liye Aap Google.Com Par Jakar "Find My Phone" Through Android Device Manager Type Karke Search Kare. Uske Baad Search Result Me Ak Map Open Hoga, Yaha Par Aapko Gmail Account Me Loin Karna Hoga. (Jo Account Aap Khoye Huye Phone Me Use Karte The Vo.) Jaise Hi Aap Sign-in Karoge Google Turant Aapke Device Ko Search Karne Lagega, Jaise Hi Google Aapke Headset Ki Location Ka Pata Laga Lega, Vo Map Par Aapke Location ko Show Karega. Jis Location Me Aapka Phone Bataya Gaya Ho Vaha Ke 24 Meter Ke Ander Aapka Device Hoga. Ab Aap Location Par Jakar Apne Khoye Huye Phone Me Ring Baja Sakte Ho. Silent Mode Par Hoga To Bhi Ring Bajegi. Iske Liye Aap Map Me Ring Ki Button Par Click Karna Hoga. Ab Aapke Phone Me Ring Bajegi.

Aapke Smartphone Ko Trace Karne Ke Liye Ye Feature ON Hona Chahiye.
  • Mobile Location Active Hona Chahiye
  • Mobile OS Latest Version Jaruri.
  • Google App Installe Honi Chahiye.
  • Data Connection ON Hona Chahiye.

2. Delete Ho Gayi Notification Ko Vapas Pana:

Kai Baar Aisa Hota Hai Ki Bahut Sari Notification Screen Par Aa Jaane Se Ham Sabhi Notification Ko Remove Ya Delete Kar Dete Hai. Feer Pata Chalata Hai Ki Koi Important Notification Bhi Hamne Remove Kar Di Tab Hame Pareshani Ki Samna Karna Pad Sakta Hai. Agar Aapke Sath Aisa Hota Hai To Ye Trick Kaam Ki Hai Aapke Liye. 

Is Trick Ko Use Karne Ke Liye Apne Mobile Ki Home Screen Par Kisi Khali Jagah Par Long Click (लम्बा टैप) Kare. Aur Widgets Par Jaaye. Settings Shortcut Widgets Par Jane Ke Liye Left Me Swipe Kare. Yaha Se Aap "Notification Log" Select Kare. Is Par Click Kare Aur Ak Notification Log Shortcut Home Screen Par Aa Jayega. iske Baad Apni Notification History Par Click Kar Yuse Check Kar Sakte Hai.
Note:Agar Aapke Android Version Me Notification Widgets Nahi Hai To Ise Google Play Stor Se Download Kar Sakte Hai.

3. Automated Phone Unlock in Trusted Places:

विश्वसनीय जगहों Par Phone Automatically Unlock Kaise Set Kare.

Lock Pattern Set Karna Ya Password Rakhna Ak Jaruri Hai, But 4 Digit Ka Password Ya Unlock Pattern Har Jagah Notification Check Karne Ke Liye Enter Karna Pareshan Kar Deta Hai. Is सर दर्द Se छुटकारा Pane Ke Liye Aap "Smart-Lock" Name Ke Feature Ka Use Kar Sakte Ho. Jo Android 5.0 (Lollipop) Ya Yus Se Upar Ke Version Me Available Hai.

Kya Karna Hoga?
Is Lock Se Phone Aapke द्वारा Select Ki Gayi Jagaho Par Apne Aap Unlock Ho Jayega. Iske Liye Ye Step Follow Kare. 
  • Settings> security Me Jaaye.
  • Vaha Smart Lock Feature Par Click Kare.
  • Apne Facility Ke Anusar Password Aur Jagah set Kare. iske Liye GPS Ka Use Karna Hoga.
Iske Alava Voice Lock Aur Trusted Device Jaise Lock Bhi Laga Sakte Ho. Android 4.4.4 Kitket Wale Smartphone Me Play Store Me "Smart Lock Screen" application Ko Download Kiya Jaa Sakta Hai.

4. Smartphone Ki Screen Ko Zoom Karna:

Phone Ki Settings Me 'Magnification Gesture' Ki Help Se Aap Apni Screen Par Mojud Kisi Bhi Chij Ko Temporary Ke Liye Zoom Kar Sakte Ho. iske Liye Koi Third party app install karne Ki Ya Feer Screenshot Lekar Zoom Karne Ki Koi Jarurat Nahi Hai. Iske Liye Aap Ye Step Follow Kare. Phone Ki Settings Me 'Accessibility' Me Jakar 'Magnification' Ko ON Kare. Ab Kisi Bhi Screen Par Triple Tape Kar Content Ko Bada Kar Sakte Ho.

5. Delete Screen Notifications and Save Privacy:

Agar Aap Nahi Chahte Ki Aapke Phone Ki Screen Par Aane Wale Aapke Text, Whatsapp, Facebook Notification Ko Koi Dekhe. To Aapke Liye Smartphone Me Best Feature Bhi Mojud Hai. iske Liye Aap Is Step Ko Follow Kare. Sabse Pahle Phone Ki Settings Me Jakar 'Sound and Notification' Me Jakar Notification Par Tape Kare, Uske Baad 'When Devise is Unlocked' Ya Dont Show Notification Ka Option Ko Select Karna Hoga. Ye Options Sabhi Device Me Alag Hoga. Notification Me Jakar Aap Ise Select Kar Sakte Ho. 
Note: Agar 'When Devise is Unlocked' Option Nahi Dikh Raha Hai To Aap Old Android Version Ka Use Kar Rahe Ho. Aise Me Aap 'Notification on Lock Screen' Option Ka Use Kar Sakte Ho.

6. Call and Text Par Control Rakhna:

Agar Aapka Smartphone Android 5.5 Lollipop Ya Us Se Uper Ke Version Par Chalata Hai, To Aap Apne Hisab Se Call Ya Massage Karne Vale Contacts Select Kar Sakte Ho. Iske Liye Niche Diye Gaye Step Ko Follow Kare.

Phone Ki Setting Me 'Sound and Notification' Par Jaye Aur "Interruptions" Par Scroll Kare. Yaha Aapko Calls, Text, From Dikhai Dega. Us Par Tape Kar Vo Contact Select Kare Jinse Aap Call Aur Massage Receive Karna Chahte Ho. Is Se Aap Unwanted Contact Ko Stop Bhi Kar Sakte Ho.

Agar Interruptions Option Nahi Dikhta Hai To "Do Not Disturb" Option Par Jaye, Kus Phone Me Aapko Do Not Disturb Ka Option Direct Hi Mil Jata Hai. Yaha Par Jakar 'Allow Exceptions' Par Click Kare. Isme Apne Hisab Se Calls, Massage Ya Alarm Set Kiye Ja Sakte Hai. Aap Apne Favorite Contacts Bhi Set Kar Sakte Hai. yaha Bhi Time Set Kar Sakte Ho Jis Time Aapko Koi Disturb Na Kare.

YOU MAY ALSO LIKE:
Hi Friends Aapko Is Article Se Koi Help Mili Ho Ya Pasand aaya Ho To Like Comment Jarur Kare, And Apne Dosto Ke Sath Post Ko share Karna Chahe To Niche Diye Gaye Share Button  Par Click Kare. Internet Happy World  Ki Visit Ke Liye Thanks.
Read More

Use Kare Top 5 High Speed Internet Browser, UC Kar Rahe Hai Data चोरी

March 23, 2019 0
Google Ne Play Store Se UC Browser Ko Delete Kar Diya Hai, Google Ka Kahna Hai Ki UC Browser Indian Users Ka Data Chori Kar Raha Hai. Itana Hi Nahi Vo Data Churake China Tak Pahuchaya Jaata Hai. Isliye Google Play Store Se 30 Days Ke Liye Hata Diya Hai. Baat Kare World Most Popular Web Browsers Ki To Google Chrome Browser Ke Baad UC Browser Ka Naam Aaata Hai. UC Browser Ko 10 Crore Se Bhi Jyada Users Use Karte The. Yah Browser Fast Speed Ki Vajah Se Kafi Famous Huya Tha. Aaj Ke Article Me Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai UC Browser Ke Alava Aise Hi Top 5 High Speed Internet Web Browsers Ki.

5 Best High Speed Internet Browser.

Top 5 High Speed Internet Browsers

1. Opera Browser
Special Things
Excellent Turbo Mode
Integrated Ad Blocker
Fever Plug-in
Opera Ak Quality Browser Hai. Iski Launching Speed ​​Fast Hai. Iska User Interface Bhi Bahut Hi Clean Hai. Is Browser Ka Sabse Best Feature Opera Turbo Feature Hai. Ye Aapke Web Traffic Ko Compress Kar Deta Hai. Jis Se Browsing Speed Fast Ho Jaati Hai. Yah Data Use Ko Bhi Cum Kar Deta Hai. Mobile Par Use Karne Ke Liye Opera Best Browser Hai.

2. Mozilla Firefox Browser
top 5 internet browse
Mozilla Firefox Bhi Internet Browsing Ke Liye Best Hai, Aur Iski Khas Baat Iska Layout Ya Kahe Ki Design Kafi Badiya Hai. Is Me Search Aur URL Box Alag-Alag Hote Hai. Yah Browser Weekly Regular Update Hota Hai. Is Me Bahut Sare  Extension Available Hai.

3. Microsoft Internet Explorer Browser
best web browser
Microsoft Internet Explorer Ka Design Akdam Clean Hai Isko Use Karna Behad Aasan Hai. Iski Pahchan Ak Powerful, Highly Compatible Search Engine Ke Roop Me Hai. Yeh Cum Ram Wale System Me Bhi Best Work Karta Hai.

4. Microsoft Edge Browser
Windows 10 Me Microsoft Edge Browser Ka Experience Default Liya Jaa Sakta Hai. Es Ko Fast Browser Me Shamil Kiya Jaata Hai. Yah Windows Integrated Tablet Me Aasani Se Kaam Karta Hai. Isme Web Browsing Karna Ya Other Work Karne Me Aapko Pleasant Experience Deta Hai. Company Ne Dava Kiya Hai Ki Isme Security Ka Koi Breech Nahi Hai.

5. Vivaldi Browser
fast browser
Yah Browser Aapko Pleasant Aur Personal Experience Deta Hai. Isme Jald Hi New Features Join Kiye Jayege. Is Browser Ne Short Time Me Web Browser Ke Bich Apni Jagah Bana Li Hai, Vivaldi Me Unique Feature Hai. Browser Ki Duniya Me Yah Pahli Baar Hai Jab Browser Ke Jariye Home Page Ki Light Aur Color Ko Bhi Control Kar Sakte Hai. Vivaldi Ki Specialty Iski Flexibility Hai.
Google Play Store Se Delete Huya UC Browser - Data Chori Ka Hai आरोप.
Fast Web Browser UC Ki Downloading Speed Hui Slow.
Alibaba Group Ke UC Browser Ko Play Store Se Hata Diya Hai, But Ise Hamesha Ke Liye Nahi Hataya Gaya Hai. Filhal Users Is Browser Ko 30 Day Yani Ki 15 December Tak Play Store Se Install Nahi Kar Sakege. Baat Ye Hai Ki Google Ka Manna Hai Ki Indian Users Ka Personal Data China स्थित Apne Server Par Bhej Raha Hai. Sath Hi, Yadi User Is Browser Ko Phone Se Uninstall Kar Dete Hai Tab Bhi Ye Aapke Device Ko Control Kar Sakta Hai. Yani Ab Ye Browser Aapke Phone Ke Liye Third Party App Ban Chuka Hai.

Third Party App Made By UC Browser

Play Store Ne Jaise Hi Is Browser Ko Apni App List Se Delete Kiya, Ye Third Party App Ban Gaya. Yani User Ko Ab Ye Browser APK File Ki Help Se Apne Device Me Install Karna Hoga. Sath Hi, Apne Phone Ke Unknown Source Ko Bhi ON Karna Hoga. Android Operating System User Ko Kabhi Bhi APK File Wale Kisi Bhi App Ko Install Karne Ki Permission Nahi Deta Hai. Yani Agar Aap APK File Se Aapke Phone Ko Kisi Tarah Ka Loss Ya Phone Damage Hota Hai, To Iski Responsibility Google Ki Nahi Hogi.

UC Browser Par Kab Ho Gayi Downloading Speed Slow.
UC Browser Par Movie Aur Song Ko Aasani Se Download Kiya Jaa Sakta Hai. Yaha User Downloading Ko Pause Karne Aur Pause Se Start Karne Ki Facility Bhi Deta Hai. Yahi Vajah Hai Ki India Me Ise Use Karne Wale Users Kai Guna Badh Chuka Hai. Halaki, Jo Uset UC Web Use Kar Rahe Hai Unka Kahna Hai Ki Ab UC Browser Me Pahle Jaisi Downloading Speed Nahi Milti Hai. Khas-Kar, Night 8 Baje Ke Baad Pahle 4mbps Se 7mbps Tak Ki Downloading Speed Aati Thi, Vo घटकर Ab 1mbps Se Bhi Cum Ho Gayi Hai. Aise Me Ho Sakta Hai Ki Google Ne UC Par Data China स्थित Apne Server Par Bhej Ne Ki Jo Baat Kahi Hai Vo Sahi Ho.

Jo Users UC Browser Use Kar Rahe Hai Unka Kya?
UC Browser Use Karne Wale India Me Lakho Users Hai. Aise Me Is Browser Ka App Jiske Bhi Phone Me Hai Vo Yuse Update Nahi Kar Sakege. Itana Hi Nahi, Google Iske Liye Kisi Tarah Ki Security Nahi Degi. Matalab Ki User Apne Risk Par Is Browser Ka Istemal Kar Sakte Hai. Vaise 30 Day Ke Baad Yadi Ise Feer Se Play Store Par Add Kiya Jaata Hai Tab User Ko Is Se Jude Update Milte Rahege.




  • Ye Bhi Padhe➥
  • Read More

    Smartphone Me Sabse Jyada Virus Khatra Hai Ye 20 Popular Apps

    March 23, 2019 3

    Smartphone Se Immediately Remove Kare Ye Dangerous 20 Apps

    smartphone-20-dangerous-apps-remove-virus-risky
    Ransomware Virus Attack Ke Baad Google Bhi Apne Product Ko Lekar Savdhani dikha rahi hai. Google ne Haal Hi Me Play Store Se 20 Application Ko Remove Kar Diya Hai. Sath Hi, Usne Sabhi Android Users Ko Advice bhi Di Hai Ki Immediately Vo 20 Apps Ko Apne Smartphone Se Nikal De. Google Ki Maane To In Apps Se Smartphone Me Virus Attack Ho Sakta Hai. Sath Hi, In Apps Me Bahut Sare Loopholes The Jinki Help Se Hackers Aapke Smartphone Tak Pahuch Sakta Hai. 

    Google ne Bataya Ki In Apps Par Fraud Advertise Aa Rahe The. Jinse Phone Par Virus Ka Attack Ho Sakta Hai. In Apps Se Google Play Store Par Bhi Virus Aane Ka Risk Tha. Jin Apps Ko Play Store Se Remove Kiya Gaya Vo Sabhi China Ke Apps The. Google Ki Security Company Ne "Dubbed Judy" Name Ke Apps Me Malware Found Kiya Tha. Play Store Se Remove Kiye Gaye Sabhi Apps Bahut Hi Popular the, Inme Se Kai To 5 Million Tak download Kiye Gaye The.

    Aap Bhi Turant Remove Kare Ye 20 Apps

    Google Ne Sabhi Android Uses Ko Ye Apps Immediately Remove Karne Ki Advice Di Hai. Google Ne Jo 10 Apps Hataye Hai Unki Apk File Available Hai, Lekin Ise Install Na Karne Me Hi bhalai Hai. Yadi Aapke Phone Me Ye Apps Hai Tab Phone Me Virus Attack Ho Sakta Hai. Sath Hi Aapki Secret Details Bhi Leek Ho Sakti Hai.

    20 Apps Ke Baare Me Jo Google Play Store Ne Kiya Hai Remove.

    • 1 App:
    • Judy's Spa Salon
    • Minimum Download 1,000,000
    • Maximum Download 5,000,000
    • 2 App:
    • Chef Judy: Picnic Lunch Maker
    • Minimum Download 500,000
    • Maximum Download 1,000,000
    • 3 App:
    • Fashion Judy: Snow Queen Style
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 4 App:
    • Animal Judy: Persian Cat Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 5 App:
    • Animal Judy: Dragon Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 6 App:
    • Chef Judy: Halloween Cookies
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 7 App:
    • Animal Judy: Rabbit Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 8 App:
    • Fashion Judy: Vampire Style
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 9 App:
    • Animal Judy: Nine Tailed Fox
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 10 App:
    • Animal Judy: Sea Otter Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 11 App:
    • Fashion Judy: Wadding Day
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 12 App:
    • Animal Judy: Rudolph Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 13 App:
    • Judy's Hospital:Pediatrics
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 14 App:
    • Fashion Judy: Twice Style
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 15 App:
    • Animal Judy: Fennec Fox Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 16 App:
    • Animal Judy: Dog Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 17 App:
    • Fashion Judy: Couple Style
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 18 App:
    • Animal Judy: Cat Care
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 19 App:
    • Fashion Judy: Halloween Style
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    • 20 App:
    • Chef Judy: Dalgona Maker
    • Minimum Download 100,000
    • Maximum Download 500,000
    Friends aapko ye post pasand aayi ho to apne facebook,whatsapp, google pluse ke friend ke sath jarur share kare, our koi problem ho to muje comment ke jariye bata sakte ho, internet happy world ki visit ke liye thanks.
    Ye Bhi Padhe➥
    Read More