Internet Happy World: Social Media Marketing

Hot

Showing posts with label Social Media Marketing. Show all posts
Showing posts with label Social Media Marketing. Show all posts

March 23, 2019

Bhim App Se Kaise Milega Cashback Jaane 10 Tips Se

March 23, 2019 0
Dosto, Aaj Ke Is Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai BHIM (Bharat Interface for Money) App Ke Baare Me. Digital Transaction Ko Badhava Dene Ke Liye Khas Kar Bhim App Ko Launch Kiya Gaya Hai, Ab Is App Me Cashback Bhi Mil Raha Hai, To Chaliye Baat Shuru Karte Hai.....

GST Council Ne Saturday Ko Hui Meeting Me Digital Transaction Ko Badhava Dene Ke Liye Rupay Card Aur Bhim App Se Payment Karne Par Tax Me 20% Ki Discount Dene Ke Proposal Ko Approve Kar Diya Hai. Iske Tahat User Ko Cum Se Cum 100 Rupaye Taka Ka Cashback Diya Jayega. Is Project Ko ShuruAat Me Pilot Project Ke Taur Par Kai States Me Lagu Kiya Jayega.

Bhim App Se Har Deen Paise Kaise Kamaye

Bhim App Ka Istemaal Kaise Kare
Bhim App Ke Baare Me Har Jankari Hindi Me
Financial Year 2016-17 Ke Mukable 2017-18 Me Rupay Card Ke Jariye Transaction Me 135% Ki Growth दर्ज Ki Gai. 2018 Me 46 Crores Logo Ne POS (Point Of Scale) Machines Me Rupay Cards Ka Istemaal Kiya Tha. Jab Ki 2016-17 Me Ye आंकड़ा 19.5 Crore Tha. नोटबंदी (Demonetisation) Ke Baad Digital Transaction Ko Badhava Dene Ke Liye 30 December 2016 Ko Bhim App Ko Launch Kiya Gaya Tha. 1 January 2018 Tak 2.26 Crore Logo Ne Bhim App Download Kiya. Isliye Aaj Ham Bhim App Se Judi Har Vo Baat Batane Jaa Rahe Hai, Jise Janna Bahut Jaruri Hai.

Bhim App Ka Istemaal Kaise Kare Jaane 7 Step Me..
Google Play Store Ya Apple App Store Se Bhim App Download Karke Ise Install Kar Le. Uske Baad Language Select Kare, Feer Apne Registered Mobile Number Se Bank Select Kare. Uske Bad 4 Digit Ka Application Password Set Kare. Feer Apne Bank Account Ko Bhim App Se Link Kare, Aur Last Me 6 Digit Ka UPI Pin Set Kare, Inhe Kahi Note Kare Ya Feer Yaad Rakhle, Kyu Ki Ye Pin Bahut Jaruri Hai, Jab Bhi Aap Koi Transaction Karte Hai Ya Feer Apne Bank Account Ki Balance Check Karte Hai To Aapko UPI Pin Ki Jarurat Padegi, Abhi Aapka Kaam Pura Ho Gaya Ab Aap Kisi Bhi Bank Me Transaction Kar Sakte Hai, Kisi Ko Paise Bhej Sakte Hai Aur Receive Bhi Kar Payege.

Bhim App Kya Hai?
Bhim App Ka Full Form Bharat Interface for Money Hai, Jiska Name Doctor Bhim Rao Ambedkar Ke Name Par Rakha Gaya Hai. Bhim App Android Aur IOS Dono Hi Users Ke Liye Available Hai. Is Mobile App Ko National Payments Corporation of India (NPCI) Ne Develope Kiya Hai. Jo Unified Payment Interface (UPI) Par Work Karta Hai. Aur UPI IMPS (Immediate Payment Service) Infrastructure Ke Upar Work Karta Hai Aur Iske Jariye Ak Bank Se Dusre Bank Tak Smartphone Se Hi Paiso Ko Transfer Kiya Jaa Sakta Hai.

Bhim App Se Transaction Par Koi Charge Lagta Hai.
Ji Nahi, Is App Ke Jariye Transaction Karne Ki Koi Fees Nahi Lagti, Lekin Ho Sakta Hai Ki Bank Iske Liye Charge Vasule. Feer Bhi Debit Card Ke Transaction Se Jyada Secure Aur Bahut Hi Aasan Hai, And Jyadatar Bank UPI Transaction Par Koi Charge Nahi वसुल्ती, Agar Charge Leti Bhi Hai To Vo Bahut Hi Normal Hota Hai.

Bhim App Ke Istemaal Ke Liye Internet Banking Hona Karuri Hai Kya?
Bilkul Nahi, Ise Use Karne Ke Liye Net Banking Hona Jaruri Nahi Hai. Lekin Jis Number Ke Jariye Is Me Log-in Karenge, Vo Number Bank Account Me Register Hona Chahiye. 

Bhim App Se Kya Fayda Hoga?
Is App Ka Bahut Sare Fayde Hai, Jaise Ki Aap Is App Ke Jariye Na Sirf Transaction Kar Sakte Hai, Balki Apne Bank Account Ka Balance Bhi Check Kar Sakte Hai. Iske Sath Hi Transaction Details Bhi Iske Jariye Pata Kar Sakte Hai. Aur Paytm Ya Feer Kisi Bhi Mobile Wallet Me Apni Bank Details Add Nahi Karni Padegi, Aap Direct UPI Ke Jariye Mobile Bill, Recharge, Electricity Bill Ka Payment Wallet Ke Jariye Kar Sakte Hai, Aapko Sirf UPI Number Dalna Hoga Uske Baad Bhim App Me Aapko Request Aayegi Usko Accept Karna Hoga, Aapka Payment Successfully Ho Jayega, Me Bhi Aise Hi Sab Online Payment Karta Hu, Aur Kafi Secure Bhi Hai.

Bhim App Ke Jariye Recharge, Bill Payment, etc Kar Sakte Hai?
Vaise To Aap Direct Payment Nahi Kar Sakte But UPI Number Ke Jariye Aasani Se Kar Sakte Hai, Jab Aap UPI Pin Set Karte Hai Tabhi Aapko Apne Mobile Number Ke Hisab Se UPI Number Milta Hai, Jaise Ki 9909988088@upi Agar Aap Mobile Wallet Use Karte Hai Jaise Ki Paytm To Aapko Apna Number Recharge Karna Hai Ya Feer Kisi Ka Bill Pay Karna Hai To Aap Paytm Ya Kisi Bhi App Me Jakar Payment Ke Option Ke Baad Aapko Pusa Jayega Ki Aap Kis Tarike Se Pay Karna Chahte Hai Jaise Debit Card, Credit Card, Ya UPI, Abhi Aap UPI Option Select Karege Uske Baad Apna UPI Number Dalna Hoga Uske Baad Bhim App Me Ak Request Aayegi Use Accept Karna Hoga. Aapka Kaam Ho Gaya, Aapko Kisi Bhi Debit Card Ya Kisi Aur Card Ki Detail Fill Nahi Karni Padegi, To Ye Sabse Best Option Hai Secure Payment Ka.

Bhim App Ke Jariye Ak Deen Me Kitni Transaction Kar Sakte Hai?
Is App Ke Jariye Aap Ak Deen Me Sirf 20 Bank Tak Transaction Kar Sakte Hai. Iske Sath Hi Ak Deen Me Sirf 20,000 Rupaye Tak Ka Hi Transaction Kar Sakte Hai. Agar Ak Hi Account Me 20,000 Rupaye Aapne Bheje Hai, To Feer Dusre Account Me Transaction Nahi Kar Sakte.

Kya Iske Liye Koi Cashback Offer Bhi Milta Hai?
Ha, Iske Liye Bhim Cashback Scheme Shuru Ki Gai Hai. Jiske Tahat Agar Koi User Pahli Baar App Ke Jariye Transaction Karta Hai, To Use 150 Rupaye Tak Ka Cashback Milta Hai. Iske Sath Hi Agar 10 Alag-Alag Account Me Cum Se Cum 50 Rupaye Ka Transaction Hota Hai To Bhi Aapko Cashback Milta Hai.

Iska Istemaal Karne Ke Liye Kya Karna Hoga?
Sabse Pahle Bhim App Ko Download Kare Aur Feer Apne Registered Mobile Number Se Apna Bank Select Kare. Bank Select Hone Ke Baad Apna UPI Pin Set Kare. Itana Karne Ke Baad Home Page Par Jakar Transaction Kar Sakte Hai. Is App Ke Jariye Kisi Dusre Bank Account Me Paise Aasani Se Transfer Kar Sakte Ho, Multiple Bank Account Walo Ko Is App Ka Sabse Bada Fayda Ye Hoga Ki Aap Apne Kisi Bhi Dusre Account Ke Paise अन्य Bank Account Me Transfer Kar Sakte Hai.

Bank Account Na Hone Par Is App Ka Use Kar Sakte Hai.
Nahi, Agar Aapke Paas Koi Bank Account Nahi Hai To Bhim App Ka Use Aap Nahi Kar Sakte.

Kisi Bhi Bank Me Account Hone Par Istemaal Kar Sakte Hai?
Ha, Agar Aapke Paas Kisi Bhi Bank Me Account Hai To Iska Use Kar Sakte Hai, Bhim App Me 93 Bank Registered Hai. 

Kitne Bank Account Ko Isme Join Kiya Jaa Sakta Hai?
Bhim App Me Abhi Sirf Ak Hi Bank Account Ko Link Kiya Sakta Hai, Agar Aapke Paas Ak Se Jyada Bank Account Link Hai, To Unme Sirf Paise Bhej Sakte Hai Lekin Agar Paisa Aata Hai To Vo Sirf Default Bank Account Me Hi Save Hoga. Feer Bhi Agar Aake Paas Ak Hi Mobiles Number Se Link Dusre Bank Account Hai To Aap Ak Se Jyada Bank Account Use Kar Sakte Hai, Kyu Ki Aapne Jis Account Ko Bhim Me Link Kiya Hai Unko Log-Out Karde, Feer Apne Dusre Account Ki Bank Select Kare, Aur Register Karle, Vaise Hi Sab Account Join Kar Sakte Hai Me Bhi Apne Alag-Alag Bank Ke 3 Account Ko Aise Hi Manage Karta Hu, But Sabhi Bank Me Ak Hi Mobile Number Register Hona Chahiye Varna Aap Aisa Nahi Kar Sakte.

To Dosto Hamara Ye Article Bhim App Ke Baare Me Kaisa Laga, Aapko Kuchh New Jankari Mili Ho Ya Helpful Lagi Ho To Apne Social Media Account Pe Share Karna Na Bhule. Aur Bhim App Ke Baare Me Koi Bhi Sawal Ho To Hame Comment Me Bataiye, Aapki Puri Help Ki Jayegi. Aur Aise Hi Jankari Apne Mobile Pe Pana Chahte Ho To Hame Subscribe Kare, Thanks And Keep Visiting.....

Ye Bhi Padhe➦
Read More

Popular Domain Name Auction में बेचकर कमा सकते है 30 लाख से भी ज्यादा पैसे।

March 23, 2019 10
Hello Friends, Aaj Me Aapke Liye Ak Great Article Lekar Aaya Hu, Jisme Aapko Ghar Baithe Lakho Rupye Kamane Ka Mauka Milta Hai, Iska Prof Bhi Me Aapko Batane Wala Hu. Direct Point Pe Aate Hai, Ye Sab Domain Name Sell Ke Jariye Possible Ho Sakta Hai.

India Me लगभग Internet Users Ko Pata Hi Hoga Ki Domain Name Kise Kehte Hai Aur Ye Bhi Pata Hi Hoga Ki Popular Domain Name Bech-Kar Lakho Rupye Kamaye Jaa Sakte Hai. Aapko Short Me Bata Du Ki Domain Matlab Ki Website Ka Name, Yani Ki Jaise Meri Site Ka Name Hai InternetHappyWorld.Com Ye Mera Domain Name Hai Aur Maine Ise Godaddy Se March 2017 Me 99Rs. Me By Kiya Tha, Agar Me Ise Koi Interested Company Ko Bech Du To Muje मन चाहें Paise Mil Sakte Hai. Ye To Maine Ak Example Diya Hai Aapko, Agar Aap Bhi Koi Domain By Karke Rakh De, Feer Koi Company Aapka Domain Lena Chahe To Aap Unse Jitna Chahe Utna Paise Le Sakte Ho.

Auction में Popular Domain Name बेचकर लाखो रूपये कैसे कमाये जा सकते है।

How To Sell A Domain Name (GoDaddy Auctions)

Ab Aapko Ye Baat To Clear Ho Chuki Hai Ki Domain Kise Kahte Hai, Aur By Kaise Karte Hai, Agra Aapko Domain Name Kaise Aur Kaha Se By Karte Hai Ye Janna Chahte Ho To Click ⬆ Kare. Actually Jyada-tar Logo Ko Yah Nahi Pata Hota Hai Ki Domain Name Kharidne Ke Baad Is Domain Ko Aakhir Becha Kaise Jaata Hai. Agar Aap Ne Bhi Koi Popular Domain Kharid Rakha Hai To Ise Aapko Auction Karna Hoga. Yaha Aapko Ak Domain Ki Kimat Lakho Rupya Mil Sakti Hai. India Me Kuchh Log Sirf 99 Rupye Me Aisa Hi Domain Kharid-kar Ab Take Lakho Rupye Ki Kamai Kar Chuke Hai. Aaye Jante Hai Ki Aakhir Kisi Domain Ko Kharidne Ke Baad Uska Auction Kaha Karte Hai.

Godaddy Auction Kya Hai? Kaise Kare Domain Ka Auction:

India Me Domain Kharid Ne Ke Liye Sabse Jyada Godaddy Ki Website Ka Use Kiya Jaata Hai. Aap Is Website Ke Jariye Domain Ko Auction Me Bech Sakte Hai. Auction Ke Liye Jaruri Hai Ki Godaddy Par Par Aapki Koi Id Bani Ho Yani Ki Aapka Godaddy Account Ho. Login Karte Hi Aap Upar Ki Aur Se Left Hand Me Domain Par Click Karna Hoga. Yaha Par Aapko Auction Ke Liye Fees Bharani Hoti Hai, Iske Liye Yearly Fees 319 Rupye Hai. Fees Bharne Ke Baad Aapko Kuchh Step Me Apne Domain Ko Auction Me Rakh Sakte Hai.

Premium Domain Names For Sale
Step-1
Payment Ke Baad Ab Domain Listing Par Jaaye, Aapke Account Se Jeet ne Domain Khole Gaye Hai, Unhe List Karne Ka Option Milega.
Step-2
Iske Bad Aap Domain Auction Ke Tab Par Click Kare. Aur Aapka Domain Auction Par Chala Jayega. Yaha Aapko List Karne Ka Pura Option Milega.

Kaise Kar Sakte Hai Premium Listing [Premium Domain Names For Sale]
Aap Yaha Premium Listing Bhi Kara Sakte Hai. Iske Liye Aapko 289 Rupye Dene Hote Hai. Isi Tarah Aap Feature Listing Bhi Kar Sakte Hai. Iske Liye Aapko 1158 Rupye Ki Payment Karni Hoti Hai. In Dono Services Ke Liye Aapko Apna Domain Bechne Me Aur Bhi Aasani Hogi.


Domain Name Sell Hone Par 20% Commission Godaddy Ko Dena Hota Hai. Agar Aapka Domain बिकता Hai To Aapko 20% Ki Auction Money Godaddy Ko Deni Hoti Hai. Iski Ak Minimum Money Bhi Fix Hai. Ak Domain Sell Hone Par Aapko Minimum 963 Rupye Dene Hoge Ya Feer 20% Ki रकम.

Domain Name Sell Karke 13Years Ke अक्षित Ne Kamaye 30 Lakh Rupye:

Noida Ke Amity International School Me Padhne Wale 13 Saal Ke अक्षित मित्तल Ne Domain Name Book Kara-kar Apni Website Shuru Ki. Website Ka Name Tha, odd-even.com Taxi Provider Karne Wali Ak Company Ne अक्षित Ko इसी Saal Offer Kiya Ki Vo Apni Website Unhe Bech De. आखिरकार Dono Parties Ke Bich Baat-Cheet Hui Aur 30 Lakh Rupye Me Akshit Website Bechne Ko Taiyar Ho Gaya. Aur Deal Final Ho Gayi.

Sabse महंगे Domain Name, 5 Lakh Dollar Me Sell Huya.

June 2012 Me IIT Ke Kuchh Students Ne Milkar Real Estate Search Portal housing.co.in Ki SharuAat Ki. Kuchh Deen Baad Unhe Pata Chala Ki housing.com Ke Naam Se Ak Website Registered Hai. Iske Baad उन्होने Domain Ke Malik Ki खोजबीन Ki Aur Ya Domain 5 Lakh Dollar Yani Ki लगभग 3 Crore 36 Lakh Rupye Me Kharida Gaya. Ye Deal 2013 Me Hui Aur Is Deal Ko Domain Sell Ki Sabse माहेन्गी Deal Ke Roop Me Jaana Jaata Hai.

Facebook Ne Kochi Ke Students Se Kharida Domain Name.

December 2015 Me Facebook Ke Founder Mark Zuckerberg Ki बेटी Ka जन्म Huya. Uske Baad Kochi Ke Engineering Ke Ak Student Ne Uski बेटी Ke Naam Max Chan Zuckerberg Par Domain Book Kara Liya. अमल अगस्टिन Naam Ke Is Student Ko Kuchh Days Ke Baad Godaddy Se Ek Mail Aaya, Jisme Pusa Gaya Ki Kya Vo Ye Domain Name Ko Bechna Chahta Hai. Yadi Ha To Unki Demand Kya Hogi. अमल Ne Iske हलके Me Liya Aur 700$ Yani Ki लगभग 47000 Rupye Ki Demand Kar Di.

Deal Jab Final Hui Tab Amal Ko Pata Chala Ki Domain Name Facebook Ke Mark Zuckerberg Ne Kharida Hai. Halaki अमल Ke Liye Yah Proud Moment Tha, Iske बावजूद Unhe Lagta Hai Ki Vo Adhik Demand Karte To Achchi Khasi रकम Mil Jaati. Amal Ne Iske Baad Kai Aise Domain Name Book Karaye Hai, Jo Aage Jakar Unhe Good earnings Kara Sakte Hai.

World Ka Sabse Costly Domain Name Konsa Hai.

World Ka Sabse महंगा Domain Name Kisi Company Nahi Balki Ak Porn Site Ka Hai. gay,xxx नामक Domain Karib 500,000$ Me Becha Gaya Hai. gay,xxx Ko Los Angeles Ki Ak Gay Film Company  Ke Director Corbin Fisher Ne Kharida Hai. Is Se Pahle Sabse Costly Domain Name Ka खिताब Sex,com Ke Naam दर्ज Tha Jo 13 Million Dollar Me Becha Gaya Tha. Halaki India Me Is Tarah Ke Domain Name Par प्रतिबंध Laga Huya Hai. Yaha Bata Du Ki .Com Ke Mukable .XXX Jaise Domain Name Ki Kimat Kafi Adhik Hoti Hai.

Read More

Hacking Ko Apna Career Kaise Banaye, Top 5 Legally Website Se Free Me.

March 23, 2019 5

Use Kare Top 5 Website Aur Free Me Sikhe Hacking

white hat hacker kaise bane

Use Kare Top 5 Website Aur Free Me Sikhe Hacking

Hacking Ka Jaise Hi Naam Aata Hai Vaise Hi Dimag Me Sabse Pahle Kisi Crime Ke Baare Me Baat Aati Hai, Lekin Hacking Ka Use Sirf Crime Me Hi Nahi, Achhe Kaamo Me Bhi Kiya Jaa Sakta Hai. Hacking Skills Ka Bahut Bada Market Hai Lekin Ye Hamesha Kharab Kaamo Me Hi Nahi Kaam Aata Is Se Kuchh Musibat Ke Samay Par Bhi Help Lee Jaa Sakti Hai. Aisi Bahut Sari IT Companies Hoti Hai Jinhe Kai Baar Kisi Tarah Ke Technical Problem Solve Karne Ke Liye Ya Higher Level Ke Application Aur Software Banane Ke Liye Hacking Ki Jarurat Padti Hai Aur Iske Liye Vo Professional Hackers Ko ढूंढते Hai.

Hacking Ak Achha Skills Hai Aur Iski Bahut Hi Demand Hoti Hai, Best Hackers  Ko Companies Achhi Salary Bhi Deti Hai. Agar Aap Bhi Sikhna Chahte Hai Hacking Kaise Ki Jaati Hai, To Me Aapke Liye Kuchh Top 5 Website Ke Baare Me Batane Jaa Raha Hu, Jaha Se Aap Legally Hacking Sikh Sakte Hai. Aap Isme Apna Career Bhi Bana Sakte Hai, In Sites Par Hacking Se Related Har Information Mil Jaati Hai, Aage Jante Hai Kon Si Hai Ye Website...

Hacking Ko Apna Career Kaise Banaye, Free Me Hacking Kaise Sikhe

Aap Abhi Ye Post Padh Rahe Hai To Iska Matalab Hai Ki Aapko Bhi Hacking Me Interest Hai. Ya Feer Aap Ethical hacking Me Thoda Bahut Interest Rakhte Ho. Aur Aapke Paas Itana Amount Nahi Hai Jis Se Aap Paid Process Kharid Paye, Ya Youtube Par Jo Paid Process Bechte Hai Unhe Kharid Paaye. To Aaj Me Aapke Liye Top 5 Website Ke Baare Me Batane Wala Hu Jo Free To Use While Hat Ethical Hacking Sikhati Hai. Jaha Par Aap Achhi Khasi Hacking  Sikh Ke Apni Skills Ko Bade Level Par Le Jaa Sakte Ho, Is Website Par Jo Log Hote Hai Aur Article Padhte Hai Aur Vaha Par Aapko Jo मटिरियल Milta Hai Jis Se Aap Apni Skills Ko Aur Bhi Jyada Best Bana Sakte Ho.

Dusri Khas Baat Aapko Kehna Chahuga Ki Is Article Share Karne Ka Mera Maksad Sirf Aur Sirf Education Purpose Ke Liye Hai, Me Yaha Par Aapko Kisi Bhi Galat Chij Me Aapko Support Nahi Karta Hu. Aur Me Aapko Advice Bhi Duga Ki Aap Bhi In Sab Chijo Ka Use Sirf Aur Sirf Education Ko Badhane Ke Liye Kare Ya Feer Kisi Ki Help Ke Liye Kare Ya Cyber Security Ke Liye Kare, Kabhi Bhi Aap Iska Galat Istemaal Na Kare. Aur Na Hi Me Koi Hacker Hu Aur Nahi Muje Koi Certificate Mili Hai, But Maine Hacking Ki Bahut Sari Website Par 2 Years Pahle Research Ki Thi, Aur In Sites Se Maine Kafi Kuchh Sikha Hai. Aur Aaj Bhi Vo Sabhi Website Chalati Hai. Aur Ye Sites Bahut Hi Achha Kaam Kar Rahi Hai. Jaha Se Aapki Bahut Si Help Hogi.

Hacking Kaise Ki Jaati Hai, Free Me Sikhe Legally Websites Se.

Friends, in Sabhi Website Ki Link Me Apne Article Me Nahi Add Kar Sakta Kyu Ki Google Ki Policy Ke Khilaf Hai Isliye Maine Sirf Link Ko Bina Live Kiye Add Kiya Hai Jaha Se Aapko Copy Karke Google Pe Search Karna Hoga. To Dosto Ab Chalte Hai Hacking Ke Baare Me Sikhane Wali Website Ke Baare Me Janne Ke Liye.

5. Hackaday.Com
ethical hacking kaise sikhe
https://hackaday.com/
Hacking Ke Baare Me Sikhane Wali Websites Me Se 5 Number Pe Aati Hai Hackaday. Basically Ye Ak Aisi Website Hai Jaha Se Aapko Ethical Hacking Ke Baare Me Bahut Sara Content Mil Jayega, Bahut Sari Jankari Mil Jaayegi. But Yaha Par Aapko Hardware Ke Upar Bahut Sari Information Milegi. Jaise Ke Hardware Hote Hai Vo Kaise Kaam Karte Hai. Jiska Kahi Na Kahi तालुकात Hota Hai Vo Hacking Ke Sath Hi Hota Hai. Aur Yaha Par Kuchh Store Bhi Hai Lekin Agar Aap Is Website Ke About Section Me Jayege To Tab Yaha Par Aap Pavoge Ki Is Website Par Aapko Kya Kya Dekhne Ko Milega Yani Ki Aapko Kon Si Chije Sikh Sakte Hai Is Website Se. Aur Yaha Par Aapko Website Ka Pura Staff Dikhaya Jayega, Jo Article Share Karte Hai Vo Jyadatar Certified Hai, Yani Ki Vo Certified Hacker Hai. Jisko Ham Real Me Hacker Kahte Hai. To Ye Bahut Hi Achhi Website Hai To Agar Aap Ethical Hacking Sikhana Chahte Ho To Sikh Sakte Ho. Khas Karke Yaha Par Aapko Hardware Ke Upar Bahut Sari Information Dekhne Ko Milegi.

3. HackThisSite.Org
cyber security tips
https://www.hackthissite.org/
Tisre Number Par Aati Hai Site Uska Naam Hai Hack This Site. Halaki Ye Website Ak Tarah Ke Form Hi Hai, But Me Aaj Tak Samaj Nahi Paya Hu Ki Ye Form Hai. Lekin Kahi Na Kahi Ye Jo Website Hai Vaha Se Aapko Hacking Ka Sabse Best Stuff Mil Jayega Hacking Skills Ko Develop Karne Ke Liye. Yaha Par Saaf Likha Hai Ki Hack This Site is A Free Yani Ni Bilkul Ye Site Free Hai. Aur Safe And Legal Training Yani Ki Aap Legally Base Se Apne Aap Ko Train Kar Sakte Ho. Aur Aapko Yaha Par Bahut Sara Material Mil Jaayega Hacking Se Related, Khaskar Yaha Par Bhi Agar Aapko Programming Ko Lekar Aapke Dimag Me Jo Bhi Question Hoge Jiska Kahi Na Kahi Talukat Hacking Se Lekar Hai To Aapko Is Website Se Mil Jayega. Aapko Yaha Par Sabse Pahle Register Karna Padega, Again Ye Website Hai Vo Bhi Bilkul Free Hai. 

2. Hack In The Box
white cyber security hacker
https://www.hitb.org/
Dusre Number Par Aati Hai Hai Site Jiska Naam Hai Hackinthebox. Iska Short Name Hai HITB. Basically Ye Jo Website Hai Kuchh Time ke Liye Band Rahi Thi, Usko Dubaara Se Rewrite kiya Gaya Hai. Yaha Par Aapko More info Par Click Karna Hai Jis Se Aap Portal Pe Chale Jaoge. Basically Ye Wordpress Platform Par Site Bani Hai. Lekin Ye Wordpress Platform Par Aapko Vo Information Mil Jayegi Jo Maine Agli Site Batai Vaha Par Nhi Milegi. Ye Website Hai Uska Fayda Yahi Hai Ki Aapko Yaha Par News Bhi Milti Rahegi Aap Har Samay Updated Rahoge, Uske Sath Aapko Yaha Par Har Ak Chij Ke Upar Tutorial Mil Jayega, Jaise Ki Programming, Scitech, Security, Apple, Internet, Law, Linux Ke Upar, Yani Ki Fully Useful Aur Kafi Badiya Website Hai. Khas Kar Aapko Is Website Ka Fayda Yah Hota Hai Ki Aap Har Samay Updated Rahte Hai. Matalab Ki Kya Chal Raha Hai Hamari Hacking Community Me. Usi Ke Sath Aapko Yah Par 1000+ Tutorial Mil Jayege, Jis Se Kahi Na Kahi Aap Apni Hacking Skills Ko Aur Achhe Se Develop Kar Payege.

1. Hacking Tutorial Tips & Tricks
top 5 legally free website learn hacking
https://www.hacking-tutorial.com
Aapko Sabse Pahle Bata Du Ki Ye Website Pahle Number Par Kyu Hai? To Aapko Bata Du Ki Ye Website Aapko Upar Bataye Gaye Sabhi Websites Me Se Best Portal Hai Hacking Sikhne Ke Liye, Aur Vo Bhi Bilkul Free Me. Aur Is Site Ki Khas Baat Kare To Aapko Bata Du Ki Kisi Bhi Website Ko Hack Karne Ke Liye Sabse Pahle Unki कमिया Dekhi Jaati Hai, I Min Ki Un Website Ki Weakness Dekhi Jaati Hai. Site Hack Karne Ke Kuchh Raste Hote Hai, Kuchh Weak Point Hote Hai, Un Par Hacker Attack Karte Hai. Tab Aap Aasani Se Us Site Ke Undar Chale Jaate Ho I Min Ki Aap Un Website Ke Admin Penal Me Jaa Sakte Ho. To Ye Ak Aisi Website Hai Jo Khas Karke Software Jo Hote Hai Unki Weakness Hoti Hai Unko Kaise Find Karna Hai Uska Step-By-Step Tutorial Yaha Par Aapko Mil Jayega.

Hacking Skills Ko Develop Kaise Kare.

Aur Is Website Ki Dusri खासियत Ye Hai Ki Download Page, Jaha Par Aapko Vo Sabhi Tools Mil Jayege Bilkul Free Me Jo Ki Hacking Me Kahi Na Kahi Use Hote Hai. Yaha Par Aapko Hacking Ke Upar Bahut Sare Tutorial Mil Jayenge. Hacking Ke Upar Bahut Sari Knowledge Mil Jayegi Jaise Ki Phone Hacking News Etc. Aur Kuchh Hacking Tips And Tricks Mil Jayegi Jo Bahut Hi Badiya Hai. Aur Aapko Yaha Par Achhi English Ki Jarurat Nahi Padegi, Kyu Ki Yaha Par Jo English Likhte Hai Matalab Ki Post, Article Write Karte Hai Vo Easy To Understand Hoti Hai. Matalab Ki Padhne Me Bahut Aasan Hoti Hai. Yani Ki Aap Aasani Se Aap Ise Samaj Payenge. Aur Sabse Badi Baat Yah Hai Ki Yaha Par Aapko eBooks Mil Jayegi Free Me Jaha Se Pdf File Download Kar Sakte Hai, Kisi Bhi Tutorial Ka, Kisi Bhi Tips Tricks Ka. Jis Se Aapko Jyada Problem Nahi Hogi Jis Se Aap Kabhi Bhi Dekh Sakte Hai.

To Dosto Ye Thi Vo 5 Website Jiska Use Karke Aap Ethical Hacking Me Apni Skills Ko Develop Kar Payege, Hacking Aasani Se Sikh Payege. Again Aapko Feer Se Kahna Chahuga Ki Agar Aap Hacking Sikhte Ho To Kabhi Kisi Ka Bura Mat Karna, Kisi Ka Bhala Hi Karna Matalab Ki Achhe Kaamo Ke Liye Hacking Ka Use Karna. Matalab Ki While Hat Hacker Banna, White Hat Ethical Hacker Bane.

Dosto Agar Mera Ye Article Aapko Pasand Aaya Ho Ya Help Mili Ho To Apne Dosto Ke Sath Social Media Pe Share Jarur Karna And Koi Bhi Sawal Ho Aapke Dimag Me To Comment Me Bataye, Thanks And Keep Visiting...

YOU MAY ALSO LIKE:
Read More